Jump to content

Aehtelaam Ki Surat Mein Roza Tootay Ga Ya Nahi?


Bismillah

تجویز کردہ جواب


Zaid yeh samjata tha keh rozey ki halat mein Aehtelaam honey say roza too jata hai,
to ek din zaid rozay ki halat mein so raha tha keh usey ganday kism kay khialat aey
aur kuch hi deer baad mani kharij ho gai(yani aehtelaam ho gaya). zaid ko laga
keh roza toot gaya hai aur ghusal bhi wajib ho gaya hai, zaid ko thora bohat
nazla bhi laga hua tha aur us nay socha keh ab aehtelaam ki wajah say roza
to toot gaya hai chalo daant brush kartey hain keh jo jaraseem hain danton
mein wo nikal jaey aur nazley ka kuch asar kam ho, aur zaid nay aissa hi kya
aur toothpast ki aur us kay baad ghusal kya, yani keh ghusal kay 3 faraiz pooray
kiey, kyon keh usey namaz parni thi aur ghusal to karna hi tha.
zaid jab namaz pard kar wapis aya aur us nay Mufti Akmal Saab ka roza
tornay kay mutaliq program dobara dekha aur wahan say zaid ko pata chala
keh Ahtelaam ho janey ki soorat mein roza nahi tootata jab keh ghusal wajib ho jata hai.
zaid pareshaan ho gaya keh kaash pehley hi is masley ko ghaur say samjh
liya hota aur pata chal jata keh aehtelaam ki soorat mein roza nahi toota to na main
toothpast karta aur na kuli aur naak mein pani charata.
Ab zaid ka aap hazraat say yeh sawal hai keh is situation ko parney aur samajney kay
baad koi confirm kar sakta hai keh roza uska toot gaya ya abhi bhi baqi hai?

Agar aap ko Mufti akmal saab ka wo ahkam-e-shariat wala program dekhana hai to
is link par click karein jis mein mufti saab nay poori detail kay saath bataya hai
keh kin cheezon say roza tootata hai aur kin cheezon say roza nahi tootata.
aehtelaam kay barey mein unhon nay Part 2 mein taqreeban 7 minut kay baad
bataya hai. beherhaal aap log yeh pooray dono parts dekhiey aur bataiey. shukrya!
Zaid nay yeh program pehlay bhi dekha tha lekin zaid ko is mein say yeh samjh aei thi keh aehtelaam ki surat main roza toot jata hai. wo to dobara dekhaney kay baad pata chala.


Ahkam e Shariat Related to Ramdan Shareef (1 of 2)

Ahkam e Shariat Related to Ramdan Shareef ( 2 of 2)

[/size]
[/size]

Link to comment
Share on other sites

  • 4 months later...

Roza ki halat mein agar Ehtlam ho jai tu uss say Roza nahi toot'ta per agar jaan bojh kar mushtzani kar ky uss cheez ko nikala gaya tu roza toot jata hai.

Kyon ki jab app soo rahai hon tu ehtlam ho jai tu yeh cheez app ky ekhtyaar say bahir hai meine shariat ka yeh masla aisy hee parha tha.

Link to comment
Share on other sites

Ghulam E Mustafa saab kya aap wo bahar-e-shariat ka hissa share kar saktay hain please? shukrya!

 

ahtelaam honay ki surat mein ghusal to farz ho jata hai merey khial say, to phir rozay ki khalat mein ghusal kaissay karein gay jab zuhar ki namaz parni hai, aur asar bhi

 

 

Link to comment
Share on other sites

Yeh acha Question hai.

Meine yahan aik Sunni Alim say yeh Mas'ala pocha tha tu unhon ne bataya tha ky farz karain agar raat ko ehtlam hota hai aur subha sehri waqt app jagty hein tu itna time nahi ky app agar Ghusal karain tu Sehri jati rahai gi so phir aisa karain ky hath achi tarha dhoo lein aur sehri kar lein phir roza rakhne ky baad ghusal kar lein.

Means ky Ghusal hum usi tarha karain gai laikin jab Kulli karain gai aur naak mein pani dalain gai tu uss mein ehtiyaat karain gai ky pani andar nah jai jaisa ky roza ki halat mein Wozzo mein ehtiyat ki jati hai.

Bahar-e-Shariat mein meine yeh masla nahi parha tha balky aik Alim Deen say yeh mas'ala pocha tha.

Link to comment
Share on other sites

  • 6 months later...



