toqeer مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 (ترمیم شدہ) " Mustafa Jaan e Rahmat pe Laakhoun Salaam" 1: Mustafa Jaan e Rehmat pe Laakhoun Salaam Sham e Bazm e Haidayat pe Laakhoun Salaam 2: Mehr e Charkh e Nabuwwat pe Roshan Durud Gul e Bagh e Risalat pe Lakhoun Salaam 3: Shehr e Yaar e Irum Taajdaar e Harm Nau Bahaar e Shafa'at pe Laakhoun Salaam 4: Shabb'e Asraa kay Dulha pe Da'im Durud Nausha e Bazm e Jannat pe Laakhoun Salaam 5: Arsh ki Zaib o Zeenat pe Arshi Durud Farsh ki Teeb o nazhatt pe Laakhoun Salaam 6: Noor e Ain e Latafat pe Altaf Darud Zaib o Zeen e Nazafat pe Laakhoun Salaam 7: Saru e Naaz e Qid'm, Maghz Raaz e Hikam Yakka Taaz e Fazilat e Laakhoun Salaam 8: Nukta e Sirray Wahdat pe Yakta Darud Markaz e Daur e Kasrat pe Laakhoun Salaam 9: Sahib e Rij'at e Shams o Shaqqul Qamar Naa'ib e Dast e Qudrat pe Laakhoun Salaam 10: Jis kay Zair e Liwaa Aadam o Mann siwaa Is Saza'ay Sayaadt pe Laakhoun Salaam 11: Arsh ta Farsh hai jis kay zair e Nageen Us ki Qaahir Rayaa’stt pe laakhoun Salaam 12: Asal e har Bood o Bahbood o tukhm e Wajood Qasim Kanz e Naimat pe Laakhoun Salaam 13: Fat'h e Baab e Nabuwwat pe bai hadd Darud Khatm e Daur e Risalat pe Laakhoun Salaam 14: Sharq e Anwaar e Qudrat pe Noori Darud Fatq e Azhaar e Qurbat pe Laakhoun Salaam 15: Be Saheem o Qaseem o Adeel o Maseel Johare Fard e Izzat pe Laakhoun Salaam 16: Sirray Ghaib e Bida’yt pe Ghaibi Durud Itr Jaib e Nihayat pe Laakhoun Salaam 17: Maah e Lahoot e Khal’wt pe Laakhoun Durud Shah e Naa’sut e Jal’wt pe Laakhoun Salaam 18: Kanz e Har Baikas o Bai nwaa par Durud Hirzay har Rafta Ta'qatt pe Laakhon Salaam 19: Par tu e ISM e ZAAT e A'HAD par Durud Nuskha e Jami'yat pe Laakhoun Salaam 20: Matt'la e har S’aa’dtpe As'ad Durud Maq'tta e har Siyadat pe Laakhoun Salaam Edited 19 اکتوبر 2009 by toqeer 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
toqeer مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Author Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 21: Khalq ka daad Rs sab kay faryaad Rs Kahf e Roz e Musee’bt pe Laakhoun Salaam 22: Mujh say bai kas ki daulat pe Laakhoun Durud Mujh say bai bas ki Quwwatt pe Laakhoun Salaam 23: Sham e Bazm e D’naa Hoo main Gum Kum A'na Sh’rhe Matn e Huwwiy’yt pe Laakhoun Salaam 24: Intiha'aye Dui Ibtida'aye Y'ki Jam e Tafreeq o Kasrat pe Laakhoun Salaam 25: Kasrat e Ba'ad Qillat pe Aksar Durud Izzat e ba'ad zillat pe Laakhoun Salaam 26: RABB e A'LA ki Naimat pe A'la Durud HAQ TA'ALA ki Minnat pe Laakhoun Salaam 27: Ham Ghariboun kay Aaqa pe bai hadd Durud Ham Faqiroun ki Sarwat pe Laakhoun Salaam 28: Farhat e Jaan e Mau'min pe Bai Hadd Durud Ghaiz e Qalb e Zlaa’lt pe Laakhoun Salaam 29: Sbab e har sbab Munta’haye talab Illatt e Jumla illatt pe Laakhoun