Jump to content

azab e qabar ???


fikar_e_akhirat

تجویز کردہ جواب

Azab e qabar quran ki nazar main

Mera mukhatib who hargiz nahee jo ilm o feham say yateem or aqal say pedal ..taasub parast firqa parast hoon jo ghor o fikar k tamam darwazay band ker k sirf itna keh lenay ko iman kehtyay hain k

Ham nay apnay baroon ko isi tarah kertay hoay paya 26:74 quran

Ahmed Raza Khan: Mohammed Aqib Qadri:

They said, "In fact we found our forefathers doing likewise."

Hamary moashray main tehqeeq kam or taqleed zayda hay .logon ko suni sunaee per yaqeenkerna zyada acha lagata or usi k peechay chal pertay hain .or us k khilaf har awaz per kan kharay kerletay hain .

Islaf parastee ki quran nay sakhti say muzamat ki hay .

Azab e qabar..hamaray han sadeeyon say ek aqqeda raij hay k marnay k bad or qayamat say qabal us ko azba o sawab deya jata hay .

Is darmeeyany waqfay ko barzakh kaha jata hay or awam un nas is ko azab e qabar taswaur kertay hain .

Quran insane ki pedaish say lay ker moth tak ko apnay alfaz main khul ker baqyan ker raha hay .

Moth o hayat ki silsila allah k qanoon k tehat jaree hay jo peda hua usay moth zaroor ani hay .

Kul-un nafsun-zaa-ikat-ul-maoth.

Barzakh kya hay ?

Quran ka irshad hay k 23:100

Ahmed Raza Khan: Mohammed Aqib Qadri:

"Perhaps I may do some good deeds in what I have left behind"; this is just a word that he utters from his mouth; and confronting them is a barrier until the day in which they will be raised

Barzakh k maina had ya aar k hain .yani who cheese jo 2 cheezon k darmeeyan hayal hoaje.

Jesa k quran ki surah no 55:19-20 main aya hay

Ahmed Raza Khan: Mohammed Aqib Qadri:

He has set flowing two seas that appear to meet

Whereas there is a barrier between them so they cannot encroach upon one another.

Is say yeh bat wazeeh tor per samnay ate hay k barzakh murda or zinda k darmyan ek aar hay .

Jahan say na to who kisi ko faizyab ker saktay hain na anay leya kuch ker saktay hain na dosro ki hajat rawaee ker saktay hain .

Quran k mutabik goya who neend ki halat main hongay jesa k quran ki surah no 36:52 main irshad hua hay .

 

Ahmed Raza Khan: Mohammed Aqib Qadri:

Saying, "O our misfortune! Who has raised us from our sleep? This is what the Most Gracious had promised, and the Noble Messengers had spoken the truth!"

 

 

 

 

Who khud ek babasee k allam main honagay jis ko quran ki surah no 45:24 ki surat main bayan keya gaya hay

 

 

Ahmed Raza Khan: Mohammed Aqib Qadri:

And they said, "There is nothing except our life of this world - we die and we live - and nothing destroys us except the passage of time"; and they do not have any knowledge of it; they only make guesses.

Moth say qayamat tak k waqfay o quran nay barzakh k alafaz say zahir keya hay .

Qayamt mai jab anbeeya karam say sawal keya jae ga un ki ummat k baray main to who khale itna hi kahaingay k la ilma lana ..hamay to kuch nahe maloom to h ghaib janay wala hay . 5:109

Ahmed Raza Khan: Mohammed Aqib Qadri:

On the day when Allah will gather all the Noble Messengers, and then say, "What response did you get?" They will submit, "We do not have any knowledge; indeed it is only You, Who knows all the hidden."

 

Hazrat essa as ka ek shandar namoona quran main mojood hay .

5:116-117

Ahmed Raza Khan: Mohammed Aqib Qadri:

And when Allah will say, "O Eisa, the son of Maryam! Did you say to the people, 'Appoint me and my mother as two Gods, besides Allah'?" He will submit, "Purity is to You! It is not proper for me to say something for which I do not have a right; if I have said it, then surely You know it; You know what lies in my heart, and I do not know what is in Your knowledge; indeed You only know all the hidden."

