Jump to content

sajda sahu kaissey kartey hain?


Bismillah

تجویز کردہ جواب

Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh!

 

 

1-) agar koi muqtadi jamat mein (imam ke peechey) 3 ya 4 rakat wali namaz partey waqat jab doosri rakat mein bethatey hain,

aur atahiyaat kee baad wo darood ka kuch hissa ya poora darood janey anjaney pard leta hai, to us k liey shariat ne kya hukam

diya hai? kyon k wo imam k peechey namaz pard raha hai.

 

2-) sajda sahu kaissey kartey hain aur kab karna zaroori hota hai?

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

Mera ek teesra sawal bhi hai,

 

3-)

agar aap magrib ki namaz k liey gaey aur pehli rakat ho chuki aur aap doosri rakat mein jamat k saath kharey ho gaey, jab doosri rakat k sajdey kar key bethey gey to atahiyaat bhi parey gay ya khali kuch bhi parey bina bethey rahey gay? ya kya parey gey?

aissey hi jab teesri rakat k sajdey kar key bethey gey to kya atahiyaat parney k baad darood aur dua-e-masoora bhi parni hogi ya sirf atahiyaat pard kar intezaar karein ke imam salam pherey aur aap kharey ho kar apni teesri rakat poori karein?

ab aap teesri rakat k liey kharey houey, to kya parein gey? sanna? sirf sura-e-fatiha ya sura-e-fatiha ke baad koi aur surat bhi?

kyon k aapki pehli rakat miss ho gai jis mein sanna parni thi jo k aap nahi pard paey, ab aap apni teesri rakat poori karney k lieykharey houey jiss mein sura-e-fatiha parney k baad bina koi surat parey hi rakoo mein jana hota hai. barey meherbani quran aur sunnat ki roshni mein meri rehnamai farma dijiey, jazakallahou khaira!

Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...
  • 6 months later...

 

 

(wasalam)

 

1) Imam k peechay nmaz parhr rhay hain lihaza sajda-e-sahw nhi krna hoga

 

2) uooper aik post main byan ho chuka

 

3) is baray main hay k masbooq ko chahiay k wo Altahiyat aahista aahista parhiay k imam k salam phairnay tak apniattahiyatmukammal kray ya ager pehlay khatam hogaye to phir kalma-e-shahadat duhraata rhay...

 

Fatwa-e-Razawia shareef main hay:

 

مسئلہ نمبر ۴۲۹: از شہر محلہ ملو کپور مسئولہ شفیق احمد خان صاحب ۲۶ محرم الحرام ۱۳۳۹ھ

کیا فرماتے ہیں علمائے دین اس مسئلہ میں کہ مقتدی کو آخری رکعت کے قعدہ میں کیا پڑھنا چاہیے۔

 

الجواب

التحیات ،درود ،دُعا اگر اسے اوّل سے نماز ملی ہو اور اگر کسی رکعت کے پڑھنے کے بعد شامل ہوا تو امام کے ساتھ قعدہ اخیرہ میں التحیات ٹھہر ٹھہر کر اس قدر ترتیل کے ساتھ پڑھے کہ اس کی التحیات امام کے سلام وقت ختم ہو، اور اگر یہ التحیات پڑھ چکا اور امام نے ابھی سلام نہ پھیرا تو پچھلے دونوں کلمہ شھات بار بار پڑھتا رہے یہاں تک کہ امام سلام پھیر ے ، واﷲ تعالٰی اعلم۔

 

 

 

 

 

aor 3sri rakt msin sana se hi shuroo krain ge aor aagay usi trah fatiha , soorat ......

Link to comment
Share on other sites

teesray maslay ka jawab aap nay kahan say liya? maaf kijiey ga kuch tasali nahi hui, kyon keh merey khial say agar magrib ki pehli rakat faut ho jaey to jab aap imam kay salam phernay kay baad kharay hongay to aapko teesri rakat hi pouri karni hai jis mein sirf sura-e-fatiha parnay kay baad ruku mein chaley jana chahiey kyon keh farz namazon ki teesri aur choti rakat mein sana aur surat nahi hoti.

beshak hamari pehli rakat faut hui hai lekin merey khial say namaz ko tarteeb say hi parna hoga, keh sana agar pehli rakat mein hai to aap magrib akhri 2 rakatein pard kar wapis kaissay pehli rakat ada karein gay. yeh masla mainay kahin para to nahi lekin jo zehan main tha wo bataya hai. lekin agar aap ya koi aur islami bhai & behan kissi sannat kay iss ka jawab sabit karey to madina madina.

jazakallahou khaira!

 

 

Link to comment
Share on other sites

(saw)

G Janab..Aap Muhtram Khalil Rana Sb.Qibla Ke Posts B Daikh Saktay Hain Isi Forum Main AlhamdoLillah.Yeh Humaray buhat he Muhtram Aur Laiq e Sad Ehtram Hain.Ahl e Sunnat k liyay Masha Allah Buhat He zyada kaam kar rahay hain.Dua Ke jiyay Allaha Kareem Apnay Habeeb Pak(saw)ka sadqa in ka saya ta dair humaray saron par qaym rakhay.Aameen

Link to comment
Share on other sites

Ahl-e-Sunnat k maya naz Aalim-e-Deen , Ruyat-e-Hilal committee k Chairman , Muhtamim Jamia Naeemia Lahore Hazrat Allama Mufti Muneeb-urRahman (m-a) nay apni kitab ''Tafheem-ul-Masail'' jild 2 , Bab-us-Salah main bhi jammat ki nmazon main milnay ka tareeqa byan farmaya hay jo k neechay dea ja rha hay

 

untitled.jpg

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...