Bismillah مراسلہ: 4 دسمبر 2009 Report Share مراسلہ: 4 دسمبر 2009 Kya koi mujhey aissi video bata sakta hai jiss mein Qaza Namaz parney ka beaan ho, mera matlab hai, jis mein bataya ja raha ho keh qaza namazein kaissey pari jati hain? lekin video mein, waissey to yeh masla Namaz kay Akhaam main bhi likha hai lekin mujhey Video chahiey, iss say yaqeenan batanay waley ko bhi sawab milay ga, jazakallahou khaira! [/size] اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 6 فروری 2010 Report Share مراسلہ: 6 فروری 2010 http://www.islamicacademy.org/media/html/videos/videos.html Qaza bhi aesay hi parhi jati hay اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
unknown مراسلہ: 26 فروری 2010 Report Share مراسلہ: 26 فروری 2010 agar kissi shakhs nay fajar ki qaza namazein mukamal kar li hon to kya wo dobara iss niyat kay saath pard sakta hai keh jo namazein mainay sahi nahi pari wo main dobara parta hoon. kyon keh us nay apni umar ka hisaab laga kar jitni fajar ki qaza namazein banti thi wo to par li, lekin phir bhi ehteatan wo kuch aur parna chahta hai, keh kabhi us nay jaldi main par li ho ya niyat sahi na ki ho ya koi qabool nahi hui ho... jab keh abhi us pay zuhar,asar wagaira ki qaza namazein baqi hain اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 26 فروری 2010 Report Share مراسلہ: 26 فروری 2010 On 2/27/2010 at 3:36 AM, unknown said: agar kissi shakhs nay fajar ki qaza namazein mukamal kar li hon to kya wo dobara iss niyat kay saath pard sakta hai keh jo namazein mainay sahi nahi pari wo main dobara parta hoon. kyon keh us nay apni umar ka hisaab laga kar jitni fajar ki qaza namazein banti thi wo to par li, lekin phir bhi ehteatan wo kuch aur parna chahta hai, keh kabhi us nay jaldi main par li ho ya niyat sahi na ki ho ya koi qabool nahi hui ho... jab keh abhi us pay zuhar,asar wagaira ki qaza namazein baqi hain ager fajar ki koi nmaz aesi hay k jis main ghaltian reh gayi hon aor nmaz duhrani lazmi ho tab to Nmaz duhranay main harj nahi kionkay duhrana aap per zroori hay laikin ager aesa nahi to behtar hay k pehlay zuhar , asar aor doosri qaza nmazain parh li jaein ..... kionkay aapnay fajar ki qaza mukammal kr li hain aor ab sirf ehteatan duhrana chahtay hain .lihaza aap pehlay 2sri nmazain yani zuhr asr waghera ki nmaz parhain....aor apni tmam qaza nmazain ada krain...iskay bad aap apni koi nmaz duhrana chahain to duhra lain... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
unknown مراسلہ: 28 فروری 2010 Report Share مراسلہ: 28 فروری 2010 Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou meray 2 sawal hain, waissay to un main ek ka jawab umper de diya gaya hai lekin phir tasali kay liey pooch lena behtar samjata hoon. uper likha hai keh farz ki teesri aur chothi rakat main sirf 3 martaba subkhan allah keh kar rakoo main chalay jana chahiey, agar main sahi samja hoon to teesri aur chothi rakat main na to sura-e-fatiha aur na hi koi surat milanay ki zaroorat hai, yani keh jaissay hi aap doosri rakat say farigh ho kar teesri rakat kay liey kharay huay bas 3 martaba subkhanallah keh kar wapis rakoo main chalay jana chahiey aur aissay hi choti rakat bhi poori karni chahiey. sahi? doosra sawal yeh hai keh qaza namazon main koi bhi sa darood par saktay hain ya sirf wohi darood jo keh uper likha hua hai? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 28 فروری 2010 Report Share مراسلہ: 28 فروری 2010 Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou meray 2 sawal hain, waissay to un main ek ka jawab umper de diya gaya hai lekin phir tasali kay liey pooch lena behtar samjata hoon. uper likha hai keh farz ki teesri aur chothi rakat main sirf 3 martaba subkhan allah keh kar rakoo main chalay jana chahiey, agar main sahi samja hoon to teesri aur chothi rakat main na to sura-e-fatiha aur na hi koi surat milanay ki zaroorat hai, yani keh jaissay hi aap doosri rakat say farigh ho kar teesri rakat kay liey kharay huay bas 3 martaba subkhanallah keh kar wapis rakoo main chalay jana chahiey aur aissay hi choti rakat bhi poori karni chahiey. sahi? WaAlaikumussalam........ Ans:1 ji, Aap nay saheh farmaya hay...... doosra sawal yeh hai keh qaza namazon main koi bhi sa darood par saktay hain ya sirf wohi darood jo keh uper likha hua hai? ya to durood-e-ibrahimi complete parh lijiay ya jo durood shareef likha hay woh parhna hoga... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