MOUWAHID مراسلہ: 20 مئی 2009 Author Report Share مراسلہ: 20 مئی 2009 Ap nay dawa kia hai k masee salah say saabit hai to woh waali hadees idhar day do.... Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ussaid-e-Raza مراسلہ: 20 مئی 2009 Report Share مراسلہ: 20 مئی 2009 tammam islami bhaiyon se MADNI ILTIJA hai keh in gumrah aur ba aqeeda logon kee baton ka jawab dene ke bajaye darood sharif ka wird karain ... yeah log to khush hotey hain musalmano ko faltoo masail main phasa kar kiyoon keh yeah to munkir hain inhon ne kiya karna hai utla musalmano ko fitney aur confussion main mubtila karney kee koshish kartey hain. meri moderator islami bhaiyon se bhi MADNI ILTIJA hai keh in ko BAN kar diya jaaey.. Link to comment Share on other sites More sharing options...
RadiatingAli مراسلہ: 20 مئی 2009 Report Share مراسلہ: 20 مئی 2009 Meh haar us waqt manoon ga jab meri qamr aur naaq donoon beyak waqt zameen ko lagen warna tum mera tika boti toh ker saktay ho magir meri haar tab bee nahin hogi. Allah kee ajeeb o ghareeb makhlooq meh say ek namoona heh yeh shakhs ... Allah tallah esay namoonoon ko jald utha leh, aaaaameen summa ameen. Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai مراسلہ: 20 مئی 2009 Report Share مراسلہ: 20 مئی 2009 Link to comment Share on other sites More sharing options...
Shan E Raza مراسلہ: 20 مئی 2009 Report Share مراسلہ: 20 مئی 2009 jazakallah khera tuheedi bhai buhat khoob Allah Azawajal aap ko jazaye kher ata farmaye.O aap k ilm mein mazeed barkat daley Ameen Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam مراسلہ: 26 مئی 2009 Report Share مراسلہ: 26 مئی 2009 jazakallah khera tuheedi bhai buhat khoob Allah Azawajal aap ko jazaye kher ata farmaye.O aap k ilm mein mazeed barkat daley Ameen Janab Toheedi sahib Aap se guzarish hai ke jab aap kisi arabi kitab ka page scan karain to us ka lafzi tarjuma ya us kitab ka tarjuma (kisi or musannif ka) bhi paste kia karain.... Doosri soorat main shak ka shaiba mojood rehta hai Umeed hai ke aap is guzarish ke mutabiq pichlye psot kiye arabi pages ka tarjuma zaroor pesh karaingye Abdul Salam Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai مراسلہ: 27 مئی 2009 Report Share مراسلہ: 27 مئی 2009 (ترمیم شدہ) Edited 27 مئی 2009 by toheedi bhai Link to comment Share on other sites More sharing options...
