Rizwan Q مراسلہ: 16 ستمبر 2009 Report Share مراسلہ: 16 ستمبر 2009 Ali Bhai kuch sawalat hain point to point karr raha hoon 1. ap ne kaha kay: jistaran farishtay bashrait ka libada orrh kar dunya me atay hain or jistaran jabraeel allihissalam bashariat ka libas pehen kar dunya me aee.isi taran Huzoor S.A.A.W. bhi bishariat ka libada orh kar dunya me aee... Q. kia Farishtay or Jabreel Alissalam bashriat me dunya me atay thay unko tekleef mehsoos hoti thi?? ya wo takleef mehsoos karne ki slahiat rakhtay thay ya nahi?? 2. phir ap ne kaha: Bashariat majmoo'a heh, Jism + Rooh = Bashariat aur is Bashariat meh Nooraniat be add huwi Q. kia farishtoon or hazrat Jabreel Alisslam ka bhi yahi majmaoo’a tha? jab wo dunya me atay thay? or Quran, Headth, me istaran ka koi hawala hai? 3. ap ne kaha kay: RasoolAllah dunya meh Noor e Mujassim thay, nah Bashr thay aur nah puray Noor thay, balkay donoon thay, jistera Jibraeel alayhis salam, Noor thay magir Bashr ban ker tashreef lahay: Q. bas is baat ki wazahat chahiye kay jistaran ap ne hazrat jabrael or farishtoon ki baat ko quran or headth se sabit karr rahe hain...isi taran Huzoor S.A.A.W. kay baray me koi ayat ya headth hai??jis se ye bat confirm ho jae jo apne oper kahi hai (na bashar thay or na poray noor thay balkay noor Majuassam thay?) yani tinoo ko apne mix kia hai 4.phir apne kaha: Bashariat majmoo'a heh, Jism + Rooh = Bashariat, aur is Bashariat meh Nooraniat be add huwi toh bana Noor e Mujassim, Noorani'at + Bashariat = Noor e Mujassim {Noori-Bashr} Abh khoon baha , bhook lagi, neend ahahi, daant mubarak shaheed huway, toh yeh sab Bashariat kay huway, Noorani'at meh kuch farq nahin aya. Q. ye baat meri samjh nahi ai. bilkul bhi???? or ye baat apko kese pata hai? 5. ek jaga ap ne kaha kay: keyun kay Jibraeel Noor thay, aur Sahabah Bashr thay aur Allah nay farmaya heh kay agir farishtay hotay toh farishtay Rasool hotay, yehni jesi makhlooq wesa Rasool, abh RasoolAllah kay pass Jibraeel Rasool ban ker ahay toh phir RasoolAllah ka Noor hona lazam heh, aur RasoolAllah ka Bashr hona Sahabah kay leyeh lazam heh Q. Ali bhai 1 sawal ye hai kay jo baqi pegamber thay wo bhi kia noor thay ya basher? agar basher thay to wo bhi to Noor se mukhatib hotay thay.(Allah se) (farishtoon se) plz iska jawab dain..ye kis taran hua phir? 6. phir ap ne kaha : RasoolAllah Haqiqat meh Noor thay aur Bashariat kay Lebaas meh ba'hasiyat e Noor ban ker ahay. Khana peena rona dona, Bashariat kee sift heh Nooraniat kee nahin, RasoolAllah kee Bashariat kee zeroorat thah khana aur unnoon nay khaya ... aur Jibraeel kee Bashariat kee zeroorat thah yahee khana ... magir khanay kee ijazat bari tallah say nahin thee, agir hoti toh woh khatay be aur peetay be, RasoolAllah ko ijazat thee woh khatay be thay aur peetay be thay, sotay be thay aur rotay be thay ... Q. ali bhai me yahi to pooch raha hoon kay Huzoor S.A.A.W. jo bashriat ka libada orh kar dunya me ae iska koi suboot hai quran-o-headth se? or Rasool ko khanay penay ki ijazat di allah ne iska bhi subot de dain plz.....or agar Huzoor S.A.A.W. khana nahi khatay thay...to kia unko bhook mehsoos hoti thi? jesa kay bohot dafa