Jump to content

Kiya Sahabi Rasool Allah saww Se Afzal Tha ?


mufti-e-azam

تجویز کردہ جواب

Ahle Sunnah Ki 50% Ahadees Hazrat Abu Huraira Se Riwayat Ki Gaye Hain Jab K Woh Jang e Khyber Mein Musalman Huay Magar Phir Bhi Khair Yeh Topic Nahi Hai..Unn K Baray Mein Kaha Jata Hai k Abu Huraira Bhooltay Nahi Thay Kiun K Unn Ko Dua Thi..Shayed Aisa Hua Ho Magar Bohat Ajeeb Lagta Hai K Hazrat Abu Huraira Ko Sirf Dua Di To Woh Kuch Nahi Bhooltay Thay Magar Rasool Allah saww Kabhi Quran Bhool Jatay Thay to Kabhi Namaz...To Iss Se To Rasool Allah (saw) Se Hazrat Abu Huraira Afzal Ho Gaye Naozbillah Ahle Sunnah K Aqeeda K Mutabiq..

post-2598-1227041361.jpg

post-2598-1227041412.jpg

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

(bis)

 

hadith 1

 

119 ـ حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ أَبِي بَكْرٍ أَبُو مُصْعَبٍ، قَالَ حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ بْنِ دِينَارٍ، عَنِ ابْنِ أَبِي ذِئْبٍ، عَنْ سَعِيدٍ الْمَقْبُرِيِّ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قُلْتُ يَا رَسُولَ اللَّهِ، إِنِّي أَسْمَعُ مِنْكَ حَدِيثًا كَثِيرًا أَنْسَاهُ‏.‏ قَالَ ‏"‏ ابْسُطْ رِدَاءَكَ ‏"‏ فَبَسَطْتُهُ‏.‏ قَالَ فَغَرَفَ بِيَدَيْهِ ثُمَّ قَالَ ‏"‏ ضُمُّهُ ‏"‏ فَضَمَمْتُهُ فَمَا نَسِيتُ شَيْئًا بَعْدَهُ‏.‏ حَدَّثَنَا إِبْرَاهِيمُ بْنُ الْمُنْذِرِ قَالَ حَدَّثَنَا ابْنُ أَبِي فُدَيْكٍ بِهَذَا أَوْ قَالَ غَرَفَ بِيَدِهِ فِيهِ‏.‏

( Bukhari , kitab Al Ilm)

 

 

 

Abu Hurairah Rd say riwayat hai ki unhonay kaha ki mainey arz ki , Ya Rasul Allah , main aap say bahut hadeesein sonata hoon magar inko bhool jata hoon . Aap nay farmaya, apani chadar failaein. Mainey chadar faila dee. Abu Hurarirah nay kaha , aap nay donon mubarak haathon sey chullu bana kar chadar mein daal diya . Phir farmaya, isay apaney opper lapate lo aur mainey isey lapade liya to isake baad kuch na bhula.

 

 

 

 

 

Volume 1, Book 3, Number 119:

 

 

 

Narrated Abu Huraira:

 

I said to Allah's Apostle "I hear many narrations (Hadiths) from you but I forget them." Allah's Apostle said, "Spread your Rida' (garment)." I did accordingly and then he moved his hands as if filling them with something (and emptied them in my Rida') and then said, "Take and wrap this sheet over your body." I did it and after that I never forgot any thing.

 

 

 

Is hadith ka matlab yeh hai ki Rasul Allah ne jab dua farma di , usake baad Abu Hurairah [rd] koee hadith na bhuley. Ek dusarey matan mein ‘ shayan” lafz aaya hai aur hadith ke siyaq ( context) ke mutabik isaka MATLAB YEH HAI KI IS DUA KE BAAD ABU hurarirah rd koee hadees nahee bhuley , isaka matlab yeh nahee ki wah KUCH nahee bhuley. Rasula Allah ki Abu hurairah rd ke liye yeh dua karma aur unaka kisee hadith ko NA BHULANA , Rasul Allah ki MOJAZAAT MEIN shamil hai

 

 

HADITH NUMBER 2

 

 

 

Rasul Allah ka Namaz mein dusaree rakat ka baad na baithana aur phir Sajda sahu karma

 

 

 

( hadith post number 1 mein scan ki gayee hai)

 

 

 

Ab in shia HAZRAAT sey koee yeh PUCHEY KI agar HUOOR NEY YEH NAHEE BATLAYA HOTA KI BIL FARZ KOEE INSAAN NAMAZ MEIN DUSAREE RAKAT MEIN BAITHA BHOOL JAE , TO KYA KARAN CHAHIYE?

 

 

 

SHIA HAZARAAT KE TO 12TH IMAM KAHEEN CHIPEY HUE HAIN , JAB BAHAR AAYEGEIN TAB SARA MASALA BAYAN KAREIGEIN! LEKIN HUZOOR PAAK NE HUM MUSALMANON KE LIYE ITANEE AHAM BAAT BATLA DI KI AGAR NAMMAZ MEIN AISEE BAAT HO JAE TO SAJDA SAHU KARNA PADEGA AUR YEH BHEE BATA DIYA KI SAJDA SAHU KAISEY KARNA HAI AUR KAB KARNA HAI !

