Jump to content

Kuch Sawalaat


Mutlaashi

تجویز کردہ جواب

(bis)

(saw)

(salam)

 

Meethay Meethay Islami bhiyoon aaj main aap sab ki khidmat main bohat arsay baad hazir hoa hoon or, taqreeban 1 maheenay baad, or aap sab log k say hain omeed ker ta hoon k aap Allah Azzwajal ki Hifzo-Amaan or Himayaat main hoon gain, Ameen Summa Ameen,

 

Aaj main aap sab ki khidmat main kuch sawalaat lay ker hazir hoa hoon jo k kafi important sawalaat hain omeed ker ta hoon k aap sab ko acchay lagain gain, or mujhay in sawalaat per fatway bhi chahyeh ager kissi islami bhai ya behan k pass ho to bra-e-Madina zaroor ba zaroor share karain

 

Mera 1st sawal yeh k

Aqa Sallaho Alehi Walehi Wasllam k zaman-e-Mubbaraka main aik aurat nay mannat mani thi k ager mera kaam hogaya to main kissi ghair mard k sath aik raat guzaroon geen, phir us ki mannat pori ho jati hay, to wo aurat preshan hoti hay k ab main kia karon,to wo aurat Aqa Sallaho Alehi Walehi Wasllam ki khidmat-e-Srapa-e-Aqdas main hazir hoti hay or apni mannat k baray main bata ti hay to Aqa Sallaho Alehi Walehi Wasllam us aurat ko irshad fermatay hain k tum bharay bazar main takhnoon say oonchi shalwaar ker k guzar jao to yeh tumhary lea kissi ghair mard k sath raat guzaar nay k braber hay, aap mujhay yeh batain k is waqia ka haqeeat say kitna taluq hay or kia aisa hoa tha kia Aqa Sallaho Alehi Walehi Wasllam ki aisi koi hadees hay jis main yeh waqia ka zikar ho

 

Mera 2nd sawal yeh k

K her Sahi-ul-Aqeeda Sunni ka yeh aqeeda hay or hona chahyeh k har ghar main Aqa Sallaho Alehi Walehi Wasllam ki Rooh-e-Mubbarka tashreef ferma hoti hay, to phir humaray gharoon main Shareer jinnat k asraat kion hotay hain

 

Mera 3rd Sawal yeh k

kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Huzoor-e-Ghous-e-Pak Radi-Allah Tala Anho ki us Karamat ka inkaar ker day jis main aap nay 12 saal say dobi hoi kashti nikaal di thi, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain

 

Mera 4th Sawal yeh k

 

Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Hazrat Junaid Baghdadi Radi Allah Tala Anho ki Pani per chalnay wali Karamat ka inkaar ker day Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain

 

Mera 5th Sawal yeh k

 

Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Ulma ka nazrana tay kern a jaiz samjhay or Naat Khuwanoon ka Nazrana tay kern a na jaiz samjhay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain

 

Mera 6th Sawal yeh k

 

Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Nafil Namaz ko qaim ker nay k lea Elaan ker wai, jab k Ala hazrat k Fatawa Razawia main Ala Hazrat Radi Allah Tala Anho nay Nafil namaz k lea bulana mana fermaya hay laikin ager koi sakhsh Fatawa Razawia k bar khilaaf karay to Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain

 

Mera 7th Sawal yeh k

 

Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Nara-e-Takbeer per aik utha na or Nara-e-Risaalat per dono haathoon ko utha nay ko jahalt kahay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain

 

Mera 8th Sawal yeh k

 

Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Quran or Hadees ko apna peer samjhay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain

 

Mera 9th Sawal yeh k

 

Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k us ko kissi nay kaha k main Aqa Sallaho Alehi Wallehi Wasllam ka Sadqa kaha ta hoon or phir wo is baat per Daleel maangay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain

 

Mera 10th Sawal yeh k

 

Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k ager wo shaksh TV per koi programme ker ta hay or phir yeh keh ta hay k mera TV programme ka ijtima Hajj k Ijtima say ziyada hota hay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain

 

Mera 11th Sawal yeh k

Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Masla-e-Ilm-e-Ghaib k rad per Ayat pesh karay ya parhay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain

Mera 12th Sawal yeh k

Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Fatiha waghaira ka sabot maangay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain

 

Mera 13th Sawal yeh k

Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Aasteen charha ker or Kohniyoon ko khula rakh ker manaz parh nay ko jaiz samjhay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain

 

Mera 14th Sawal yeh k

Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Qadri ho or Attari ho or phir wo apni dono Qadri or Attari nisbat ko khatam ker day, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain

 

Mera 15th Sawal yeh k

 

Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Sorah Fatah Ayat No. 2 k tarjumay main Aqa Sallaho Alehi Walehi Wasllam ki maghfirat tarjuma manta hay Ummat ki maghfirat ka tarjuma nahi maan ta Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain

 

Mera 16th Sawal yeh k

 

Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Aqa Sallaho Alehi Walehi Wasllam ko Noor jab maanay jab App Sallaho Alehi Walehi Waslaam per Noor ka ghalaba ho, werna aap Bashar hi thay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain

 

Mera 17th Sawal yeh k

 

Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jis k pass koi raqam amanat k tor per rakhwai jai ya aisi raqam rakhwai jai k jis ko kissi or istimaal main lay na ho, laikin ager us raqam main wo shaksh ba-halaat majbori kuch raqam apni zaroorat k lea nikaal ker kharch ker day ta hay, or us shakhs ki yeh bhi niyat ho k raqam miltay hi main wo amanat wali ya dosry masrat main istimaal honay wali raqam ko pora ker doon ga, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain

 

To meethay meethay bhiyoon aap ki khidmat main kul 17 sawalaat hain jis islami bhai ya behan k pass in sawalaat say related fatway ya ahadees hoon to plz mujhay zaroor share ker dain or aik baat ka lehaaz zaroor rakhain k jis sawal ka jawab day rahay hain us ka sawal ka number zaroor likhain apnay reply main

 

fi-aman:

 

Muhammed Sajid Attari Qadri (Mutlaashi)

Link to comment
Share on other sites

  • 5 months later...
  • 2 months later...

WaAlaikumussalam

 

Jwab. 1

Aesi mannat manna gunah hay aor najaiz hay aor ager maan li to poori nhi krni chahiay.....aor aesa waqeaye kam az kam meri nazar se aajtak nhi guzra

 

Jwab. 2

 

jinn bhi Allah ki makhlooq hay jo k mukhtalif jaghon per hoti hay , shaitan bhi to jinn hi hay,, lihaza is suwal ka koi khas rabt nhi banta

Jwab. 3

 

Kramaat-e-Aolia ka munkir gumrah hay

 

Jwab. 4

 

Kramaat-e-Aolia ka Munkir Gumrah hay

 

Jwab. 5

 

Naat khawni waghra ka Nazraana Tay krna haraam hay

 

Mazeed tafseel k liay ...kitab

 

NAAT KHAWN AOR NAZRANA:

 

http://library.faiza...ndex.php?id=217

Jwab. 6

 

ager koi krta hay to usay masla samjhaya jae , Aagay hidayat dena to Allah ka kaam hay

 

Jwab. 7

 

Us se is ki daleel talab kijae...jo k wo denay se aajiz rhay ga phir usay samjhaya jae , hmara kaam samjhana hi hay

 

Jwab. 8

 

is ka kia matlab hay??? us shakhs ko Murshid ki zroorat k baray main maloomat faraham ki jaein

 

Jwab. 9

 

is ka matlab k Ham Nabi Pak (saw) ki enayat se aor Aap (saw) k tufail khaatay hain jesa k hadees shareef main hay k Nabi Pak (saw) nay farmaya k ''Allah denay wala hay aor main Taqseem krnay wala hoon''

 

Yeh Hadees Shareef Ftawa Razawia Shareef Jild 21 Page 195 par mojood hay aor wahan par us ka hwala darj zail hay:

 

مسند احمد بن حنبل ترجمہ ابوہریرہ رضی اللہ تعالٰی عنہ دارالفکربیروت ۲/ ۲۳۴

 

Poori ebarat yun hay:

 

قال النبی انما انا قاسم ، واﷲ المعطی ۱؎دینے والا اللہ ہے ور بانٹنے والا میں۔ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم۔

 

۱؎ مسند احمد بن حنبل ترجمہ ابوہریرہ رضی اللہ تعالٰی عنہ دارالفکربیروت ۲/ ۲۳۴

 

Online Link :

http://www.razanw.or....php?itemid=81page=185

 

Title.jpg

195.jpg

Jwab. 10

 

abhi tadaad to usi ko maloom hogi k haj per logon ki tadad kia hay aor whan kia hay.... han ager Haj ki toheen ki niyat se kahan to kufr hay

Jwab. 11

 

usay un aayat ka saheeh matlab samjhaya jae aor ilm-e-ghaib ka masla saheeh tareeqay se samjhaya jae

 

Jwab. 12

 

usay sboot dea jae , ulama-e-ahl-e-sunnat ki kaseer tasaneef mojood hain is masla per