faqoo ki nobat aee or Pet me pathar bandhnay paray...esa kioon hua kay pet me pathar bandhay? kia ye sirif dikhanay kay leye tha? ummat ko? kia jabreel alissalam ko bhi bhook mehsoos hoti thi? ali bhai 1 baat samjh nahi aa rahi kay Noor haqeeqat me Bashar haqeeqat me nahi..ye dono mix kese ho gaye....kioon kay 1 mufti sahab ye bhi kehtay hain kay Rasool S.A.A.W. ko khanay pene ki koi hajat nahi hoti thi.. balkay wo musalmanoo ki islah kay leye esa kartay thay....or agar ye baat kisi nonmuslim ko bataee gay to kia wo mazaq nahi uraega hamara? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Qadri مراسلہ: 16 ستمبر 2009 Report Share مراسلہ: 16 ستمبر 2009 Mujy to yeh Wahabi Lagta Hay...Rizwan Qadri Jab hum sab ka yeh aqeda hay k ALLAH chahe to sab kuch ho sakhta hay to phir yeh samjh main nahi anee wali bat kia hay ??ALLAH her chez pe qadir hay woh chaHe to sab kuch ho sakhta hay Phir yeh sawal karna k Noor the to bashar kesay...app nay Yeh sawal kar k apni toheed sabit kardi hay ...AGER DEBATE karni hay to khul kar samne aoo munafic ki tarhan Rop badal kar sawal mat karo Samjhe...Inshallah sab jawab milen ge ALLAH HAFIZ اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
RadiatingAli مراسلہ: 16 ستمبر 2009 Report Share مراسلہ: 16 ستمبر 2009 Ali Bhai kuch sawalat hain point to point karr raha hoon1. ap ne kaha kay: jistaran farishtay bashrait ka libada orrh kar dunya me atay hain or jistaran jabraeel allihissalam bashariat ka libas pehen kar dunya me aee.isi taran Huzoor S.A.A.W. bhi bishariat ka libada orh kar dunya me aee... Q. kia Farishtay or Jabreel Alissalam bashriat me dunya me atay thay unko tekleef mehsoos hoti thi?? ya wo takleef mehsoos karne ki slahiat rakhtay thay ya nahi?? Sawal jawab kay qabil hee nahin. Aap apnay ultay pultay sawlaat meh meri taraf say chand ka izafa ker lenh, jab farishta Bashr ban ker aya toh woh peda kis aurat kay reham say huwa ... kia farishtay kee maan aur baap hen, Bashr ban ker aya toh farishtay kee maanh kitnay maheenay hamila rahi ya 9 maheenay ya ziyada/kam, agar farishtay kee maan nahin toh kesay Bashr ban ker ayah, jism e Bashr mat'ti say bana heh, yehni khanay peenay kee cheezoon say joh vitamins proteins weghera toh batahen kay farishtay kee maan nay kia khaya thah, fruite ya vegetables ya dalda gee kee fried cheezen, aur saath hee, Quran hadith say daleel deh denh ... 2. phir ap ne kaha:Bashariat majmoo'a heh, Jism + Rooh = Bashariat aur is Bashariat meh Nooraniat be add huwi Q. kia farishtoon or hazrat Jabreel Alisslam ka bhi yahi majmaoo’a tha? jab wo dunya me atay thay? or Quran, Headth, me istaran ka koi hawala hai? Bashari'at majmoo'a heh jism aur rooh ka aap ko is ka inqaar heh, aur kia aap ko Farishtay kay Noor honay per be ihtiraaz heh ... Agar aap ko donoon per ihtiraaz nahin toh batahen kay Farishtay kee haqiqat Noor heh, jab woh Bashr ban ker aya toh kia woh sirf mera teray jesa bashr thah ya Noori be thah ... Jistera Farishtay kee zaat Noor thee, haqiqat Noor thee, lebas e bashri meh ayah ... hawaleh bot hen ... aap is qabil nahin kay itni mehnat kee jahay ... 