Jump to content

Ahl-e-Tassawuf ki Karistanian

Abdulsalam

تجویز کردہ جواب

(bis)

(salam) to All

Janab is Post per insha Allah (azw) hum Ahl-e-Tassawuf ke Afkar-o-Nazariyat, mashaghil, Amal ko discuss karyengye....

koshish yehi ho gi ke un ki mustanid kitabon ke hawalye se baat ho, or in ke jawabat bhi mustanid hawalon se hi qabool hongye

Ye baat zaoor pesh-e-nazar rahye ke Ahl-e-Hadith hazrat ke yahan Ulama Aqeedah ke silsilye main Hujjat naihin rakhtye hain,

sirf wo batain Hujjat rakhti hain jo Quran-o-Sunnat ke mutabiq hon, ya phir agar in ka zikr in (Quran-o-Hadith main radd ya mowafiq) main na milye to Sahaba, (ra), Taabaeen (RAH), in ke baad Buzurgan-e-Deen (RAH) , in ke baad Ulama-e-Akram ki batain hujjat hongi.

Agar Moderator, Administrator, ya members hazrat ko kuch kehna ho to banda Hazir hai

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Edited by Abdulsalam
Link to comment
Share on other sites

Ye baat zaoor pesh-e-nazar rahye ke Ahl-e-Hadith hazrat ke yahan Ulama Aqeedah ke silsilye main Hujjat naihin rakhtye hain, sirf wo batain Hujjat rakhti hain jo Quran-o-Sunnat ke mutabiq hon, ya phir agar in ka zikr in (Quran-o-Hadith main radd ya mowafiq) main na milye to Sahaba, (ra) , Taabaeen (RAH), in ke baad Buzurgan-e-Deen (RAH) , in ke baad Ulama-e-Akram ki batain hujjat hongi.

Abdul Salam

Aqaid mai Ulama hujjat nahe rakhtay , sirf wo batain ......... alakh

is ki wazahat karain, aur doyam yei ummid hai kay kay Sofiyat kay babarkat naam ka sahara lay kar sh amin aur is jaisay bazigaro ki bato ko Ahlesunnat Waljamat kay pallay mai dalnay say ijtinab karain gai.

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

(bis)

(salam)

Janab Saif-ul-Islam sahib

Aqaid mai Ulama hujjat nahe rakhtay , sirf wo batain ......... alakh

Is ka matlab ye ke Agar kisi Ahl-e-Hadith aalim ne koi baat apni tasneef main likhi ho (Quran-o-HAdith se takranye ki sorrat main) to wo tamam Ahl-e-Hadith Hazrat-o-Ulama per lago nahin hoti na hi is ka matlab ye hoga ke Tamam Ahl-e-Hadith ulama ka is per ittifaq hai.

Is barye main ya to un Aalim ne tardeed ki hogi ya phir Rojoo ker liya hoga (Yaqeenan) jin ki wazahat un ke amal se hogi/ho sakti hai.

aur doyam yei ummid hai kay kay Sofiyat kay babarkat naam ka sahara lay kar sh amin aur is jaisay bazigaro ki bato ko Ahlesunnat Waljamat kay pallay mai dalnay say ijtinab karain gai.

Sh. Aamin ke baat main nahin kar raha hon.... Main jab kisi ki baat karonga to un ka naam, Hasiyat Tasawoof ki dunia main kia hai. is per amal kesye or kon karta hai, ke sath karonga (Insha Allah)

Han sh. Amin ka hawala is soorat main zaroor diya ja sakta hai ke kin wajoohat (Soofiyana ifkar-o-Aamal) ki wajah se wo is soorat ho gaya.

fi-aman:

(salam) Abdul Salam

Edited by Abdulsalam
Link to comment
Share on other sites

  • 3 weeks later...
مراسلہ: (ترمیم شدہ)

(bis)

(salam)

Aap log yaqeenan soch rahye hongye ke nai post shoro kar ke main ghayeb kahan ho gaya, shaid mere paas koi mawad mojood hi nahin tha ur main ne "be per ki urai" thi.

