Jump to content

786/92 ka matlab.........!


Abdulsalam

تجویز کردہ جواب

(bis)

(salam)

 

Main aik post ke reply main ye topic start kar raha hon,

 

kuch din pehly aik sahib Malik Rizwan ne aik sawla "Request" section main post kia ke

1) 786 ka kia matlab hai?

2) 92 ka kia matlab hai?

3) ye kahan se akhaz keye gaye?

4) is ki sharai hesiyat kia hai?

 

to is ke jawab main aik fatwa post kia gaya jo ke mundarija zel hai

 

post-2536-1231505122.gif

 

is ka jawab to main abhi nahin de raha... lakin main chand din pehlye yahoodion ka aik Ilm jisye "Kabalah" kehtye hain dhoondh raha tha and is ke ilawa un ki zuban sikhnye/samajhnye ke liye koi kitab bhi dhoondh raha tha to mujhye kuch kitabain mileen

 

us ke baad jab ye post (786 ka matlab) meri nazron se guzra to mujhye yaad aaya ke kuch is ke barye men main kahin or bhi parh chuka hon

wo sab kia hai ye baad main bataon ga lakin sare dast ye pages hazir hain.

 

Attachment 1

 

post-2536-1231505514.jpg

 

Attachment 2

 

post-2536-1231505535.jpg

 

Attachment 3

 

post-2536-1231505585.jpg

 

Ab zara page attachment1 and Attachment2 ko Attachment3 se milain and compare karain or batain ke kia samajh men aata hai

 

Wese jo Hadith qote ki gai hain wo weyse kis Hadith ki kitab se Qote ki gai hai ye bhi zara batain meharbani ho gi (ye main Azrah-e-Tamaskhur nahin ke raha) bulke main zaroor janna chahta hon ke kia Yahoodion ka Ilm sahi hai jo hummye is per amal kerna chahiye??

 

(salam)

fi-aman:

Abdul Salam

Edited by Abdulsalam
Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(saw)

(bis)

(salam)

Humarye Asif Attari Sahib ko kuch ziyada hi jaldi hoti hai reply post kernye main!.

Jab ke main ne khud hi aik fatwa post kia tha Darul Ifta ki taraf se jis main ke Ilm-ul Aadad ko Sharai sabit kernye ki koshish ki gai thi.

Is ke ilawa main ne kuch sawal bhi kiye thye or mawazna kernye ko kaha tha, jin ka jawabat ka hanooz intizar hai.

 

well Asif sahib kia aap batana pasand karyengye ke Tafseer-e-Bezavi main jo Hadith riwayat ki gai hai

us ki Asnad kia hain?

Kin Ahadith ki Kutub main is Hadith ko Riwayat kia gaya hai,

Is Hadith ki Sehat kesi hai?

 

Ye to thye tamam puranye sawalat, ab aatye hain aap ke Post kerdah reply ke nateejye main zehan main aanye walye sawalat

aap ke post se ye to zahir hota hai ke Ilm-ul-Aadad Hazoor ke Zamanye main mojood tha or Hazoor-e-Akram ne is ke barye main sakoot farmaya (Lakin ye Hadith ke sehat, o Asnan se mashroot hai), is ke ilawa main bhi is ilm ke mojood honye ka qail hon,

lakin sawal ye hai ke Kia aap Kisi Doosri Zuban ko, ya is ke kisi juz ko Quran ki Ayat ka mutabadil thehrah saktye hain?

agar han to kia in nambron ko hum kisi bhi kam ke shoroo kernye se pehlye sirf 786 bol ker shroo ker saktye hain (kion ke ye mutabadil hain)?

agar han to agar koi in alfaz ko yad kerlye to kia wo Hafiz-e-Quran kehlayega?

agar han to kuch Quran ke nuskhon ke shoroaat and ikhtitami safhat per kuch Soratoon ke naqoosh diye jatye hain jo ke un sooraton ke khuas rakhtye hain to kia in naqoosh ko yad ker lenye se ya sirf in Naqoosh ko aik bar perh lenye se poorye Quran ka sawab mil sakta hai?

