Jump to content

SALAM TO SHAHEED-E-KARBALA.


Gham-e-Madinah

تجویز کردہ جواب

Assalamu 'Alaykum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

ASALATU WASALAMU ALAYKA YA RASULLALLAH

 

SHARE YOUR VERSES MANQABATS & SALAMS IN THE LOVE OF SHAHEED-E-KARBALA.

 

Karbala ko Karbala K Shensha Par Naz Hai.

 

Us NAWASE Pe MOHAMMAD MUSTAFA Ko Naz Hai

 

Yun Tou Lakho'n Ne Sajde Kiye Per

 

"HUSSAIN" Ne Wo Sajda Kia Jis Par KHUDA Ko Naz Hai.

Link to comment
Share on other sites

Syed ney karbala mey wa'dey nibhaa diye hai

Deen-e-Muhammadi (Sallallahu 'alayhi wa salim) key gulshan khila diye hai

 

Sughra sey kaha Shah ney, mat roko mujhey beyti

Deen lut-tha hey Naney kaa sar dey key bachaney do

 

Qur'an mera dil hai, Qur'an ki mey jaan hu

Qur'an ko neyzey par, Qur'an sunaney do

 

Fatimat-uz-Zahra ka hey doodh piya mey ney

iss doodh ki Karbal mey ab laaj nibhaney do

Link to comment
Share on other sites

Khwaja Muin al-Din Hassan Chishti (Radiallahu anhu) said:

 

"Shah ast Hussain*, Badshah ast Hussain*,

Deen ast Hussain*, Deen panah ast Hussain*,

Sar daad, Na daad dast dar daste Yazid,

Haqqua ke binayae La illaha hast Hussain*"

 

The king of martyrs is Hussain*, The king of kings is Hussain*,

Hussain* is the way of life (Islam), The savior of Islam is Hussain*,

He gave his head but not his hand (allegiance) into the hand of Yazid,

In truth the foundation of the adoration of one Allah Subhanahu wa Ta'ala is Hussain*."

Link to comment
Share on other sites

jazak Allah khair sister

 

Baag e Jannat ke hai bherai madhakwan e Ahl e Bayt

tum ko muzdah naar ka hai dusman anai Ahl e Bayt

 

Un ki paaki ka Khuda e Paak kar ta hain bayaan

aya e tatheer sai zahir hai shaan e Ahl e Bayt

 

Un ke ghar me be ijjazat Jibraeel atai nahi

qadar walai jaan te hain qadr o shaan e Ahle Bayt

Link to comment
Share on other sites

Kausar k Saaqi ka wo

Nawasa HUSSAIN tha

 

Karbala k dasht main

pyasa HUSSAIN tha

 

Baadal yazeediat k jo

pheley chaar suu

 

Un main chamakta ek

sitara HUSSAIN tha

 

Karta wo kese haath

pe bait yazeed k

 

Us waqt sab se

Arfa-o-aala HUSSAIN tha

 

Hilney Laga Tha

Arsh-e-ELAHI bhi Us Ghari

 

Jab Karbal Ki Rait Pe

Tarpa HUSSAIN tha

 

Pardes main Shaheed

jisay kr dia gaya

 

Wo MUSTAFA ( Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ki

aankho'n ka Tara HUSSAIN tha

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(saw)

 

(salam)

 

us hussain ibn-e-hadir pe lakhoon salam,

ker liya nosh jis ne shahadat ka jaam....

 

jis ko dhokhay se kofay bulaya gaya,

jis kay bachoon ko payasaa rulayaa gaya,

kanjer zulm jis per chalayaa gaya,

us ki kamil shahadat pe lakhoon salam

 

(ra)(ra)(ra)

 

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(saw)

 

jis ne haq karbala ka adaa ker diya,

jis ne nana ka wada wafa ker diya,

jis ne kunbay ka kunbaa fida ker diya,

badsha-e-sakhawat pe lakhoon salam......

