Jump to content

Qatra Anay Ka Masla


Bismillah

تجویز کردہ جواب

pata nahi aissa sawal karna jaiz hai ya nahi yahan par,

ek shakhs ko chota ya bara peshab karnay kay baad Qatray atay hain, aksar aissa bhi hota hai keh wo fajar ki namaz kay liey uthta hai aur peshab nahi karta balqay sirf apni nali ki nok ko dekh leta hai keh kahin koi qatra to nahi hai amtor pe qatra to nahi hota lekin lekin agar ho bhi to pani say istanja kar kay wuzu kar leta hai, jab wuzu say farigh ho jata hai to dobara peshab ki nali ki nok ko dekhta hai keh kahin koi qatra to nahi niqla aur kya dekhta hai keh koi qatra nikalnay kay liey ready hai, ab wo bechara us qatray ko tissu say saaaf karta hai aur dobara shuru say wuzu karta hai, kabhi kabhi to wo 3 bar wuzu karta hai. ji han 3 bar. aur wo bechara wuzu say pehlay peshab bhi nahi kar sakta warna dobara qatra anay ka andesha hai, kya koi iss ka hal bata sakta hai? kya koi bata sakta hai keh peshab karnay kay baad aksar logon ko qatray kyon atay hain? mera matlab hai keh yeh kissi jismani waja say atay hain ya kissi buri adat kay honay ki wajah say?

tamam viewers say madni darkhawast hai keh dua kiya karein namazon kay baad, bilkhasoos jab aap ijtima main jatay hain ya madni qaflon main safar kartay hain,
aur us ka masjid mein jamat kay saath namaz parnay ka bhi masla hai, to iss maslay kay liey bhi dua kiya karein keh jo bhi masla hai wo hal ho jaey, allah tamam dua karnay walon ko jazaey khaira day, ameen, aur yeh saray maslay hal farmaey, ameen, jazakallahou khaira!
[/size]

Link to comment
Share on other sites

 

WaAlaikumussalam

 

bhai masail poochnay main sharam kesi???

 

Farz Uloom ka seekhna zroori hay

 

aor is beemari ki kae wujuhaat hoskti hain , Ager kisi ko yeh marz Lahiq hay to usay chahiay k kisi achay tabeebe se rabita kray..

 

Mazoor k Ahkaam neechay deay ja rhay hain.....

 

Wuzu.jpg

Link to comment
Share on other sites

masla yeh hai keh peshab karnay kay baad qatray atay hain, aur/ya phir jab wo subah ko uthta hai to aksar koi na koi qatra nikal ata hai ya nikla hua hota hai,

 

to phir kisi doctor se rabita kia jae.... aor peshab krnay k bad intezar kia jae hattaky k qatray aana band hojaein laikin ager itnay waqt qatray musalsal aatay rhain k aik nmaz ka waqt gzuar jae to phir wo yaqeenan mazoor k hukam main hoga

 

neez subah uth kr raat walay kapray tabdeel kr lenay chahiay ...

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

itnay waqat tak qatray musalsal nahi atay keh namaz ka waqat guzar jaey lehaza ek baat ka pata chala keh wo mazoor nahi hai, kapray to wo tabdeel karta hi hai, lekin yeh tabdeel karnay ka silsila kab tak chalay ga, qatray usay peshab karnay kay baad hi atay hain, aissa nahi keh din ya raat kay kissi bhi hissay mein peshab kiey bina hi shuru ho jatay hain, aksar wo peshab kar kay kuch deer tak to bethata to hai lekin jaissay hi wo kharda(stand-up) hota hai 1 ya 2 minut kay andher to qatra a hi jata hai. yani keh jab tak wo peshab kar kay betha rehta hai tab to qatray nahi atay kyon keh peshab to band ho gaya lekin jaissey hi wo stand up hua koi na koi qatra a hi jata hai.

masla yeh hai keh wo namaz walay kapray pehan kar chota ya bada peshab nahi kar sakta warna koi qatra us kay namaz walay kapron par lag sakta hai iss liey wo jab bhi bathroom jata hai koi pajama neechay pehn leta hai aur jab namaz ka waqat hota hai to utar deta hai jab bathroom jata hai to pehn leta hai aur namaz kay waqat utar deta hai. masla yeh bar bar bar pehnanay utarnay ka hai.

 

us nay kissi doctor type kay admi say rabta kiya hai aur usay apna masla bhi bean kya hai aur us doctor nay yeh wali dawai suggest ki hai jo keh aap neechay di hui link par click kar kay pard saktay hain, iss dawai mein 50% organic alcohol ka bhi likha hua lekin umeed hai keh aissi dawai ka istimaal jaiz hai,

 

 

product detail link

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

 

bhai abhi majboori hay bar bar kapray to tabdeel krnay hi prain ge.......ya k aesa kr lena chahiay k underwear main khas jga per koi kapray ka koi tukra waghera rakh lena chahiay , aesay chotay chotay tukray amooman gharon main mojood hotay hain ya phir kisi darzi ki dukan se aasani se mil jatay hain

 

aor jhan tak medcine ki bat hay to koi mutbadil medicine talash kijiay ager na milay to ...... aajkal ulama-e-kiram nay alcohol wali adwiat k istemal ki ijazat bhi di hay...