3. ap ne kaha kay: RasoolAllah dunya meh Noor e Mujassim thay, nah Bashr thay aur nah puray Noor thay, balkay donoon thay, jistera Jibraeel alayhis salam, Noor thay magir Bashr ban ker tashreef lahay: Q. bas is baat ki wazahat chahiye kay jistaran ap ne hazrat jabrael or farishtoon ki baat ko quran or headth se sabit karr rahe hain...isi taran Huzoor S.A.A.W. kay baray me koi ayat ya headth hai??jis se ye bat confirm ho jae jo apne oper kahi hai (na bashar thay or na poray noor thay balkay noor Majuassam thay?) yani tinoo ko apne mix kia hai Aap meray point ko ghalat samjay hen, RasoolAllah Noor e Mujassim thay yehni Noor be thay aur Bashr be thay, RasoolAllah Khalis Noor ban ker dunya meh tashreef farma nahin huway thay, aur aap sirf Bashr ban ker dunya meh tashreef farma nahin huway thay ... balkay aap dunya meh Bashr be thay aur aap dunya meh Noor be thay ... RasoolAllah kee haqiqat Noor heh aur woh Noor e Haqiqi, puray Noor, khalis Noor hen, magar Bashr bana ker behjay gahay toh Bashr be thay, Jistera Jibraeel Noor be thah aur saath ee Bashr be thah, Noor honay say us kee Bashariat kee nafi ya ada noor ada bashr nahin keh saktay, farishta poor nOoor aur pura Bashr be heh jab bashr ban ker ahay, yeh adah idhar ada udhar nahin. Aap asool e Tafsir say waqif nahin hen is leyeh aap kay yeh likha heh: "jis se ye bat confirm ho jae jo apne oper kahi hai (na bashar thay or na poray noor thay balkay noor Majuassam thay?) yani tinoo ko apne mix kia hai Kia aap farishtay ko Noor sabat ker saktay hen, kon see ayaat heh jis meh Allah nay likha heh farishta Noor thah jis ko ham nay Bashr bana ker behja ... es'si kohi ayaat nahin, balkay ek Hadith ko mix keeya gaya jis meh faristoon ko Noor bataya gaya heh aur ayaat e Quran ko mix ker kay aqeedah bana deeya kay Farishta Noor thah jis ko Allah nay bashr bana ker behja. Surah 19 Verse 17: "She placed a screen (to screen herself) from them; then We sent her our angel, and he appeared before her as a man in all respects." * Sahih Muslim, Book 40, Hadith 7134: "A'isha reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) said: The angels were born out of Noor and the Jinns were born out of the spark of fire and Adam was born as he has been defined (in the Qur'an) for you (i. e. he is fashioned out of clay)." Jab ek jama ek = doh Farishtoon kay leyeh theek aur bila tankeed o tankees o tehqeeq o soch o fikr o ghor o pet'h me dard qabool ho gahi toh RasoolAllah kay leyeh pet'h meh dard aur maror keyun peri, ... jistera Jibraeel kay leyeh ayaat o hadith ko jor ker ek understanding nikaali jaa sakti heh toh phir Rasoolallah kay leyeh agar wohi keeh jahay toh aap kay aur baqiyoon kay pet'h meh keyun maror peray. Aap asool e Tafsir say waqif nahin, Allah ek heh, la shareek heh be misl o misaal heh, awal heh aakhar heh, zahir heh batan heh, ahad heh samad heh, shahid heh sami heh baseer heh, yeh sab ka aqeedah heh, magar yeh sara aqeedah, pata nahin kitni ayaat ka nachor heh ek ayaat meh nahin millay ga yeh sab kuch ... Tafsir ka asool heh kay khitab agar X ho aur X kay baray meh bot see point hoon toh sab ko X kay baray meh agar agatha mana jahay aur likha jahay toh is meh kohi wrongness nahin. RasoolAllah kay Noor honay, aur RasoolAllah kay Bashr hona toh meh nay sabat ker deeya Quran say aur Ulamah kee Tafasir say ... jis kay munkir mutazili aur khariji hen baqi kohi be nahin. Yeh masla aap kee naqas aqal say bahir heh ... 