 

Jwab. 13

 

kapray fold kr k nmaz makrooh-e-tehreemi hay , aor dobara parhni zroori hay aesay shakhs ko samjhaya jae baaqi Allah hi hidayat denay wala hay

 

Jwab. 14

 

bait tor de to uski marzi....uski qismat main yehi hoga,,,,,aesay shakhs ko samjhaya jae

Jwab. 15

Anmbia-e-kiram masoom hotay hain .... us ko saheeh tareeqay se is aayat mubarika ki tafseer btai jae

 

Jwab. 16

 

Nabi pak (saw) ko apnay jesa bashar maana kufr hay aor us shakhs ki saheeh rahnumai kijae

 

Jwab. 17

 

Amanat main khianat gunah-e-kabeera hay , han jiski wo cheez hay us se ijazat lekr istemal krnay main harj nhi...

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
  • 5 months later...
On 2/3/2010 at 6:06 PM, nasirb786 said:

Aslam o Alikum,

 

Hazoor Sallho Aliah waslam ki rooh Har ghar main say murad Allama Jlal ud sayooti rahmat ullah aliah apni book "Khasays al qubra" main tahreer farmatay hain ghar say murad Masjid Hai.

 

Allah Hafiz

 

 

Wa Alaikumusalam

 

bhai ''Muslmanon Kay Gharon ka Tazkira hay'' Sharah Shifa main Hazrat Mulla Ali Qari رحمت اللہ علیہ Likhtay Hain:

 

 

Ghar main Daakhil hotay Waqt ager koi bhi mojood na ho to ''ASSALAM-O-ALAnNabi Wa Rahmatullah-e-Wabarakatuhu'' Kehna chahiay kionkay Nabi Pak (saw) ki Rooh Mubarak Muslmanon kay Gharon Main Hazir Hoti Hay ..

 

 

Scan Proof k liay dekhain:

 

 

http://www.islamimeh...-aor-iski-wjah/

 

Deobandion Mulla ki is ebarat main Tahreef , Dekhiay:Post (14)

 

http://www.islamimehfil.info/topic/4158-tehreefat

 

 

Link to comment
Share on other sites

  • 4 months later...

(salam) Pyaray Bhai nechay bayan ki gai Hadees Mubarika ka Hawala bata dain.......fi-aman:

 

 

 

 

Jwab. 9

 

is ka matlab k Ham Nabi Pak (saw) ki enayat se aor Aap (saw) k tufail khaatay hain jesa k((((( hadees shareef main hay k Nabi Pak (saw) nay farmaya k ''Allah denay wala hay aor main Taqseem krnay wala hoon'')))))))

 

 

Link to comment
Share on other sites

On 12/6/2010 at 1:31 AM, Ali Ataari said:

(salam) Pyaray Bhai nechay bayan ki gai Hadees Mubarika ka Hawala bata dain.......fi-aman:

 

 

 

 

Jwab. 9

 

is ka matlab k Ham Nabi Pak (saw) ki enayat se aor Aap (saw) k tufail khaatay hain jesa k((((( hadees shareef main hay k Nabi Pak (saw) nay farmaya k ''Allah denay wala hay aor main Taqseem krnay wala hoon'')))))))

 

 

 

 

(wasalam)

 

Bhai Yeh Hadees Shareef Ftawa Razawia Shareef Jild 21 Page 195 par mojood hay aor wahan par us ka hwala darj zail hay:

 

 

مسند احمد بن حنبل ترجمہ ابوہریرہ رضی اللہ تعالٰی عنہ دارالفکربیروت ۲/ ۲۳۴

 

Poori ebarat yun hay:

 

 

قال النبی انما انا قاسم ، واﷲ المعطی ۱؎دینے والا اللہ ہے ور بانٹنے والا میں۔ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم۔

 

۱؎ مسند احمد بن حنبل ترجمہ ابوہریرہ رضی اللہ تعالٰی عنہ دارالفکربیروت ۲/ ۲۳۴

Online Link :

http://www.razanw.or....php?itemid=81page=185

Title.jpg

195.jpg

Link to comment
Share on other sites

انما انا قاسم ، واﷲ المعطی ۱؎دینے والا اللہ ہے اور بانٹنے والا میں۔ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم

 

یہ حدیث پاک بخاری شریف میں بھی موجود ہے۔ مکمل حوالہ اس وقت میرے پاس نہیں ہے۔ انشاء اللہ عزوجل میں دیکھوں گا۔ اگر کسی اور ممبر کو معلوم ہے تو درج کردیں۔

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...