Yahya Kamal مراسلہ: 5 جون 2009 Report Share مراسلہ: 5 جون 2009 Janab Toheedi sahib Baat ko na talyen........ Jab aap ko riwayat o drayat ka farq os is ki Usool-e-Hadith main zaroorat ka hi ilm nahin to phir bahas aap ki mahaz apni aqal ber bekar hai...... Jawab de dain ke Sahabi ne jo amal kia us ka fayeda Fitnon ke door main kion nahin uthaya gaya?????? Jawab or sirf Jawab...... isi se aap ko khud apny sawalon ka jawab mil jayega or phir aap ko ye bhi pata chalyega ka aqayed kin riwayaton ki bina per akaz kiye jatyen hai or kin per se nahin..... Abdul Salam AssalamAlikum Abul Salam bhai main yaha ka new user hoon ap ki post dekh raha tha ap ki batain achhi lagin or yaha register ho gaya main ny socha k ap sy kuchh seekhna chahiey main ney ap sey poochna tha ky ye Riwayat or Darayat main kia faraq hota hy ? umid hy ap jawab dy gy JAZAK ALLAH اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MOUWAHID مراسلہ: 6 جون 2009 Author Report Share مراسلہ: 6 جون 2009 AssalamAlikum Abul Salam bhai main yaha ka new user hoon ap ki post dekh raha tha ap ki batain achhi lagin or yaha register ho gaya main ny socha k ap sy kuchh seekhna chahiey main ney ap sey poochna tha ky ye Riwayat or Darayat main kia faraq hota hy ? umid hy ap jawab dy gy JAZAK ALLAH Is ka jawab bhai pehlay hi day chukay hain. Riwayat main Ravi ka siqa, aadil or sahih (Waghera) hona dekha jata hai Darayat main ye edkha jata hai ke kia is ki tareekh main koi toseeq milti hai ya nahin اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai مراسلہ: 6 جون 2009 Report Share مراسلہ: 6 جون 2009 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai مراسلہ: 7 جون 2009 Report Share مراسلہ: 7 جون 2009 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Shan E Raza مراسلہ: 7 جون 2009 Report Share مراسلہ: 7 جون 2009 jazakallah khera toheedi bhai اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam مراسلہ: 8 جون 2009 Report Share مراسلہ: 8 جون 2009 Janab Toheedi sahib Jawab dain...... waqt zaya na karain..... baraye meharbani wazeh karain ke Sahab ne us waqt Hazoor-e-Akram se madad kion talab na ki Baqi rahye aap ke sawalat to is ke baad aap ko aapke sawalat ka jawab isi main mil jayega Abdul Salam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ya Mohammadah مراسلہ: 8 جون 2009 Report Share مراسلہ: 8 جون 2009 Janab Toheedi sahib Jawab dain...... waqt zaya na karain..... baraye meharbani wazeh karain ke Sahab ne us waqt Hazoor-e-Akram se madad kion talab na ki Baqi rahye aap ke sawalat to is ke baad aap ko aapke sawalat ka jawab isi main mil jayega Abdul Salam Jehla wahabis ka aitraaz bhi unki ilmi yateemi ki tarah be saropa hota hai....aapky imam Ibn abdul wahab ka bhi aeedah kuch aisa hi tha tabhi us ny ye kufriyat baki (Meri Lathi Huzur se zyada taqatwar hai ki is sy sanp ko to mara ja sakta hai par Mohammad Mar gaye unsy ab koi nafa hasil nahin...MazAllah..) theek usi tarah aapny bhi ye shart lagayi ki agar Huzur me Taqat hoti to Sahaba ne itni bari bari musibaton me har baar roza e anwar par ja kar kyu madad na li? agar is se Aap bad wisal Huzur Aleh salam se nafa hasil karny ki nafi kar rahy hain to Allah to Haiyyul Qayuum hai na...usky zinda hony me to aap jaisy wahabry ko bhi ko shak na hoga..phir kya khayal hai? yahi usool agar yahan lagayein to jo jawab aapka hoga wahi paishgi me humsy batour khiarat rakh lein... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai مراسلہ: 9 جون 2009 Report Share مراسلہ: 9 جون 2009 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam مراسلہ: 10 جون 2009 Report Share مراسلہ: 10 جون 2009 Janab Toheedi sahib, Araz hai ke isi liye hum kisi bhi Shahbi se kisi bhi aesye amal ki umeed nahin rakhtye hain jo ke Allah or us ke Nabi ki dawat ke khilaf ho or nahi kisi ayesi riwayat se aqeedah banatye hain kion ke Aqeedah ke barye main Quran or Ahadeeth main bohat kuch mojood hai kisi ayesi riwayat jis main ke shirk ka shyeba ya phir Allah ke hukum ki mukhalifat ho se aqeedah akhaz nahin kia jasakta woh bhi istia'nat ka Khayr aap ke liye kuch batain aap ki khidmat main araz karta hon Aik Hadeeth kehti hai (Mafhoom) ke jab fitnon ka dor ho Momin ko chahiye ke apna behtareen sarmaya (Bakrian/Goats) laker paharon per