Bismillah مراسلہ: 11 ستمبر 2009 Report Share مراسلہ: 11 ستمبر 2009 Kya koi confirm kar sakta hai keh Imam-e-Azam Abu Hanifa Radi allah tallah unhou ko kitney sahaba-e-karam(allah ki un par rehmat ho) ki ziarat hui? aur aap radi allah talla unhou ne kitney sahaba-e-karaam(allah ki un par rehmat ho) say hadeesein naqal farmaein ? aur aissey hi baqi kay jo 3 Aeima-e-karam(Allah tallah ki un par rehmat ho) hain un kay barey mein bhi in sawalon ko mad-e-nazar rakhatey huey jawab irshaad farma dijiey AGAR KISSI KO SAHI PATA HO TO. Jazakallahou Khaira! اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
سگِ عطار مراسلہ: 7 اکتوبر 2009 Report Share مراسلہ: 7 اکتوبر 2009 وعلیکم السلام، امام اعظم رضی اللہ عنہ نے چار صحابہ کرام علیھم رضوان سے ملاقات کا شرف حاصل کیا۔ جاء الحق کتاب کا آخری باب مناقب امام اعظم رضی اللہ عنہ پڑھیں۔ مضامین سیکشن میں امام اعظم رضی اللہ عنہ کے بارے میں مزید آرٹیکلز بھی مل جائیں گے۔ انشاء اللہ عزوجل والسلام اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Bismillah مراسلہ: 8 اکتوبر 2009 Author Report Share مراسلہ: 8 اکتوبر 2009 jazkallahou Khaira! اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Bismillah مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Author Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Allah Azwajal maaf karey agar kuch likhanay mein koi khata ho jaey, ameen,ek baat ki mujhey samajh nahi ati,hum to hanafi hain to phir hum al'a hazrat rehmatullah alehi ki pervi kiyon kartey hain? hum apney ap ko barelvi kyon kehtey hain? kya barelvion ka maslak Imam-e-Azam Abu Hanifa radhi allah talla unhou kay maslak say alehda hai?aksar jab koi masla poochana ho to jawaban iss tarah samjaya jata hai keh al'a hazrat rematullah alehi kay mutabiq falan kaam makroo, najayz, mustakhib ya hai wagaira wagaira, hum jawaban seeda seeda kyon nahi kehtay keh imam-e-azam radhi allah tallah unho kay nazdeeq yeh kaam iss tarah hai aur yeh is tarah?maslan,al'a hazrat rematullah alehi kay nazdeeq namaz mein kaprey fold karna makrooh-e-tehreemi hai to kya imam-e-azam radhi allah tallah unho nay kaprey fold karnay ko makrooh-e-tehreemi likha hai?umeed hai keh aap mera sawal samajh gaey hongay,Allah Azwajal maaf karey agar koi likhaney, samjaney mein koi galti ho gai ho, ameen اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
سگِ عطار مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Sab Sey Pehli Bat Tu Aap Yeh Clear Ker Lein Key Maslak-e-Alahazrat ya Barelavi Maslak Aslan Maslak-e-AhleSunnat wal Jamaat Hi Hai.. Yani Barelvi Maslak Koi Naya Firqa Nhin Hai.. Balkey Hamarey Tamam Aqaid AhelSunnat Wal Jamaat Waley Hain. Aur Alahazrat Key Tamam Aqaid Quran-o-Hadith Key Ain Mutabiq Hain. Aub Hum Apney Aapko Barelvi Kiyon Kehtey Hain? Allamah Kaukab Noorani Sahib Apney Aik Bayan Mein iska Jawab Youn Irshad Fermatey hain. Key Jab Ghee (Oil) Sirf Khalis Milta Tha Tab Usey Sirf Ghee Hi Kaha Jata Tha. Aur Bazar Sey Bhi Yahi Keh Ker Mila Kerta Tha.. Phir Banaspati Ghee Aagaye.. Jo Key Khalis Nhin Hotey. Tu Aub Pehley Waley Ghee Key Sath Lafz Khalis ya Asali Waghera Bhi Lagana Perta Hai. Takey Dokandar Ko Samajh Aaye.. Is Terha Pehley AhleSunnat Wal Jamaat Hi Thi.. Phir Deobandi Nikal Aaye Tu Yeh Bhi Apney Aapko AhleSunnat Kehlwaney Lagey tu Ghair Muqalid Bhi Apney Aapko AhleSunnat