 

ab aatye hain aap ke is dawye ke taraf ke ye Aadad(Jamal ka hisab) sirf Arabi ke sath makhsoos hi liye hain aur kisi or zuban main hum is tarha ki koi misal pesh nahin ker saktye to janab aap sarf-e-Nazar se kaam le rahye hain, zara merye post kerda images ko dekhnain is ke mutabiz Ibrani (Israeli) zuban is ke sab se pehlye mukhrij hain baad main kuch logon (Kin ne ye tehqeeq talab hai) is ko Arabi ke sath makhsoos ker diya

 

ab aap ki aasani ke liye main aik image dobara post kar raha hon,

 

post-2536-1231912492.jpg

 

ab zara is image ko mulahiza farmayen or batain ke Aadad ka ilm kahan se mustakhrij hai

 

Kuch mazeed sawalat bhi hain lakin aaj ke liye itna hi kafi hai

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

Humarye Asif Attari Sahib ko kuch ziyada hi jaldi hoti hai reply post kernye main!.......

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

(bis)

(salam)

Janab Asif Attari sahib

Aap ne ya kiya kia?, Aap ne apnye aik hummaslak ko 786 ke barye main apne hi maslak ki doosri shakh Deoband ko reply kernye ke liye isi post ka hawala de dia??

Janab ab aap ke hum maslak sahib agar ye pooch parye (agar samajhdar hon to) ke is main to kcuh mazeed sawalat mojood hain jis ka jawab aap ne abhi tak post nahin kia to phir.....?

 

Well chand din pehlye aik sahib ki kitab nazron se guzri, koi kashmiri sahib thye jindhon ne Tafseer-e-Bezavi ke Pehlye parye ki tafseer ko kuch aasan lafzon main tarjuma kia tha, and us ketab ke mutabiq, Tafseer-e-Bezavi main jo Ilm-e-Jamal ke qaeeda ke barye main riwayat mojood hai wo sirf aik riwayat hai, jab ke isi ke jawab main un ka kehna hai ke is se koi daleel Ilm-e-Jamal ke silsilye main nahin li jastki,

 

Doosri baat ke is silsilye main ke Alif Laam Meem, Alif Laam Raa', ke silsilye main unhon ne aik rajeh qol naqal kia hai jis ke mutabiq in Horoof-e-Muqqatta'at ko Horoof-e-Hija, ya Haroor-e-Hajja kaha hai or is ke matlab zamanye ka nahin liya hai.

 

wesye mujhye ye nahin pata ke ye sahib kon thye ya hain.... han agar aap log un ki kitab ke barye main janna chahtye hain to zaroor batain, main insha Allah is kitab ka nam, Musannif ka nam, or further details bhi post ker donga

 

Jawab ka intizar rahe ga

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

jaldi jawab mil jaye tab bhi aapke pait me dard jab takheer ho tab bhi ? aakhir majara kya hai? :rolleyes:

 

apki maloomat me ho ki hum ehle mohobbat ke liye khat or Qitabat me Allah (jallah) ke ism e mubarak ko behumrati se bachnay le liye bismillah ki jagah 786 ka likhna jayaz hai...ab agar aap ko ye ehtiyaat na pasand ho or aap isky khilaf kamzan ho kar Bismillah shareef likh likh kar khato ke zariye isy jooto chappalo me rondwayein (Alayazobillah) to Aap ke amaal aapky saath...siwaye isky Ahle Mohobbat ka maqsad or kuch nahin par aap jab tak Allah or usky Rasool ki shan ko Girany ka apna Sabsy eham Maqsad poora na kar lein aapki shaitaani towheed ko chain kahan (Lanat hai)

 

aapny riwayat ki sanad poochi...to janab sanad to Qaazi Bezaavi se mangein or saath hi ye bhi ki unhony yahoodiyat ko taqwiyat dene wali riwaytein kyo apni tafseer me bayan ki hain?

 

akin sawal ye hai ke Kia aap Kisi Doosri Zuban ko, ya is ke kisi juz ko Quran ki Ayat ka mutabadil thehrah saktye hain?

 

ye us Qurani ayat ka replacement hargiz nahin ho sakta (na kisi ne Quran ki ayat ki jagah 786 likhny ka hukm diya) ye usky adaad hain just like a code...jisy dekh kar banda Bismillah parh sakta hai...

 

jab aapky nazdeek Sahib e tafseer Sahib e ilm sahib e Imaan Qazi Bezavi ki paish karda tafseer me quote riwayat koi hujjat nahin to ye to yahoodiyat ke saath namak halaali ka saboot hi qarar payega ki aap kisi falan falan yahoodi ki book ke page no 10 ko hujjat manty huey...unky transliteration is ilm ko unki jageer bawar karwana chahty ho aap sabit karein ki ye ilm yahoodiyat ki ijaad karda hai...

 

agar han to kia in nambron ko hum kisi bhi kam ke shoroo kernye se pehlye sirf 786 bol ker shroo ker saktye hain (kion ke ye mutabadil hain)?

