True Islam مراسلہ: 21 اکتوبر 2009 Report Share مراسلہ: 21 اکتوبر 2009 Q: Kia aik shaks Islam ke tammam buniyadi aqaid ko adopt karta hai aur sirf woh masail jin pe maslak ka ikhtalaf hai Jaisey Aap (SALLALLAHOALIHEWASLLAM) ko Ilm-e-gaib ke mamlay per yeh kahey WALLAHO ALLAM BIS SAWAB aur yeh hum jaan hi nahi saketey key unko kia Ilm tha to kia uska iman salim or woh sahi ul aqaeed hai ya nahi. A: Syed-e-Aalam (SalAllahoAlaiheWaSallam) ki zaat-e-mubaraka ke liye ilm-e-gaib ka nazaria Quran-o-Sunnat ka nazaria hai. Kai Aayat-o-Ahadees is haqeeqat par daal hain jis ka inkar siwaae bugz aur inaad ke kuch nahin. Agar wo shakhs Ilm-e-Gaib ke dalaail aur haqeeqat se waaqif nahin, aur mehez apni kum ilmi ki bina par ye jumla kahe ke WallahoAalam, aur ye lafz yani "WallahoAalam" is sawaal par hai ke "Kya Syed-e-Aalama (SlaAllahuAlaiheWasallam) ko Ilm-e-Gaib hai ?" aur phir kum ilmi ya ilmi halqe se wabastagi na hone ki bina par keh raha ho aur Kitman-e-Ilm, Bugz-o-Inad, aur ihanat maqsood na ho aur irada ye ho ke dalaail zaahir kar diye jaen to qaail ho jaye ga...In tamaam umoor main us par taan na kiya jae, waran inkar-e-ilm-e-Mustafa (SalAllahoAlaiheWaSallam) Qurani Aayat aur Ahadess-e-Mubaraka ka inkar kufr aur sarasar bad mazhabiat hai. To read more answers plz Visit www.truecolorsofislam.com اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