 

(saw)(saw)

(ra)(ra)(ra)

 

 

(bis)

 

(saw)

 

jis ne haq karbala ka adaa ker diya,

jis ne nana ka wada wafa ker diya,

jis ne kunbay ka kunbaa fida ker diya,

badsha-e-sakhawat pe lakhoon salam......

 

(saw)(saw)

(ra)(ra)(ra)

 

Link to comment
Share on other sites

Assalamu 'Alaykum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

ASALATU WASALAMU ALAYKA YA RASULLALLAH

 

TERE DIL MAIN KAISI GIRAH PARI TUJHAY US SE ITNA HASAD HAI KYUN?

 

JO NABI KI AANKH KA NOOR HAI JO ALI KI ROOH KA CHAIN HAI

 

KABHI DEKH APNE KHAMEER MAIN KABHI POOCH APNE ZAMEER SE

 

WO JO MIT GAYA WO YAZEED THA, JO NA MIT SAKA WOH HUSSAIN HAI

Link to comment
Share on other sites

jazak Allah khair brother

 

if you are in search of the (Divine) Sight,

lower your head during prayer

distance your Self from your heart,

erase your Self during prayer

then will the Spirit of God become visible to you during prayer

but first, like Hussain, become beHeaded during prayer

and say

 

"Ya Hussain, Ya Hussain"

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Jin ko dhoke se Kufa bulaya gaya

 

Jin ke bachchon ko pyaasa rulaya gaya

 

Jin ke gardan pe khanjar chalaya gaya

 

Us Hussain ibne Haider pe lakhon salam

 

 

 

Kaun Shabbir woh jin ka nana Nabi

 

Jin ki maa Fatima jin ka baba Ali

 

Us Hussain ibne Haider pe lakhon salam

 

 

 

Karliya jis ne naush shahadat ka jam

 

Us Hussain ibne Haider lakhon salam

 

 

 

Jin ka jhula farishtey jhulate rahe

 

Lohrian deke noori sulaate rahe

 

Us Hussain ibn e Haider pe lakhon

 

 

 

Jis ne nana ka wada wafa kar dia

 

Jis ne haq karbala mein ada kar diya

 

Apne ghar ko suparde khuda kar diya

 

Jis ne neze par bhi Quran par diya

 

Us Hussain ibne Haider pe lakhon salam

Edited by Gham-e-Madinah
Link to comment
Share on other sites

Assalamu 'Alaykum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

ASALATU WASALAMU ALAYKA YA RASULLALLAH

 

SHARE YOUR VERSES MANQABATS & SALAMS IN THE LOVE OF SHAHEED-E-KARBALA.

 

Karbala ko Karbala K Shensha Par Naz Hai.

 

Us NAWASE Pe MOHAMMAD MUSTAFA Ko Naz Hai

 

Yun Tou Lakho'n Ne Sajde Kiye Per

 

"HUSSAIN" Ne Wo Sajda Kia Jis Par KHUDA Ko Naz Hai.

(ja)

(sa)

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

Haq se paae wo shaan-e-Kareemi

Marhaba dono aalam ke Waali

Wo Muhammadpbuh.gif ka Pyara Nawaasa

Jisne Sajde mein Gardan kataali

 

Jo Iben-e-Murtaza ne kiya kaam khoob hai

Qurbaani-e-Hussain ra.gifka anjaam khoob hai

Qurbaan ho ke Fatima Zehra ra.gifke chain ne

Deen-e-Khuda ki shaan barhaayi Hussain (ra) ne

Bakhshi hai jisne Mazhab-e-Islam ko hayaat

Kitni azeem Hazrat-e-Shabbir ra.gif ki hai Zaat

Maidaan-e-Karbala mein Shah-e-khush Khisaal ne

Sajde mein Sar kataa ke Mohammad pbuh.gif ke laal ne

Zindagi bakhsh di bandagi ko

Aabroo Deen-e-Haq ki bachaali

Wo Muhammadpbuh.gif ka Pyara Nawaasa ra.gif

Jisne Sajde mein Gardan kataa li

*******************************

Edited by Hanafi Muslima
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...