Jump to content

Kya NABI (sallallahu alaihi wassalam) apni qabar mubarak main hayat hain


Nadeem.Khan

تجویز کردہ جواب

NABI(ﷺ) KYA APNI QABAR E MUBARAK MAIN HAYAT HAIN OR KYA WHO HAMARAY SALAM KA JAWAB DETAY HAIN ?

 

AGAR ESA HAY TO 2.5-3 GAZ KI QABAR MAIN NABI(ﷺ) KO QAID KER K APP KYA HASIL KERNA CHAHTAY HAIN?

 

 

 

QURAN K MUTABIK WHO TO ALLAH I BADSHAHI MAIN OR JANNAT K ALLA MUQAMAT MAI N ROHANI TOR PAR MOJUD HAIN OR JISMANI TOR PAR QAYAMT K BAD DAKHIL FARMA DEYA JAEN GAY

 

 

Link to comment
Share on other sites

sab se pehle to Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh!

jee han bilkul hamarey payarey aqa salalhou alehi wasalam apni qabr-e-mubarka mein maujood hain aur yaqeenan apney ashiqon ka jawab bhi detey jo un par darood-o-salaam behjatey hain aur yeh baat hadees se sabit hai jo k filhal merey paas nahi hain,

aur doosri baat yeh kya BAQWAAS alfaaz istimaal kiey aapne nabi paak salalahou alehi wasalam k barey mein keh »» QAID KER K«« kya matlib hai aapka is se?

Link to comment
Share on other sites

NABI(S.A.W) KYA APNI QABAR E MUBARAK MAIN HAYAT HAIN OR KYA WHO HAMARAY SALAM KA JAWAB DETAY HAIN ?..

 

Allah azzwajal ki baadshahi aur haakmiyat har jaga hai naiz Bargah e Risalat alaihiSlam kay baray mai zuban kholnay ki tameez seekhain yei wo bargah hai jaha zara si bayahtiyati hatta kay awaz buland karnay par he saray aamal gharat ho jatay hain.

 

Momin ki qabar jannat kay bagho mai say aik bagh ho jati hai . Momin ki Qabar tu Hadd e Nazart tak Wasee ho jati hai us par phir Sab Momino kay Aqa Sab Nabiyo kay Sardar Madinay kay Tajdar alaihiSlato was Slam ki qabr e mubarak ki wus'at ka ham tasawwur bhe nahe kar saktay ...

Syedina Musa AlaihiSlam ko shab e mairaj Nabi pak alaihislam nay unki qabar mai daikha kay wo namaz mai mashghool hain phir Baitul Muqaddas mai sab Anbiya kiram ki Imamat farmaiay waha bhe syedina Musa alaihiSlam maujood phir jab Nabi pak alaihislam Aasmano pay tashreef lay gaiay waha bhee Musa alaihiSlam maujood aur unho nay he namaz 50 say 5 karwanay ka bar bar mashwara dia..

 

qabr o aakhirat kay mamlat ko is dunya kay mamlat pay qayas karna buhat bari nadani hai.

Link to comment
Share on other sites

walekuasalam

 

 

pyaray dost

 

jo rivayat ya ahadess ap paish kerain gay us ka hawala dejeya ga or us ki sanad zarror quote kerain.or yeh k hazrat bilal (r.a) nabi(s.a.w) k roza e aqdas ko chor ker damishq q chalay gae phir to ap ko wahee nabi (s.a.w) k roza aqdas pay beth jana chayea tha q k who jawab detay hain or suntay hain.

ek dafa hazrat bilal(r.a) kafi arsay bad dobara tashreef lae lekin phir wapas chalay gae.ap ki qabar e mubarak aj bhi damishq main mojud hay .

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(saw)

 

Qalat Helati Anta Waseelati Adrikni Ya Rasool Allah (saw)

 

Ji Huzoor Alaihi Salato Wasslam apni Qaber-e-Anwar mein Hayat hein or wo sunte bhe hein or daite bhe hein is mein koi shak nahi.

Daine wali hai Zaat Allah (azw) ki per delaana meray Huzoor (saw) ka hai!

Huzoor Aalaihi Salato Wassalaam ne khod Farmaya k,"Allah Aata karne wala or Mein Taqseem karne wala hoon."

 

Huzoor (saw) ne farmaya:"Jume k din Mujh pr qasrat se Darood parha

Syeduna Abu Darda (ra) ne farmaya k "Aap k wisaal k baad bhe"?

 

To Huzoor (saw) ne Farmaya""Ay Meray Ghulamoo!Allah nay zameen per haraam kar diya hai k wo Nabiyoon k Jismoo ko khae,miti ko haraam kar diya hai k wo Nabiyoon kay Jismoo ko nuksaan pohnchae,Yad Rakho Allah kay sare NABI ZINDA HEIN, Allah onhein rizq bhe dayta hai".(Umdatul Qari Shara Bukhaari)

Edited by Hanafi Muslima
Link to comment
Share on other sites

asalamoalekum

 

 

 

janab e mohtaram main sirf ap say quran sunnat or hadees k hawaly say who hadees jo ehal e ilm k nazdeek musadiqa or quran k mayar k ain mutabik hay q k quran kasuti hay or isi pay har bat paish ki jaege agar who quran k mutabik hay to yakeenan ap (s.a.w) ka faraman e mubarak hay or q na ho k

 

nabi(s.a.w) quran k khilaf bat farma hi nahee saktay.ya to kisi ravi ka khayal ya us k apnaay dimaghee zoof ya ilm ki kami ki waja say k nabi(s.a.w) say bat mansoob ki gae ho jo k ap nay na farmaya ho iski daleel yeh hay k ap(s.a.w) ki bat na to kabhe quran k khilaf hoge na kabhee sunat e sabita k khlaf hoge or nahe aqal e am k khilaf hoge.

 

hadess dar asl ravi ka who bayan hay jo ap (s.a.w) say mansoob keya gaya hay us main us ki fikar ilm aqeeda or umar k hawaly say zoof yeh tamam insani hawadis pae jatay hain.zahiri c bat hay isko parakhnay k leya yeh teen bunyadi batain jo menay upar waza karee hain lazmi hain agar in teeno k mayar par yeh rivayat sahee nahe utartee to ham baray adab k sath yeh arz kertay hain k is main ravi ko ghalti lagee hay.

 

ALLAH HAFIZ

Link to comment
Share on other sites

asalamalekum


janab e wala

yeh to koi bat hi na hoe

yeh to jan churanay wali bat hay

ab main talib e ilm ho khuda gawah haymera maqsad fasad ka nahee hay

agar main yeh kehta hu k main is khas hadees ko nahee manta to ap shayad meay upe bhi fatwa lagado gay yakeenan

mera maqsad ap ki tawaju lena tha who mujhay mil gaee ..or abhi jis muqam par main ap ko lana cha raha tha ap wahan achukay hain ..

mujhay ek bat k jawab dejyea aj
sab say pehli bat
ap nay shayad likha tha "k ap toba kero ya na kero hamian is say gharz nahee" baree ajeeb bat kahee ghulam e mustafa(ﷺ) ko yeh bat zeb nahe deti.
menay jo sawal keya us say deen ka koi talauq ap k nazdeek hoga lekin kamazkam meray nazdeek nahee hay .

ap agar musalat ker k keh do k menay nabi(ﷺ) ki shan man gustakhana kalam keya hay to who sirf ap k zehni dhanchay k nazdeek hoga.ap barelvi maslak say taluk rakhtay hain or inhi bunyadoon par app aj mujhay taweelain day rahay hain
agar aj ap salafi hotay or main barelve hota to postion ulti hoti.

masla yeh nahee hay bhai k ap or main yahan manazra kernay kharay hoay hain .

masala to yeh hay k yeh tazad q?
q ap barelvi ho ? mujhay is ka jawab do
ap quran bhi apnay maktab e fikar k parhtay ho
jo ap ka maktab i fikar k style hay us k hisab say chlatay ho...

or ek bat zehan main rakhna agar ap mujh say mazeed bat nahee kerain gay to man samjhu ga ap mujh say peeth dikha k bhag rahay ho main ap say khuda ki qasam manazra nahee kero ga
ill talk on realtiy basis

main sirf ALLAH uskay nabi(ﷺ) k hawalay say ap say bat kerunga or ap ko meray sawalon k jawab dena hongay

hamra jeena hamara marna hamara bat kerna hamara hasna bolna sab ALLAH ki raza k leya.

main apna taruuf bhi kerwa do k main kisi maktab e fikar say taluk nahee rakhta or na mujhay shok hay or na he mujhay koi takleef hoge k app mujhay ghair muqalid kaho jo nam dena hay day dain lekin mujh rad e badmazhab samhaj kar hi bat kerlain.
allah ka deen bohat seedha hay bohat asan hay agar mushkil hay to who hay DUNYA ki mohabat jis main ap or main dono shamil hain .

main apni islah kernay nikla hu or umeed hay us rab e qainat say k who tamam mamlat main ham ko haq bat janay ki sunnay ki samhajnay ki taufeeq ata farmain (ameen).

phir inshALLAH ap say bat hoge.
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...