Link to comment
Share on other sites

aap ki uper link say ek baat to teh ho gai keh is dawai ka istimaal jaiz hai,

 

ab sawal raha keh yeh dawai say masla hal jaey ga ya nahi, to yeh dawai urinary system kay liey hai aur jiss nay di hai unhen dawaion kay barey main kafi kuch maloom, try karnay mein kya harj hai, kya pata masla hal ho jaey, lekin aap log duaaon mein khasoosan yaad rakhiey ga! jazakallahou khaira!

 

 

Link to comment
Share on other sites

  • 10 months later...
  • 3 months later...
مراسلہ: (ترمیم شدہ)

uper jo mainay dawai ka bataya tha uska mainay istimaal to kya lekin kuch bhi farq nahi para,

main jab bhi chota ya bara peshaab kar kay khara(stand-up) ho hota hoon to anay walay 10 ya 20 second main mujhay qatra ata hai, kabhi usko poonch lenay kay baad nahi ata to kabhi poonchnay kay baad bhi atay hain.

kissi ko wazeefa pata ho keh qatra ana band ho jaey to baraey meherbani share kijiey, nahi to koi mujhay kissi achay mufti saab say pooch kay bata day.

uss doctor ko kya kehtay hain jo keh iss marz ka specilist ho? (english main)

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

uper jo mainay dawai ka bataya tha uska mainay istimaal to kya lekin kuch bhi farq nahi para,

main jab bhi chota ya bara peshaab kar kay khara(stand-up) ho hota hoon to anay walay 10 ya 20 second main mujhay qatra ata hai, kabhi usko poonch lenay kay baad nahi ata to kabhi poonchnay kay baad bhi atay hain.

kissi ko wazeefa pata ho keh qatra ana band ho jaey to baraey meherbani share kijiey, nahi to koi mujhay kissi achay mufti saab say pooch kay bata day.

uss doctor ko kya kehtay hain jo keh iss marz ka specilist ho? (english main)

 

mery khial mai aap ko prostate Glands ki bemari hy ya Masana ki Kamzoori hy

 

aap Taqat wali ghaza khaia kerin jaisa badam etc our til bhe khaia kerin inshallah aap ko afaqa ho ga

 

 

dsora aap Peshaab kerny k baad tissue sy achi tarah saaf ker lain our phir Dhoo lain

 

purany waqato mai to Matti sy istanja kia jata tha lakin jub sy ye letreen wala system aia hy our maati sy istanja kerna band howa hy is qisam ki beemaria peda hoi hn baqi aap Sunnat k mutabiq istanja kerin inShAllah aap ko Shafa bhe mily gi our sawab bhe

Edited by SunniDefender
Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

1) yeh baat apki sahi hai keh main jismani lehaaz say bohat kamzor hoon aur khanay main sirf subah 2 roti salan kay saath aur shaam ko 2 roti salan kay saath khata hoon, taqreeban 2 say 5 glass pani peeta hoon wo bhi roti kay saath. jab kaam pe hota hoon to lunch time main kuch kha leta hoon. meri taqreeban yahi ghiza hai. ab kitna taqatwar hoon aap andaza laga lain, main 28 saal ka hoon.

 

2-) badam to theek hai yeh til kya hai?

 

3-) ji han tissu say main achi tara saaf karta hoon, saaf kar kay jab tak betha rehta qatra nahi ata lekin jab khara hota hoon to chand second baad nali ki nok par qatra hota hai. aur baaz auqaat dhonay kay bawajood bhi aisa hota hai.

 

4-)sunnat kay mutabiq istanja kaissay kartay hain?

 

5-)yeh prostate Glands kya hota/hoti hai? aur masana kissay kehtay hain?

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

  • 9 months later...

 


2-) badam to theek hai yeh til kya hai?


تل جو نان یا کلچوں کے اوپر لگاتے ہیں

 

3-) ji han tissu say main achi tara saaf karta hoon, saaf kar kay jab tak betha rehta qatra nahi ata lekin jab khara hota hoon to chand second baad nali ki nok par qatra hota hai. aur baaz auqaat dhonay kay bawajood bhi aisa hota hai.


ٓآپ ایک ایک شلوار یا پتلون منتخب کر لیں جس کو آپ صرف پیشاب کرنے کے بعد کچھ دیر کے لیے پہنے گے اور
جب آپ کو مکمل یقین ہو جائے کے اب کوئی قطرہ روکا ہوا نہیں ہے ہےتو دوبارہ اپنے لباس کے متلعق شلوار پہن لیں


 

4-)sunnat kay mutabiq istanja kaissay kartay hain?