4.phir apne kaha:Bashariat majmoo'a heh, Jism + Rooh = Bashariat, aur is Bashariat meh Nooraniat be add huwi toh bana Noor e Mujassim, Noorani'at + Bashariat = Noor e Mujassim {Noori-Bashr} Abh khoon baha , bhook lagi, neend ahahi, daant mubarak shaheed huway, toh yeh sab Bashariat kay huway, Noorani'at meh kuch farq nahin aya. Q. ye baat meri samjh nahi ai. bilkul bhi???? or ye baat apko kese pata hai? Is leyeh kay neend ana, bhook lagni, chot lagna Bashariat kay leyeh heh, kabi aap nay kohi hadith peri kay farishta a raha thah aur us ka foot injured ho gaya, farishtay ko pachaas tankay lagay aur us ka emergency operation keeya gaya ... tumara damagh gaas charnay toh nahin gaya huwa nah ... kabi hadith peri kay farishta so gaya ... farishta ka khoon itna baha kay bicharay ko khoon kee botal lagahi gahi ... agar aap insaanoon meh say hotay toh insaaniat aur Bashriat ka kuch pata hota .... aur yeh woh raaz heh joh kissi ko pata nahin meh nay chalees saal jangloon kee khaaq chaani, aur 55 saal meh nay pahar ko khoda aur neechay say ek bari nayaab kitab nikli us meh yeh sab kuch likha thah kay insaan ko khoon behta heh, neend aati heh, aap baray khus kismat hen kay meh naay aap ko yeh raaz bataheh warna meh toh charge krta hoon, fees leta hoon, 25.oo pound ek 5 mint kay lesson kay ... jahalat aur stupidity kee be had hoti heh meh nay socha kay aap kay toh had'h phalang dee is leyeh meh nay be koshish ker deeh ... 5. ek jaga ap ne kaha kay: keyun kay Jibraeel Noor thay, aur Sahabah Bashr thay aur Allah nay farmaya heh kay agir farishtay hotay toh farishtay Rasool hotay, yehni jesi makhlooq wesa Rasool, abh RasoolAllah kay pass Jibraeel Rasool ban ker ahay toh phir RasoolAllah ka Noor hona lazam heh, aur RasoolAllah ka Bashr hona Sahabah kay leyeh lazam heh Q. Ali bhai 1 sawal ye hai kay jo baqi pegamber thay wo bhi kia noor thay ya basher? agar basher thay to wo bhi to Noor se mukhatib hotay thay.(Allah se) (farishtoon se) plz iska jawab dain..ye kis taran hua phir? Jee yeh aap ka sawal good sawal heh, meh Tafsir perh ker batahoon ga kay mufassireen nay is ka kia jawab deeya heh meh nay joh kuch biyaan keeya thah woh Tafsir say biyaan keeya thah meray zehn meh bee yahee baat aahi thee ... abh meh perh ker batahoon ga ... 6. phir ap ne kaha : RasoolAllah Haqiqat meh Noor thay aur Bashariat kay Lebaas meh ba'hasiyat e Noor ban ker ahay. Khana peena rona dona, Bashariat kee sift heh Nooraniat kee nahin, RasoolAllah kee Bashariat kee zeroorat thah khana aur unnoon nay khaya ... aur Jibraeel kee Bashariat kee zeroorat thah yahee khana ... magir khanay kee ijazat bari tallah say nahin thee, agir hoti toh woh khatay be aur peetay be, RasoolAllah ko ijazat thee woh khatay be thay aur peetay be thay, sotay be thay aur rotay be thay ... Q. ali bhai me yahi to pooch raha hoon kay Huzoor S.A.A.W. jo bashriat ka libada orh kar dunya me ae iska koi suboot hai quran-o-headth se? or