 

I have not told them except what You commanded me, that 'Worship Allah, Who is my Lord and is also your Lord'; I was aware of them till I was among them; and when You raised me, only You watched over them; and all things are present before You."

 

 

 

 

Ab plz allah k wastay jo tama jahano ka parwadigar hay meri ek post per ghor rakheya ga .

Jis azab e qabar k aqeeda ham musalmano main rasikh hay us ki bunyad bhi rivayat per hay .

Hazart aisha rz say rivayat hay k ek yahdooe aurat nay ap say azab e qabar ka zikar keya to nabi saw nay irshad farmaya k azab e qabar haq hay bb aisah farmatee haink is k bad menay kabhee nahee dekha k nabi saw nay koi namaz parhee ho or azab e qabar say panah na mangee ho.

Yeh to thi rivayat ab ghor talab bat yeh hay k ap saw ko azab e qabar ka maloom hi nahee tha or yahooed aurat k yad dilainay per hi ap saw ko yad aya.

Yeh rivayat khud cheekh ker keh rahe hay k rasoollallah ki taraf is ki nisbat sahee nahee.

Barzakh ki zindagee k sbuootmain log sab say zayda shuhada ki zindgaee k bara y mian suboot detay hain .

Shuhada ki zindagee.

2:154

Ahmed Raza Khan: Mohammed Aqib Qadri:

And do not utter regarding those who are slain in Allah's cause as "dead"; in fact they are alive, but it is you who are unaware.

 

Is ayat main tamam mufaseerin ka mutafiq bayan hay k yeh ayat badar main asahb ra ka qatal honay k wakt nazil hoe the or yeh munafiqoo k us propeganday k jawab tha k in becharoo nay khaw makha apni zindagee zaya kerdee .

Or phir allah nay us k jawab esay deya

3:169

Ahmed Raza Khan: Mohammed Aqib Qadri:

And do not ever assume that those who are slain in Allah's cause, are dead; in fact they are alive with their Lord, receiving sustenance. (Death does not mean extinction, it is the passing of the soul from this world to another. In case of virtuous believers, their bodies do not rot after death and they remain "alive", in the manner Allah has ordained for them.)

yahan hazrat imam raza sahab nay hasheeya main dandee mar dee yeh to addition hua ya nahee??????khaskar who point dekhain jahan k unho na kaha k bodies do not rot...or isi waja say ek bhae mujh say behas per bhi tulay hoay hian regarding mufti farooq).

 

 

Yahan garbar tafseer main hoti hay .

Yahan yeh kaha jar aha hay k k yeh tomharay aqeeday k mutabiq mar nahee gae.yeh zinda keya jaen gay or allah ki taraf say rozee deya jaengay .who hameshak leya matee main nahe mil gae is ki ek mazboot daleel yeh hay k who to siray say akhirat k hi munkir thay jesa k zail ayat say saf wazeh hay .

13:5

 

 

Ahmed Raza Khan: Mohammed Aqib Qadri:

And if you are amazed, then indeed the amazement is at their saying that, "Will we, after having turned to dust, be created anew?" They are those who have disbelieved in their Lord; and they are those who will have shackles around their necks; and they are the people of hell; remaining in it forever.

 

 

 

 

Ahya k mainay zinda honay k hain .yeh ism e fail haee ki jama hay .

Is k mainay hal or mustaqbil dono k hosaktay hain . mayyat k lafz per murda bola jata hay or ainda marnay walay ko bhi quran mayat kaha hay .

Isi tarha ayah k mainy zinda k bhi hosaktay hain or zinda honay wlay k bhi .

Beshumar qurani ayat hain jin mianmustaqbil ka zikar keya gaya hay jesa

84:13-14

Ahmed Raza Khan: Mohammed Aqib Qadri:

Indeed he used to rejoice in his home.

 

4:145

Ahmed Raza Khan: Mohammed Aqib Qadri:

Undoubtedly the hypocrites are in the deepest segment of hell; and you will never find any supporter for them.

 

To jab in ayat ka mafhoom mustaqbil main leya jata hay to phir shuhada k mamlay main qayas say kam q leya jata hay ???????

