Jump to content

<<<<<Mairay Chand Sawaalaat>>>

MOUWAHID

تجویز کردہ جواب

Mairay Zahan main kuch sawaal hain jin k jawaab jaanana chahta hoon.

Agar Allah k Nabi (saw) aaj zinda hotay to...

1. Kia woh Allah k ilawa kisi aur say madad maangatay.Mean Ya Ali Madad ya koi aur kehtay?

2.Kia qabroon per chiraghan kertay?

3.Kia apni wilaadat k din jaloos nikaaltay?

4.Woh namaz Hanfi padatay ya Maalki ya shaafi ya hanbli ya kon si namaz padtay.

5.Un ka maslak kia hota Hanfi,Malki,Shafi,Hanbli.....Ya kuch aur?

6.Woh kis ki dawat daitay? Qabroon per mantain maangnay ki ya aik Allah say maangnay ki?

Sawaal to bohat hain laikin per in sawaaloon k jawab darkaar hain....

Thanks.

Edited by MOUWAHID
Link to comment
Share on other sites

Allah ke bando se Tawassul Huzur (saw) se sabit 2 hadees hazir hain Ummed hain inky Munkir ho jayengy...ya Muhaddis ke khilaaf jakar pehly to isy mozu kahengy jab mozu ka meaning batlaya jayega to kahengy hana haan mozu nahin zaeef hai...phir bhi apky paas koi daleel nahin isky radd ki.

1.GIF

Jangal_me_sawari_kho_jana.GIF

2.Kia qabroon per chiraghan kertay?

Qabro par chiragha karny se mana kiya ho kisi hadees mein to batayein...roz e rasool par kitni chiraagh roshan hain kya apko nazar nahin aaty? Pehly ye sawaal wahabis se poochien...jo jawab wo dengy wahi humara bhi..

3.Kia apni wilaadat k din jaloos nikaaltay?

Huzur ki amad par Ahle Madina ne shehar bhar me juloos nikala or poora madina naro se goonj utha ya mohammad ya rasool Allah...aapny unhy mana na farmaya....Jab Huzur ne apni tashreef awri par Juloos nikalny ko na pasand na kiya to aap kon hoty hain?

4.Woh namaz Hanfi padatay ya Maalki ya shaafi ya hanbli ya kon si namaz padtay.

Agar huzur hoty to 4 imamo ke ijtihad ki zaroorat hi na hoti..jaisa apni ankhon se huzur ko namaz ada karty dekhty jaisa huzur bataty wasiy hi namaz or deegar mamlaat karty...

5.Un ka maslak kia hota Hanfi,Malki,Shafi,Hanbli.....Ya kuch aur?

iska jawab sawaal no.4 ke jawab me upar diya ja chuka..

6.Woh kis ki dawat daitay? Qabroon per mantain maangnay ki ya aik Allah say maangnay ki?

iska jawab bhi tumhy no.1 ke jawab me sahih hadees se diya ja chuka.

Sawaal to bohat hain laikin per in sawaaloon k jawab darkaar hain....

Thanks.

gg hum yahan isi liye to hain ki aap zindagi bhar aitraaz karty rahy or hum jawab dete rahy..

Link to comment
Share on other sites

Qabro par chiragha karny se mana kiya ho kisi hadees mein to batayein...roz e rasool par kitni chiraagh roshan hain kya apko nazar nahin aaty? Pehly ye sawaal wahabis se poochien...jo jawab wo dengy wahi humara bhi..

Hazrat yeh jo baat aap nay kahi hai k Jinab-e-Muhammad(SAW) ki qabir mubaarik per chiragh roshan hain main nay to aaj tak kisi say nahi suna..........aur na hi kabi daikhay hai...yeh to khula jhoot hai...Aur hadees mairay zuma hai woh b Allah k fazal say aap ko day doon ga.

Huzur ki amad par Ahle Madina ne shehar bhar me juloos nikala or poora madina naro se goonj utha ya mohammad ya rasool Allah...aapny unhy mana na farmaya....Jab Huzur ne apni tashreef awri par Juloos nikalny ko na pasand na kiya to aap kon hoty hain?

Chalo yeh b maan laitay hain k Madinay aamad per jaloos nikala tha..Laikin pehli baat to yeh k woh din aap (saw) ki vilaadit ka din nahi tha...doosra yeh k aap (saw) per 40 sal nabowat k hain un 40 saalon main aap (saw) nay koi jaloos nikala apni vilaadit k din?Us baat ka jawab dain.

Agar huzur hoty to 4 imamo ke ijtihad ki zaroorat hi na hoti..jaisa apni ankhon se huzur ko namaz ada karty dekhty jaisa huzur bataty wasiy hi namaz or deegar mamlaat karty...

Yahaan aap apnay akeeda say hi phir gay  :lol: aap to kehtay hain k Allah k nabi (saw) hazir-o-nazir hain aur zinda hain aur aik taraf aap yeh dawa ker rahay hain...Zara is ki b wazahat ker dain.

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
Mairay bhai woh to Shukraanay k nafal padtay thay................Jis ka Rasool Allah(SAW) nay ijaazat di thi........

Ab mairay swaalon ka b jawab day dain...

Mairay ..... woh Juloos nabi ki tazeem towqeer or Mohobbat me nikalty thay................Jis ka Allah (jallah) nay ijaazat hi nahin balki Hukm diya hai..

Sure_Araaf_7_157.GIF

Sure_Fatah_48_9.GIF

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
Kia is ki samajh Sahaba karam(RA) ko nahi aayi k is ka matlab milad ka jaloos nikalna hai.aur isi tareeka say Nabi (saw) ki tazeem hoti hai?

iska jawab aaphi ke lafzo me mojood hai jaisa ki wahabi ne kaha:-

Mairay bhai woh to Shukraanay k nafal padtay thay................Jis ka Rasool Allah(SAW) nay ijaazat di thi........

Ab mairay swaalon ka b jawab day dain...

Kia is ki samajh baqiya Muhadiseen (ra) ko nahi aayi k Hadees lene se pehly ghusl kar 2 rakat nafil parhna hai...aur isi tareeka say Allah ka shukr ada hota hai?

Hadees likhny se pehly shukrany ke nafil parhny ki ijazat wahabi pehly quran or hadees se dikhaye phir humsy tazeeman juloos nikalny ke saboot mangy...jo jawab humy de wahi jawab humari taraf se khud ko paishgi me khairat samajh kar rakh le.. (ma)

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...