Madani Munna مراسلہ: 27 جنوری 2007 Report Share مراسلہ: 27 جنوری 2007 Madina Main Ap Se Madad Chahta Hoon Kya Ap Muj Ko Guide Karain Gay Aj Muj Ko Aik Uncle Milay Kyon kay main Dawat-e-Islami Main Nya Aya Hoon Is leya Muj Ko Ameer-e-Ahle Sunnat K baray Main Kuch Ziyada Maloom Nahi Us Ne Ap(Damat-barkatuma-aliya)Ki Zat-e-Pak Par Ehtaraz Kiya Us Ne Yeah Kaha K Ap R.A Ne Ap Book Faizan-e-Sunnat Main Istanja Ki 78 Sunnatain Batai HAin Jo Kay Ki B Hadees Ki Kitab Se Sabit Nahi Hain Aor Ap Ne Bait Ka jo Silsila Suru Kia Hai Wo B Kisi Taran Hazrat Muhammad Se Sabit Nahi Yeah Jo Dil Main Kyal Karney Wala HAi Plz Ap Mujay Guide Karain Kyon K Wo Muj Se Ans. Mangta Hai Aor Ap Se Aik Guzarish ti K Agar Ap MAin Se Koi Farhan Bahi Ki New Mangabats Ya Saheed-e-Karbala Add Kar Dain اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Shareef Raza مراسلہ: 29 جنوری 2007 Report Share مراسلہ: 29 جنوری 2007 Walikum salam. Muhtram Sab say Pahle Aap ko islamimehfil main khush aamdeed , Janab Ameere Ahlesunnat damatbarkatuhumulaliya ney faizane sunnat main har masalay say leker waqiya balkay aik aik cheez ka hawala dya hai mukhalif ko chahyee ko woh hawalay say sabit karay yeh sunnat nahi hai, sirf dawa mana nahi jata, ................................ bait huzoor Sallalahoalihiwasallam keh daur main bhi howa karti thhi... sahaba e karam ne bohat si baitain ki hain, awwalan islam latay waqt huzoor ki bait phir khaas maaidoo keh liye huzoor ki bait jese hudaibiya main bait ur rizwan..jese ka quran pak main bhi is ka ziker aya hai... phir khulfae rashideen ki hathoo par bait ki.. lihaza woh hazraat mureed thhay ... aur aik baat yeh bhi claer kardi jayee keh bait chand qisam ki hooti hai an ki pehli bait huzoor keh hath sharif par baite islam thhi. aur phir khas moqo par baite khassa howin, phir khulfa e rashideen keh hath par bait do baitoo par mushtamil thhi baite saltanat baite tariqat . khulfae rashideen keh zamana tak har sultan shaikh bhi hota thha kyonkeh in ki khilafat rashida thhi .in keh baad salateen is paye keh nah rahyee lihaza in se sirf saltanat ki wafadari ki bait ki jese aaj Halfe wafadari kehtay hain, aur mashaikh sy bait tariqat hoween... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madani Munna مراسلہ: 30 جنوری 2007 Author Report Share مراسلہ: 30 جنوری 2007 Lekin Islami Bahi Muj Se Yeah Poccha Gia Hai K Jis tareka par Ameer-e-Ahle Sunnat R.A Bait kartay Hain Yani K Agar Kisi Ne Yeah Kaha K Main Ilyas Qadri Ka Mureed Hoon To Ap R.A K Farman K Mutabiq Wo Attari Ho Gia Kya Yeah Kisi Tarahan Sabit Hai Aor Agar Hai To Hawala. Main Kud Isi Taran Bait Hoa Hoon Kya Meri Bait Ho Gai Wo Adami Kud 6 Sal Dawat-e-Islami Main Raha Hai Aor Us Ne Yeah b Kaha Hai K Ap R.A Ki Bait Jo Zia Uhd Deen Madni R.A Se Hai Wo B Sabit Nahi Hai Allah Hafiz اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