Salaam 30: Masdar e Mazhariayt pe Azhar Durud Mazhar e Masdariy’yt pe Laakhoun Salaam 31: Jis kay Jalway say Murjhaa'i Kaliaan Khileen Us Gul e Paak Mam’bt pe Laakhoun Salaam 32: Qadd e bay Saaya kay Saaya mar’hmt Zill e Mamdod e raa’ft pe Laakhoun Salaam 33: Taa'iraan e Quds jis ki hain Qumriyaan Us Sahi Saroo Qaa’mt pe Laakhoun Salaam 34: Wasf Jis ka hai Aa'ina Haqq numaa Us KHUDA Saaz Tal'at pe Laakhoun Salaam 35: Jis kay Aagay Sar e Sarwaraan Khamm raheen Us SarTaaj e Rif'at pe Laakhoun Salaam 36: Woh karam ki Gh'taa Gaisu e Mushk Saa Likkah e Abr e Reh’mt pe Laakhoun Salaam 37: "Lei la Tul Qadr" main "Matt lail Fajr" e Haqq Maang ki Istiqaamat pe Laakhoun Salaam 38: Lakht Lakht e Dil har Ji’gr Chaaq say Shaana karnay ki Haalat pe Laakhoun Salaam 39: Dur o nazdeek kay Sun nay waalay woh Kaan Kaan e La'al e Karaamat pe laakhoun Salaam 40: Chashma e Mehar mainMauj e Noor e Jalaal Us Ragg e Haashmi’yt pe Laakhoun Salaam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
toqeer مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Author Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 41: Jis kay Maathay Shafa'at ka Sehra raha Us Jabeen e S'aa’dt pe laakhoun Salaam 42: Jin kay Sajday kau Mehraab e Ka'abah Jhukeen Un Bh'woun ki Ltaa'ft pe laakhoun Salaam 43: Un ki Aankhoun pe woh Saaya Afgan Muwy’yah Zilah e Qasr e Rahmat pe Laakhoun Salaam 44: Ashkbaari Muwy’y gaan pe Br say Durud Silk e Durr e Shafa'at pe Laakhoun Salaam 45: Ma'ani "Qadd ra'aa" Maqsad e "Maa Ta’ghaa" Narghis e Baagh e Qudrat pe Laakhoun Salaam 46: Jis taraf Uth gaee Dam main Dam aa gaya Us Nigah e Inayat pe Laakhoun Salaam 47: Neechi Aankhoun ki Sharm o haya par Durud Oonchi Beeni ki Rif'at pay Laakhoun Salaam 48: Jin kay aagay Chiraagh e Qamar Jhul milaaye Un I'zaaroun ki Tal'at pay Laakhoun Salaam 49: Un kay Khadd ki Sahoolat pe Bay Hadd Durud Un kay Qadd ki Rashaaqat pay Laakhoun Salaam 50: Jis say tareekh Dil jag mgaanay lgay Us Chamak Waali Ran’gt pay laakhoun Salaam 51: Chaand say Moonh pe Tabaan Dar'kh’shaan Durud Namak Aageen Sabaa’ht pe Laakhoun Salaam 52: Shabnam e Baagh e Haqq Ya'ni Rukh ka Arq Us ki Sachi Baraa’qt pay Laakhoun Salaam 53: Khatt ki Gird e Dahan Woh Dil Aa'raa Pha'bn Sabza e Nahar e Rahmat pay Laakhoun Salaam 54: Reesh Khush Mu'tadil Marham e Raish e Dil Haalah e Maah e Nudrat pay Laakhoun Salaam 55: Pat'li pat'li Gul e Quds ki Pattiyaan Un laboun ki Nazaakat pay laakhoun Salaam 56: Woh Dahan Jis ki Har Baat Wahi e KHUDA Chashma e Ilm o Hikmat pay Laakhoun Salaam 57: Jis kay Paani say Shadaab Jaan o Jinaa(n) Us Dahan ki Taraa’wt pay Laakhoun Salaam 58: Jis say Khaari ku'wai(n) Sheerah e Jaan banay Us Zulaal e Halaa’wt pe Laakhoun Salaam 59: Woh Zubaa(n) Jis kau Sab Kun ki Kunji Kahain Us ki Naafiz Hukumat pay Laakhoun Salaam 60: Us ki Payari Fasaah't pay Bai’hadd Durud Us ki Dilkash Balaa’ghatt pay Laakhoun Salaam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