MOUWAHID مراسلہ: 31 مئی 2009 Author Report Share مراسلہ: 31 مئی 2009 Moulana sahib nay jo hadees bian ki hai us ka Urdu tarjuma main ker daita hoon. AL-Jamia Kabeer ""Jo hadees k ravi hain woh kehtay hain k aik din Aap masjid main baithay hoay thay aur hum b saath hi baithay thay,aik badvi aaya aur us nay namaz padhi aur us(Namaz) ko halka padha aur slam phaira aur Nabi ko salam kia.Aap nay salam ka jawab dia aur kaha k waapas lout ker doobara namaz padho kion k tum nay namaz nahi padhi.Pus us nay doubara namaz padhi aur aap ko salam kia aap nay us ka jawab dia aur kaha k doubara namaz padh tum nay namaz nahi padhi.Us nay do ya teen martba aisa hi kia aur her bar nabi k pas aata aur us ko slam kerta nabi her baar us ka jawab daitay aur farmaatay k phir say namaz padh tum nay namaz nahi padhi.Loug dar gay aur uno nay samjha k jo namaz ko halka ker k padha us ki namaz na ho gi.Phir aakhir us badvi nay kaha k aap mujhay samjha dain aur dikha dain kion k main aik insaan hoon main theek aur ghalti ker sakta hoon.aap nay farmaya haan jub to namaz ka iraada keray pus to wazoo ker jaisa Allah nay tujhay hukam dia hai.phir 'Ashahad Allah.....' padh,Aur namaz qaim ker ,agar tujhay Quran aata hai to Quran padh,aur agar nahi, pus to Alhamad padh,aur Allah Akbar keh,aur subhan Allah padh,phir raku ker pus itmanan k saath rakoo ker phir seedha khara ho ja,phir sajda ker,pus aitdaal k saath sajda ker.phir baith ja.pus itmanan k saath baith,phir khada ho ja,pus jab to aisay namaz padhay ga pus tairi namaz mukamal ho jaya gi.Aur agar to nay is say kuch kum kia too nay apni namaz main say kum kia.......'' Koi mujay batay is say ooper waali baat kidhar say saabit ho rahi hai? Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai مراسلہ: 1 جون 2009 Report Share مراسلہ: 1 جون 2009 Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam مراسلہ: 2 جون 2009 Report Share مراسلہ: 2 جون 2009 Toheedi sahib Yahan wohi baat ke logon ke ye to bata diya ke aik mursal hadith hai jis ko ke aap sahi hadith ke muqablye main pesh kar rahye hain or kehtye hain ke "Fatiha khalful imam ka muamla" hi saaf hogaya??? jab ke woh sahi hadith ke (Mafhoom)jis ne fatiha nahin parhi us ki namaz khaddaj hai or (Mafhoom)jis ne fatiha nahin parhi us ki namaz nahin ko aik mursal or jis main ke tadlees ki gai hai ke muqablye main pesh kar rahye hain. merye khayal main aap ko logon ko ye bhi batana chahiye ke "An" ka jahan istamal aaye wahah us ki kia hasiyat hoti hai us hadith ki kiya hasiyat hoti hai (jesa ke Ib-e-Ishaq ke barye main sharye khud likh rahye hai ke ye Mudlas hai). to phir aisi haidth ki kiya hasiyat hai or is ko ksii sahi hadith ke muablye main pesh karna kesa hai or kahan per ayesi hadith se istadlal karna jayez hai. Jahan tak ye kahna ke Mursal hadith Ahnaf ke nazdeek jayez-e-istadlal hai to kehna ye hai ke aap ke nazdeek to zaeef hadith bhi qabil-e-qabool hai (bas aap ke matlab nikalna chahiye) lehaza aap ko chahiye ke hum per munkireen e hadith ka ilzam laganye ke bajaye aap khud ko dekhyain ke aap kiya kar rhaye hain, aik sahi hadith chor ka aik mursal ya zaeef haidth (aqayed o amaal o fazayel ke silsilye main) ko qabil-e-hujjat maan rahye hain.... kiya ho gaya hai aap ko.......? Aap se guzarish hai ke zaara usool-e-hadith se logon ke pehchan bhi kara dain. Abdul Salam Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai مراسلہ: 3 جون 2009 Report Share مراسلہ: 3 جون 2009 Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam مراسلہ: 4 جون 2009 Report Share مراسلہ: 4 جون 2009 Janab Toheedi sahib Ya to aap bhool jatye hain ya phir bahana karnye ki koshis kartye hain main ne jis post ka reply kia hai woh attach kara raha hon..... kme mujhye do or do