Jump to content

Mujhey bhi Madine bula meray Moula


Muslim Sister

تجویز کردہ جواب

(saw)Mujhay bhi Madinay bula mere MOULA

 

Mujhay bhi Madinay bula mere Moula

Karam ki Tajalli dikha mere Moula

 

Bohet beqarari kay Alam main hoon main

Meri beqarari mitta mere Moula

 

Suna hay Madina karam hi karam hay

Tu rekhta jahan main sabhi ka bharam hay

 

Tujhay wasta tere piyaray Nabi (saw) ka

Meri ab to bigri bana mere Moula

 

Yeh dono jahan tere zer-e-aser hain

Jo Tujh ko na maanain bare baykhaber hain

 

Naheen jantay jo Tere Ghazab ko

Unhay ghaflatoon say jaga mere Moula

 

Jisay Tu nay chaha main us pay Fida hoon

Main Tere Muhammad kay der ka gada hoon

 

Tujhay wasta kerbala ki zameen ka

Mujhay her bala say bacha mere Moula

 

Shafa't ka wada keya Tu nay jis say

Gunnah gaaar umeed rekhtay hain Tujh say

 

Shafa't kerain tujh say ummat ki Aqa

Tu kerna sabhi ka Bhala mere Moula

 

Muhammad (saw) ko Tu nay jo Quran deya hay

Karoroon diloon main mukamal chupa hay

 

Ay..Quran kay Khaliq guzarish hay Tujh say

Mere Dil main Quran basa mere Moula

 

Mujhay bhi Madinay bula mere Moula

Karam ki Tajalli dikha mere Moula

Link to comment
Share on other sites

Ya ilahi dekha de Madina wo kese basti hai

 

Jhan teri Rahmat har waqt barasti rahti hai

2797[/snapback]

 

Ya Rab-e-Muhammad ( (azw) wa (saw) ) meri Taqdeer Jaga Dey

Sehra-e-Madinah Mujhay Aankhon Sey Dikha Dey

 

Eman Pey Dey Mout Madiney Ki Gali Mein

Madfan Mera Mahboob (saw) Key Qadmoun Mein bana Dey

 

Aameen Bajahin Nabiyil Kareem Alehi Afzal-o-Salat-o-Wa Tasleem

Link to comment
Share on other sites

  • 4 months later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...