Jump to content

kya hanfi fiqa quran wa sunnat key muwafiq hai

Qazi

تجویز کردہ جواب

Intney lambey lecture me merey sawalo key jawab nadarat hai mere woh 6 sawal jo aap key roz marra key amal hai unkey daleel pesh karey bas

Janaab aap bhool rahe hain, is topic ki bunyad ap k 6 masalon par nahi, balke main apki maloomaat main izafa kardun keh yeh topic kuch is tarha shuru hua tha:

First post of the topic by Qazi:

Jab ham hanfi book ka mutala kartey hai to dekhtey hai ki bahoot saarey fiqhi masley sahih haditho key khilaf hai to kya hamey is par amal karna chahiya ya chod dena chaiye, agar chodhtey hai to hanfi nahi kahlayege, aaur nahi chodhtey to musalmaan nahi kahlayenge kya karey bataiye.

To kia khayal hai apka, ab tak jitni main aap ki class li kia woh is baat key jawab main na thi? Aap ko pata nahi chala keh main Hanafiyat ki numaindagi karraha hun? Janab aap ko kuch hosh nahi keh topic shuru kese hua hai ab aap kahan le ja rahe hain. maine aap se sawalat kiye the unke jawabat di jiye jin main kuch sawalat aap k 6 masalon k baare main bhi hain.

Main aap ki madad kar deta hun, yeh hai woh sawalat jo main pehle pooch chuka hun aur aap ne jawab inayat nahi kia:

1. Deen main kia kia hujjat hai?

2. Agar Imam Bukhari Radi Allahu Anh Muqallid nahi the to kia the? Mujtahid the?

3. Jo Imam-e-Azam ko Mujtahid na maane us ke baare main aap keh chuke keh woh Musalman hi nahi, ab Imam Bukhari ko Mujtahid na manne wala kia Musalman hai?

4. Aam Ghair Muqallid kehte hain keh Imam Bukhari Radi Allahu Anh hi Mujtahid-e-Mutlaq ke darje tak pohche aur in ke ilawa koi bhi Mujtahid-e-Mutlaq na bann saka, aap ka kia manna hai?

5. Aap k nazdeek Shafi'i, Maliki aur Manbali Fiqah kia Sahih Ahadeeth key muwafiq hain? Agar haan to kiun aur kese kia tamam masaail Sahih Ahadeeth se sabit hain unke? Agar naa to Hanafi Fiqah hi ko topic par kiun nishana banaya gaya? Seedha keh dete keh Fiqah aur chaaron mazahib hain hi Sahih Ahadeeth k khilaaf.

6. Fatiha Khalfal Imam, Rafayadain waghera masaail ko Hanafi Fiqah ka inkaar karne k liye aaj kiun bunyad na banaya gaya keh yeh to maroof masaail hain Ghair Muqallideen ke liye?

7. Aapne kiun kaha keh yeh masaail Fatiha Khalfal Imam Rafayadain waghera utney important nahi hain, esa kiun kaha? Kia hamari namazain zaya hote dekh kar aap ko kuch bura nahi laga keh aap ke mutabiq Fatiha Khalfal Imam Farz hai aur jo na parhe uski namaz hi batil hai, to akhir yeh is qadr aham mamla aap ke nazdeek utna important kiun nahi?

Link to comment
Share on other sites

Janaab aap bhool rahe hain, is topic ki bunyad ap k 6 masalon par nahi, balke main apki maloomaat main izafa kardun ......?

1. Deen main kia kia hujjat hai?

Ans. Deen main Saarey Ayyama ikram ney Quran wa Sunnat ko Hujjat mana

2. Agar Imam Bukhari Radi Allahu Anh Muqallid nahi the to kia the? Mujtahid the?

Ans. Beshak woh Muqallid nahi they. Mujtahid they (Jis taraha Raat ka ulat Gair Raat nahi hota usi tarah Muqallid ka ulat gair muqallid nahi balki Mutabeh hota hai aaur imam bukhari mutabeh they)

3. Jo Imam-e-Azam ko Mujtahid na maane us ke baare main aap keh chuke keh woh Musalman hi nahi, ab Imam Bukhari ko Mujtahid na manne wala kia Musalman

hai?