اس بارے میں یہاں سے مطالعہ کریں
http://www.islamieducation.com/istanja-ka-bayan/

 

 

5-)yeh prostate Glands kya hota/hoti hai? aur masana kissay kehtay hain?

پروسٹیٹ گلینڈ کے بارے میں ڈاکٹر ہی صحیح معلومات دے سکتا ہے بہر حال مجھے صرف اتنا معلوم ہے کہ اگر یہ گلینڈ کمزور ہوں تو پیشاب رکاوٹ ہوسکتی ہے



Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

3) yeh shalwar tabdeel karnay ka kaam to bohat hi difficult hai banda ktin baar washroom main jata hai, job par bhi jana hota hai. bar bar yeh pehnana utarna to bohat hi mushkil hai. mujhay to ilaaj chahiey keh qatray aanay band ho jaey. baaz oqaat masjid kay andher hota hoon to washroom janay ki hajat hoti hai ab main shalwar saath saath liey to ghoom nahi sakta na. banda zara ajeeb sa lagta hai.

ya phir agar koi aissa plastic mil jay jisko peshaab ki nali kay uper cover kar diya jaey to bhi masla kafi hadh tak acha nazar ata hai.

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

  • 3 months later...

3) yeh shalwar tabdeel karnay ka kaam to bohat hi difficult hai banda ktin baar washroom main jata hai, job par bhi jana hota hai. bar bar yeh pehnana utarna to bohat hi mushkil hai. mujhay to ilaaj chahiey keh qatray aanay band ho jaey. baaz oqaat masjid kay andher hota hoon to washroom janay ki hajat hoti hai ab main shalwar saath saath liey to ghoom nahi sakta na. banda zara ajeeb sa lagta hai.

ya phir agar koi aissa plastic mil jay jisko peshaab ki nali kay uper cover kar diya jaey to bhi masla kafi hadh tak acha nazar ata hai.

 

 

 

Jnab Is Silsilay main kisi Urologist say rabta farmaye. Lab test k bad hi koi diagnosis banay ga aor phir accordingly treatment hogi jis k bad aap ka yeh masla khatam ho jaye ga.

Link to comment
Share on other sites

  • 6 months later...

 

 

Jnab Is Silsilay main kisi Urologist say rabta farmaye. Lab test k bad hi koi diagnosis banay ga aor phir accordingly treatment hogi jis k bad aap ka yeh masla khatam ho jaye ga.

 

Peshaab kerny k bad peshaab k Qatry ka girty rehny ka ye masla mery sath bhe hy

jo k bachpan sy hi chala aa raha hy taqreeban yaad perta hy 10 years ka tha jub sy ye masla hy muhjy bhe

our ab meri Age 25 years ho chuki hy

 

Mai ny Jinnah hospital lahore sy peshaab test our blood test bhe kerwaiy lakin doctors ko ye masla samjh nai aia ho ga kio k unhon ny koi dawai tajveez nai ki

 

us sy pehly mai aik hakeem sb sy bhe 300 R.s ki dwai ley ker kha chuka hn lakin koi faraq nai perra

 

our shalwar jub utarta hn to peshab sy yellwo coulurs ki hoi hoti hy ab to mujhy is bemari ki aadat ho gai hy ab mai tension free hn kio k ye roz ka mamool hy

 

mai isi tarah namaz waghira perh leta hn kabhi tension nai li . ager Allah ny Qabool kerni ho gi to ker ley ga .

is liy Bismillah bhai aap bhe fiker mat kerin our Dua kerin k Allah beemaro ko Shifa dy ameen

Link to comment
Share on other sites

Faysal Bhai dua hay keh Allah Tala aap ko aor ham sab ko Salamti-e-Eeman aor Salamti-e-Sehat ata farmaye .. Aameen

 

 

 

 

mai isi tarah namaz waghira perh leta hn kabhi tension nai li . ager Allah ny Qabool kerni ho gi to ker ley ga .

 

 

 

 

bhai Highlited Alfaz Kuch munsaib maloom naheen hotay.

Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...

aap ki uper link say ek baat to teh ho gai keh is dawai ka istimaal jaiz hai,ab sawal raha keh yeh dawai say masla hal jaey ga ya nahi, to yeh dawai urinary system kay liey hai aur jiss nay di hai unhen dawaion kay barey main kafi kuch maloom, try karnay mein kya harj hai, kya pata masla hal ho jaey, lekin aap log duaaon mein khasoosan yaad rakhiey ga! jazakallahou khaira!

Assalam o alaikum

My name is hamid Munir Namberdar..

Agr kisi shks ko urine k drops ki problem h to usy chahye aik jari booti he jisy (hazaar daani) k naam se jana jata he .is jari booti ko koi insan din me 2 mrtba ek ek chmach use kry ya do chamch jitni use kry subha r sham Inshallah Allah pak sehat ata kry gy Ameen Suma'ameen

Ye post prh kr ek bar darood e pak zrur parhye ga JazakAllah ho khaira.

Link to comment
Share on other sites

  • 3 months later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...