Jump to content

Bidati koun?


MOUWAHID

تجویز کردہ جواب

Bidat ki tareef.

 

89958814sv7.jpg

 

Is ki saza.

 

56055790uu9.jpg

 

(Bukhari Sharif)

 

 

 

Surah Al maida main Allah  (azw) farmataa hai "Aaj k din main nay tum per  deen mukamal ker dia aur tumhaaray lia deen-e-Islam ko pasand farmaya."

 

Matlab k deen-e-Islam mukamal hai.is main kami baishi kernay kaa kisi ko koi hak nahi.Allah k nabi (saw) is duniya say deen ko mukamal ker k gay.

 

Is zamanay ki jo sab say badi bidatain hain woh yeh hain.

 

1.Takleed Shahsi.

 

2.Eid Milad-u-Nabi (saw)

 

3.Qul,Teesra Chaleeswaan e.t.c.

 

4.Masjad main loud zikar.

 

Yeh sab cheezain naa to Allah k Nabi (saw) say na Sahaba karam(RA)say aur naa taba-tabeen say saabit hain

 

jo banda b yeh kaam kerta hai woh bidati hai aur bidati kaa Thikaana Doozakha hai.

 

Allah k Nabi (saw) farmaatay hain k "Her bidat gumrahi hai aur her gumrahi jahanum main lay ker jaanay waali hai."

 

Yahan b Nabi kareem (saw) nay her bidat kaa kaha hai.Yeh nahi kaha k koi bidat sahi hai aur koi bidat ghalat,balky her bidat gumrahi hai.

 

Allah say yehi dua hai k Allah humain in tamam bidatoon say bachnay ki toufeek ata farmaya(AMIN).

Link to comment
Share on other sites

Bidat ki tareef.

 

 

 

Yahan b Nabi kareem (saw) nay her bidat kaa kaha hai.Yeh nahi kaha k koi bidat sahi hai aur koi bidat ghalat,balky her bidat gumrahi hai.

 

Allah say yehi dua hai k Allah humain in tamam bidatoon say bachnay ki toufeek ata farmaya(AMIN).

 

ji har buri bidat gumrahi haii jesay wahabi Firqa Bnana Biddat aur Iska name ANGRezou se

uska name AhleHadees Likhwana Biddat

 

Yehi nahe Masajid Me Loud speaker k Zarye Namaz parhana AUr Izan dena bhi biddat

 

Urdu me Khutba Biddat

 

Jummay Ka Khutba sindhi me biddat

 

Tu har wahabi biddati Aur harr biddati jahunmi me

 

Ye mat samjhana K tumhari biddato k list bss itnay aur haii par time kamm tha isliee tum jesay k lie itna hi kafi haii

Link to comment
Share on other sites

ji har buri bidat gumrahi haii jesay wahabi Firqa Bnana Biddat aur Iska name ANGRezou se

uska name AhleHadees Likhwana Biddat

 

Yehi nahe Masajid Me Loud speaker k Zarye Namaz parhana AUr Izan dena bhi biddat

 

Urdu me Khutba Biddat

 

Jummay Ka Khutba sindhi me biddat

 

Tu har wahabi biddati Aur harr biddati jahunmi me

 

Ye mat samjhana K tumhari biddato k list bss itnay aur haii par time kamm tha isliee tum jesay k lie itna hi kafi haii

 

Assalam-o-Alikum Yasir Bhai,

 

Kia aap is Biddat ki tareef kersaktey hian jis key liyain Hazoor Sallaho Alihey wassalam ka irshad hai key "Biddati Jahanumi hian"

 

Humain intezar rahy ga

 

Nasir Noman

Link to comment
Share on other sites

 

بسمك اللهم ولك الحمد سرمدا والصلاة والسلام عليك يا رسول الله دائما أبدا وعلى آلك المجتبى وأصحابك أولى الأدب والصفا

 

السلام على من اتبع الهدى

 

bawajood is k k bud mazhabon ko hamaray ulama (كثّرهم الله ) bar bar "ghar tak pohncha chukay" phir in main say koi wo farsooda or bewakoofi say bhrpoor suwalat keye jatay hain jin ki zad say khud "in k ghar" mahfooz naheen!

 

main pochta hon mu wahid Id walay sahb say k : janab ye to batadia k Hadees main yon hay Quran e kareem main ye hay ...............ye bhi to irshad ho k

 

Q1:-bid'at k jo mafhoom janab samjhay kia yehe mafhoom muraad e Baare Ta'ala or Rasool e Aa'la (عز وجل و صلى الله عليه وسلم ) hay ya naheen ?