Ans. Is sawal ka pahla hissa hi jawab hai, deen me unki khidmat ka inkar koi nahi kar sakta.

4. Aam Ghair Muqallid kehte hain keh Imam Bukhari Radi Allahu Anh hi Mujtahid-e-Mutlaq ke darje tak pohche aur in ke ilawa koi bhi Mujtahid-e-Mutlaq na bann saka, aap ka kia manna hai?

Ans. Unkey aaur dosro key darze par bahas bekar hai jisney bhi islam ki khidmat ki allah uney uska badla de ameen

5. Aap k nazdeek Shafi'i, Maliki aur Manbali Fiqah kia Sahih Ahadeeth key muwafiq hain? Agar haan to kiun aur kese kia tamam masaail Sahih Ahadeeth se sabit hain unke? Agar naa to Hanafi Fiqah hi ko topic par kiun nishana banaya gaya? Seedha keh dete keh Fiqah aur chaaron mazahib hain hi Sahih Ahadeeth k khilaaf.

Ans. Har mazhab pura ka pura quran wa sunnat key khilaaf nahi hai magar bahot sey mamlat me 1 he masley par 4ro mazhabo ki alag alag rai hai. Pura ka Pura Quran wa sunnat key muwafiz bhi nahi

6. Fatiha Khalfal Imam, Rafayadain waghera masaail ko Hanafi Fiqah ka inkaar karne k liye aaj kiun bunyad na banaya gaya keh yeh to maroof masaail hain Ghair Muqallideen ke liye?

Ans. Iska jawab main de diya ki aap ki motbar kitab hidaya hi rafayadain aaur siney par haath bandhney ki kayal hai main un amal par baat nahi karna chahta jo aap nahi kartey, balki main un amal par aap ki daleel chahta ho jo aap kartey hai. Plz samjhney ki koshish karey bhai.

7. Aapne kiun kaha keh yeh masaail Fatiha Khalfal Imam Rafayadain waghera utney important nahi hain, esa kiun kaha? Kia hamari namazain zaya hote dekh kar aap ko kuch bura nahi laga keh aap ke mutabiq Fatiha Khalfal Imam Farz hai aur jo na parhe uski namaz hi batil hai, to akhir yeh is qadr aham mamla aap ke nazdeek utna important kiun nahi?

Ans. Bhai main iska jawab de diya 6th key answer me.

Ab aap se meri gujarish hai ki plz plz plz idhar udhar na jakar merey 5 sawalat jo aapkey roz key amal me se hai unkey jawab jaha se bhi aap aaur jis bhi cheez ko aap daleel samjhtey hai de dijey(Ye sab baate aapki motbar kitabo key hai) mere bhai plz plz haan ya naa me jawabat deney ki ilteja hai jaisa ki mainey aap key jawabat diye main aap ka dusman nahi bhai ho samjhiye.

1. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne zabaan se namaz ki niyat ki ?

2. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne Gardan ka Masah kiya ?

3. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne hukum diya ki mard naaf key neechey haath bandhey aaur aaurat siney par ?

4. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne hukum diya ki aakhri tashhadud me mard apney ultey pair par aaur aurat bator tawarukh apney kulhe par baithey?

5. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ney hukum diya ki 1 dirham se kam Nizasatey Galize agar kapdo me ya badan par lag jaye to usey dhoye bina namaz ho jayegi?

Mere aziz ye aap ki fiqha ki motbar kitabo key fatwey hai aap inki daleel pesh karey jaisey mainey mainey jawabat de diye. plz agli post me zaroor de diziye bino koi aaur sawal karey.

Link to comment
Share on other sites

1. Deen main kia kia hujjat hai?

Ans. Deen main Saarey Ayyama ikram ney Quran wa Sunnat ko Hujjat mana

Jo Qur'an aur Hadeeth ke ilawa bhi kisi ko hujjat maane woh kia Musalman hai ya Kafir?