chaar adad ke bajaye 4 rootiya kesye nazar aayeen...in alfaz ka ista'mal bhi isi liye kar raha hon ke aap ke loog to wesye bhi andhi taqleed ka aadi hai.. yahi samjhyengye ke aap ne sahi reply kia hai or mujhye waqai 4 rootiyan nazar aa rahee hain Wesye to aap topic se hat rahye hain lakin, Un Jamhoor-e-Ummat ka zikr(naam batyen) karayn ke woh kon hain phir main bhi bayan karta hon ke humary jamhoor kon hain Namaz ke Khaddaj honye ki hadeeth main Sorah Fatiha ke na parhnye per Namaz ka Khaddaj hona zikr hai na ke kisi sunnat ka (Fatiha Khalful Imam ki thred dobara mulahiza karain) Hasan Hadith hai saath main "An Hammam An Qatada" bhi hai jis ke mutabiq 2 ya zayed ravion ka naam mojood nahin hai... kia aap un do raviyon ke naam batana pasand karyengye??????? Main ne Hasan Basri se Hazrat Ali ke irsal ka zikr nahin kia tha..... "Das Jhoot mil kar bhi aik sach nahin bana saktye" lakin "Do ya ziyada sanadon se riwayat hojana agarcha ke woh sab asnadyen zaeef hon to wh ab zaeef na rahi hasan ban gai" (Mufti Ahmed Yar Khan Gujrati, Jaa-al-Haq Page 5) Hum bilkul Zaeef, Muzoo Ahadith ko na mannye walye hain, ab aap zara un ahadeeth ko bhi likhye (Suggession hai ke nai thred shroo karain) jo ke aap ke nazdeek sahi hain or humarye bhi nazdeek sahi hain lakin aap ka istadlal or humara istadlal zer-e-bahas ho. Warna fatwa na lagayen or agar laga bhi dain to kia houa aap ke kehnye se munkar hona sabit to nahin ho jayega.... or aap ke khud ke ulama ka manna hai ke aap ke nazdeek zaeef hadeeth qabil-e-hujjat hain to sahi hadeeth ki mojoodgi main zaeef hadeeth se istadlal kis ko muntak banati hain is ka faysla aap ke ulama per chorta hon Abdul Salam Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai مراسلہ: 5 جون 2009 Report Share مراسلہ: 5 جون 2009 Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam مراسلہ: 11 جون 2009 Report Share مراسلہ: 11 جون 2009 Aap se guzarish hai ke Ayenda woh page bilkul bhi scan or past na karain jis ko aap khud na parh sakyen or agar pesh kia to hum to ye samajhnye per majboor hongye ke aap sirf ghalt fehmi phelanye ke liye in pages ko scan kar ke past kartye hain. Baqi aap ki marzi hum aap ko rooknye walye kon hotye hain or rahi baat aapke forum ke roules and regulations ki to woh aap logon per (Barelvion, or un ke mannye walon) per to lago hi nahin hotin hain Waiting for transalation in urdue of all your posted pages Abdul Salam Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdur Rehman مراسلہ: 11 جون 2009 Report Share مراسلہ: 11 جون 2009 Aap se guzarish hai ke Ayenda woh page bilkul bhi scan or past na karain jis ko aap khud na parh sakyenor agar pesh kia to hum to ye samajhnye per majboor hongye ke aap sirf ghalt fehmi phelanye ke liye in pages ko scan kar ke past kartye hain. Baqi aap ki marzi hum aap ko rooknye walye kon hotye hain or rahi baat aapke forum ke roules and regulations ki to woh aap logon per (Barelvion, or un ke mannye walon) per to lago hi nahin hotin hain Waiting for transalation in urdue of all your posted pages Is forum kay rules and regulation har aaik par laago hotay hain bayshumar misalain aap kaee topics mai daikh saktay hain wahabiyo ki taraf say jo aaitaraz kia gaya tha us ka jawab hawalo kay saath dia ja chuka hai scans ka tarjuma aap khud karian ya apnay kisi bharosamand arabidan say karwa lain yei aapki zimma dari hai hawalo ki sahat pay koi ashkal hai kay yei ghalat hai ya baaainihi yei bat asal kutab mai maujood nahee phir aap kah saktay thay kay ghalat fahmi phailanay kay leay lagaiay hain basuroat e deegar aap ka dawa mahaz batil aur hatdharmi hai aur waqt ka zia'a jis ki mazeed ijazat nahe dee ja sakti. Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب