Jump to content

kya kya kufr hai??????[fatawa required immiedialt]


kashif_nith

تجویز کردہ جواب

Assalam alaikum,

 

mujhe ye fatwa poochna tha ager koi ladka nabalighi ki umar mien[age 14] mienn ye dua mange ki "ya khuda "YA JO KOI BHI HAI'" falaan dua qubool ker.

to kya uspe kufr ka hukm hai?ladka abhi nabaligh hai aur use nahin pata ki usne kalima-e-kufr baka hai per fir bhi kyunki ghar mien roz subah uth ker kalima-e-tayyab padhne ka riwaaj hai isliye roz kalimae tayyab padha kerta tha,per ab kareeb 21 saal ki umar mien use pata laga ki usne us waqt jab wo 14 saal ka tha to kalima-e-kufr baka tha,to ab us shaks per kya hukm hai????

kya use saari namaazien roze fir se qazaa dohraanien honge?

jald se jald fatwa ata fermayien.

ek baad fir keh dun ki "ladke ko kalimae-kufr ka pata nahin tha per fir bhi wo roz kalima-e-tayyab padhta tha."

jazakallahu khair

------

sag-e-attar

Mohammed Kashif Attari/Chennai

Link to comment
Share on other sites

(bis)

Walaikum Salam,

 

& Welcome to Islami Mehfil..

 

piyarey islami bhayi aap ka suwal hum ney Dawat-e-Islami Ask The Imam ko post ker diya hai.. umeed hai wahaan sey jald jawab Fatwa ki sorat mein receive ho jaye ga.. phir woh hum Yahaan post ker dein gey..

 

Wasalam Ma'al Ikram

Link to comment
Share on other sites

  • 3 months later...

Madinah Main Ney B Post Kar Diya Hai

Lekin Jahan Tak Meri Mallomat hain Nabalig Bacha Ma'soom Hota Hai Agar Us Se Koi Galat Kam Sarzad Ho Jay To Us Ki Na Samji Ki Bina Per Us Per Koi Hukam Aa'ed Nahi Hota.

Jasay Hi Mujay ANS Moosool Ho Ga Main InshahAllah Yahan Put Kar Doon Ga.

JazakAllah

Link to comment
Share on other sites

  • 3 weeks later...

Assalam alaikum

Bhai aapka bahut bahut shukria,ALLAH aapko jazae khair de.

 

Bhai per mera sawaal poora answer nahin hau hai,maine 'kufriya kalima' bolne aur tajdeede imaan kerne ke beech ke waqt ki namaazon aur rozon ka haal pata kerna tha ki,ayaan ye batil ho gayin?aur inko lautaane ka kya treeqa hai?

 

jazakallahu khair.

fi amanALLAH

wassalam

Link to comment
Share on other sites

(salam)

fatwa sey hukm tu clear ho chuka hai.. pas ager bachey ney toba-o-tajdeed na ki thi.. tu woh apni namazein aur rozey lotaye ga... yani kul ka andaza laga ker phir utni farz namazon ko lataye ga... is key liye aap ameer-e-ahle sunnat ka kitabcha qaza namazon ka tareqa perh saktey hain... kalma-e-kufr sey pehlay jo namazein perhi thi woh lotaney ki hajat nhin hai... mazeed malomat key liye aap 28 KALAMAT-E-KUFR aur EMAN KI HIFAZAT naami book dawateislami.net sey read kerein...

 

koi ghalti hoyi ho tu zaror islah fermayein..

wasalam

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
  • 2 months later...
Lekin Jahan Tak Meri Mallomat hain Nabalig Bacha Ma'soom Hota Hai Agar Us Se Koi Galat Kam Sarzad Ho Jay To Us Ki Na Samji Ki Bina Per Us Per Koi Hukam Aa'ed Nahi Hota.

Bhai meri naaqis ma'aloomat ke mutaabiq Ma'asoom sirf Anbiya-e-Kiram Alaihim Salam hee hoty hain, kiyoun ke Ma'asoom sirf us ko kaha jaaye ga jis se kabhi b ko'ee gunaah saadir na ho.

Bachy agar naa samajh hee sahee, Lakin jab wo bary ho ho jaayen gy to phir un se gunaah ka saadir hona yaqeeni hay. Is liye un ko ma'asoom nahin kaha jaa saktaa.

(salam)

Link to comment
Share on other sites

  • 10 months later...
Anbiya-e-Kiram Alaihim Salam ke ilawa farishtey bhi masoom hotey hain.

aur hum insaan masoon nahi ho saktey..

aslmolikum

 

na blighg bhi apne amal ka mukalaff nahi hota hay . kioun key os per shariet key ahkam lagoo nahi hotey hain

Link to comment
Share on other sites

  • 9 years later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...