Unknown00 مراسلہ: 10 جون 2009 Report Share مراسلہ: 10 جون 2009 Alhumdulillaahi Rabbil Aalaameen,Wassalatu was salamu Ala Syedilmursaleen Ammaa ba'ad fa'azu billaahi minash shaitwaa nirra jeem Bismillaahirrah maa nirrah heem Madni ilteja: Pyare islami bhiayoun aur bheno,Ye mail tamaam islami bhiyoun aur bheno tak pahunchane ki niyatain karle kyun ke kayi islami bhaiyoun aur bheno ko iske mutaliq malum nahi hai aur hosakhe to print out leker dusron tak bhi pahunchaye. Jab Gusl farz hojaye to kya kare: Mite mite islami bhaiyoun aur bheno, Jab Gusl farz hojaye to fauran gusl karlena chahiye, Agar na kare to uske nugsanath ye hai 1:Sarkar-e-Madina (Swallallaahu alahi wa sallam) farmate hai Jis ghar me ye 3 cheezain rahe us Ghar me farishte nahi ayenge 1:Tasvir (Photo) 2:Kutta (Dog) 3:junub (Jisper gusl farz howa hoo) 2:Sarkar-e-Madina (Swallallaahu alahi wa sallam) farmate hai "Paki Ada imaan hai" Aur Hazrate Ali (Radiallaahu ta ala anha) farmate hai Abi baki ka Ada imaan NAMAZ,Roza,Haj,Zakat hai. pyare islami bhaiyoun zara socho koun NAMAZ padega, Roza rakhega wagera wagera, kehena padega jo Paak rahega wahi to padega..guya Paak na rahenge to hum bure beimaan hojayenge aur Na paaki ki halath me marna, kufr ki alamath hai. 3:Sarkar-e-Madina (Swallallaahu alaihi wa sallam) farmate hai "Allaah azzawajal farmata hai ke jisne in 3 cheezon ki hifazat karega use main apna dust rakhonga aur jisne in 3 cheezon ko zaya karega to main use apna dushman rakhonga woh 3 cheezain ye hai 1:Namaz 2:Roza 3:Jab Gusl farz hojaye to fauran gusl karle. Gusl Kab Farz hota hai ?: Gusl Mard ke liye 3 cheezon se aur Aurat ke liye 5 cheezon se farz hota hai 1: Ahtelaam hone se : Ahtelam : Sote me Mani (Sperm) ka nikaljana 2: Hambistiri karne se : Hambistiri karne ke baad donu mard aur aurat pe gusl farz hojayega 3: Mustzani (Masturbation) karne se : Mustzani: Kasdan yani Apne aap Mani nikalna Note : Pyare islami bhaiyoun aur bheno in teeno (3) me MANI comman hai yani Mani nikalne se Gusl farz hota hai aur Mani ke siwa aur kisi se gusl farz nahi hota hai yani Pishab ya Mazi ya Madi nikalne se gusl farz nahi hota. Mushtzani (Masturbation) karne ke nuksanath: 1:Mushtzani karna sakht Gunah, Gunah, Gunah hai. 2:Pyare Aaqa(sallallaahu alaihi wa sallam) farmate hai ke Mustzani karne wal Mal'oon hai 3:Sarkar-e-Ala hazrat(Alairahmatu wa ridwan) farmate hai ke "Mushtzani karne wale ki Hateliyan meheshar me hamilah(Pregnant) honge. 4:Mushtzani karne se mardana pan kamzor hota hai aur woh shadi ke layeq nahi rahega Mushtzani (Masturbation) se bachne ka tariqa: 1:Agar shadi ke layeq hoo aur shari koyi rukawat naho to fauran shadi karle. 2:Agar kisi shari waje se shadi na karsakhta to kasrat se Roze rakhe. 3:Sarkar-e-Ala hazrat farmate hai ke Mushtzani se bachne keliye a:LAHAUL SHARIF KI kasrath kare b:Namaz-e-Panchgane ki kasrath kare c:Namaz-e-Subho ke baad sura-e-Ikhlas sharif ka vird kare In se Gusl farz nahi hota: 1:Agar koyi shaksh Choti ya Badi taharat karke bagair paki liye utjaye to usper gusl farz nahi hota kyun ki MANI(sperm) nikalne se gusl farz hota hai aur choti ya badi taharat karne per Pishab nikalta hai, mani nahi isiliye gusl farz nahi hota,Wazu tutjata hai Magar jabbi taharat kare to zyada ahthi'at kare kyun ke Qabar ka azab use zyada hoga jo Pishab ki chitiyoun(khatre) se nahi bachta hai Agar jabbi aap ko aisa situation agaya ke aap ke paas dehla ya pani na hai to kapda ka istemaal kare(karchip wagera) agar woh bhi narahe to aap ke kurte ka kinara se paaki hasil kare, jaahan pani mile pheli fursat me use paak karle aur woh hissa dusre hisse se lagne se hifazat kare. Magar ye Madni phool zehen nashi karle ke Pishab ya Paikhana karne ke baad agar kisi wajese paaki hasil naleye to Gusl farz nahi hoga Ye madni phool batane ka maqsad ye hai ke kayi islami bhaiyoun jo college ya company me western culture ke taharat khane hone ki wajese paaki nalete howe kayi namaz kaza kardalte hai ya safar me bhi ye kayi bar bagair paaki namaz chutjati hai, Koyi tarteeb karke hame chahiye ke paaki le, Agar tabbi Paaki na lesakhe to Gusl farz nahi hota. 2: Mani(Sperm) shewat ke sath apni jaghe se joda nahoyi balke bojh(wazan) utane, ya bulandi se girne ya fuzlah kharij karne keliye zor lagane ki surat me kharij hoyi to gusl farz nahi howa, Wazu tutjayega. 3:Mani patli padgayi aur pishab ke waqt ya waise hi bila Shewat iske Qatre nikal aye gusl farz nahi hoga, Wazu tutjayega 4:Agar Ahtelam hona yaad hai magar uski koyi najasat kapde wagera per nahi to gusl farz nahi hoga Gusl ke fariaz: Gusl me3 farz hai 1:Kulli karna. 2:Naak ke naram haddi tak pani pahunchana 3:Tamaam badan per pani bahana Note: Tamaam badan per pani bahan ka ye mana hai ke Her aza ke hisse per kam-az-kam 2 khatre pani baha jaye Kulli karna: 1:Muh ke her purze,goshe,hont se halq ki jad tak her jagha pani bahajaye 2:Roza na hoto garare bhi kare,ke ye sunnath hai aur roze ke halat me garara na kare 3:Danton me kuch atke ho tu nikalna zarori hai 4:Gusl se qabl daton me reshe wagera nahoo aur rahegaye, Namaz bhi padli baad ko malum hone per chudakar pani bahana farz hai, jo namaz padi thi woh hogayi Naak me pani chadana: 1:Naak ke naram haddi ke shuru tak pani chadana chahiye aur ye youn hosakhega ke pani ko soong kar uper khinche aur ye khayal rakhe ke bal barabar bhi sukha na rahe warna gusl nahi hoga. 2:Agar roza hai to soong kar uper ki taraf na khinche ke halak ke ander pani jane ka andesha hai,youn hi bagair khinche pani pahunchane ki koshish kare. 3:Naak ke ander agar rent sukhgayi hai to uska chudana farz hai. 4:Naak ke balon ka dhuna bhi farz hai. Tamaam zahiri badan per pani bahana: 1:Sarke balon se leker paawaon ke talwoon tak jism ke her purze aur her her runkte per pani bahana zarori hai. 2:Bhawooon,Muchon aur dadi ka her baal ka jadse nuk tak aur unke niche ki khal ka dhuna zarori hai. 3:Naaf me bhi pani dale agar pani bahane me shak hota hoto naaf me ungali dalkar dhuye. 4:Zakham per patti wagera bandhi ho use khulne me nuqsan ho ya haraj hoto patti per hi masa karlena kafi hai, patti zarorath se zyada jagha ko ghere na hoo warna masa kafi na hoga. Qible ke taraf thukna ke nuqsanath: 1:Qible ke taraf thukna Ya Pair karna (Sote waqt ya bait te waqt) Haram hai 2:Wazu karte waqt Qible ke taraf thunkna ya Qulli karna Makru-e-Therimi hai 3:Jo Qible ke taraf thunkta hoo uske piche Namaz na padne ka hukum hai 4:Jo Qible ke taraf thuke woh thuk Qiyamat ke din uske donu Ankhon ke darmiyan dala jayega Gusul ki Niyath: "Nawayatu an agtasila min gusalil hadas" Note: word "hadas" ke jagha jiska gusul karrahe hai woh namle maslan: 1:agar aap jume ka gusl karrahe hai to youn kahe Nawayatu an agtasila min gusalil Jumah, 2:agar aap janabath ka gusl karrahe hai to youn kahe Nawayatu an agtasila min gusalil Janabati, 3:Agar aap eid-fitr ya eid zuha ka gusl karrahe hai Nawayatu An Agtasila min gusalil Sunnat. wagera wagera... Gusl karne se phele chand ahtiyatein: 1:Pani ka jayeza lena ka tariq yani zada garam hai ya nahi kaisa dekhe: Jug me se pani leker apne hath me thoda dalle ya hath dhukar pani me hath dubuye, Bagair hath dhuye(Agar adha nakhoon bi) agar pani me hath dalenge to woh pani Musta'amal hojayega yani pani gusl ya wazu ke layekh na hoga Note:Agar pani musta'amal hogaya to use phir se istemal me lane keliye Paak pani bucket me itna dale ke bucket se pani bhahajaye. 