Kehlwaney Lagey.. Is Liye Barelavi Lafz Sahi AhleSunnat Ki Pehchan Ban Gaya Hai. Key Hamarey Woh Aqaid Hain Jo 1400 Saloon Sey Musalmano Key Hain. Aur Humein Is Naam Per Fakhar Bhi Hai Key Allah Key Aik Wali Sey Nisbat Hai. Aur Humein Nisbatoun Sey Pyar Hai. Tu Maslak Hamara AhleSunnat Wal Jamaat aur Hanafi Hamara Fiqah Hai.. Yani Imam-e-Aazam Ki Taqleed Kertey Hain Shariyat Key Masail Mein. Aur Alahazrat Bhi Hanafi They.. Alahazrat Taqreban 1000 Kutub Key Musanif Hain, Jin Mein Sey Sirf Fatawa Razwiya Ki 30 Jildein Hain.. Jin Mein Sab Fiqah e Hanafi Key Masail, Aqaid, Her Her Mozo per Suwalaat Key Jawabaat Mojod Hain. Tu Mojodah Ulema, Alahazrat Key Fatwey Sey Koi Bhi Hawala Nakal Kertey Hain Tu Dar Asal Yeh Fiqah e Hanafi Ka Hi Jawab Hota Hai. Jesay Kaprey Fold Kerna Aur Deger Masail. Fatawa Razwiya Sahreef Ki Tu Abhi CD Bhi Milti Hai Ya Dawat-e-Islami Ki Website Sey Aap Software Download Ker Saktey Hain. Alahazrat Key Fatwon Key Sath Hawalajaat Likhey Hotey Hain.. Umeed Hai Aap Samajh Gaye Hongey. Ager Aap Ja-Alhaq Ka Pehla Chapter Taqleed Ki Behs Per Lein Tu InshaAllah Mazeed Samajh Aajaye Gi. Aur Mukhalifeen Jo Hamarey Aqaid Per Deger Aetarazaat Kertey hain. Un Tamam Ka Mufasil Jawab Bhi Ja-Alhaq Book Mein Mojod Hai. Wassalam Ma'Al Ikram اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ajmal Khan مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Bhai Imam-e-Azam Abu Hanifa k zamanay main 22 Sahaba hayaat thay or according to imam Kradri (827 Hijri) Imama Azam nay 10 Sahaba -e-kiram ki ziarat ki thi.....for more detail pla read detailed book on Imam-e-Azam Abu Hanifa *****************(Link Removed) ........ This book is written only on the subject of Hadith............ k Imam-e-Azam ka Hadith main kiya muqaam tha......... Yeh un logon ko jawab hay jo Imam-e-Azam abu hanifa ko Hadith main Qaleel maantay hain or kehtay hain Imam-e-Azam abu Hanifa ko sirf 17 aHadith aati thi. Nouzu Billah. Lana tullahi alal kazibeen اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Bismillah مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Author Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 (ترمیم شدہ) jawab kay liey shukrya!yani keh jo aaj kay zamanay mein Barelvi hai wohi sunni aur Ahlesunnat wal jamat mein say hai aur jitney bhi firqay is kay ilawa hain wo sab na to sunni aur na hi ahlesunnat wal jamat mein say hain? kya mein sahi samja hoon?maslak aur fiqah mein kya farq hai? kya yeh 2 alehda cheezein hain?yeh bhi samjaiey keh al'a hazrat nay jo fatwa diya hai keh kaprey fold karney say namaz makroo-e-tehreemi ho jati hai, kya aissa Nabi Paak salalahou alehi wasalam nay ya un kay sahaba karam nay aissa faramaya tha keh aissa karney say namaz makroo--e-tehreemi ho jati hai? ya aissa kya imam-e-azam abu hanifa radhi allah tallah unhou nay aissa fatwa diya tha keh kaprey fold karney say namaz makroo-e-tehreemi ho jati hai?[/size] Edited 6 جون 2013 by Usman Razawi اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Bismillah مراسلہ: 27 اکتوبر 2009 Author Report Share مراسلہ: 27 اکتوبر 2009 kya koi islami bhai mujhe imam-e-azam radhi allah tallah unhou kay aulaad kay barey mein bata sakta hai keh un ki kitni betia, baitey thay? shukrya! اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