fatma barekzai مراسلہ: 9 دسمبر 2008 Report Share مراسلہ: 9 دسمبر 2008 Assalam o laikum, Main aur meri Family Sunni hain.Lehkin main apni Khushi se Shia ban na chahti hoon.Isslie mujhe aap logon ki Zaroorat hai. Please mind naa kijiega mere Sawalon ka, main Germany main born hui hoon, yahan koi nahi hai jo mujhe sahi guide karey...... Mera Pehla Sawal yeh hai ke kiya ek Syed larka ek Shia ya ek Sunni Larki se Shadi karsakta hai ya nahi?Aur agar haan, to isska Saboot kahan likha hua hai quran main? Bohot bohot shukria...allah hafiz. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umar Taj Attari مراسلہ: 9 دسمبر 2008 Report Share مراسلہ: 9 دسمبر 2008 Can u please explain ur Question? aur aap ko kya aisa Sunni hone mein bura(bad) laga ya Shia hone me acha laga jo ke Aap Sunni mazhab ko chor kar shiat ikhtiar karna chahti hain?. Shayad aap ki madad ki ja sake. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Bismillah مراسلہ: 9 دسمبر 2008 Report Share مراسلہ: 9 دسمبر 2008 (ترمیم شدہ) aslamo alekum! pehli to aapko yeh janana hoga keh islam mein tamam firqon mein se sahi konsa hai, hadees mein ata hai keh nabi paak salalho alehey wasalam ne farmaya keh meri umat mein se 73 firqey hon gey jin mein se sirf ek janat mein jaeyga, aur wo ahlesunnat(sunni) ka firqa hai jo ke quran aur hadees ke mutabiq hai aur ahlesunnat hi HAQ par hai, ab ap is hadees se anadaza laga lijiey keh shia aur sunni mein kya farq hai. aapne kaha sayed larka, yaqeenan aap suni larkey ki baat kar rahi hain, agar aissa hai to merey khialse koi bhi sunni ahlesunnat ke bahir kissi aur se shadi nahi kar sakta jab tak k samne wala/wali bhi sunni na ho jaey. aap quran para ki jiey aur yaqeenan haqeeqat ap ke samne a jaey gi, agar nahi parna ata to seekhaney ki koshish kijiey, kyon k merey khial se seekhaney ki koi bhi umar nahi hoti, insaan sari zindagi kuch na kuch seekhata hi rehta hai. umeed hai keh ap haq par chalney ki rah hi talash kar rahi hain. yeh website visit kijiey aur madni channel dekhiey: http://www.dawateislami.net/ Edited 9 دسمبر 2008 by Bismillah اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Bismillah مراسلہ: 10 دسمبر 2008 Report Share مراسلہ: 10 دسمبر 2008 (ترمیم شدہ) hairangi hui pard kar k aap sunni se shia convert hona chahti hain, astagfirullah, koi ek aissi reason batai jiss ki waja se aap shia banana chahti hain, aapko to allah ka shukar karna chahiey k, aap ahlesunnat mein se hain, kabhi allah k walion ki kitabein pard k to dekhein keh kya kya karamtein hui hain ahlesunnat walon ki aur mujhe koi aik aissi karamat bata di jiey jo k kissi shia k saath hui ho. Hazrat Imam Malik razi allah tallah unho madina munawra mein rehtey they aur un ko har roz Hazrat Muhammad Mustafa Salalaho Alehey Wasalam ki ziarat naseeb hoti thi aur Hazrat Imam Malik razi allah tallah unho yaqeenan ek sunni they aur aj un k najaney kitney lakhon mananey waley hain jo k un ki pervi kartey hain aur apne aap ko maliki kehtey hain. abhi aap meri behen khud sochiey k jis shaks ko Nabi Paak Salalaho Alehey Wasalam ki har roz ziarat naseeb hoti ho wo admi galit kaissey ho sakta hai. Allah Hum sab musalmano ko Nabi Paak Salalaho Alehey wasalam ki seerat mubaraka par hamesha amal karne ki tofeeq ata farmaey, Ameen Edited 10 دسمبر 2008 by Bismillah اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
سگِ عطار مراسلہ: 10 دسمبر 2008 Report Share مراسلہ: 10 دسمبر 2008 Aap Ney Likha Key Guide Kerney Wala Koi Nhin.. Tu Umeed Hai Aapko Ager Kuch Pesh Kiya jaye Ga Tu Aap Ussey Dil Sey Qabool Kerein Gi... Islam Mein Sab Sey Ahm Cheez Aqaid Hai... Ager Koi Kitna Hi Kalima Perhey, Namaz Perhey, Her Cheez Sahi Islam Key Mutabiq Baja Laye Mager Bunyadi Aqaid Mein Sey Kisi Aik Cheez Ka Inkar Kerey.. Maslan Namaz Tu Perhey Mager Farz Na Samjhey... Tu Woh Musalman Nhin Rahey Ga... Yeh Sirf Aik Misal Hai.. Aisi Aur Kayi Batein Hain... Shia Key Aqaid Islami Aqaid Key Sara Sar Khilaaf Hain... Aapko Shia Key Aqaid Per Tafseeli Malomaat Farhaam Ki Ja Sakti Hain.. Ager Aap Kuch Waqt Intezar Ker Lein.. Abhi Eid Ki Masrofiaat Hain... InshaAllah Kuch Dino Mein http://www.islamieducation.com/ur Website Per Shia Mazhab Sey Related Aik Complete Book Post Ki Jaye Gi.. Jis Mein Her Bat Ba Hawala Tehreer Hai.. Aap Woh Ager Perh Lein Gi Tu Yaqeenan Aap Apna Yeh Irada Tark Ker Lein Gi... Aapka Dosra Suwal Hai.. Sayid Ki Ghair Sayid Sey Shaadi... Tu Sayid Ki Shaadi Ghair Sayid Sey Ho Sakti Hai.. Is Sey Related Aik Booklet Bhi Hai Aur Dar ul Ifta AhleSunnat Key Fatwey Yahan Dar ul Ifta AhleSunnat Section Mein Bhi Mojod Hongey... InshaAllah Uska Link Bhi Aapko Jald Post Kerney Ki Koshish Hogi.. Mager Shart Yeh Hai Key Sayid Bhi Sunni ho.. Key Badmazhab Sayid Nhin Ho Sakta.. Bara e Karam Kuch Waqt Intezar Kerein.. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Awais11 مراسلہ: 2 جولائی 2011 Report Share مراسلہ: 2 جولائی 2011 Assalam o laikum, Main aur meri Family Sunni hain.Lehkin main apni Khushi se Shia ban na chahti hoon.Isslie mujhe aap logon ki Zaroorat hai. Please mind naa kijiega mere Sawalon ka, main Germany main born hui hoon, yahan koi nahi hai jo mujhe sahi guide karey...... Mera Pehla Sawal yeh hai ke kiya ek Syed larka ek Shia ya ek Sunni Larki se Shadi karsakta hai ya nahi?Aur agar haan, to isska Saboot kahan likha hua hai quran main? Bohot bohot shukria...allah hafiz. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