2:Jo bhi Niyatein karna hai, gusl khane ke bhaher hi karle, Gusl khane me kuch na pade. 3:Qible ke rukh hoker gusl na kare, Agar barhana gusl karrahe hai to Qible rukh hoker karna sakht mana hai aur woh Haram bi hai. 4:Naap kapde phenkar gusl na kare, Gusl Ka Tariqa 1.Gusl khane (BathRoom) ke Bahar Hi Gusl Ki Niyath karle,Phir Bayan pair(Left Leg) gusl khane ke andar rakkh kar guslkhane me dakhil ho. 2.Gusl Karte Waqt Ye ahtiyath rakkhe k apni peet(Backside) ya apna Rukh(Your Front Side) Qible k taraf na ho.. 3.Pahele Apne Dono hathon ko pahoncho(Wrist) tak dhule. 4.Phir Apne naaf(Billy Button) se lekar gutno(Knees) wala hissa dhule. 5.Phir Namaz Jaisa Wazu karle Akhir Me Pair na dhuye. Note:Wazu Me Kulli Karna aur Naak me pani chadana sunnath hai,Magar Gusl me farz hai,Isiliye bahut zyada ahtiyath kare. 6.Phir apne sar(head) se 2 ya 3 jug pani bhahakar aachi tarase sare badan ka masa kare. Note:Aisa Mall'le (Bahale) K Bal Bara bar b sukha na rahe,Agar ek baal bara bar b bhig ne se raha gaya tu Gusl nahi hoga. 7.Agar Aap Sabun(Soap) istemaal karna chahate hai to ab karle. 8.Phir 3 Jug pani sar se bhahaye,phir 3 jug pani apne dhayne taraf khande se(Right Shoulders), Phir 3 Jug bayne taraf Se(left Shoulder) se bahaye. 9.Phir Apne dono pairon ko dhule,phir apn hath ko pancho tak dho kar,Sidey pair(right leg) gusl khane k bahar rakkhe Gusl Khane se bahar ajaye. Napakki ke halath me kya kaam nahi karna hai: Madina 1: Masjid me jana, Tawaaf karna, Quran paak chuna, Bechuye Zubani padna kisi ayath ka likhna ye tamaam kaam haram hai Madina 2: Bewazu Quran ko ya kisi ayath ka chuna HARAM hai, Bagair chuye zubani ya dekhkar padne me muzayaqa nahi(yani padsakhte hai) Madina 3: Quran-e-Paak ka tarjuma kisi zuban me ho usko bhi padna ya chuna me Quran-e-Paak hi ka hukum hai Madina 4: Bewazu ya Begusl deeni qitab chuna mukro he tanzihi hai Napakki ke halath me kya kaam nahi karna hai : Madina 1: Masjid me jana, Tawaaf karna, Quran paak chuna, Bechuye Zubani padna kisi ayath ka likhna ye tamaam kaam haram hai Madina 2: Bewazu Quran ko ya kisi ayath ka chuna HARAM hai, Bagair chuye zubani ya dekhkar padne me muzayaqa nahi(yani padsakhte hai) Madina 3: Quran-e-Paak ka tarjuma kisi zuban me ho usko bhi padna ya chuna me Quran-e-Paak hi ka hukum hai Madina 4: Bewazu ya Begusl deeni qitab chuna mukro he tanzihi hai In Dino gusl karna sunnat hai Madina 1: Juma. Madina 2: Eidul Fitr aur Eidul Zoha. Madina 3 :Arfa ke din yani 9 zul hajja. Madina 4: Ahram bandte waqt. Zarori Madni phool: 1:Gusl khane me Peshab karne se rozi me tangdasti hoti hai aur Waswase paida hote hai 2:Jis per chand gusl hoo maslan Eid, Ahtelam, JUMA to teno(3) ki niyat karke ek gusl karle sab ada hogayi aur sab ka sawab milega (Insha-Allaah azzawajal) Ref: 1:Anokhi Saza 2:Ahkam-e-Namaz By Ameer-e-Ahle sunnath, Mohsin-e-Ahle sunnath, Bani-e-Dawat-e-Islami, Muhammed Ilyas Attar Qadri (damat barkatahumul alaiya) اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Owais Attari مراسلہ: 12 جون 2009 Report Share مراسلہ: 12 جون 2009 Suhan Allah Jaza-kAllah-u-Khaira.. very nyc sharing.... meri madni guzarish hai koi es post ko edit na kare gusal ka mamla hai aise lafz to estamaal hunge hi.....ok dont mind ab agar kisi ne kaha k hum q karenge to bata do meri post ek dafa edit krdi gae thi....sorry... agar mai ye jurrat na karon to post edit hojaegi aur parne walo ko shayed thora muskil se samaj ae es liye bol raha hun warna nahi bolta... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