toqeer مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Author Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 61: Us ki baatoun ki Laz’zt pay Laakhoun Durud Us kay Khutbay ki haibat pay laakhoun Salaam 62: Woh Dua jis ka Jau'ban Bahaar e Qubool Us Naseem e Ijabat pay Laakhoun Salaam 63: Jis ki Taskeen say routay huway ha'ns parrain Us Tabassum ki Aadat pay Laakhoun Salaam 64: Jis kay Ghuchhay say Lachhay Jharrain Noor kay Un Sitaaroun ki Naz'ht pay Laakhoun Salaam 65: Jis main Nehrain hain Sheer o Shakar ki Rawaa(n) Us galay ki Nazaa’rt pay Laakhoun Salaam 66: Doosh br daush hai Jin say Shaan e Sharf Aisay Shaanoun ki Shaukat pay Laakhoun Salaam 67: Hajr e Aswab o Ka'abah Jaan o Dil Ya'ni Mohar e Nabuwwat pay Laakhoun Salaam 68: Ru'ay Aa'inah e Ilm Pusht e Huzur Pushti Qasr e Millat pay Laakhoun Salaam 69: Haath Jis Samt Utha Gh'ni kar diya Mauj e Bahr e Samaa'ht pay Laakhoun Salaam 70: Jis kau baar e Dou Aalam ki Parwah nahi Aisay Baazu ki quwwatt pay Laakhoun Salaam 71: Ka'abah Deen o Imaa(n) kay Dounoun Satoon Sa'adeen e Risalat pay Laakhoun Salaam 72: Jis kay Har Khat main hay Mauj e Noor e Karam Us Kaff e Behar e Himmat pay Laakhoun Salaam 73: Noor kay Chashmay Lehraayn Daryaa Ba'hain Ungliyoun ki Karaa'mt pay Laakhoun Salaam 74: Eid e Mushkil Kushaai kay Chamkay Hilaal Nakhunoun ki Bashaa'rt pay Laakhoun Salaam 75: Raff e Zikr e Jalaa'lt pay Arfah Durud Sharh e Sadr e Sadaa'rt pay Laakhoun Salaam 76: Dil Samajh say waraa hai magar youn kahoun Ghuncha e Raaz e Wahdatt pe Laakhoun Salaam 77: Kul Jahaan milk aur Jau ki rauti ghizaa Us Shikam ki Qana'at pe laakhoun Salaam 78: Jau kay Azm e Shafa'at pe Khinch kay Bandhi Us Qamar ki himaa'yt pay laakhoun Salaam 79: Ambiyaa taih karainZanoun Un kay Huzur Zanu’oun ki Wajaa'ht pay laakhoun Salaam 80: Saaq e As le Qadam Shaakh e Nakhl e Karam Sham e Raah e Asaa'bt pay Laakhoun Salaam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
toqeer مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Author Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 (ترمیم شدہ) 81: Khaayi Quraan nay Khaak e Guzar ki qasam Us Kaf e Paa ki Hurmat pe Laakhoun Salaam 82: Jis Suhaani Gharri chamka Taibah ka Chaand Us Dil Afrauz Saa'at pe Laakhoun Salaam 83: Pehlay Sajday pe Rauz e Azl say Durud Yadgaari e Ummatt pe laakhoun Salaam 84: Zar'e Shadaab o Har Zhar'ePur Sheer say Barkaat e Razaa'at pay Laakhoun Salaam 85: Bhaiyoun kay liye tark Pistaa(n) karain Doodh Peetoun ki Nis'ft pay Laakhoun Salaam 86: Mahad e Waala ki Qis'mt pay Sadd’haa Durud Burrj e Maah e Risaa'lt pe Laakhoun Salaam 