Jump to content

Namaz mein kapdon aur degar masail


Bismillah

تجویز کردہ جواب

Salaam2.gif

 

mein Canada, Montreal mein rehta hoon, hamarey ghar k paas jo musalah (Masjid) hai mein us mein namaz parney jata hoon, wahan par kuch namazi Maliki hotey hain aur kuch namazi Hanafi hotey hain, Is musalah mein jitne bhi log atey hain na to un mein se koi mufti hai, na hi koi bada alim aur na hi koi Hafiz-e-Quran, bas chand log ek Musalah(masjid) mein akathey ho jatey hain namaz parney k liey, aur na hi yahan par koi imam fix kiya ja sakta hai, lehaza kabhi imamat koi Hanafi kara leta hai aur kabhi koi Maliki aur aam tor par azan hanafi deta hai, aur am tor par Imamat ek Maliki karata hai, maliki jo hotey hain wo amtor par sar par topi nahin pehantey namaz mein (shaed is liey k Imam Malilk k lihaz se un ki namaz bina topi ke bhi ho jati hai) aur agar un ki pant lambi ho to usey neechey se fold bhi kar letey hain ta' k un ki pant takhnon se neechey na ho, aur wo log merey khial se Morocco se hain. main ek hanafi hoon, aur maine para hai k agar kaprey neechey se ya uper se fold hon to namaz par Kirahitey-Tehreemi lazam aeygi, yani k namaz dobara parni ho gi.

1. ab aissi jaga pe agar imam koi maliki ho aur wo kaprey fold kar k ya phir bina sar ki topi k jamat karata hai to us k peechey pari gai namaz ho jaey gi ya dobara parni ho gi? agar ho jaegi to theek hai aur agar dobara na pardi jaey to gunnah to nahi?

 

2. ab iss musala(masjid) mein taqreeban har namaza k liey kabhi 5 admi atey hain aur kabhi aissey hi 8, aur kabhi 15 k qareeb jin mein kuch hanafi aur kuch maliki. is liey imamat kabhi koi hanafi aur kabhi koi maliki karata hai, aissi situation mein pari hui namaz ho jaey gi ya nahi.

 

3. ek fatawey mein yeh bhi hai keh, agar koi maliki imam hanafi mazhab ki riaayat karta ho to us k peechey namaz parna jaiez hai, ab agar meri situation mein yeh na maloom ho keh maliki jo k imamat kara raha hai wo hanafion ki riaayat karta hai ke nahi, to kya karen? aur waissey riaayat se kya murad hai?

 

4. ab agar meri is situation k mutabiq aap kehtey hain keh jo namaz maine kissi malilki k peechey pari thi usey dobara parna ho ga, to dobara parney ki bajaey agar mein akeley par loon to kaissa hai?

 

5.yahi baat meine masjid mein se kissi admi se poochi jo k hanafi hai aur is musallah mein ata hai bachon ko quran ka sabaq paraney aur log unhen imam bhi keh kar pukartey hain, aur wo jummah ki imamat bhi karatey hain, unhon ne kaha keh, hamarey musllaha k mutabiq, unhon ne kaha ke agar imam k kaprey fold bhi hon, chahey wo maliki ho ya hanafi, phir bhi un peechey pari gai namaz ho jaey gi kyon k daddi, kaprey, yeh imam ki sharait mein se nahi hain.

 

6. meri situation k mutabiq, iss musalah mein, jahan par har namaz k waqat taqreeban 2 se lekar 15 k qareeb log atey hain wahan par jab koi hanafi imamat karata hai aur us ne apne kaprey takhnon se uper rakhaney k liey neechey se fold kiye hon ya phir naley ki jaga se fold kiey hon, to us k peechey pari gai namaz dobara parni ho gi ya nahi, agar nahi to theek hai agar han to agar wo namaz dobara na pari jaey to gunnah to nahi?

 

mujhe in sawalon ka jawab tafseel se, kissi hadees ya fatawey ke tehad chahiey, agar koi apney is bhai ki mushkil ko hal karna chahta hai to. bohat shukrya!

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

bohat shukrya janab!

is mein unhon ne kaha ke jab imam riayat karta ho tab us k peechey imamat jaez hai, kaissey pata chaley k wo meri riayat karta hai ya nahi?

aur riyat ko english mein kya kehtey hain? aur wo log to english boltey hain, pata nahi kaissey un se poochon,

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...