 

Aqal ke peechy lath lekar doro to yahi bachkany sawaal zehan me aaty hain...humny kab 786 ko bolny ke liye likha jab ki hum isy bismillah ke adaad ki tarah istemaal karty hain (reason apko bhi maloom ki kyo) na ki bismillah shareef ki jagah bolny/parhny ke liye...bewaqoofi ki had hai... :lol:

agar han to agar koi in alfaz ko yad kerlye to kia wo Hafiz-e-Quran kehlayega?

 

last sawaal ka jawab haan me nahin to..apky sawaal fizul or bachkany.... :lol:

 

agar han to kuch Quran ke nuskhon ke shoroaat and ikhtitami safhat per kuch Soratoon ke naqoosh diye jatye hain jo ke un sooraton ke khuas rakhtye hain to kia in naqoosh ko yad ker lenye se ya sirf in Naqoosh ko aik bar perh lenye se poorye Quran ka sawab mil sakta hai?

 

last sawaal ka jawab haan me nahin to..apky sawaal fizul or bachkany.... :lol:

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(salam)

Ya Muhammadah bhai..........aap ny buht zabar10 jawabaat diye hain.......

 

(azw)(ja)

in logo k liye to itna hi kehna kafi hy....

AQL hoti to KHUDA sy na larha'ee lety..!!

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)
(bis)

aapny riwayat ki sanad poochi...to janab sanad to Qaazi Bezaavi se mangein or saath hi ye bhi ki unhony yahoodiyat ko taqwiyat dene wali riwaytein kyo apni tafseer me bayan ki hain?

 

(bis)

(salam)

Janab Asif Attari sahib, idhar udhar ki ko kahi lakin, Ilmul Adad ko sharai sabit kernye se qasir hain aap, yahan tak ke aap ye kehnye per majboor ho gaye ke hum jaa ker Janab-e-Bezavi (RAH) se poochain ke aap ne ye riwayat kion kot ki.....? yar kia ho gaya hai aap ko???

 

main ne to ye bhi bata diya ke aik Kashmiri sahib ki kitab main jo ke tarjuma hai is tafseer-e-Bezavi ke pehlye parye ka, ke is riwayat se Ilm-e-Jamal ki dalil nahin li jasakti.... aap phir bhi is ke peechye parye hain.

 

Janab ab aap hi ne to is koi Ilm-ul Adad ke silsilye main fatwye ki soorat main pesh kia tha ab aap hi keh rahye hain ke Riwayat ki Sanad-o-Hasiat-o-Sehat ke barye main Hazrat-e-Bezavi se poocha jaye??

Is ka to aik hi matlab hai ke be-dalil hi sahi bus chon ke riwayat shuda hai to dalil ho gai.... bhat hi acha ilmi andaz hai aap ke ulama ka......

 

ye us Qurani ayat ka replacement hargiz nahin ho sakta (na kisi ne Quran ki ayat ki jagah 786 likhny ka hukm diya) ye usky adaad hain just like a code...jisy dekh kar banda Bismillah parh sakta hai...

janab zara fatwye ki taraf nazar dorain, is ku mutabiq "in aadad ko Qurani Alfaz-o-Ayat se khas nisbat hai" or aap keh rahye hain ke bilkul bhi ye kisi aayat ke mutabadil nahin ho sakti...? ya to fatwa ghalat ya phir aap ka khud sakhta jawab..... mazeed ye ke "786 ko ulama ne is liye liya ke Bismillah ke likhnye ka badla ho jaye" aap ke pesh kiye gaye artical ke page 2

 

 

jab aapky nazdeek Sahib e tafseer Sahib e ilm sahib e Imaan Qazi Bezavi ki paish karda tafseer me quote riwayat koi hujjat nahin to ye to yahoodiyat ke saath namak halaali ka saboot hi qarar payega ki aap kisi falan falan yahoodi ki book ke page no 10 ko hujjat manty huey...unky transliteration is ilm ko unki jageer bawar karwana chahty ho aap sabit karein ki ye ilm yahoodiyat ki ijaad karda hai...

Bhai sahib aap ko bunyadi tor per ilm hi nahin ke "kabala" kis ilm ka nam hai, Yahoodi is se kis tarha faida utha rahye hain, Nimorology kis bla ka nam hai, Shiayat ke nazdeek ye Ilm Hazrat Ali (ra), jab ke kuch riwayat main Hazrat Jaafar (RAH) se mansoob hai......