87: ALLAH ALLAH Woh Bach'p'nay ki Pha'bn ! Us KHUDAA bhaa’ti Soo'rt pay Laakhoun Salaam 88: Uth'tay Bootoun ki Nash’wau Numaa par Durud Khil'tay Ghunchoun ki Nik'ht pay Laakhoun Salaam 89: Fazl e Paidaa’ishi par hamaisha Durud Khail'nay say karaa'ht pay Laakhoun Salaam 90: I'ta'laaye Jibil'ltt pe Aali Durud I'tidaal e tawiy'ytt pe Laakhoun Salaam 91: bay Banaa'wt adaa par Hazaaroun Durud bay Takalluf malaa'ht pay laakhoun Salaam 92: Bhini bhini mehak par mehkati Durud Pyaari pyaari nafaa'st pay Laakhoun Salaam 93: Meethi meethi abaa'rt pay Shiree(n) Durud Achhi achhi Ishaa'rt pay laakhoun Salaam 94: Seedhi seedhi rawish pay Karour'roun Durud Saadi saadi tabi’yt pay laakhoun Salaam 95: Rauz e Garm o Shabb e Teerah e Taar main Kauh o Sehraa ki Khal'wt pay Laakhoun Salaam 96: Jis kay Ghairay main hain Ambiyaa o Malak Us Jahaangeer Bi'sath pay laakhoun Salaam 97: andhay sheeshay jh’laa jhall damak'nay lagay jalwah raizee Da’wtt pay laakhoun Salaam 98: Lutf e Baidaari e Shabb pay Be hadd Durud Aalam e Khaab e Raa'ht pay laakhoun Salaam 99: Khandah e Subhay Ish'rt pay Noori Durud giriyah e Abr e Rah'mt pay Laakhoun Salaam 100: Narmi Khu'ay Leenatpay Daa'im Durud Garmi e Shaan e Sat'wt pay Laakhoun Salaam Edited 19 اکتوبر 2009 by toqeer اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
toqeer مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Author Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 (ترمیم شدہ) 101: Jis kay aagay Khichi gar'dnay Jhukk gayeen Us KHUDA daad Shau'kt pay Laakhoun Salaam 102: KIS kau Daikha yeh Musa say poochay koi Aankhoun waaloun ki Him'mt pay Laakhoun Salaam 103: Girdimaah Dast e Anjum main Rakhshaan Hilaal Badr ki Daf’a Zulmat pe laakhoun Salaam 104:Shaur e takbeer say Thar Th’raayi Zameen Jumbishe Jaish e Nusrat pe Laahoun Salaam 105: N’ar’haaye dalairaan say Ban Goonj’tay Ghurr’she Kaus e Jur’at pe Laakhoun Salaam 106: Woh Chqa Chaaq e Khanjar say aati Sadaa MustafaTeri Saulat pe laakhoun Salaam 107: Un kay Aagay Woh Hamza ki Jan baaziyaan Shair e ghuraan Sat’wt pe Laakhoun Salaam 108: Al gharz Un kayhar Mu pe laakhoun Salaam Un ki Har Khu o Khaslat pe laakhoun Salaam 109: Un kay har Naam o Nisbat pe Naami Durud Un kay Har Waqt o Haa'lt pe laakhoun Salaam 110: Un kay MAULA kayUn par Karorroun Durud Un kay As’haab o It’rat pe Laakhoun Salaam 111: Paar’haaye Suhaf Ghunch’haaye Qudus Ehle Bait e Nabuwwat pe Laakhoun Salaam 112: Aab e tatt’heersay Jis main pauday Jmay Us rayaz e najaabt pe laakhoun Salaam 113: Khoon e khair ur Rusul say hai Jin ka Khameer Un ki be Lauth Teenat pe Laakhoun Salaam 114: Us Batool e Jigar Paar’ha e Mustafa* Hajlah Aaraye Iffat pe laakhoun Salaam *salALLAHu TA’ALAAliehi wa Aalihi wa Sahbhi wa Sallim 115: Jis ka Aanchal na Daikha