Jump to content

ghair islami mumalik mein kiss imam key peechey namaz ada kar saktey hain?


Bismillah

تجویز کردہ جواب

Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh!

 

kya ghair islami mumalik mein jahan masjid mein koi hanafi imam na honey key bawajood kissi maliki imam key peechey namaz pard saktey hain jab key us key kaprey kohni ki hadi tak hon, yani keh haathon ki unglion se lekar kohni ki hadi tak waley hissey par kapra na ho. aur kabhi sar pe topi ho aur kabhi na ho?

 

meri maloomat ke mutabiq to kaprey naaf se lekar gutno tak pehnana farz hai. bazoo k barey mein mujhe pata nahi keh kitney kaprey pehan kar imamat kara saktey hain. jawab aur aapki duaoon ka muntazir hoon.

Link to comment
Share on other sites

  • 6 months later...

 

 

(wasalam)

 

Hanafi imam mojood hay to doosray k peechay parhnay ki kai zroorat?? bhut saaray masail hain jin main un k nazdil wuzu nhi toot'ta hmaray nazdik toot jata hay ya hmaray nazdik nhi toot'ta un k nazdik toot jata hay

 

laikin ager koi imam sunni ho aor phir chahay shafi maliki hanmbi ho aor saath hi Ahnaaf ki Masail ki riaayat bhi krta ho to phir us k peechay nmaz jaiz hay.....

 

 

Shafi_Imam.gif

 

aor sitr-e-aorat main mard k liay naaf se lekr ghutnon k neechay tak ka hissa shamil hay , han albta kapra pehna ho to usay mor kr (fold kr k) nmaz parhna durust nhi

 

TShirt.gif

Link to comment
Share on other sites

 

 

jesa k main nay pehlay bhi arz kia k bhut saaray masail main aaima-e-kiram main ikhtelaf mojood hay

 

Taharat k masai main riayat se murad yeh hay k wo aesi halat main na ho k hmaray nazdik naapak ho , jabkay apnay imam k nazdik wo paak hay...... yani k taharat k jo arkan hmaray han zroori hain , un ko bhi poora kray

 

aor nmaz k doran bhi apnay imam k saath saath hmaary imam k muratab krda usoolon ki bhi riyat kray k wo aesi halat main na ho k hmaray nazdil nmaz fasid ho jati ho jabkay apnay imam k nazdik us ki nmaz ho jati ho

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...