Eccedentesiast مراسلہ: 10 جولائی 2009 Report Share مراسلہ: 10 جولائی 2009 Mard-e-Haq Aagah Hazrat Miyan GhulamUllah Sahib Saani la Saani رحمت اللہ علیہ AZ: Allama Dr.Muhammad Ashraf Asif Jalali مدظلہ العالی بسم اللہ الرحمٰن الرحیم نحمدہ ونصلی علٰی رسولھ الکریم Wo aolia-e-kiram hi hein jinhon ne bar-e-sagheer Paak-o-Hind k soay huay zameer ko bedaar kia aor sarzameen-e-hind mein sajdon ki tukhm rezi ki.Unhi ki aah-e-subhgaahi k soz ne insaani Qloob-o-Azhaan ko musakhar kia aor shabistaan-e-hind ko Aiwan-e-Subh bna dea. Waqif-e-Ramooz-e-Tareeqat , Charagh-e-Bazm-e-Naqshbandiat , Mazhar-e-Fyyuz-e-Shair-e-Rabbani , Saani-e-La Saani Hazrat Qibla GhulamUllah sahib رحمت اللہ علیہ ka shumar aesay hi azeem logon mein se hota hey.Aap 1309 Hijri 1891 (Eesvi) ko Gahwara-e-Marifat Sharq Poor Shareef meion peda huay.Aap k walid-e-grami ka ism shareef Hazrat mian Azeez-ud-Din رحمت اللہ علیہ hey. Hazrat Qibla Saani sahib رحمت اللہ علیہ ki umar abhi 5 saal hi thi k walid-e-grami ka wisal ho gea.Chunache aap ki tmaam tar parwarish aap k bradr-e-akbar Shahbaaz-e-Tareeqat Burhaan-e-Shariat Hazrat Shair-e-Rabbani Qibla Mian Shair Muhammad Sharq Poori رحمت اللہ علیہ k Zair-e-Saaya hui. Aap ne metric ka imtehan pass ker lenay k baad Taiba College Lahore se Hakeem-e-Haziq ka course kia.Ibtida'an Mulazamat bhi ikhtear ki.Lekin Hazrat Shair-e-Rabbani رحمت اللہ علیہ ne in baaton ko napasand kia.Wo aap ko aesa Mua'alj bnaana chahtay thay jis ki nigah se murda dilon ko hyat naseeb ho aor ghaflat shiaron ko zoq-e-eta'at muyassar ho , Aap ko in kefiat ka ameen bnaana chahtay thay jin se banday ko Qurb-e-Eezdi ki chaashni har waqt mehsoos hoti hey.Wo aap ko rda-e-Fqr dena chahtay thay jis k saamnay shahanshaon k taaj maand par jaein.Chunache yunhi Hazrat Shair-e-Rabbani رحمت اللہ علیہ k roohaniat k zair-e-saaya aik roohani kirdaar k khad-o-khaal ajeeb shaan se ubhray. Barg-e-Gul Pe Rakh Gae Shabnam ka Moti Baad-e-Subh Aor Chamkaati hey Is Moti Ko Sooraj Ki Kiran Hazrat Shair-e-Rabbani رحمت اللہ علیہ ki nareena aolad nahi thi Chunache Aap رحمت اللہ علیہ ne Hazrat Saani رحمت اللہ علیہ ko apni jaansheeni ka ahl bhi bnaaya aor khilafat bhi ata farmae.Hazrat Saani رحمت اللہ علیہ is amanat ki hifazat aor is ki barakaat ko baantnay mein haq ada kia.Kitnay aesay log thay jo sirat-e-mustaqeem se na aashna zindagi basar ker rhay thay Hazrat Saani رحمت اللہ علیہ ne unhein Raah-e-Haq ka raahi bna dea.Kitnay aesay afraad thay jo fisq-o-fajoor mein mubtla rehtay thay aap ne unhein dolat-e-taqwa k lihaz se sahib-e-nisab bna dea. Aap ne Quran-o-Sunnat ka noor phelany k liay Jamia Hazrat Mian Sahib Qaim kia.Jhan se Gran Qadr Ulama-e-Kiram tayyar huay.Aap ne tahreek-e-Pakistan mein bharh charh ker hissa lia.Aor muslmanaan-e-bar-e-Sagheer ki rahnumai farmae. 7 RabiulAwwal Shareef 1377 Hijri , 13 October 1957 ko aap ka wisal hua Aor Hazrat Shair-e-Rabbani رحمت اللہ علیہ k pehloo mein aap ko dafan kia gea. Aap k azeem mission ko aap k buland himmat farzandaan ne aagay bhraya.Aap k farzand-e-Akbar Hazrat Mian Ghulam Ahmad رحمت اللہ علیہ ka wisal ho gea hey. Aap k doosray farzand Hazrat Mian Jameel Ahmad Sahib زید مجدہ Alalat-e-Tab' k bawjood bhut se Deeni , Maslaki , Milli , Tablighi , Ilmi Aor Roohani amoor ko aik tahreek ki soorat mein aagay bharha rhay hein.Allah Ta'ala In ka Saaya ham per Ta Dair Qaim Rakhay AAMEEN! اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 10 جولائی 2009 Author Report Share مراسلہ: 10 جولائی 2009 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