 

Q2:-ager hay to is per Ulama e mutaqaddimen ya muta'akh khiren say kisi Aalim nay k jin ki jalalat per ummat k ittefaak hay Mufassir hon ya Shahrah ya Faqeeh nay mazkora ayat o hadees k yehe mafhoom bayan kia hay or deger mafaheem ki siray say sarahat k saath nafee ki hay?zaror naam e mubarak ma hawala e kutub e matboa irshad ho.

 

Q3:-or Us nafee ko baad k Ulama nay mukarrar bhi rakha hay ya un Aalim sahab ki raey keh ker jumhoor nay rudd ker dia........?mukerrareen k asma ma hawala kutub e matboa irshad hon ........jazak Allah !

 

Q4:-sekron saalon say taqleed e shakhsee kernay walay un ulama o muhaddeseen o mufassereen o fuqaha or deeger afraad jo ijtihaad ki salahiyat na rakhtay un k baray main janab kia kehtay hain k taqleed e shakhsee ker k wo bidatee hoay ya naheen ?or bidatee ho ker (معاذ الله ) (khaak ba dahan e gustakh!) jahannami hoay ?

 

Q5:- or bidateyon ko sheikh al-Islam, Imam ,hadi , rahnoma , waghaira kehna un ki tasaneef say istifada kerna,un k lia dua e maghfirat o tarah hum kerna jub k "janab" k baap dada jo guzray unhon nay taqleed e shakhsi ko shirk tak kaha to bakol ap k mushrikon ko musalmaan samajhna kia kufr o shirk ko Islam samajhna naheen or ye kufr hay ya naheen ............to janab apnay baap daadaon ki khaber di g a k wo asi tazeem ker k musalmaan kb rahay ?

 

Q6:- or khud app janab asay baap dada ustaad jo mushrik ki tamam umr kitabain parhtay sanade hadees latay rahay un ko musalmaan samajh ker musalmaan rahay?

 

Q7:-ya aap apnay or apnay baap daadaon k lia alag shariat mantay hain?aam musalman karay to kafir o mushrik o bid'atee or app k baap dadaon k lia khaas halal !!!???(العياذ بالله المتعال ولا حول ولا قوة إلا بالله )

Q8:- kia quroon e salasa(3 zamany yanee zamana e Aqdas or sahaba k zamana or tabaeen k zamana) main na sabit honay say koi kaam jo k fi nafsihi mubah ho or bal k uski asl deen main saabit ho to bidat o haraam ho jata hay ?Qur'an ya Hadees ki kis ayat ya riwayat say ye qaid sabit hoti hay ?

 

Q9:-ager asa hay to ap ko ilm hay k ap k tamam muamlaat kia isi murawwaja tarikay per sabit hotay hain .....?ba hawala e kutub irshaad ho k fulan cheez ghairmukallidon ki Sarkaar k zamanay main ya sahaba k zamanay main ya taba'een k zamanay main mojood thi (صلى الله عليه وسلم ورضي الله عنهم )

......tafseel k saath irshaad ho ?

 

Q10:-ager ilm naheen to beghair ilm k deen main koi baat kehna kia bidat naheen? or ap bidati hoay ya naheen ........???

 

تلك عشرة كاملة

 

bidati kon k jawab ap ko mil gaya!

 

 

 

 

 

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

ji har buri bidat gumrahi haii jesay wahabi Firqa Bnana Biddat aur Iska name ANGRezou se

uska name AhleHadees Likhwana Biddat

 

Yehi nahe Masajid Me Loud speaker k Zarye Namaz parhana AUr Izan dena bhi biddat

 

Urdu me Khutba Biddat

 

Jummay Ka Khutba sindhi me biddat

 

Tu har wahabi biddati Aur harr biddati jahunmi me

 

Ye mat samjhana K tumhari biddato k list bss itnay aur haii par time kamm tha isliee tum jesay k lie itna hi kafi haii

 

:lol::lol::lol::lol::lol::lol:

 

Aghar thori see sharam aur aqal hoi tu reply nahi karai ga yahan koi wahhabi

Link to comment
Share on other sites

:lol::lol::lol::lol::lol::lol:

 

Aghar thori see sharam aur aqal hoi tu reply nahi karai ga yahan koi wahhabi

Tum Jahal aadmi ho.....Tum yaa to hadees kaa inkaar ker do ya is ko maan lo.aur  Nabi (saw) say jo kaam main nay batay hain woh saabit ker k dikhao.Aur nahi to faaltoo post na kero.Hum ko Quran aur Hadees sunao.Kisi imam ki baat agar Nabi (saw) ki baat k mukhlif ho to us ko hum nahi maantay.Tamam duniya k imam aur tumaharay wali ki baatain aik taraf aur humaray Nabi (saw) ki aik hadees k aik lafaz ka b mukabala nahi ker saktin.Tum kia bat kertay ho.

