Jump to content

Excellent Munazra About Rafa Yadain (Must Read)


navaid_khan

تجویز کردہ جواب

  • 1 month later...
(salam) ,

Ghair Mukaladin ke rah-e-farar Munazray mai say, read it.

 

(bis)

(salam)

Janab Naveed Khan sahib

Bohat dino tak main ne is topic per koi jawab nahin diya, lakin guzishta chand dinon se jo kuch arguments (bahas) aap ke Sybarite sahib ne ki us se mujhye andaza hoa (or main ye pehlye bhi note kar chuka tha) ke aap ke Saeedi sahib (munzir-e-Ahlesunnat) ne kis tarha un ghair muqallid sahb (jo ke pechaye kuch kam ilm se lag rahye thye) ko chup karaya hoga

 

Well aap ke aalim sahib ne aik baat bari hi patye ki keh di ke

"Bukhari(RAH), Muslim(RAH), Novi(RAH) or jin jin ne Muslim ke Hadith main Rafa-Yaden ke silsilye main radd pesh kiya hai, in main se koi bhi Hanafi nahin hai, or sirf wohi baat aap per hujjat hogi jo ke aap ke aalim/akabir ka kehna hoga"

To janab jab aap sirf apni sunna chahyengye to phir dunya ki koi taqat aap ko apni sunnye per ya sach sunnye per majboor nahin ker sakti..

aap ke aalim sahib ne wazeh alfaz main Imam Bukhari (RAH), Imam Muslim(RAH), Imam Novi(RAH) ka radd kia hai apnye maslak ke silsilye main... yani ke apni ilm ko fazeelat de hai in imamon ke muqablye main.......?

 

Hanafiya ka ussol hai ke "Mafhoom-e-Mukhalif qabool nahin" to ab aap ko kon samjhaye...

 

Aik mazeed baat ke Rafa-yadain ke baghayer namaz ho jati hai (agar ke iska inkar na karain to), or main is koi kai or jagha bhi bayan kar chuka hon....... Hadith-e-Muslim ke silsilye main zara kooyen (well) se bahir to aayen.

 

Jab ke mukhtalif sahaba se ye amal sabit hai to phir aap ka ye kehna kahan tak sahi hai ke Rafa-yadain ka hukm baad main mansookh ho gaya tha... agar kahyen to naam pesh karon......

 

Shums Ghorye ke harkat (Dum or Sar or jism aik sath hilanye) ke muamlye main agar koi is amal ko ghalat karta hai to kia is se is Rafa Yadain ka naskh sabit ho jayega, ziyadah se ziyadah un hazrat ko taseeh ki zaroorat hai. ke woh ghalat kartye hain.

 

aap ke aalim kehtye hain ke hosakta hai ke "Rafa-Yadain ki mansookhi se mutaliq hadith logon tak na ponhchi ho ya is ke mafhoom ko samajhnye main ghalati hoi ho" (kuch yahi mafhoom hai aap ke aalim sahib ka.

To maqsad hai ke Imam Shafai, Imam Ahmed bin Hambal, Imam Malik in tamam logon ka is per amal hai kia aap ye kehna chahtye hain ke in sab ne ghalat amal kia....? jab ke aap ka ye bhi kehna hai ke tamam maslak sahi hain haq hain......?

 

Sawalat bohat se hai lakin mujhye yaqeen hai ke jawab aap ke paas agar hai bhi to "Sofist" ke tareeqah per ya phir apni Hanafi Hujjat ka keh ker aap logon ne is ko chor rakha hai.... jab ke charon Imamon ka kehna hai ke "humara qol agar kisi hadith se takra jaye to is qol ko deewaar per de maro or sahi hadith ko ikhtiyar karo"

 

Or aap ka kia amal hai, zara muhasibah karain, toor maroor kar khud ko sahi na sabit karayen

 

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

 

(bis)

(salam)

 

Aik or mazeed baat jo ke main apni pichlye reply mian bhool gaya that likhnye se ke,

Jahan aap ke aalim sahib ke ye kehna hai ke Ahl-e-Hadeeth hazrat ne (jo ke merye nazdeek ilm ki kami ka shikar thye) sirf aik hi baat ko ghuma phira kar bayan kiye ja rahye the... to janab aap ke aalim sahib ne kia kiya.... wo bhi to wahi amal kar rahye they

bajaye is ke ke kisi or hadith se istadlal pesh kertye woh bhi Muslim ki Hadith ko apnye amal ke muqablye main apnye haq main sabit kernye ki koshish kertye rahye.

Kion kisi or hadith ka hawala na diya....... jab ke rafayadain ke to bohat si ahadeeth mojood hain lakin mansookhi ki kitni ahadith hain...

 

main dobara araz kar don ke ye amal (Rafayadain) sunnat amal hai wajib ya farz nahin or is ke tark kar denye se bhi namaz ho jati hai lakin shart hai ke is amal (sunnat) ke munkir na ban kar bulkye is ko sahi man ker..

 

Ab jo bhi is ko faraz ya wajib qarar deta hai woh ghalati per hai

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

  • 4 weeks later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...