Jump to content

wahbi hadees ke munker hain


Toheedi Bhai

تجویز کردہ جواب

(bis)

 

Aap log waqai lakeer ke faqeer ho..jab dil chaha apni taraf se jo chaya tafserr dedi..bhai sahab kion apni taraf se ulti seedhi rae daytay ho ...Allah aap logon ko hidayat day..Rasool Allah  (saw) farma rahe hein kay mere pass kuch nahi jis par tum logon ko sawar karoon..wo log rote hoe gaey ..aap ki khud saakhta raey hay unko hifazat ki waja say sawari na di kay yahan ruko hifazat ke liye..wah bhie wah...ulti seedhi tashree to koi aap se seekhay..zara daleel do is special tafseer ki..

 

 

Sura Hashar mein ghanimat  ke maal ke bare mein kaha ja raha hay kay jo Rasool Allah  (saw) dein wo le lo..

 

{ وَمَآ آتَاكُمُ ٱلرَّسُولُ } من الغنيمة { فَخُذُوهُ } فاقبلوه ويقال ما أمركم الرسول فاعملوا به { وَمَا نَهَاكُمْ عَنْهُ فَٱنتَهُواْ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ } اخشوا الله فيما أمركم { إِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلْعِقَابِ } إذا عاقب وذلك لأنهم قالوا للنبي صلى الله عليه وسلم خذ نصيبك من الغنيمة ودعنا وإياها فقال الله لهم هذه الغنائم يعني سبعة من الحيطان من بني النضير

*  تفسير القرآن/ الفيروز آبادي (ت817 هـ) مصنف و مدقق

Baat sirf itni si hay jab Rasool Allah 

(saw) ke pass kuch hota to wo ata farma dete the..jab nahi hota to mana kar dete..Is mein itna issue kia hay.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(salam) to muslims

 

Janab Toheedi sahib, yehi to masala hai aap logon k sath, hadees k jis matan say aap k matlab nikalta hai aap sirf usi ko letay hain aur baqi k matan ko zair-e-behas latay hi naheen jaisay aap nay pehlay Kasarat-e-Sajood ki baat hi naheen ki issi tarah Hazarat Moosa ko Allah ki taraf wahi ka zikar bhi hadees main majood hai lakin aap nay pehlay ussay hath tak naheen lagaya aur matlab yeh nikalnay lag gay Hazoor (saww) janat ata kernay walay hain ab aap kehtay hain k Allah ata kernay walay hain aur huzoor (saww) Qasim hain, aik baat aur clear ker dain yahan aap nay jo Qasim ki Sifat nabi (saww) ki bayan ki uss say aap kaya murad lay rahay hain. Aksar mohadiseen nay hadees k matlab woh liya jo quran aur baqi ahadees k muwafiq ho.

 

Aur han iss baat main koi shak naheen k Nabi (saww) humaray liya bais-e-rehmat hain lakin un ki zaat main ghulu kerna aur hadd say berhana bhi deen k khilaaf hai, kiun Allah subhana wa taa'la farmatay hain "Ay emaan walo, apnay deen main na haq ghulu na kero".

 

Allah humain aur aap ko samjhany ki taufeeq ata farmay (ameen)

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...
(bis)

 

(bis)

(salam)

Toheedi sahib

Ab aap ka kia hoga jo ke Nabi-Akram (saw) ki shan main ghaloo ke darjye main pohanch rahye hain...?

Aap pehlye to ye confirm karian ke ziyadat ye phir kami kis hadeeth main hai, yani tibrani kabeer main ziyadat hai ya phir ke Nisai/Dawodd main kami hai,

 

Doosri taraf Hadeeth ki ro se ye to zahir hota hia Allah ke hukam se (Jesa ke Allah ke kehna hai ke Rasool-e-akram (saw) kuch apni marzi se nahin kehtye bajaz Allah ke hukum ke, aap ne Arabi ko zad-e-Rah or sawari ata ki, lakin doosri taraf Quran ke mutabiq jab Aap (saw) apny paas kuch na honye per Wafad ko kuch na denye per ranjeeda hoye to Allah ne farmaya ke is per ranj na karo...

 

Yahan aap per aitiraz yahi hai ke iss sye aap Rasool-e-AKram ka Ikhtiyar-e-Matlaq sabit kar rahye hain warna is baat ko is tarha lenye per koi mas-ala nahin banta ke jo cheez aap ke paas hoti aap usye zaroor ata farmatye or ata kia bhi hai..

 

Teesri taraf is thread main in ahadeeth ki koi mukammal sanad mojood nahin hai zara takleef karian is sadand ko dobara likhnye ki (baraye meharbani Arabi page scan na karain)? teenon kitabon ki

 

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

Guest
مزید جوابات کیلئے یہ ٹاپک بند کر دیا گیا ہے
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...