 

 

Quran aur hadees say saabit kero mairay bhai.k Jo bidatain main nay batai hain woh theek hai.

Link to comment
Share on other sites

Bidat ki tareef.

 

 

Allah k Nabi (saw) farmaatay hain k "Her bidat gumrahi hai aur her gumrahi jahanum main lay ker jaanay waali hai."

Yahan b Nabi kareem (saw) nay her bidat kaa kaha hai.Yeh nahi kaha k koi bidat sahi hai aur koi bidat ghalat,balky her bidat gumrahi hai.

Allah say yehi dua hai k Allah humain in tamam bidatoon say bachnay ki toufeek ata farmaya(AMIN).

 

Waqai Har Biddat Gumrahi hai to phir Hazrat Umar ko wahabi biddati kehny ki jurrat karengy?

 

Taraweeh_bidat_e_hasna.gif

Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlwi ne "Kullo Biddatin Zalal" is Hadees ki Sharah kya ki hai aapko Toufeeq mili ki aap sharheen Hadees se kuch Madad lete..oh par ye to Shirk ho jata :lol:

Kya_ha_BIDDAT_Gumrahi_hai____Shah_Abdul_Haq_Dehlwi.gif

Agar Deen me Har Naya Tareeqa Nikalna Biddat kehlata hai to Imam Muslim ki Sahih Hadees kya kehti hai zara iska Jawab Sary Wahabi sir jor kar de dein...

Islam me Achchy or bury Dono Tareeqy Ijad ho sakty hain...Biddat e Hasna ka ek or Saboot

untitled.GIF

 

Link to comment
Share on other sites

 

Assalam-o-Alikum Yasir Bhai,

 

Kia aap is Biddat ki tareef kersaktey hian jis key liyain Hazoor Sallaho Alihey wassalam ka irshad hai key "Biddati Jahanumi hian"

 

Humain intezar rahy ga

 

Nasir Noman

 

 

جی جناب مجھھ سے پہلے بھی بدعت کی تعریف لکھھ دی گیءپر آپکے کہنے پر دوبارہ پڑھیں

 

post-1691-1232788759.gif

Link to comment
Share on other sites

Matlab k Allah k Nabi(SAW) Nay kaha k Saari bidatain gumrahi hain to us kaa kia?Muhadas dehlvi kia Allah k Nabi(SAW)say ziada aalam tha?(Allah mujhay Mouaff Keray)

Sirf is baat kaa jawab do.

 

sirf Ahadis ka Lafzi tarjuma parh kar hadees ka mafhoom samajh me aa sakta to sharaheen e Hadees ko itni moti moti jildon me inki sharah likhny ki zaroorat nahin hoti har banda khud hi barahe rast hadeeso se masail hal kar leta ( :lol: jaisa ki aap ka dawa bhi hai or aapka haal bhi yahi gawahi de raha hai ki aapky istedlaal ke kya kehny) ab aap khud hi muhasba kar lein ki aapky istedlaal se to sahih ahadees me takrao aa jayega phir ya to ek hadees ke munkir ho kar dusri hadees par amal karogy ya phir hum ahle sunnat ki tarah ahadees ko shareheen hadees se hal karwaogy jo hadees ki sahi sharah is tarah karty hain ki na kisi hadees ka inkaar lazim aata hai na apas me takrao...samjhana maqsood ye hai ki mein mein ki rat na laga kar Ahle Ilm Hazrat ka Daman jab tak na pakrogy isi tarah thokry khaty rahogy....

 

aapny kaha har biddat gumrahi hai to phir khulefa Rashideen ki Husny biddat bhi gumrahi? aapny Hazrat umar wali Hadees ka jawab na diya chaliye na diya to na sahi par kam az kam ek baar soch to lete ki jis moqif ko aap sabit karna chah rahy ho kahin us se jaleel qadr ulul azam sahaba or khalifa hazrat......

