Jump to content

PLZ JALDI JAWAB DEIN


Qadri

تجویز کردہ جواب

ASALAM-O-ALIKUM ...IS SAWAL KA JAWAB JALDI SAY JALDI DEIN PLZ YEH EK WAHABI YA REPLY HAY JO MEIN AP KO PAST KAR RAHA HON JAZAK ALLAH...

 

 

 

 

Bhai Qadri aap ne tassub me aakar kah dala kaash aapney tahkik ki hoti kyoki Rasoolullah sallallahu alhe wasalam ki baddua hai najd key liye. aaur aap ne ahle hadeeso ko najdi kaha qadri bhai ahle hadees kisi ki parivi nahi kartey siwaye allaha aaur uskey rasool sallallahu alhe wassalm ke. ham abdul wahab ki parivi nahi kartey, main aap ko nazd ka sahi mafhoom samjhane ki koshish karta ho. agar kahi galti ho plz meri islah kariyega.

 

Hadith No. 1 (Sahih Bukhari)

 

Abdullha bin umar (Rd.) se riwayat hai ki Rasullaha sallallahu alhe wassalam ne aik din dua ki E Allaha hamarey liye shaam me barkat nazil farma, E Allaha hamarey liye Yaman me barkat nazil farma, Logo ne kaha E Allaha key Rasool sallallahu alhe wassalam aur hamarey Nazad (Iraq) ke liye Bhi (dua karey) ? Aap sallallahu alhe wassalam ne Farmaya E Allaha Hamarey liye shaam me barkat Nazil Farma. E Allaha hamarey liye yamen me barkat Nazil farma logo ne kaha E Allaha ke Rasool sallallahu alhe wassalam hamary Nazad key liye bhi dua karey ? main samajhta ho ki aap sallallahu alhe wassalam ne tisri martaba farma waha Zalzale aaur fitney hongey aaur waha se shaitan ka singh niklega.

 

 

Hadith No. 2 ( Musnad Ahmed)

 

Abdullha bin umar (Rd) se riwayat hai ki mainey Rasullaha sallallahu alhe wassalam ko Iraq ki taraf ishara kartey huey dekha aap sallallahu alhe wassalam ne kaha –Khabardar ! beshak fitna yaha se hoga, khabardar ! beshak fitna yaha se hoga ye baat aap ne tin martaba kahi (fir kaha) yaha se shaitan ka singh niklega.

 

 

Hadith No. 3 (Sahih Muslim)

 

Salim bin Abdullha (Rd.) ne farmaya E Iraquiyo ! tum chotey chotey masley kis kadar poochtey ho aaur badey gunaho ki shroaat kartey ho . mainey apney baap Abdullha bin umar (Rd) se suna who kahtey they mainey rasoolullaha sallallahu alhe wassalam ko farmatey huey soona hai ki bila shuba fitna yaha se aayega. Aaur apney haath se purab(east) ki taraf ishara kiya ki yaha se shaitan ka singh niklega.

 

Hadith No. 4 (Sahih Bukhari, Musnad Abi Owana, Musnad Ahmed, Humaidi)

 

Kufar ka sarchashma purab(east) (Iraq) ki taraf hai.

 

Hadith No. 5 (Sahih Muslim, Ibn Hibban)

Hazrat abu huraira (Rd) riwayat kartey hai ki rasullaha sallallahu alhe wassalam ne farmaya Iman wa hiqmat ka mahal to yamen hai aaur kufar ka sarchashma (Madina se) Purab(east) ki janib hai.

 

Hadith No. 6 (Sahih Muslim, Ibn Hibban)

 

Logo ki sakti aaur pareshani purab (east) me hai aaur Iman ahle hizaz me hai.