2. Agar Imam Bukhari Radi Allahu Anh Muqallid nahi the to kia the? Mujtahid the?

Ans. Beshak woh Muqallid nahi they. Mujtahid they (Jis taraha Raat ka ulat Gair Raat nahi hota usi tarah Muqallid ka ulat gair muqallid nahi balki Mutabeh hota hai aaur imam bukhari mutabeh they)

3. Jo Imam-e-Azam ko Mujtahid na maane us ke baare main aap keh chuke keh woh Musalman hi nahi, ab Imam Bukhari ko Mujtahid na manne wala kia Musalman

hai?

Ans. Is sawal ka pahla hissa hi jawab hai, deen me unki khidmat ka inkar koi nahi kar sakta.

Unki khidmaat ka kisi ko inkaar nahi. Bass To seedha seedha likh daalain keh jo Imam Bukhari Radi Allahu Anh ko Muqallid maane woh Kafir hai.

4. Aam Ghair Muqallid kehte hain keh Imam Bukhari Radi Allahu Anh hi Mujtahid-e-Mutlaq ke darje tak pohche aur in ke ilawa koi bhi Mujtahid-e-Mutlaq na bann saka, aap ka kia manna hai?

Ans. Unkey aaur dosro key darze par bahas bekar hai jisney bhi islam ki khidmat ki allah uney uska badla de ameen

Yeh to sarasar Jamhoor-e-Ghair Muqallidiyat se ikhtilaf hua. Ap khud kia Mujtahid hain jo jamhoor-e-Ghair Muqallidiat se ikhtilaaf farma rahe hain? Phir choonkeh aap ke nazdeek aapka apna qoul hi hujjat nahi, to ham apka qoul kiunkar maanain keh aap ne apne hi jamhoor-e-Ghair Muqallidiyat ke khilaf bayan diya? Agar Ibn Abdul Wahab Najdi is waqt mojud hote to apka itna kamzor "imaan" dekh kar ap par Wajib ul Qatl ka hukm de dete...lol

5. Aap k nazdeek Shafi'i, Maliki aur Manbali Fiqah kia Sahih Ahadeeth key muwafiq hain? Agar haan to kiun aur kese kia tamam masaail Sahih Ahadeeth se sabit hain unke? Agar naa to Hanafi Fiqah hi ko topic par kiun nishana banaya gaya? Seedha keh dete keh Fiqah aur chaaron mazahib hain hi Sahih Ahadeeth k khilaaf.

Ans. Har mazhab pura ka pura quran wa sunnat key khilaaf nahi hai magar bahot sey mamlat me 1 he masley par 4ro mazhabo ki alag alag rai hai. Pura ka Pura Quran wa sunnat key muwafiz bhi nahi.

Yeh to pehle hisse ka jawab hua, shukar hai kuch to kaha. Phir doosre hissa ka jawab nahi diya keh "Agar naa to Hanafi Fiqah hi ko topic par kiun nishana banaya gaya? Seedha keh dete keh Fiqah aur chaaron mazahib hain hi Sahih Ahadeeth k khilaaf." Iska jawab bhi irshaad farma dain. Phir akhir main aap yeh bhi keh dain keh chaaron aaimah ne Quran aur Sahih Ahadeeth se ikhtilaf kar ke Deen main phoot paida kardi hai ya phir bhi Sahih hain? Akhir aap bhi sochain, keh kia yeh bohot barha jurm hai Deen main phoot paida kardena?

6. Fatiha Khalfal Imam, Rafayadain waghera masaail ko Hanafi Fiqah ka inkaar karne k liye aaj kiun bunyad na banaya gaya keh yeh to maroof masaail hain Ghair Muqallideen ke liye?

Ans. Iska jawab main de diya ki aap ki motbar kitab hidaya hi rafayadain aaur siney par haath bandhney ki kayal hai main un amal par baat nahi karna chahta jo aap nahi kartey, balki main un amal par aap ki daleel chahta ho jo aap kartey hai. Plz samjhney ki koshish karey bhai.