  • Abu bakr bach payengy (Jinhony Quran pak ko ek jahag ek Qitab ki Shakl me Jama karny ki Husny Biddat ki?
  • Hazrat Umar (ra) bhi bach payengy jinhony Taraweeh ko ba ehtmaam pury ramzaan ek Imam ke peechy (ba jamaat) jama karny ki Husny Biddat ki?
  • Hazrat Usman par kya Fatwa lagaogy jinhony apny dor e khilafat mein Namaz e Juma se QABL Pehli Azaan ki Husny Biddat ki?
  • Hazrat Ali ko to Kharji (jinki towheed ka rang hu ba hu aap ki rago me dorhty lahu ki misl tha :) ) Biddati kehty thy ki unhony bhi un kharjiyo ki or Hakim Musallat kiya tha?

kya Khayal hai aapka Khulfa Rahedeen ka Dor Biddato ka Dor tha (MazAllah) ki aap hi ne kaha ki har biddat (Chahy Biddat e Hasna hi kyo na ho) zalalat hai or Sab Jehnnum me le jany wali hain. :o

 

hosh ke nakhoon lo or Jehnnum aql ke ghory na dora kar zara Ahle Mohobbat or Ahle ilm ka saath thamo...warna jo haal aapka hona hai wo yahan bilkul wazeh hai...

 

Har Biddat zalalat hai par Sirf wo Biddat jo Waqai Islam/Quran/ Hadees/Sharait e Muttahira se Takraye

Biddat against islam/Quran/shariyat is rejected

(Not every new thing is rejected)

Sahhih bukhari

bukhari.GIF

English translation :

 

* Narrated Aisha: Allah's Apostle said, "If somebody innovates something

 

which is not in harmony with the principles of our

 

religion, that thing is rejected."

 

(Book #49, Hadith #861)

 

 

 

Sahih muslim

Muslim.GIF

English translation:

 

  • 'A'isha reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: He who innovates things in our affairs for which there is no valid (reason) (commits sin) and these are to be rejected.

(Book #018, Hadith #4266)

 

 

 

If anyone innovates something which contradicts our Religion, then it is rejected.>> In meaning, both of the hadith are the same, yet the second hadith has a specific terminology that is used, and an understanding pertaining to that terminology. This terminology pertains to dispraising what is innovated in the Religion--specifically what contradicts the Religion. This clearly denotes that the things innovated which comply with the Religion are not dispraised, because the Prophet specifically said: "The one who innovates something that does not conform to the rules of our Religion." Hence, he who innovates an innovation which complies with the Qur'an, the hadith, the ijma^, and the sayings of the Companions belongs to the innovations of guidance.

Link to comment
Share on other sites

Tum Jahal aadmi ho.....Tum yaa to hadees kaa inkaar ker do ya is ko maan lo.aur Nabi (saw) say jo kaam main nay batay hain woh saabit ker k dikhao.Aur nahi to faaltoo post na kero.Hum ko Quran aur Hadees sunao.Kisi imam ki baat agar Nabi (saw) ki baat k mukhlif ho to us ko hum nahi maantay.Tamam duniya k imam aur tumaharay wali ki baatain aik taraf aur humaray Nabi (saw) ki aik hadees k aik lafaz ka b mukabala nahi ker saktin.Tum kia bat kertay ho.

 

Quran aur hadees say saabit kero mairay bhai.k Jo bidatain main nay batai hain woh theek hai.

 

Zyada batain nah karo woh humein bhi ati hain waisy mein Jahil Admi ko hawala daina munasib nahi samajhta laikin app ki zuban ko Lock lagane ky liye apni kahi hoi baat ka saboot Ahadith say pesh karta hon.

Allah app ko Hadayt Naseeb Farmai :unsure:

Bidat.gif

Link to comment
Share on other sites

  • 2 months later...
Zyada batain nah karo woh humein bhi ati hain waisy mein Jahil Admi ko hawala daina munasib nahi samajhta laikin app ki zuban ko Lock lagane ky liye apni kahi hoi baat ka saboot Ahadith say pesh karta hon.

Allah app ko Hadayt Naseeb Farmai :unsure:

 

(bis)

(salam)

Janab Ghulam-e-Mustafa sahib

guzarish hai ke aap tamam log Muwahid sahib ke sawalon se to nazreain chura rahye hain or sawalat ka jawab ke tor per sawal dagh rahye hain..

Munasib hota ke aap log sirf Muwahid sahib ke post ke jawab main koi hadith pesh kartye ke Eid Meelad, Qul, Teeja, Chaleeswan, buland awaz ke saath zikr ki mehfil,

 

ghuma phira ker aap apna mouqif sabit nahin kar saktye hain. biddaton ki taareef ki un he logon ko zaroorat parti hai jo ke apnye amal ko sahi sabit karnye ki koshish kartye rehtye hain.