To janab aaj kal masroofiyat kuch ziyada hai jis ki wajah se main kuch likh nahin paa raha hon

jesye hi firaghat hasil hoti hai ya kuch waqt milta hai meri posts shoro ho jayengi Insha Allah (azw)

fi-aman:

(salam)

Edited by Abdulsalam
Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)
(bis)

fi-aman:

(bis)

(salam)

Ye aik Chota sa risala pesh-e-Khidmat hai, mulahiza karain

or agar koi ikhtilaf ho to brah-e-karam mutallaa' karain

Attachment Removed

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Edited by Sag-e-Attar
Aap Tassawuf Key Khilaf Ager Kuch Kuch Point Post Kerein Tu Jawab Milney Ki Umeed Hai.. Ager Aap AhleTassawuf Ki Karistaniyaan Post kerein Aur Jawaban Aapko AhleHadith Anti Tassawuf Ki Karsitanyan Koi Post Kerey tu Topic Ka Faida Nhin..
Link to comment
Share on other sites

Is ka matlab ye ke Agar kisi Ahl-e-Hadith aalim ne koi baat apni tasneef main likhi ho (Quran-o-HAdith se takranye ki sorrat main) to wo tamam Ahl-e-Hadith Hazrat-o-Ulama per lago nahin hoti na hi is ka matlab ye hoga ke Tamam Ahl-e-Hadith ulama ka is per ittifaq hai.

Is barye main ya to un Aalim ne tardeed ki hogi ya phir Rojoo ker liya hoga (Yaqeenan) jin ki wazahat un ke amal se hogi/ho sakti hai.

Bilkul sahi kaha aap ne. Agar koi fard-e-wahid ghalat baat karta hai tu uss ki zimay'dari poori jamaat per nahi daali jaa sakti. Lekin agar woh fard-e-wahid kisi khaas tabqay mein aik mustanadd maqaam rakhta hon tu phir baat aur hai. So kehnay ka maqsad ye ke jaisay aap ne kaha ke ya tu uss ki tardeed hogi ya phir rujoo, dono soortain mein qiyaas se kaam nahi chal sakta lihaza saboot muhaiyya karna hoga. Maslan agar aap ke samnay kisi Ghair'muqallid ka qoul rakh jaye tu aap ye keh kar jaan nahi choraye ke jee hum nahi mantay, ya ye ghalat qoul hai, iss tarah ki zaati raye per mabni tardeed naqabil-e-qubool hogi. Ya tu aap ko kisi doosray mustanadd Ghair'muqallid mufti ka fatwa ya kisi mustanadd alim ki wazeh tardeed paish karna hogi ya phir uss alim ka rujoo'nama. Amal se wazahat ki baat be'tukki si hai kyu agar kisi alim ke qoul aur amal mein tazaad ho tu phir woh kis tarah mustanadd ho sakta hai.

Janab Jawab itna aasan hai ke shayed aap ki sooch is taraf na gai ho... ke ahl-e-Hadith ulama ki ghalition ka radd ke silsilye main Ahl-e-Hadith ulama ki us ziman main pesh ki gai tasaneef hi us ka radd hain jis main kisi qisim ki koi takhsees nahin hai ke woh radd kisi deobandi, barelvi, qadiyani, pervezi, shia ke liye hai or kisi ahl-e-Hadith ke liye nahin to phir mazeed kisi our fatwaye ki kia zaroorat.

Jahan tak rojoo ki baat hai to janab aaml hi sab kuch hai. ab aap qol-e-faa'l main tazaad ki baat karengeye to janab ye to batayen ke kab hum ne kisi aalim ko deen ke silsilye main mustanid maana hai han "tehqeeq" is se alag cheez hai

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...