7. Aapne kiun kaha keh yeh masaail Fatiha Khalfal Imam Rafayadain waghera utney important nahi hain, esa kiun kaha? Kia hamari namazain zaya hote dekh kar aap ko kuch bura nahi laga keh aap ke mutabiq Fatiha Khalfal Imam Farz hai aur jo na parhe uski namaz hi batil hai, to akhir yeh is qadr aham mamla aap ke nazdeek utna important kiun nahi?

Ans. Bhai main iska jawab de diya 6th key answer me.

no. 6 ke liye yeh keh abhi bhi yeh jawab nahi hai uncle keh akhir aaj is masail ko Fiqah ka inkaar karne ke liye kiun bunyad na banaya gaya balke kuch aur hi masaail batae gae?

no. 7 k liye yeh keh is ka jawab kahin nahi hai, sawal mera dobara parhain aur ussi ke mutabiq jawab dain.

Ab aap se meri gujarish hai ki plz plz plz idhar udhar na jakar merey 5 sawalat jo aapkey roz key amal me se hai ...i?

Aap masala no. 6 kiun khaa gae jabkeh main us masala par baat kar chuka hun?

Link to comment
Share on other sites

Jo Qur'an aur Hadeeth ke ilawa bhi kisi ko hujjat maane woh kia Musalman hai ya Kafir?.......kar chuka hun?

Mera khayal hai aap jawab nahi de sakege warna aap abhi tak de chukey hotey. khair main janta tha aap qyamat ki subah tak un 5 sawalo key jawab nahi de sakenge mujse har post par sawal par sawal puchte hai main jawab deta ho ki shayad agli post me aap un sawalo ka jawab denge. par afsoos aap key pass jawab nahi hai, main kah raha ho aap jis cheez ko huzzat samjhte hai unse hi jawab de main maan loonga magar jawab de to sahi.

Aaar app baar baar ye jo rafayadain ke rat laga rahe hai to sune ki jis tarah Kisi Maliki se haath bandhney key liye kaha jayega to woh kahega merey imam key nazdeek namaz mey haath nahi bandhey jaath uskey liye apney imam ka kaul huzzat hai aisa har muqallid ke saath hai, Ab jo apna imam sarwarey Qynat Hazrat Mohhammad Sallallaho allehe wassalam ko qubul karta hai aaur agar woh hath siney par nahi bandhey ya rafayadain na karey tab ussey pucha jayega ki aap aisa kyo kar rahe hai jabki aap key imam sarawarey qynat sallallaho allehe wassalm ne sine par hath bandha hai aaur rafayadian kiya hai aap key liye unka amal huzzat hai.

Ab jabki kii app key liye aap key imam ka kaoul huzzat hai to Kyo kar main aap se rafayadain na karney ka israr karo. mera khayal hai ab aap itni wajahat key baad samjh gaye honge.

Aaur bada afsoos hai aap key mutale par ki Mohhammed bin abdul wahab ko gair muquallid samjhtey hai jabki woh aap key chachere bhai they woh hambli they.

Agar agli post me 5 sawalo key jawab de sake to theek warna rahne de. agar aap de denge to main aap se phir kuch nahi poochunga aaur aap 1000 sawal bhi karenge to inshallaha sab key jawab doonga.

[/b]

Link to comment
Share on other sites

Acha, aap ne akhir jaan lia keh aap phaste chale jaa rahe hain to ab un masaail ki aarh main idhar udhar jaa rahe hain. Aap ki yeh chik chik band karne ke liye maine aik alehda topic bana diya hai:

http://www.islamimehfil.info/index.php?showtopic=7364

Chalain, ab aap sharafat se yeh discussion continue karain aur meri pichli post ke sawalat ka jawab dain.