Mehar o Mihr ne Us Ridaaye Nazaaht pe laakhoun Salaam 116: Sayyidah, Zaahirah,Tayyibah, Taahirah Jaan e Ahmad ki Raa’ht pe laakhoun Salaam 117: Woh Hassan Mujtaba Sayyidul As’khiyaa Raakib e Daush e Izzat pe Laakhoun Salaam 118: Auj e Behr e Hudaa Mauj e Behr e Ndaa Rooh Rooh e Sakhaawt pe laakhoun Salaam 119: Shehad Khaar e Lu’aab e Zubaan e Nabi* Chaasni geer e Ismt pe laakhoun Salaam *salALLAHu TA’ALAAliehi wa Aalihi wa Sahbihi wa Sallim 120: Us Shaheed e Blaa Shah Gulgoun Qibaa Baikas e Dasht e Ghurbat pe laakhoun Salaam Edited 19 اکتوبر 2009 by toqeer اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
toqeer مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Author Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 121: uarr e Durj e Najaf Mihr e Burj e Sharf Rang e Roomi Sh’haa’dt pe laakhoun Salaam 122: Ehl e Islaam ki maad'raan e Shafeeq Baanwaan e taraart pelaakhoun Salaam 123: Jalwah gay’yaan Bait ush Sharf par Durud Pard’geyaan e Iffat pe Laakhoun Salaam 124: Sa’yimaa pehli Maan kahf e Amn e Amaan Haqq Guzaar e Rafaaqt pe laakhoun Salaam 125: Arsh se Jis peTasleem Naazil hui Us Saraaye Salaamt pe laakhoun Salaam 126: Manzil Min QasabLaa Nasab Laa Sa’khab Aisay kaushak ki zeenat pe laakhoun Salaam 127: Bint e Siddique Aaraam Jaan e Nabi* Us Hareem Bar’at pe laakhoun Salaam *salALLAHu TA’ALA Aliehi wa Aalihi wa Sahbihi wa Sallm 128: Yani hai Sura Noor Jin ki gawahi Un ki Pur Noor Surat pe laakhoun Salaam 129: Jin main Rooh ulQudus bai Ijazat na jayain Un Suraadiq ki Ismat pe laakhoun Salaam 130: Shamm e tabaan e ka’shaana e Ijtihaad Mufti e Chaar Millat pe laakhoun Salaam 131: Jaan Nisaraan e Badr o Uhud par Durud Haq Guzaraan e Baiyat pe laakhoun Salaam 132: Woh Dasoun Jinkau Jannat ka Mujdah Mila Us Mubarak Jama’at pe laakhoun Salaam 133: Khaas Us Saabiq e Saair e Qurb e KHUDA Au had e kaamiliy’yt pe Laakhoun Salaam 134: Saaya e Mustafa*Maaya Astafaa Aizz o Naaz e Khilaafat pe laakhoun Salaam *salALLAHu TA’ALA Aliehi wa Aalihi wa Sahbihi wa Sallm 135: Yani us Afzal ul Khalq ba’ad ur Rusul Thaani Athnain e hijrat pe laakhoun Salaam 136: Asdaq us Saadiqeen Sayyidul Muttaqeen Chasm o gaush Wazarat pe Laakhoun Salaam 137: Woh Umar Jis kayA’daa pe Shaidaa Saqar Us KHUDA Daust Hazrat pe laakhoun Salaam 138: Faariq e Haq o Baatil Imaam ul Hudaa Tai’gh e Maslool e Shiddat pe laakhoun Salaam 139: Tarjumaan e Nabi* Ham’zubaan e Nabi* Jaan e Shaan e Adalat pe Laakhoun Salaam *salALLAHu TA’ALA Aliehi wa Aalihi wa Sahbihi wa Sallm 140: Zaahid e Masjid e Ahmadi par Durud Daulat e jaish e Usrat pe Laakhoun Salaam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