 

Jab aap in sab baton se la-ilm hian to phir aap ke samnye kuch bhi rakh diya jaye aap ke liye Aap ke Ulama hi hujjat hain.......

ab aap ye batain ke aap kis tarha ke sabooton se manye gye?

 

main to ye bhi bata dena chahoonga ke Nimorology (Ilm-ul-Aadad) ka ilm basicaly yahoodion ne bhi Kaldanion (Chaldian) se liya hai or ye unka (Yaoodion ka) bhi ijaad karda nahin, is main qabil-e-zikar tabdiliyan zaroor yahoodion ki hain kion ke kaldanion ke nazdeek Huroof Ibrani ya Arabi nahin hotye thye

 

 

Aqal ke peechy lath lekar doro to yahi bachkany sawaal zehan me aaty hain...humny kab 786 ko bolny ke liye likha jab ki hum isy bismillah ke adaad ki tarah istemaal karty hain (reason apko bhi maloom ki kyo) na ki bismillah shareef ki jagah bolny/parhny ke liye...bewaqoofi ki had hai... :lol:

 

Janab chon ke aap ne kaha ke hum sirf khatoot per jo ke ghair muslim ke hathon main, napak ke hathon main jatye hain, per likhtye hain to phir sab se pehlye aap ko ye karna chahiye ke apnye Fatawaon per se in ko mita dain, wo to yaqeenan kisi ghair muslim ke hathon ya Naapak ke hathon main nahin jatye hongye...? agar han wo jatye hain to Subhan Allah ke Bismillah jo ke aik sorrah ki aik mustaqil ayat hai us ki taazeem to itni lakin Fatawon main mojood Qurani Aayat ka koi khayal nahin, is main mojood Allah ke nam ka, Hazoor-e-Akram (saw) ke namon ka kuch ahsas nahin

 

hum khutoot main our bohat se alfaz ke sath kisi ka nam Abdullah (jis main ke Allah ka lafz aata hai) bhi likh detye hian, kisi ka pura nam je saka Muhammad Ali, Muhammad Taha bhi likh detye hain to kia un ki koi hesiyat nahin........?

 

Janab jawab detye hoye zaroori hai Pasban-e-Aqal ka bhi sath ho...

 

is ka bhi solution hia ke kis tarha hum in be-adbion se bach saktye hain, lakin baraye meharbani Ilm-ul-Adad ko sharai sabit kernye ke liye had se na guzar jayen or dalilon ke sath guftogo karin

 

last sawaal ka jawab haan me nahin to..apky sawaal fizul or bachkany.... :lol:

Aap ke pesh karda Risale ke page number 3 (printed 4) ke mutabiq Ahl-e-Kashf (yani Ghaib ki batain zahir kernye walon) ke mutabiq in aadad ko in Alfaz ke sath aik khas Batni Rabt (Pooshida Taaluq) hai to phir sawal ka jawab aap ke hi pesh karda risalye main moojood hai.

 

last sawaal ka jawab haan me nahin to..apky sawaal fizul or bachkany.... :lol:

 

Jab aap ke kitabon main likha aata hai ke "Jo shakhs flan soorat ko itni martaba perhaiye ya phir aik makhsoos din ya waqt per makhsoos taadad main is soorat ke naqsh (jo ke ilm-ul-Aadad ki sorat main kuch murraba (Square, Triangle) o Musalath shaklon main likhye hotye hain) ko pieye ga wo flan fazilta hasil karyega ya is ka flan faida hoga (is ke liye door janye ki zaroorat nahin, kisi bhi Shishdah Soorah ki kitab, ya Wazaef -o-Awrad ki kitab utha lain) to phir ye ilm-o- Adad sorat ki misl nahin to phir kia hain...........?

 

 

Sab se aakhir main aik mazeed baat aao ke gosh guzarna chahonga ke "Nadan dost se Dana Dushman acha" Lehaza Dana Dushman dhoondhyen or Nadan doston se peecha chura lain

 

 

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Edited by Abdulsalam
Link to comment
Share on other sites

  • 4 weeks later...

 

(bis)

(salam)

Janab Asif Attari sahib ya jo koi bhi is topic to read karye

Janab baraye meharbani Tafseer-e-Bezavi main riwayat ki gai Ilmul Aadad ki silsilye main riwayat ki Sanad Pesh karyen

 

Or agar koi sanad na milye to isi tarha aik fatwa Darul-Ifta se nikalwayen ke Ilmul Aadad ko manna ghalat hai.

 

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...