Jump to content

Jaga Jee Laganey Ki Duniya Nhin Hai


سگِ عطار

تجویز کردہ جواب

Jaga Jee Laganey Ki Dunya Nhin Hai

 

 

Jaga Jee Laganey Ki Dunya Nhin Hai

Yeh Ebrat Ki Jah Hai Tamasha Nhin Hai

 

Iss Jahaan Mein Her Taraf Hain Mushqilein

Her Taraf Hi Aafatein Hi Aafatein

 

Kuch Ghirey Gham Mein Tu Kuch Bemaar Hain

Tu Kayi Qarzey Key Zer-e-Bar Hain

 

Hain Yahaan Dunya Mein Koi Bhi Sukhi

Jee Nhin Hergiz Nhin Sub Hain Dukhi

 

Chal Diye Dunya Sey Sub Shah-o-Gada

Koi Bhi Dunya Mein Kub Baqi Raha

 

Jaga Jee Laganey Ki Dunya Nhin Hai

Yeh Ebrat Ki Jah Hai Tamasha Nhin Hai

 

Jeetney Dunya Sikanadar Tha Chala

Jub Gaya Dunya Sey Khali Hath Tha

 

Leh Lahatey Kheit Hongey Sub Fina

Khush Numa Baghat Ko Hai Kub Baqa

 

Tu Khushi Key Phool Ley Ga Kub Talak?

Tu Yahaan Zinda Rahay Ga Kub Talak?

 

Dolat-e-Dunya Key Peechay Tu Na Ja

Aakhirat Mein Mal Ka Hai Kam Kiya

 

Mal-e-Dunya Du Jahaan Mein Hai Wabaal

Kam Aaye Ga Na Pesh-e-Zul Jalal

 

Jaga Jee Laganey Ki Dunya Nhin Hai

Yeh Ebrat Ki Jah Hai Tamasha Nhin Hai

 

Bey Wafa Dunya Pey Mat Ker Aitabar

Tu Achanak Mout Ka Hoga Shikaar

 

Mout Aaker Hi Rahay Gi Yad Rakh

Jan Jaa Ker Hi Rahay Gi Yad Rakh

 

Ger Jahaan Mein So Baras Tu Jee Bhi Ley

Qabar Mein Tanha Qayamat Tak Rahay

 

Jub Farishta Mout Ka Chaa Jaye Ga

Phir Bacha Koi Na Tujh Ko Paye Ga

 

Mout Aayi Pehlwaan Bhi Chal Diye

Khoobsorat Nojwaan Bhi Chal Diye

 

Dab Daba Dunya Hi Mein Reh Jaye Ga

Husn Tera Khak Mein Mil Jaye Ga

 

Teri Taqat Tera Fun Auhda Tera

Kuch Na Kam Aaye Ga Sarmaya Tera

 

Jaga Jee Laganey Ki Dunya Nhin Hai

Yeh Ebrat Ki Jah Hai Tamasha Nhin Hai

 

Qabr Rozana Yeh Kerti Hai Pukaar

Mujh Mein Hain Qeeday Makodey Bey Shumaar

 

Yad Rakh Main Hoon Andehri Kothadi

Tujh Ko Hogi Mujh Mein Sun Wahshat Badi

 

Meray Aunder Tu Akela Aaye Ga

Haan Mager Aamal Leta Aaye Ga

 

Naram Bister Ghar Pey Hi Reh Jayein Gey

Tujh Ko Farsh-e-Khak Per Dafnayein Gey

 

Jub Andheri Qabr Mein Tu Jaye Ga

Roye Ga Chilaye Ga Ghabraye Ga

 

Kam Mal-o-Zar Wahaan Na Aaye Ga

Ghafil Insaan Yad Rakh Pachtaye Ga

 

Jaga Jee Laganey Ki Dunya Nhin Hai

Yeh Ebrat Ki Jah Hai Tamasha Nhin Hai

 

Jub Terey Sathi Tujhay Chod Aayein Gey

Qabr Mein Keday Tujhay Kha Jayein Gey

 

Qabr Mein Tera Kafan Phat Jaye Ga

Yad Rakh Nazuk Badan Phat Jaye Ga

 

Tera Ik Ik Bal Tak Jhad Jaye Ga

Khobsorat Jism Sub Sad Jaye Ga

 

Aah Ubal Ker Aankh Bhi Beh Jaye Gi

Khaal Udhed Ker Qabr Mein Reh Jaye Gi

 

Sanp Bichoo Qabr Mein Gar Aagaye

Kiya Kerey Ga Bey Amal Gar Kha Gaye

 

Ker Ley Toba Rub (azawajal) Ki Rahmat Hai Badi

Qabr Mein Werna Saza Hogi Kadi

 

Jaga Jee Laganey Ki Dunya Nhin Hai

Yeh Ebrat Ki Jah Hai Tamasha Nhin Hai

 

Az Tufail-e-Ghous-e-Aazam (radi allah anhu) Ya Ghafoor (azawajal)

Bakhsh Dey Hum Aasiyoon Key Sub Qasoor

 

Ya Khuda Hai Iltija ATTAR Ki

Sunatein Apnayein Sub Sarkar (saw) Ki

 

Ya Elahi Az Paye Shah-e-Umam (saw)

Hashr Mein ATTAR Ka Rakhna Bharam

Link to comment
Share on other sites

(bis)

Jaga Jee Laganey Ki Dunya Nhin Hai

 

Kalam: Sayidi Ameer-e-Ahle Sunnat Hazrat Allama Moulana Muhammad Ilyas Attar Qadri (damat Barkathum Aaliya)

 

Recited By: Shahzada-e-Ameer-e-Sunnat Haji Muhammad Bilal Raza Attari (damat barkathum aaliya)

 

Listen | Download

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...