Rozay ki halat main ahtelaam ho jany ki soorat main zohar asar aur magharib kay liey alehda alehda ghusal karna parey ga?
kyon keh farz karein keh zohar ka ghusal kya aur namaz bhi pard li lekin zohar aur asar kay darmiaan peshaab kar liya, iss say kya ahtelaam wala ghusal toot jaey ga kyon keh jo rozay ki halat main ghusal kya tha uss main kuli ki thi lekin ghar ghara nahi kya tha issi tarah naak ki jard tak bhi pani nahi pohnchaya tha lekin teesra farz poora kya tha. iss say zohar ki namaz to pard li lekin choon keh ghusal kay faraiz Mukamal tor par pooray nahi huay thay to ghusal bhi mukamal nahi hua iss say waqti tor ki to namaz to par li lekin aglay waqat ki namaz ka kya, phir say poora ghusal karna hoga?
umeed hai keh mera swal samjh main a gaya ho ga,

Link to comment
Share on other sites

 

 

Rozay ki halat main ahtelaam ho jany ki soorat main zohar asar aur magharib kay liey alehda alehda ghusal karna parey ga?

 

 

(wasalam)

 

JI Naheen aik bar ghusl kaafi hay ... ab bad main wuzu toot jaye to phir wuzu kar lain aor ager dobara ehtelam hojaye to dobara isitrah ghusul kar lain jesay pehlay kia tha.

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Only gent should read these questions!

Waissay hi ilm hasil karnay liey janana chahta hoon,

 

Ahtelaam kyon hota hai?

kya yeh jismani zarooriat ki wajah say hota hai?

kya yeh nafso shaitaan ki wajah say hota hai keh bouray khialat zehan main atay hain jiski wajah say insaan ka nafas bina josh main aey mani kharij kar deta hai?

kya bouray khialaat zehan main aey bina ahtelaam hota hai?

 

agar koi daleel kay saath jawab day to zayada munasib hoga. shukrya!

 

aissay sawal yahan pe poochna agar jaiz nahi hai to baraey meherbani meri rehnamai farmaiey ta'k main inn swalaat ko delet kar doon.

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

Wesay to Islami Bhaion k liay bhi private section hona chahiay ... Mager afsos k aesa naheen hay.

 

Behrhal Ehtelam k tafseeli Ahkamat jannay k liay aap yeh risala parheay:

 

الأحكام والعلل في إشكال الإحتلام والبلل

 

 

 

احتلام کے متعلق تمام مسائل کی منفرد تحقیق

 

 

احتلام اور تری کی اشکال کے حکم اور اسباب کا بیان

 

http://www.razanw.or...em.php?itemid=8

 

Dwonload:

 

http://www.razanw.org/modules/wfdownloads/visit.php?cid=1&lid=8

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

  • 4 years later...

 

mera ek sawall aj sehri ka baad me so gya ..mjhe hawaab me bura hayaal aya oer jab mera ehtalaam hone lga to me me taqriban uth gya oer hud hi apna talaam lete hue kr lia is silsle me mera roza toota ya nhi

 

خودبخود احتلام ہونے سے روزہ نہیں ٹوٹتا

 

 

@kingzx72

مزید اس میں اضافہ کرنا چاہوں گا کہ اگر احتلام سے پہلے اُٹھ گئے تھے اور باحوش و حواس ہاتھ سے مشت زنی کی تو انزال ہونے کی صورت میں روزہ ٹوٹ جائے گا۔

 

 

post-14217-0-42492100-1433843571.png

Link to comment
Share on other sites

اگر احتلام کی عادت زیادہ ہے تو اپنا کھانا کم کریں اور کوشش کرے کہ جو کھایا ہضم کر کے سویا جاے۔ یعنی پیٹ پر کھانے کا بوجھ محسوس نہ کرے۔ وقت پر رفع حاجت کرے۔


 


سونے سے پہلے انگلی سے اپنے سینے پر دل والی جانب   یا عمر فاروق رضی اللہ عنہ لکھے  انشا اللہ احتلام سے محفوظ رہے گا۔


Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...
5 hours ago, Sumra Ansar said:

Meta ek sawal he

Rozay ki halat me ehtlaam hota he

Or jaid ko pata he ki ehtlaam ho Gaya

Or use wo bure khyalat bhi yaad he to wo is surat me kya karega roza rakhega ya tor dega

Ehtilaam se Roza nahi toot'ta hy bhai..
magar Jan bujh kar bury khayalat sochna, Song sun'na ya daikhna wagyra ye Rozy k makroohat mein se hy..Jin se parhaiz bohat ziada zarori hy..
zaid roza tory nahi..Balky apny rozy ko barqarar rakhy.. 
Aur zehan mein bury khaylat any ki wajah se Allah se touba kary aur Ainda aisa sochny se parhaiz kary.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...