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Kamal hai mainey aap key saarey sawalo key jawabat de diye phir bhi aap kah rahe hai jawab de, kya merey sawalat key aap jawab nahi dena chahte, thic mainey to aap sey kaha tha ki aap qyamat ki subah tak jawab nahi de sakte kyoke ye wahi sawal hai jo aaj se 45 saal pehle pakistan me hazaro logo ki hidayat ka jariya baney they ye meri last post hai agar aap ne kal woh 5 sawalo key jawab de diye to mujeh allaha ki kasam hai ki main phir koi sawal karo main yaha aap ke 1000 sawalo key jawab doonga pehle aap de kyoki aap ne abhi tak aik bhi sawal ka jawab nahi diya

Mujeh pata hai aap phir jor jor se kahenge ki farar ho gaye, agar aap jawab denge to jab tak mere jism me jaan hai main aap se baat karta rahonga warna topic khatam

Sawal aik baar phir note karey aap to khair barelwi hai inka jawab to 45 saal pehle deobandi mufti se dete nahi bana aaur unhone haq ko qubul kar liya.

1. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne zabaan se namaz ki niyat ki ?

2. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne Gardan ka Masah kiya ?

3. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne hukum diya ki mard naaf key neechey haath bandhey aaur aaurat siney par ?

4. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne hukum diya ki aakhri tashhadud me mard apney ultey pair par aaur aurat bator tawarukh apney kulhe par baithey?

5. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ney hukum diya ki 1 dirham se kam Nizasatey Galize agar kapdo me ya badan par lag jaye to usey dhoye bina namaz ho jayegi?

Edited by Qazi
Link to comment
Share on other sites

aap ko bataya tha na keh is discussion ko continue rakhne ke liye aap ke woh 5 se ziyada (jin ko ab aap sirf 5 tak mehdood karrahe hain apni hifazat ki khatir) doosre topic par muntakil kar diye hain aur us par main baat bhi karraha hun lekin apki himmat nahi hui udhar kuch likhne ki? phir se note karlain yeh hai woh topic:

http://www.islamimehfil.info/index.php?showtopic=7364

Aaar app baar baar ye jo rafayadain ke rat laga rahe hai to sune ki jis tarah Kisi Maliki se haath bandhney key liye kaha jayega to woh kahega merey imam key nazdeek namaz mey haath nahi bandhey jaath uskey liye apney imam ka kaul huzzat hai aisa har muqallid ke saath hai, Ab jo apna imam sarwarey Qynat Hazrat Mohhammad Sallallaho allehe wassalam ko qubul karta hai aaur agar woh hath siney par nahi bandhey ya rafayadain na karey tab ussey pucha jayega ki aap aisa kyo kar rahe hai jabki aap key imam sarawarey qynat sallallaho allehe wassalm ne sine par hath bandha hai aaur rafayadian kiya hai aap key liye unka amal huzzat hai.

Aap ka kehna ghalat hai, ap usko hujjat maante hain jisko Imam Bukhari Radi Allahu Anh ne apni Sahih main likha. Aap ke mutabik Hadeeth wohi hai jo Imam Bukhari ne kahi, baqi to... Allah muaf karre aap kia kia kehte hain. Aur Imam ka qoul wohi hai jo Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne kiya. Nabi ne alag alag a'maal kiye to har Mujtahid ke apne ilm ke mutabiq konsa amal chalna chahiye, us par wohi daleel paish karte hain.

Aaur bada afsoos hai aap key mutale par ki Mohhammed bin abdul wahab ko gair muquallid samjhtey hai jabki woh aap key chachere bhai they woh hambli they.

Mana keh shuru main woh Hanbali tha, lekin apki tarha usne bhi Ibn e Taimiya ki taqleed ikhtiyar karli thi.

Agar agli post me 5 sawalo key jawab de sake to theek warna rahne de. agar aap de denge to main aap se phir kuch nahi poochunga aaur aap 1000 sawal bhi karenge to inshallaha sab key jawab doonga.

Qazi:

Kamal hai mainey aap key saarey sawalo key jawabat de diye phir bhi aap kah rahe hai jawab de

jhoot bolte hue aap ko sharam nahi aati... Astaghfirullah!

Aap ne in ka jawab nahi diye jo keh main pooch chuka tha third last post main:

Imam Bukhari ki khidmaat ka kisi ko inkaar nahi. Bass To seedha seedha likh daalain keh jo Imam Bukhari Radi Allahu Anh ko Muqallid maane woh Kafir hai.

