Jump to content

Replay : chand sawalat gair muqaliden se


Shareef Raza

تجویز کردہ جواب

Is Replay Ka Abhi tak nahi dya gya jo ke mouwahid aur YALLAH MADAD aur degar wahabies gair muqaliden se kye gen thhe ..........................

note in sab k jawabat matloob hai .......................

http://www.islamimehfil.info/index.php?showtopic=134

janab huzoor gaus e pak ki kitab se yeh b sabit kardain k biddatio se kaun murad hai ? aur ahlehadis murad kaun hai... ahlehadith muhadisen ki jamat ko kahte hen jinho ne ilme hadith sikhne me arsa lagaya ho aur is ki sharait osol ki kitab men mojod hen jin ki ap taqleed karte hen , kya aap ki jamat men yeh khososiyat hai ?

post par kisi hawale ko ap ne galat sabit nahi kya ?

aur ganiyatul taliben se hawala dene se yeh sabit hota hai aap degar irshadat se muttafiq hen?

jab yeh pahlo b mukammal howa tu isse sabit yehi hota hai kitab men aur is post ki roshni me biddati kaun sabit howa?

kya aap har hadith par amal karte hen

hadith e ureena ke bare men ap ka kya moqqaf hai jo bukhari shareef men hai?

aur bologat men raza`at k bare men ap ka moqqaf kya hai hazrat aisha sidiqa wala ya degar umm ol mumene wala? halakeh bukhari men hadith mojod he

kya ilme osol e hadith ki perwi karna taqled hai ? nahi tu quran wa hadith se sabit kijye ?

kharji firqe ki tarekh aur in ke aqauid aur najd k bare men hadith se tashrehat aur kitab ul tuhed ke bare men moqaf wazih karain... naiz ibne wahab najdi k bare men moqaf b wazih karain...

note: in sab sawalat k jawabat dena lazmi hen aap k gruop ke jitne b member hen koi b jawab deta hi nahi agar dosri thread men jawab ki koshish b ki jati hai tu sirf aik line par aisa kun?

aur humare aqaiud par jitni hadith e sahiha hen un ke bare men ap kese rad karte hen kya hadith se? defeniation karte hen kun? kya yeh quran wa hadith k khilaf nahi ye apna qayas nahi ? aur agar apne ulma ki raye pesh karte hen tu kya yeh taqleed nahi ..

aur aap ki saari kitaboo men jahan jahan logvi tareefat ayi hen ya apni ara ayi hen kya yeh quran wa hadith se sabit hen agar yeh sab nahi tu ahlehadith kahlane ki ap haqdar hen zara tafakur karain ...

...taqleed e urfi aur haqeeqi men kya faraq he ,? quran wa hadith se sabit karain..?

halakeh aap logo ko shaikh zubair wa degar ki full support hai ... aur akhri sawal

nasir ul bani aur ibne taymiah aur ap ke degar aima k bare men apne ulma ki dastakat karwain aur phir un se likhwain k hum in ki taqled nahi karte na hi in ki sari batain mante hen sirf in ki woh batain jo quran hadith e saiha se sabit ho warna degar batoon k jurm me in par wahi ilzam lazim ayeega jo degar jamat aur osol ki kutub k hawale se majrooh afrad par ata hai ...

umaid itne sawalat kafi honge...note in sawalat k jawabat mukammal aur tasalli bakhs na dene ki sorat me aap k maslak par kya ilzam warid hosakta hai woh ap ko qabol hoga aur wahi ap ka b moqqaf hoga kun aap apne takhayul men haqq ki jang larre hen is liye is muamle ko clear krna zaroori hai ,isi liye ap yahan ate hen replays aur post karte hen ..

Link to comment
Share on other sites

main sirf hawale par baat nahi karrha men in sawalo ki baat karrha hoon agar yeh hawala ap ko ganiyatul talibeen men nahi milta ? tu ye ap ke molvio ke tarjuma ki khayanat hai warna aap poori ganiyatul talibeen send karsakte daleel dawa karne wale par hoti hai kya nahi aap ne suna AL BAYANATUL MUDDAI WAL YAMEEN U MAN ANKARA ....

Link to comment
Share on other sites

main sirf hawale par baat nahi karrha men in sawalo ki baat karrha hoon agar yeh hawala ap ko ganiyatul talibeen men nahi milta ? tu ye ap ke molvio ke tarjuma ki khayanat hai warna aap poori ganiyatul talibeen send karsakte daleel dawa karne wale par hoti hai kya nahi aap ne suna AL BAYANATUL MUDDAI WAL YAMEEN U MAN ANKARA ....

Agar aap k ghous-e-azam sahib ka yeh aqeeda ho b to woh hujat nahi banta.Kion k hujat wohi hai jo kaam ya hukam Aap (saw) nay dia ho.

Link to comment
Share on other sites

sorry yeh mere sawalat ka jawab nahi ,aap ki taraf se yeh baat wazih hochuki hai k jawabat ki bajaye baat ko ghumakar ahlehadith ka diffa karna ...jo ke rulez k khilaf hai .........

Olya e karam k fazail quran wa hadith se sabit hain quran men jo beshtar waqiyat hen maslan hazrat mariyum ki karamat hazrat asaf barkhya ki karamat is k ilawa anbiya ki karmat kya aap ke nazdek quran pak ki yeh aayat b hujjat nahi????????????aur hadith men b jo ap k aqeede k khilaf ho us ko nahi manoo ge? aur yeh inkar kesa?

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
sorry yeh mere sawalat ka jawab nahi ,aap ki taraf se yeh baat wazih hochuki hai k jawabat ki bajaye baat ko ghumakar ahlehadith ka diffa karna ...jo ke rulez k khilaf hai .........

Olya e karam k fazail quran wa hadith se sabit hain quran men jo beshtar waqiyat hen maslan hazrat mariyum ki karamat hazrat asaf barkhya ki karamat is k ilawa anbiya ki karmat kya aap ke nazdek quran pak ki yeh aayat b hujjat nahi????????????aur hadith men b jo ap k aqeede k khilaf ho us ko nahi manoo ge? aur yeh inkar kesa?

 

(bis)

(salam)

Janab Shareef Raza sahib

Abhi main jawab to nahin de raha hon siwaye chand alfaz ke.......

Amal or qol kisi ka bhi ho... jab tak usye Quran o Sunnat ke kasoti per pesh kiya na jaye usye hujjat nahin manna jayega....

Jin Ayaton or Ahadith ki aap baat kar rahye hain un ko pesh karain or phir apna istadlal us se pesh karain tab hi hum aap ko bata sakengye ke humara kia aqeedah hai is silsilye main

 

warna sirf "sorry ye merye sawal ka jawab nahin" kehdenye se kisi mas-alye ka hal nahin nikalta.... yaqeenan ye baat to samajh main aati hogi aap ko....?

or han hawala mukammal zarrori hai.

 

Ab ye likhnye ke bajaye ke "hum kion pesh karain Hadith or Ayat" aap thandye dill se gor kar ke or thora time leker aram se reply karain.

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...