chala jaye. Aik or Riwayat hai ke (Mafhoom) Aik Sahabi ko Hazoor-e-Akram ne mashwara diya (jo ke Sahabi ke nazdeen hukum ke darja rakhta hai) ke jab aisa waqt aaye ke Musalman doosrye musalman ko qatal karnye lagye to phir kisi darakh ki jar main ja kar baith jao yaha tak ke mot tumhain aa lye. Quran ki ayat main jahan kahin bhi madadgar or madad mangnye ka zikr hai un tamam jaghon per yahi bataya gaya hai ke jin kamon main asbab ki zaroorat hoti hai un jaghon per (Quran main or hadeethon main wazeh hai) madad mangni chahiye, lakin ye kahin bhi nahin kaha gaya ke Qabr or Sahib-e-Qabr se mangna jayez hai??? Or phir jab bhi aisi kisi ayat ka jis main ghair ullah se madad ke mangnye ka zikr hai ka shan-e-nazool mulahiza kartye hain toasal baat bhi samnye aa jati hai ke kis waqt or kis qisim ki madad ka kaha gaya hai. Khud aap logon ke Mutabiq (Tamam ghair ullah se madad ko jayez mannye walon) taqreeban 1200 ya 1250 saloon tak Makkah or Madina main Abbasi hakoomat ke saath saath Khilafat-e-Usmaniyan, Muawiyah, Fatmiya, ki hakoomat thi or Wahabi (AHl-e-Hadeeth) hazrat ne itnye saloon ke baad Makkah per or Madeena per qabza kia to phir in tamam salon main itnye sarye khofnak moamlat main kahah kahan se ye sabit hai ke Allah ke Nabi se ista'nat ka aqeedah rakhtye hoye Ista'nat talab ki gai or so on..? Ilawa Shia hazrat ke jo ke Sirf Aal-e-Bait ki qabron se to sarye aqeedah rakhtye hain woh bhi is qisim ki kisi ista'anat ke talab karnye walye na rahye they..(Mazeed Tehqeeq ki zaroorat hai) phir bhi aap musr hai ke istamdad jayez hai?????? Or Agar aap kehtye hai ke Quran ke mutabiq (Mafhoom) "agar ke log apni janon per zulm kar baithyen or woh aap ke paas ayen or toba karain or aap bhi un ke haq main dua karain to woh Allah ko Toba ka Qabool karnye wala paynegye" ka itlaq Hazor-e-Akram ki zindagi ke ilawa un ki wafat ke baad bhi hota hai, to is ke liye aap ke paas jo riwayatain hain woh doosri Ahdeeth ke ilawa Quran ki Ayaton ke bhi mukhalif hain, Shahaba ke aqeedah ke bhi khilaf hain, ko darja istadlal nahin desaktye hain. Masala yahi hai ke agar aik bar bhi aap ne HAzoor-e-Akram se wafat ke baad ista'anat ke aqeedah ka inkar kardiya to aap ki khudsakhta imarat zameen bos ho jayegi, tamam buzargan-e-deen ki qabron se madad mangna khatam karna paryega (jo ke kuch logon ke liye pesye kamanye ka zariya bhi hai), or is ki Zad main Hazrt Ali se istaa'nat leker janab-e-Ahmed Raza tak ke log aa jayte hain. or masala bhi yahi hai Abdul Salam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai مراسلہ: 11 جون 2009 Report Share مراسلہ: 11 جون 2009 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam مراسلہ: 11 جون 2009 Report Share مراسلہ: 11 جون 2009 (ترمیم شدہ) Pehli to baat ke aap ne is main mojood baton ka tassali bakhsh jawab to nahin diya lakin baat ko ghuma kar kahin or lagaye, lakin bahar haal main is ka bhi jawab denye ki koshish karta hon (Insha Allah) Sahabi ko Musrik Kehney ka ilzam Ye bhi aap ke khud sakhta hi istadlal hai ke main ne Sahabi ko Mushrik kaha hai.... Is ke bajaye ke main kisi Sahabi ko mushrik kahon main is hadeeth per amal or is se istadlal chor donga or main is ke muqablye main Muhaddetheen ki riwayaton ko shak ki nazar se dekhonga na hi ke aap ki tarha Har aik ke barye main Fatwa lena or dena shoro kar donga, (Fatwa Ba'maney Raye ke, Or Hazrat Shah Wali Ullah, Hazrat Ismail Shaheed waghera ke barye main un se mansoob aqayed dekha kar Mushrik or Muslim honye/mannye ka iqrar karwa kar chorona) Aap se ye to nahin ho raha ke Allah se madad mangyen bulkye is shadeed tareeqah se mukhalifat kar rahye hain ke lgta hai ke Allah se mangna Muaz Allah shirk hai or Ghair Allah se insta'nat talab karna ain Shariyat Itni Shiddat agar aap Allah se mohabbat main rakhyen or dikhayen to yaqeenan aap Allah ke Walion main ban jaynegye lakin kia kaha jaye. Abdul Salam Edited 11 جون 2009 by Abdulsalam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MOUWAHID مراسلہ: 15 جون 2009 Author Report Share مراسلہ: 15 جون 2009 Brailvi akeeday k mutabik is ayat ka tarjuma kuch yoon banta hai "Aye Allah hum Tujh say b madad maangtay hain aur Tairi b ibaadat kertay hain" اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