Yeh to pehle hisse ka jawab hua, shukar hai kuch to kaha. Phir doosre hissa ka jawab nahi diya keh "Agar naa to Hanafi Fiqah hi ko topic par kiun nishana banaya gaya? Seedha keh dete keh Fiqah aur chaaron mazahib hain hi Sahih Ahadeeth k khilaaf." Iska jawab bhi irshaad farma dain. Phir akhir main aap yeh bhi keh dain keh chaaron aaimah ne Quran aur Sahih Ahadeeth se ikhtilaf kar ke Deen main phoot paida kardi hai ya phir bhi Sahih hain? Akhir aap bhi sochain, keh kia yeh bohot barha jurm hai Deen main phoot paida kardena?

akhir aaj is masail ko Fiqah ka inkaar karne ke liye kiun bunyad na banaya gaya balke kuch aur hi masaail batae gae?
Aapne kiun kaha keh yeh masaail Fatiha Khalfal Imam Rafayadain waghera utney important nahi hain, esa kiun kaha? Kia hamari namazain zaya hote dekh kar aap ko kuch bura nahi laga keh aap ke mutabiq Fatiha Khalfal Imam Farz hai aur jo na parhe uski namaz hi batil hai, to akhir yeh is qadr aham mamla aap ke nazdeek utna important kiun nahi? keh aya ham Musalman hain ya Kafir keh namaz hi na hui?

In ke jawab nahi diye!

Ab dobara yeh ratt na lagaiye ga keh "mere 5 sawal mere 5 sawal", 8 pooch kar 5 tak mehdood karne ki munafiqat aapki to nazar agaee hai. aur Deobandi to hai hi Ghair Muqallid ka chota bhai, to agar woh promote ho kar barha bhai ke darje tak agaya to is main ajeeb baat kia hai? Aap ka woh masaail doosre topic kar discuss ho chuke hain aur apko maloom hi nahi.

Link to comment
Share on other sites

AOA

Janab Qazi Sahab ! Aap ko samjhne main ghalti hoi hai Fiqh ki kitaboon main 2 qism ke masail hote hain 1. Mufta Bihi 2. Ghair Mufta Bihi ....

Janab Qazi Sahab,

Aap ne meri batoon ka koi jawab nahin diya. Kia main is ka ye matlab samjhoon ke aap meri batoon se mutmain hain ?

Zafar Rizvi

Cell: ************

Link to comment
Share on other sites

aap ko bataya tha na keh is discussion ko continue rakhne ke liye aap ke woh 5 se ziyada (jin ko ab aap sirf 5 tak mehdood karrahe hain apni hifazat ki khatir) doosre topi....

Bada afsoos hai ki aap jo language istemaal kartey hai woh alimana nahi hai khair. aap mujeh ilzaam detey hai main idhar udhar bhaag raha ho to mujeh bataiye ki IDHAR SE UDHAR kaun gaya main jo baat karoonga yahi karoonga.

Mera khayal hai ki aap us masley ki taraf ishara kar rahe jo imamat key muttaliq aap logo ney garha hai. to main woh hadith pesh kar raha jo imamt key muttaliq hai :-

Nabi Akram sallallaho allehe wassalam ne farmaya ki Imamat karey logo ki wah jo sabse Jyada Quran ka Quari ho aaur agar Quirat key mamley me sab barabar ho to phir Sabse jyada Sunnat ko Janney wala imamat karey agar ismey sab barabar ho to sabse pehle hizrat karney wala imamat karey aaur agar ismey sab barabar ho to phir jo umar(age) me bada ho wo imamat karey (Sahih Muslim Hadith No. 1422)

Ab hamara ye aquida hai ki ye huzzat hui aaur qyamat ki subah tak ye 4 darze imamat key liye tai pa gaye. Magar chooki aap logo ka bina rasool sallallaho allehe wassalam se ikhtelaaf kiye khana hazam nahi hota. pehele aap logo ne HIDAYA (Jisey aap log Quran ke Mannid kahtey hai Nauzubillaha) me in charo key darze badal diye mulaheza ho aap logo ne likha

1. Sunnat ka sabse jyada jaane wala 2. Quran ka qari 3. Sabse jyada nek 4. sabe jyada age wala

Dekha aap ne charo darze idhar udhar kar diya aaur hizrat ko gayab hi kar diya.

issey bhi ji nahi bhara to 21 darze aaur garh liye woh ye hai.