toqeer مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Author Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 141: Durr e Manthoor e Quraan ki Silk e bhee Zauj e Dau Noor e Iffat pe laakhoun Salaam 142: Yani Uthmaan Saahib e Qamees e Hudaa Hullah paush Sh’haadt pe laakhoun Salaam 143: Murtaza Shair e HAQQAsh ja Ul Ashja’een Saaqi e Sheer o Sharbat pe laakhoun Salaam 144: Asl Nasl e Safaa Wajhay Wasl e KHUDA Baab e Fasl e Wilaa’ytpe laakhoun Salaam 145: Awwaleen Daafa eEhl e Rafz o Khurooj Chaarmi Rukn e Millat pe laakhoun Salaam 146: Shair e Shamsheer Zann Shah e Khaibar Shikan Par tu e Dast e Qud’rt pe laakhoun Salaam 147: Maahi e Rifz oTafzeel o Nasb o Khurooj Haami e Deen o Sunnat pe laakhoun Salaam 148: Mu’mineen Paish e fatah o pas e Fatah sab Ehl e Khair o Adaa’lt pe laakhoun Salaam 149: Jis Musalmaan nay Unhain Daikha ik nazar Us nazar ki Basaa’rt pe laakhoun Salaam 150: Jis kay Dushman pe la’ant hai ALLAH ki Un sab Ehl e Muhab’bt pe laakhoun Salaam 151: Baaqi e Saaqiyaan e Sharaab e tahoor Zain e Ehle e Ibaa’dt pe laakhoun Salaam 152: Aur Jitnay hain Sheh’zaaday Us Shaah kay Un sab Ehl e Makaa’nt pe laakhoun Salaam 153: Un ki Baala Sharaa’ft pe Aa’laa Durud Un ki Waala Si’yaadt pe laakhoun Salaam 154: Shaaf’ai, Maalik,Ahmad, Imaam e Haneef Chaar Baagh e Imaa’mt pe laakhoun Salaam 155: Kaamilaan e Tareeqt pe Kaamil Durud Haamilaan e Shari’yt pe laakhoun Salaam 156: Gauth e A’zam Imaam at Tuqaa Wn Nuqaa Jalwa e Shaan e Qud’rt pe laakhoun Salaam 157: Qutab e Abdaal o Irshaad o Rushd ur Rushaad Muhee e Deen o Millat pe laakhoun Salaam 158: Mard e khail e taree’qt pe baihadd Durud Fard e Ehl e Haqee’qt pe laakhoun Salaam 159: Jis ki Mimber hui Gardann e Awliyaa Us Qadam ki karaamt pelaakhoun Salaam 160: Shaah e Barkaat o Barkaat Paishiniyaan Nau Bahaar e Taree’qt pe laakhoun Salaam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
toqeer مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Author Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 161: Sayyid e Aal eMuhammad Imaam ur Rasheed Gul e Rauz e Rayaaztpe laakhoun Salaam 162: Hazrat HamzahShair e KHUDA o Rasool* Zeenat e Qaddri’yt pelaakhoun Salaam *salALLAHu TA’ALAAliehi wa Aalihi wa Sahbihi wa Sallm 163: Naam o Kaam o Tanno Jaan o Haal o Maqaal Sab main Achay kiSoorat pe Laakhoun Salaam 164: Noor e jaan Ittrmajmu’ah Aal e Rasool* Mairay Aaqa e Naimatpe laakhoun Salaam *salALLAHu TA’ALAAliehi wa Aalihi wa Sallm 165: Zaib Sajaadah,Sajjaad Noori Nihaad Ehmad e Noor e Tee’ntpe laakhoun Salaam 166: Be Azaab o Attaabo hisaab o Kitaab Ta Abd Ehl e Sunnat pelaakhoun Salaam 167: TARIRAY InDaustoun kay Tufail Ae ALLAH Bandah Nang e Khal’qtpe Laakhoun Salaam 168: Mairay UstaadMaan Baap Bhai Behan Ehl o Wuld o Ashee’rtpe laakhoun Salaam 169: Aik Maira hiRahmat pe Daawah nhi Shah ki Saari Ummat pelaakhoun Salaam 170: Kaash Mehsharmain jab Un ki Aamad hau aur Bhaij’ain Sab Un kiShaukat pe Laakhoun Salaam 171: Mujh say Khidmatkay Qudsi kahain Haan Raza Mustafa Jaan e rehamt pe laakhoun Salaam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