 

Jawab to Hazrat umer (ra), Hazrat Abu Bakar (ra) and Hazrat Usman (ra) ke amal ka bhi mojood hai lakin aap ko nazar nahin aayega, kion ke jab aap sirf un ahadith ka mutalia karyengye jo ke aap ke muwafiq hai (chahye sahi ya zaeef, ya mozoo) to phir mazeed kisi or cheez ka nazar aana mohal hai.

 

barah-e-karam psot ke mutabiq jawab dain,

 

Rahi Hadith ke "Islam main jo shakhs achye tareeqye ko rayej karega" to janab again wahi baat jo aap ke baqool Sheikh Abdul Haq muhadith dehalvi ke mutabiq (Usool or Qwaed-e-Sunnat or os se Qayas ki hoi) ho to woh Biddat-e-Hasana hai, to janab "aap ye sabit karyen ke aap ke Qul, Chaleeshwan, Teeja, Meelad, Zikr Quran-o-Sunnat se nahin takratye hain" warna aap khud hi biddat ko maan lain.

 

Taraveeh Hazoor (saw) se sabit hai lehaza sirf alfaz (us waqt ke Arabi adab o Zuban) ki wajah se is ko biddat nahin maan lengye.

Hazrat Usman (ra) ka doosri azan shoroo karana logon ko ziyada se ziyada Juma main shamil karnye ki gharz se tha jo ke un ke hukm ke mutabiq masjid se bahir bazar main di jati thi.

Quran ke jama karnye ko aap biddat keh rahye hain ??? jab ke istadlal ke liye ye hi kafi hai ke Hazoor-e-Akram (saw) ke zamanye main hi Hazoor-e-Pak (saw) ne is ki khitabat shoroo kara di thi jis ke liye kuch sahab (ra) makhsoos thye

 

Ab in teeno mas-alon ke hawalye aap ko chahiyen to janab zara mehnat karin ur kutub ahadith main mulahiza kar lain.

Han agar na milye to phir mujhye zaroor kahen ke main ne ghalat kaha hai.

(Alfaz ke tarteeb ghalat honye per Allah ( (azw) ) mujhye muafi karaye, woh beshak bara Ghafoor-o-Raheem hai)

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

 

(bis)

(salam)

Janab Toheedi sahib,

Wahi saboot to hum maang rahye hain, baraye meharbani pesh kar dain, Siyya, Hasana ki taareef ka shukriya lakin is waqt dalayel pesh kar dain, zaeef ahadeeth ka majmooa, ya Zaeef, munkir, waaze, shakhs ki riwayaton ka majmooa nahin pehs karian........ kion ke aap ke nazdeek zaeef ahadith agar bohat se hon to woh hasan ke darjye main pohanch jati hain......

 

or agar pesh hi karni hai to atleast tamam sandadon ke saath,

Agar sahi ahadith hon to sirf kitab ka hawala hi kafi hoga..

 

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

  • 2 years later...
  • 3 weeks later...

phali baat tu yeh hay jab prophet pbuh nay kha deya kay every innovation is misguidance, tu har biddat is may shamil hay, or jhan tak hz. umer ki baat hay wo khain say biddat nahi kynka prophet pbuh nay salh tul lail 3 din phari aik jamat may pharhae or muktalif rakatain phahe is liye hz. umer ra par yeh tankeed gustakhi hogi.

 

dosri hadith jo paish ki gai hay tu us may tu saaf saaf likha hay "amal" biddat nahe likha yani masjid banwana konwa khudwani school bana wagera or aik or hadith bhi hay muslim may jis ka mafoom hai "kay agar koi deen may koi cheez dalay sawab ki niyat say jo phalay deen may nahi wo mardood hay"

 

or saab say bari baat yeh hay kay har juma kay khutbay may bhi yehi baat dhorae jati ha "deen may koi cheez dalna biddat hay biddat zalalat hay yeh gumrahe ki taraf lajati hay or jhanam ki aag may lay jaigi".

 

or baat hay izan ki tu yehan saaf toor pay sabit hay bazar ja ka izan dejati thi kyunkay us dour may loud speaker tu tha nahi abb azan ki awaz bazar tak pouhanch jati hay is liya abb is ki koi zarorat nahi.

 

biddat ko is liya mana kiya gaya hay kay har koi agar apni taraf say add karaga tu deen tu rahega nahi sirf biddat rah jaegi jis tharha essaeyoun or yahoudioun nay kiya.

Edited by mani2002
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...