Rasool ko khanay penay ki ijazat di allah ne iska bhi subot de dain plz.....or agar Huzoor S.A.A.W. khana nahi khatay thay...to kia unko bhook mehsoos hoti thi? jesa kay bohot dafa faqoo ki nobat aee or Pet me pathar bandhnay paray...esa kioon hua kay pet me pathar bandhay? kia ye sirif dikhanay kay leye tha? ummat ko? kia jabreel alissalam ko bhi bhook mehsoos hoti thi? Is ka jawab pehlay say deh deeya heh .... jab zaat badalti heh toh sifaat badalti hen, jab danda thah toh khata nahin thah aur jab Musa say asdaha banaya toh khanay be laga ... aur baqi point ka jawab be guzr chuka heh ... ali bhai 1 baat samjh nahi aa rahi kay Noor haqeeqat me Bashar haqeeqat me nahi..ye dono mix kese ho gaye....kioon kay 1 mufti sahab ye bhi kehtay hain kay Rasool S.A.A.W. ko khanay pene ki koi hajat nahi hoti thi.. balkay wo musalmanoo ki islah kay leye esa kartay thay....or agar ye baat kisi nonmuslim ko bataee gay to kia wo mazaq nahi uraega hamara? Mukhtasar RasoolAllah ka Noor sab say pehlay sari makhlooq say pehlay banaya gaya is ko Haqiqat e Muhammedi kehtay, hen, RAsoolAllah kee Noorani'at haqiqat heh awal makhlooq kay lihaaz say, aur RasoolAllah kee Bashariat haqiqat heh khatam Un Nabiyeen kee hasiyat say yehni jab aap aakhiri Nabi ba hasiyat e bashr ban ker tashreef farma huway ... Agar esay samja jahay toh Nooraniat aur Bashariat donoon haqiqat hen. Meh aap ko doh munazireh recogmend kerta hoon, Maulana Shoqat Sehalvi, aur dosra Mualana Ghulam Mustafa Noori donoon kay munazireh Sadiq Kohati say huway thay Noor Bashr per, donoon nay alhamdulillah Ahadith e Sahih say is maslay ko dankay kee chot per sabat keeya thah ... Baqi meray pass time nahin ... meray pass donoon munazireh hen ... magar Mustafa Noori wala bot kharab heh agar kissi kay pass better copy ho toh upload ker deh ... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Rizwan Q مراسلہ: 17 ستمبر 2009 Author Report Share مراسلہ: 17 ستمبر 2009 Sawal jawab kay qabil hee nahin. Aap apnay ultay pultay sawlaat meh meri taraf say chand ka izafa ker lenh, jab farishta Bashr ban ker aya toh woh peda kis aurat kay reham say huwa ... kia farishtay kee maan aur baap hen, Bashr ban ker aya toh farishtay kee maanh kitnay maheenay hamila rahi ya 9 maheenay ya ziyada/kam, agar farishtay kee maan nahin toh kesay Bashr ban ker ayah, jism e Bashr mat'ti say bana heh, yehni khanay peenay kee cheezoon say joh vitamins proteins weghera toh batahen kay farishtay kee maan nay kia khaya thah, fruite ya vegetables ya dalda gee kee fried cheezen, aur saath hee, Quran hadith say daleel deh denh ... bhai ap Naraz ho rahe hain...mene sirif ye pocha hai kay..farishaty ya Hazarat jabraeel Alaihissalm jab bashriat ka libada orh kar dunya me atay thay to kia unko bhi takleef ya dard wagera feel ho sakta tha..kia un me is taran ki salahiat thi ..kay takleef ko mehsoos kar sakeen.? ap mere is sawal per bila waja naraz ho rahe hain... Bashari'at majmoo'a heh jism aur rooh ka aap ko is ka inqaar heh, aur kia aap ko Farishtay kay Noor honay per be ihtiraaz heh ... Agar aap ko donoon per ihtiraaz nahin toh batahen kay Farishtay kee haqiqat Noor heh, jab woh Bashr