سگِ عطار مراسلہ: 30 جنوری 2007 Report Share مراسلہ: 30 جنوری 2007 Sub sey Pehlay tu IslamiMehfil per Khush Amdeed... Aap ney jo suwal kiya hai uss ka jawab Ameer-e-Ahle Sunnat Madani Muzakiron Mein bar ha Irshad farma chukay hain.. Aala Hazrat ney Fatawa Razwiya sharef mein likha hai key Khat key zareye Bait Jaiz hai.. pas Telephone ya Loud Speaker key zareye Bait ba darja-e-ola yani iss sey berh ker jaiz hoyi... tu ager Mukhalif iss per Aitraz kerta hai tu ussi daleel deni hogi... baghair daleel key bat faida mand nhin.. Bait key Muta'aliq Ameer-e-Ahle Sunnat (damat barktahum aaliya) aik madani muzakirey mein irshad fermatey hain.. jis ka khulasa main apney alfaz mein bayan kerta hoon key Bait Ejab-o-Qabool ka naam hai.. jaisay Nikah.. iss mein Mureed aur Peer dono razi hongey tu bait ho jaye gi.. aub ager koi dour reh ker yeh irada kerta hai key main Ameer-e-Ahle Sunnat ka mureed hona chahta hoon.. pas woh razi hai aur Ameer-e-Ahle Sunnat her Musilman ko apna Mureed ya Talib kerney key liye razi hain tu bait ho jaye gi.. iss ki daleel yeh hai key Shahzada-e-Aala Hazrat, Hazoor Mufti-e-Aazam Hind Hazrat Mustafa Raza Khan key jab wisal ka waqt qareeb aaya tu fermaya key "FULAAN AADMI FULAAN JAGA SEY MUJH SEY BAIT KERNEY KEY LIYE AARAHA HAI MAIN NEY USAY APNEY MUREEDOUN MEIN QABOL KIYA" Subhan Allah .. yeh aap ki buhut bari karamat hai... iss key bad aap rehlat ferma gaye aur woh shakhs aapki wafat key bad pohncha.. tu usay bataya gaya.. pas iss sey sabit hai key Mureed bhi chonkey razi tha aur peer bhi iss liye bait ho gayi.. Ameer-e-Ahle Sunnat (damat barkathum aaliya) ki bait per jo aitraz hai iss ka jawab aap Ameer-e-Ahle Sunnat key Booklet "Qutb-e-Madina" sey perh saktey hain.. aap ney pehlay Khat key zareye bait ki thi.. jis ka jawab aapko mila tha aur uss key bad aap ney Madina Shareef ki pehli hazri mein Dobara Hazoor Sayidi Qutb-e-Madinah Hazrat Ziya-ud-Deen madani key dast-e-mubarak per bait ka sharf hasil kiya.. umeed hai Yahaan sey bhi tafseel mil jaye gi.. aur Ager Mukhalif Ameer-e-Ahle Sunnat (damat barkathum aaliya) ki Khilafat per aitraz kerta hai tu uss ka jawab Yahaan dekhiye اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madani Munna مراسلہ: 31 جنوری 2007 Author Report Share مراسلہ: 31 جنوری 2007 Jazakala Islami Bahi Allah Ap Ko madinaDikay Aor Ap S.A.W Ka Unlimitied Time Didar Naseeb Farmay Ap Se Aik Request Hai Asif Attari Bahi Ki Aawaz Main Mera Peer Mera Peer Ka Link De Dain اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
سگِ عطار مراسلہ: 31 جنوری 2007 Report Share مراسلہ: 31 جنوری 2007 Jazakala Islami Bahi Allah Ap Ko madinaDikay Aor Ap S.A.W Ka Unlimitied Time Didar Naseeb FarmayAp Se Aik Request Hai Asif Attari Bahi Ki Aawaz Main Mera Peer Mera Peer Ka Link De Dain 3183[/snapback] Yahaan sey aap Asif bhayi ki yeh manqabat aur deger kalam sun saktey hain.. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madani Munna مراسلہ: 16 مارچ 2007 Author Report Share مراسلہ: 16 مارچ 2007 (ترمیم شدہ) Madinah Muj ko Munazra-e-Jhang Ki Talash Hai Agar Kisi Ko Is Ka Link Maloom Ho to plz replay Edited 16 مارچ 2007 by madina_dil_de_undar اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Tayyib Qadri مراسلہ: 17 مارچ 2007 Report Share مراسلہ: 17 مارچ 2007 dear brother i think this munazra is not availabel on site.because it is of 8 hours munazra اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