1. Sabse jyada namaz key hukum jaaney wala

2. Sabse achchi tilawat wala

3. sabse jyada nek

4. sabse jyada age wala

5. sabse achchey chal chalan wala

6. sabse jyada khubsurat shakal wala

7. sabse sharif nasal wala

8. sabse achey libas wala

9. sab barabar ho to parchi dal le

10. ya Phir log pasand kar ley

11. sablse jyada Raounak shakar wala

12. sabse badi nasab wala

13. sabse achi awaz wala

14. sabse khubsurat biwi wala (Nauzubillaha)

15. sabse jyada maal wala

16. Sabse bade sar wala aaur choti sharmgah wala (Nauzubillha deho lanate ho in par allaha ke)

17. sabse jyada darze wala

18. musafir key mukabley me mukeem

19. phir azad, azad kiye gulam key mukable par

20. phir wazo key badley tayyammum wala, gusal key badley tayyammum wala

21. phir log jisey chahe imam bala le (Dur-re-Mukhtar)

Dekha aap ne ab mera kahna hai ki jab 4 darze tai hai to in 21 ki kya jaroorat khair agar aap ko hai to raha karey magar aisa to na kahe ki allah key rasool ne kab farmaya ...... aisa aaur aisa..... Ham apni baat rasool sallallaho allehe wassalam se past (nichi rakhney key kayal hai)

Aap ka kehna ghalat hai, ap usko hujjat maante hain jisko Imam Bukhari Radi Allahu Anh ne apni Sahih main likha. Aap ke mutabik Hadeeth wohi hai jo Imam Bukhari ne kahi, baqi to... Allah muaf karre aap kia kia kehte hain. Aur Imam ka qoul wohi hai jo Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne kiya. Nabi ne alag alag a'maal kiye to har Mujtahid ke apne ilm ke mutabiq konsa amal chalna chahiye, us par wohi daleel paish karte hain.

Ab aap maney ya na maney key bukari huzzat nahi hai balki 1200 saal se sarey key saarey firqo key ulmao ka aik ijmah sa hai ki bukari ki saari hadith sahih hai iskey aisi kuch hadithey jaroor hai jimey aap sallallaho allehe wasslam aaur imam bukhari key bich sirf 4 rawi hai magar woh 7-8 hai bas. jab ham baat karey to woh aisi ho ki ilzaam na lagaya jaye jis cheez ko manney ka mainey dawa karo aap usmey kharabi dikhaiye Jaiye ki quran wa sunnat bat merey liye imam bukhari, muslim, tirmidhi, wagira huzzat nahi hai balki inhoney jo kaam kiye hai woh agar sab key nazdeek sahi karar pai hai to us kaam ki main bhi izzat karoonga.

jhoot bolte hue aap ko sharam nahi aati... Astaghfirullah!

Aap ne in ka jawab nahi diye jo keh main pooch chuka tha third last post main:

Mera khayal hai ab mainey kafi detail me answer de diye hai ab usmey koi cross question na kar key aap mere sawalat ke jawat denge aisa mera sochna hai

Yeh to pehle hisse ka jawab hua, shukar hai kuch to kaha. Phir doosre hissa ka jawab nahi diya keh "Agar naa to Hanafi Fiqah hi ko topic par kiun nishana banaya gaya? Seedha keh dete keh Fiqah aur chaaron mazahib hain hi Sahih Ahadeeth k khilaaf." Iska jawab bhi irshaad farma dain. Phir akhir main aap yeh bhi keh dain keh chaaron aaimah ne Quran aur Sahih Ahadeeth se ikhtilaf kar ke Deen main phoot paida kardi hai ya phir bhi Sahih hain? Akhir aap bhi sochain, keh kia yeh bohot barha jurm hai Deen main phoot paida kardena?