 

Darasal sahih haditho se maloom hua ki hizaz, shaam aaur yamen ye tino country Islam wa Iman ka center hai aaur yaha se islam wa iman ka alam buland hota rahega, aaur madina se east ki taraf Iraq ka ilaka fitno ka sarchashma aaur zalalat wa gumrahi ka centre hai, yaha se bahot se fitno paida huey hai, yaha khair kam aaur shar jyada hai, aap sallallahu alhe wassalam ya yamen wa shaam ke liye khususi barkat ki dua farmai isliye ki Makkah mukarrama jo aap sallallahu alhe wassalam ka paidashi ilaka hai ye yamen ka shahar(city) tha aaur Madina jaha aap sallallahu alhe wassalam ki wafat hui aaur wo aap sallallahu alhe wassalam ka maskan wa madfan ( jaha aap dafan huey)tha. Who shaam ka shahar (city) tha

 

Maloom hua ki hizaz mukaddas ki sarzameen ke liye aap sallallahu alhe wassalam ne barkat ki dua ki aaur nazd jiskey liye aap sallallahu alhe wassalam ne dua nahi ki who Iraq ka ilaka hai jaisa upar zikar ki gai sahih ahadith me describe hai. Arab ke andar Nazd ke naam se bahoot se ilakey hai aaur har aik nazd ke liye aap sallallahu alhe wassalam ne khabar nahi di ki waha se zalzale aaur fitney rahnuma hongey. Balki khaas iraq key barey me farmaya ki waha se zalzaley aaur fitney paida hongey. Isliye ki hadith Nazd ka misdaak asal iraq hai na ki ahle hizaz

 

Aayey pehle Nazad ka sahi matlab samajh le ki Arabic zaban me Nazad kisey kahtey hai, phir dekhey ki arab me nazad naam key kitney ilakey hai. Nazd jiska ka matlab BULANDI AAUR RAFAT HAI GOYA HAR UOONCHI AAUR BULNAD CHEEZ KO NAZD KAHA JATA HAI.

 

Allama Mazduddin Firoz likhtey hai Nazd Buland Zameen ko kahtey hai yaani ooncha aaur saaf rasta wo tamam oonchi zameen wala ilaka jo tahama aaur yamen se shru hota hai aaur iraq se shaam (Syria) tak phila hua hai. Hizaz ki shruaat Zaatey Arak mukaam se hoti hai aaur Zaatey Arak Ahle Iraq ki mikaat hai jaya se who Ahram Bandhtey hai. (Al Kamusul muhit)

 

Maloom hua ki maidan se oonchi aaur bulanad zameen ko Nazd kahtey hai aaur Arab me bahoot se Nazd hai. Sheikh Abdullha Yaqub bin Abdullha al hamvi ne oonchai par situated Nazd ye batay hai.

1. Nazd e Alooz 2. Nazd e Aza 3. Nazd e Barak 4. Nazd e Khaal 5. Nazd e Shara 6. Nazdul Asr 7. Nazdul ukaab 8. Nazd e kubkub 9. Nazd e Maria 10. Nazdul Yamen (Muazmul buldaan, lisanoon arab)

 

Ab sawal ye hai ki tamam Nazd fitno aaur zalzalo key center hai ya koi khaas Nazd hai jaha se fitney aaur shaitan ka singh nazar aaya hai ya nazar aayega ?

 

To upar darz sahih haditho me is baat ki detail maojood ha ids fitno ka center aaur fasadiyo ka thikana Nazd Iraq hai aaur duniya ki history is baat ki gawah hai ki jitney fitney Kufa aaur Basra me ronoma huey hai utney kisi aaur jagah nahi huey.

 

Muhammad bin Abdul Wahab ka Talluk Nazd e Iraq se nahi Balki Nazd e Yamen se hai jiskey liye nabi kareem sallallahu alhe wassalam ne barkat ki dua farmai hai.

 

Lehaza Muhammad bin abdul wahab per etraz karney waly becharey Geography se korey hotey hai. Allaha unhe samajh de aamin.

 

Natiza apni bidato aaur rasmo riwaz aaur shirk jaisey gunaho par parda dalney ke liye bhole bhaale logo ko behkaatey hai unhey maloom hai ye loge tahkik nahi karege. Kaash umaat Allaha aaur Uskey Rasool sallallahu alhe wassalam key tarikey par jam jaye Aamin.

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...