toqeer مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Author Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 ALLAH Humma Salli A'laa Sayyidinaa wa Maulanaa Muhamamdim Maadinil Joodi wal Karam wa A'laa Aalihi wa Sahbihi wa Barik wa Sallim... if anyone finds any mistake in it, plz let me know.... JazakumULLAH HU KHairaa.... Talib e Dua Sag e Darr e Mustafa SalALLAHu TA'ALA Aliehi wa Aalihi wa Sahbihi wa Barik wa Sallim... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 21 اکتوبر 2009 Report Share مراسلہ: 21 اکتوبر 2009 Masha Allah Allah pak aap ko jaza-e-khair ata farmae...Aameen 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Attari1112 مراسلہ: 20 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 20 اپریل 2011 Asalamualikum wa Rehmatullah, I wanted to make a correction in one of the verses. In verse #25 It should be: 1) Kasrat e Ba'ad Qillat pe Aksar Durud 2) Izzat e Bo'd e zillat pe Laakhoun Salaam 1) Meaning may many Duroods be upon the increase of Muslims (Kasrat) after there we're very less (Qillat) in the start. 2) Meaning may millions of Salaams be upon the respect (Izzat) that Deen-e-Islam recieved without humiliation (Zillat). Wallahu Alam wa Rusooluhu Alam (Azawajal wa SalalahuAleyhiWasalam) May Allah make us the true Ushaaq of his Beloved Prophet (SalalahuAleyhiWasalam) for the sake of Sayyedi Ala Hazrat (RehmatullahiAleih) 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Hanafi Muslima مراسلہ: 25 نومبر 2011 Report Share مراسلہ: 25 نومبر 2011 SubhanAllah MashaAllah 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
toqeer مراسلہ: 26 دسمبر 2012 Author Report Share مراسلہ: 26 دسمبر 2012 Asalamualikum wa Rehmatullah, I wanted to make a correction in one of the verses. In verse #25 It should be: 1) Kasrat e Ba'ad Qillat pe Aksar Durud 2) Izzat e Bo'd e zillat pe Laakhoun Salaam 1) Meaning may many Duroods be upon the increase of Muslims (Kasrat) after there we're very less (Qillat) in the start. 2) Meaning may millions of Salaams be upon the respect (Izzat) that Deen-e-Islam recieved without humiliation (Zillat). Wallahu Alam wa Rusooluhu Alam (Azawajal wa SalalahuAleyhiWasalam) May Allah make us the true Ushaaq of his Beloved Prophet (SalalahuAleyhiWasalam) for the sake of Sayyedi Ala Hazrat (RehmatullahiAleih) wa Alaikum us Salaam wa RahmatULLAhi wa Barakatuhu .. m online after a long long time.. just saw it.. jazakILLAHu Khairann for the Correction.. .. m trying to Edit that post.. but still not able to do so.. .. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