Ji Nahi sirf hanafi fiqah nishana nahi banta balki sabhi bantey hai magar chooki is barey sagir (Hind-Pak) me hanafi jyada hai isliye hanfi fiqah jyada nishana banta hai waran 4ro ne kahi na kahi rasoolullaha sallallaho allehe wassalam se ikhtelaf kiya hai. Aap logo ka kahna hai 4ro haq hai to kai aik aisey masley hai jismey 4ro key alag alag rai hai phir woh 4ro haq kaisey huey main likh deta ho warna aap agle post me merey sawalo ke bajaye in par he bahas karenge mujeh pata hai, woh ye hai :-

1. Darul Harb me Kafir se Sood ka lena dena karna Hanfi majhab me halal aaur dusrey majhad me haram

2. Haiwan ki bai salam hanfi me haram, dusrey me halal

3. Zabardastri ki talaak hanfi me ho jaati hai, dusrey me nahi

4. Hiba ki hui cheez hanfi me wapis li ja sakti hai dusrey me nahi.

5. Quran ki Mazdoori hanfi me Haram dusrey me Halal.

6. Tawaf ke liye hanfi me paaki shart nahi, shafi aaur hambli me shart hai.

Ab meri aap se gujarish hai in mamlat me mujse aaur kuch na poochey pehle mere woh sawal jo main 5 he kiye the aap ne unko khud bada diye ab badey huey sawalo me se kisi aik ka bhi ba daleel Sahih answer dekar merey ameer ban saktey hai. Kyoki jo log yaha visit kar rahe hoonge agar woh imandar hai to woh dekh rahey hai ki sawalat key jawabat dene se kaon bach raha hai.

In ke jawab nahi diye!

Ab dobara yeh ratt na lagaiye ga keh "mere 5 sawal mere 5 sawal", 8 pooch kar 5 tak mehdood karne ki munafiqat aapki to nazar agaee hai. aur Deobandi to hai hi Ghair Muqallid ka chota bhai, to agar woh promote ho kar barha bhai ke darje tak agaya to is main ajeeb baat kia hai? Aap ka woh masaail doosre topic kar discuss ho chuke hain aur apko maloom hi nahi.

Mainey aapkey rafayadain, fatiha khulfil imam ka jawab diya tha aap ne padha nahi ki jo shaks pehle ye tasleem karey ki sarwarey Qynat hazrat Mohhammed sallallaho allehe wassalm ko woh apna imam manta hai ussey hi rafayadain, faitiha aaur digar mamlo par baat karna chahiye. Rahi baat deobandio ki to woh to becharey Hanafi hai aap ki tarah aap key hi bhai aap yaha kya bhaiyo key saath aisa bartao hota hai

Ab mera khayal hai aap key saarey jawabat mainey de diye ab aap ki baari hai merey sawalat ka yahi jawab de dusri jagah jaane waley ko aap bhagoda kahtey hai isliye main nahi chahta ki aap par bhi woh baat lago ho isliye yahi de aaur ab meharbahi karey ki koi cross question na karey agar aisa hai to unhey note kar le aaur apney answer key baad mujse pooch le main jawab deney ka wada karta ho.

1. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne zabaan se namaz ki niyat ki ?

2. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne Gardan ka Masah kiya ?

3. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne hukum diya ki mard naaf key neechey haath bandhey aaur aaurat siney par ?

4. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne hukum diya ki aakhri tashhadud me mard apney ultey pair par aaur aurat bator tawarukh apney kulhe par baithey?

5. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ney hukum diya ki 1 dirham se kam Nizasatey Galize agar kapdo me ya badan par lag jaye to usey dhoye bina namaz ho jayegi?

Abhi tak itney he they aap ne aage badha diye to aage key ye hai.

6. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ney hukum diya ki imamat ki sharait me sab barabar ho to imamat woh karey Jiska Sar bada aaur Sharmgah Choti ho.

7. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne hukum diya ki Charo Imamo mey se kisi aik ki Takleed lazeem hai.

8. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne rafayadain ko mansookh kiya ?

Ab ye 8 sawal huey bina koi cross question kiye huey agar aap sach me muslim hai to inkey jawab dena shuru karey.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...