ban ker aya toh kia woh sirf mera teray jesa bashr thah ya Noori be thah ... Jistera Farishtay kee zaat Noor thee, haqiqat Noor thee, lebas e bashri meh ayah ... hawaleh bot hen ... aap is qabil nahin kay itni mehnat kee jahay ... bhai me inkaar nahi kar raha....or na hi mene ye kaha hai kay muje farishaty kay noor honay per etiraz hai...me phir se koshish karta hoon kay mera sawal kia tha ap ne kaha: """Bashariat majmoo'a heh, Jism + Rooh = Bashariat aur is Bashariat meh Nooraniat be add huwi"" ye ap ne Huzoor S.A.A.W. ki takhleek bayan ki hai ok...... bhai mera sawal ye hai kay frishaty jab dunya me atay thay to unki bhi isi taran takhleeq hoti thi?? Aap meray point ko ghalat samjay hen, RasoolAllah Noor e Mujassim thay yehni Noor be thay aur Bashr be thay, RasoolAllah Khalis Noor ban ker dunya meh tashreef farma nahin huway thay, aur aap sirf Bashr ban ker dunya meh tashreef farma nahin huway thay ... balkay aap dunya meh Bashr be thay aur aap dunya meh Noor be thay ... RasoolAllah kee haqiqat Noor heh aur woh Noor e Haqiqi, puray Noor, khalis Noor hen, magar Bashr bana ker behjay gahay toh Bashr be thay, Jistera Jibraeel Noor be thah aur saath ee Bashr be thah, Noor honay say us kee Bashariat kee nafi ya ada noor ada bashr nahin keh saktay, farishta poor nOoor aur pura Bashr be heh jab bashr ban ker ahay, yeh adah idhar ada udhar nahin. Aap asool e Tafsir say waqif nahin hen is leyeh aap kay yeh likha heh: "jis se ye bat confirm ho jae jo apne oper kahi hai (na bashar thay or na poray noor thay balkay noor Majuassam thay?) yani tinoo ko apne mix kia hai Kia aap farishtay ko Noor sabat ker saktay hen, kon see ayaat heh jis meh Allah nay likha heh farishta Noor thah jis ko ham nay Bashr bana ker behja ... es'si kohi ayaat nahin, balkay ek Hadith ko mix keeya gaya jis meh faristoon ko Noor bataya gaya heh aur ayaat e Quran ko mix ker kay aqeedah bana deeya kay Farishta Noor thah jis ko Allah nay bashr bana ker behja. yani apka jawab me ye smajh sakta hoon kay:: esi koi ayat ya hadeath nahi hai jismain ye bataya gaya ho kay Huzoor. S.A.A.W. ko bashriat ka libada pehna kar dunya me bheja gaya.....balkay different ayaat or headth ko joor kar understanding nikali ja sakti hai? agar mene sahi kaha hai to plz yes or no bata deye ga Is leyeh kay neend ana, bhook lagni, chot lagna Bashariat kay leyeh heh, kabi aap nay kohi hadith peri kay farishta a raha thah aur us ka foot injured ho gaya, farishtay ko pachaas tankay lagay aur us ka emergency operation keeya gaya ... tumara damagh gaas charnay toh nahin gaya huwa nah ... kabi hadith peri kay farishta so gaya ... farishta ka khoon itna baha kay bicharay ko khoon kee botal lagahi gahi ... agar aap insaanoon meh say hotay toh insaaniat aur Bashriat ka kuch pata hota .... aur yeh woh raaz heh joh kissi ko pata nahin meh nay chalees saal jangloon kee khaaq chaani, aur 55 saal meh nay pahar ko khoda aur neechay say ek bari nayaab kitab nikli us meh yeh sab kuch likha thah kay insaan ko khoon behta heh, neend aati heh, aap baray khus kismat hen kay meh naay aap ko yeh raaz bataheh warna meh toh charge krta hoon, fees leta hoon, 25.oo pound