Ab sath sath is ayat k bhi jaiza lay leya jae jo daleel k tor per paish ki jatee hay k azab e qabar hota hay . 40 : 46

Ahmed Raza Khan: Mohammed Aqib Qadri:

The fire - upon which they are presented morning and evening; and when the Last Day is established - "Put the people of Firaun into the most severe punishment." (Punishment in the grave is proven by this verse.)

lo g yahan bhi hasyeeha main hazrat nay apni bat sabit kerdi.bina tehqeeq.

 

 

 

 

Kehtay hay k dekho bhae firoon ko o subha o sham azab deya jata hay .

Agar ap yeh ayat ki tashreeh esay letay hain to bhaee ap jan boojh ker quran ki sainkroon ayat k sareeh inkaree ban rahay hain

Jin main sab say mazboot bat yeh hay k

Allah apni sunnat k khilaf amal nahee kertay .

Allah ki sunnat yeh hay ka tamam faisaly qayamat k din hongay nama e amal us din deya jae ga or phir ya to janat hay ya dozakh hay .

Marnay k bad amal ka silsila wesay hi band hojata hay .

Agar ap yeh ayat ki tashreeh esay manatay hain to phi rap suunat allah k inkaree hain k allah qayamt say pehlay or moth k bad alam e barzakh main insan ko azab mian mubtala rakhtay hain .

Yeh allah per ssareeh ilzam hay .

Faisaly ka din anay say pehlay azab dena..allah per ilzam lagana hay or quran ki sareeh ayatooo k inkar .

Jo ayat azab e qabar ki taeed main pasih ki jatee hay who tamam makkah main nazil hochukee theen agar in ayat k zara bhi ishara nabi saw per hota to nabi saw in ayat k halwa day ker azab e qabar ki wizahat farmatay .q k nabi saw say behtar quran ka alim koi na tha .

Ham ya to yeh samhaj rahay hain k hamaray ulema ko rasoolallah say zyada ilm tha .?????

Aen ab un ahadees ka muatla kertay hain jo mazeed daleel k tor pay pasih ki jatee hay .

Nabi saw k darakhta ki theneyyon ko tor kar 2 qabroon pay rakhna or kehan k jab tak yeh hare bahtree rahian ge tasbeeh kerian ge or allah k azabyahan nahee ae ga .

1.quran main azab e qabar ka kaheen ishara nahee

2.wahee ghair matloo ki bat nahe ki jasaktee q k wahee ghair matloo k zareeya wahee matloo per amal k tareekay batae jatay hain .

3.teehnayan jab tak haree bharee rahingee tasbeeh kerti rahaingee yeh to quran k sareeh khilaf hay or nabi saw say esi bat ki ummedd lagae hi nahe jasktee.

Quran k mutabik kainat ka zara zara allah ki tasbeeh ker raha hay to phir who tehnee sookh ker tasbeeh q band kerdaige. Or qabar ki matee bhi unhin zaroo main shumar hay .

Yeh bhi nisbat ki gae hadees sahee nahee yeh bhi kisi ki naqab zani hay

Seedha aqeeday per hamla hay .

Kharjee umoor say allah k muqarar kerda azab main kamee ya takhfeef ki bat sahe nahee.

 

 

Ek hadees ate hay k nabi saw khacharper sawar thay to khachar bidak gaya .

 

 

To janab sawal yeh hay k nabi saw ko khachar say pehlay ilm na hua ???

 

Yeh bhi ap saw ki shan main gustakhee hay

 

 

 

Yeh sab yahoodeyon ki chal hay nabi saw say who pehlay hi khafa thay or aj tak hain kherun k aqqeday apni jaga hhain lkein yad rakhain k un say zayda mukur kernay walay chalay chalnay wal koi nahee.

 

 

Koi nabi yeh nahee khanay aya k qabar k azab main mubatala keya jaogay .

 

Who gto yeh batlnay aye k logon tomhain mar ker miti hona hona hay us k bad dobara uthaye jao ga phir ya to abadi janat hay ya ababdi jahanum .

 

 

 

Allah ham say ko apni sirat e mustqeem per chalany wala bana dain .

 

 

 

Meri koi ghalate kotahee ho to mujhay zaroor mutla kerain .

 

 

Allah hafiz

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...