سگِ عطار مراسلہ: 30 اگست 2006 Report Share مراسلہ: 30 اگست 2006 Mujhay Madinay ki do ijazat Mujhay Madinay ki do ijazat nabi e rahmat shafiye ummat pilaao bulwa k jaam e ulfat nabi e rahmat shafiye ummat ager nahi meri aysi qismat sada hazoori ki paaon lazzat rulaye her dam tumhari furqat nabi e rahmat shafiye ummat atta ho mujh ko gham e Madinah tapaan jiger chaak chaak seena berhay mahabbt ki khoob shiddat nabi e rahmat shafiye ummat lagaao seenay main aag aysi qaraar paaye na dil kabhi bhi rulaaye din raat teri ulfat nabi e rahmat shafiye ummat main naam pe teray wari jaaon main ishq main teray sar kataaon do aisa jazba , do aysi himmat nabi e rahmat shafiye ummat Husnain ibn e Ali ka sadqa hamaare Ghous e Jali ka sadqa atta Madinay main ho shahadat nabi e rahmat shafiye ummat her ik nabi her ik wali ka sadqa tujhay teri her ik gali ka sadqa day taibah main mernay ki sa,adat nabi e rahmat shafiye ummat Imam Ahmad Raza ka sadqa hamaaray Murshad Zia ka sadqa baqee_e_gherqad karo inaayat nabi e rahmat shafiye ummat waseela khulfaaye raashdeen ka tamaam ashaab w tabaeen ka jawar jannat main ho Inaayet nabi e rahmat shafiye ummat mujhay tum aysi do himmat Aaqa(saw) doon sab ko neki ki dawat Aaqa(saw) bana do mujh ko bhi naik khaslat nabi e rahmat shafiye ummat qaleel rozi pe do qana,at fazool goyee se de do nafrat Darood perhanay ki bas ho aadat nabi e rahmat shafiye ummat gunaah k daldal se ab nikaalo mujhay sanbhaalo mujhay bacha lo kahin na ho jaaon SHaah ghaarat nabi e rahmat shafiye ummat bana do saber o raza ka pekar banoon khush akhlaaq aisa Serwer rahay sada nerm hi tabiyat nabi e rahmat shafiye ummat keray kia Attar maal o dolat issay nahi chaahiye hakoomat yeh tera taalib hai jaan e rahmat nabi e rahmat shafiye ummat اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