ek 5 mint kay lesson kay ... jahalat aur stupidity kee be had hoti heh meh nay socha kay aap kay toh had'h phalang dee is leyeh meh nay be koshish ker deeh ...abay yaar bhai me is baray me Bareelvi maslak ka aqeeda pooch raha hoon....chaleen phir bata deta hoon....Ap ne kaha kay:: Huzoor S.A.A.W. ka nend ana bhook lagna chot lagna. Bashrait kay leye hai..... okab un farishtoon kay baray me hamara kia aqeeda hai jo bashriat ka libada orh kar dunya me atay thay kia unko bhi nend ana bhook lagna chot lagna. Bashrait kay leye ho sakta hai?? is baray me hamara aqeeda kia hai....bas ye mera sawal tha.. Jee yeh aap ka sawal good sawal heh, meh Tafsir perh ker batahoon ga kay mufassireen nay is ka kia jawab deeya heh meh nay joh kuch biyaan keeya thah woh Tafsir say biyaan keeya thah meray zehn meh bee yahee baat aahi thee ... abh meh perh ker batahoon ga ... chaleen bohot shikriya apka Mukhtasar RasoolAllah ka Noor sab say pehlay sari makhlooq say pehlay banaya gaya is ko Haqiqat e Muhammedi kehtay, hen, RAsoolAllah kee Noorani'at haqiqat heh awal makhlooq kay lihaaz say, aur RasoolAllah kee Bashariat haqiqat heh khatam Un Nabiyeen kee hasiyat say yehni jab aap aakhiri Nabi ba hasiyat e bashr ban ker tashreef farma huway ... Agar esay samja jahay toh Nooraniat aur Bashariat donoon haqiqat hen. Meh aap ko doh munazireh recogmend kerta hoon, Maulana Shoqat Sehalvi, aur dosra Mualana Ghulam Mustafa Noori donoon kay munazireh Sadiq Kohati say huway thay Noor Bashr per, donoon nay alhamdulillah Ahadith e Sahih say is maslay ko dankay kee chot per sabat keeya thah ... Baqi meray pass time nahin ... meray pass donoon munazireh hen ... magar Mustafa Noori wala bot kharab heh agar kissi kay pass better copy ho toh upload ker deh ... bas janab jis taran hamaray muftian-e-karaam or ulma ye kehtay hain kay Huzoor S.A.A.W. ka khana pena takleef wageera mehsoos karna..insanoo ki islah kay leye tha....ab is baat ko lete hue ham kisi non muslim ko kese qayal kareengay ....hamaray Nabi S.A.A.W. ne itni takaleef or sakhtiaan jheel kar is deen-e-islam ko pheelaya?? ok eid kay baad hi mulaqaat ho sakay gi ab اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Rizwan Q مراسلہ: 23 نومبر 2009 Author Report Share مراسلہ: 23 نومبر 2009 ali bhai ab tak jawab ka intizaar hai apkay??? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Rizwan Q مراسلہ: 8 فروری 2010 Author Report Share مراسلہ: 8 فروری 2010 Assalamoalikum bhai Razavi ap ne ab tak mere sawal ka jawab nahi dia 5 month ho chukay hain ap ne khud kaha tha kay me tafseer parh kar iska jawab doonga kioon kay muje bhi iska jawab nahi ataa likin ap phir gayab ho gayee yaar seedha sedhaa bata dain agar jawab nahi mil raha to 5 months se wait karr raha hoon اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Sag e Madinah مراسلہ: 8 فروری 2010 Report Share مراسلہ: 8 فروری 2010 Assalamoalikum G Ali Bhai yahan say bann ho chukay hain.Jazak Allah اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Rizwan Q مراسلہ: 9 فروری 2010 Author Report Share مراسلہ: 9 فروری 2010 ohh... acha ok inform karne ka shukria اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