 

 

 

Allah ta’ala quran mein FARMATA HAI

 

 

 

وَمَا أَنزَلْنَا عَلَيْكَ الْكِتَابَ إِلَّا لِتُبَيِّنَ لَهُمُ الَّذِي اخْتَلَفُوا فِيهِ ۙ وَهُدًى وَرَحْمَةً لِّقَوْمٍ يُؤْمِنُونَ

 

 

 

 

 

 

 

And We sent down the Book to thee for the express purpose, that thou shouldst make clear to them those things in which they differ, and that it should be a guide and a mercy to those who believe"

( Quran 16:64)

 

 

Rasul paak ne namaz ke mutallik batalaya , kitanee rakat padhane ehai , KAISEY PADHNEE HAI . AUR AGAR GALATEE HO JAE TO KYA KARNA HAI , SAJDA SAHU KAB KARNA HAI , KAISEY KARNA HAI.

 

 

 

Agar Huzoor alayhis salam YEH NAHEE BATLATEY TO UNAKEY BAAD , AGAR KISEE SEY NAMMAZ MEIN GALATEE HOTEE , TO KAISE PATA CHALTA KI KYA KARNA HAI AUR KAISEY KARNA HAI??

 

 

 

AFSOS SHIA KABHEE HADEES KI SHARAH BHEE PADHTEY!

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

138 ـ حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ، قَالَ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنْ عَمْرٍو، قَالَ أَخْبَرَنِي كُرَيْبٌ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم نَامَ حَتَّى نَفَخَ ثُمَّ صَلَّى ـ وَرُبَّمَا قَالَ اضْطَجَعَ حَتَّى نَفَخَ ـ ثُمَّ قَامَ فَصَلَّى‏.‏ ثُمَّ حَدَّثَنَا بِهِ سُفْيَانُ مَرَّةً بَعْدَ مَرَّةٍ عَنْ عَمْرٍو عَنْ كُرَيْبٍ عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ قَالَ بِتُّ عِنْدَ خَالَتِي مَيْمُونَةَ لَيْلَةً، فَقَامَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم مِنَ اللَّيْلِ، فَلَمَّا كَانَ فِي بَعْضِ اللَّيْلِ قَامَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم فَتَوَضَّأَ مِنْ شَنٍّ مُعَلَّقٍ وُضُوءًا خَفِيفًا ـ يُخَفِّفُهُ عَمْرٌو وَيُقَلِّلُهُ ـ وَقَامَ يُصَلِّي فَتَوَضَّأْتُ نَحْوًا مِمَّا تَوَضَّأَ، ثُمَّ جِئْتُ فَقُمْتُ عَنْ يَسَارِهِ ـ وَرُبَّمَا قَالَ سُفْيَانُ عَنْ شِمَالِهِ ـ فَحَوَّلَنِي فَجَعَلَنِي عَنْ يَمِينِهِ، ثُمَّ صَلَّى مَا شَاءَ اللَّهُ، ثُمَّ اضْطَجَعَ، فَنَامَ حَتَّى نَفَخَ، ثُمَّ أَتَاهُ الْمُنَادِي فَآذَنَهُ بِالصَّلاَةِ، فَقَامَ مَعَهُ إِلَى الصَّلاَةِ، فَصَلَّى وَلَمْ يَتَوَضَّأْ‏.‏ قُلْنَا لِعَمْرٍو إِنَّ نَاسًا يَقُولُونَ إِنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم تَنَامُ عَيْنُهُ وَلاَ يَنَامُ قَلْبُهُ‏.‏ قَالَ عَمْرٌو سَمِعْتُ عُبَيْدَ بْنَ عُمَيْرٍ يَقُولُ رُؤْيَا الأَنْبِيَاءِ وَحْىٌ، ثُمَّ قَرَأَ ‏{‏إِنِّي أَرَى فِي الْمَنَامِ أَنِّي أَذْبَحُكَ‏}‏‏.‏

 

 

 

( Bukhari ,Kitab al Wudu)

 

 

 

Nabee paak ki Anakhein Aarm Kartee theen lekin DIL HAMESHA ALLAH ki yaad mein rahta tha.

 

 

 

Aam insaan namaaz mein bhee Duniya ke barey mein sochta hai , lekin Huzoor alayhis salam Namaz mein puri tareeqey sey Allah azz wa jal ki Barrgah mein rahtey thee. Unakee Yaad mein rahtehy thee.

 

 

 

To pata yeh chala ki IS TARAK KA SAJDA SAHU TALIM KE LIYE ALLAH NE KARWAYA THA , TAKI sahaba alaihi ridwaan ko pata chal jaee ki Sjada sahu kab karna hai aur kaisey karma hai.

 

 

 

 

 

HADITH 3

 

 

 

Rasul Allah ko quran ki tilawat yaad aana .

 

 

 

( Hadith POST 1 mein shia ne scan ki hai )

 

 

 

 

 

Ek baar phir yeh baat sabit ho gayee ki shia hazraat ko na quran ke ilm hai , na tafseer , na hadith ka aur na he hadith ki sharah ki. Aur to aur , yeh to SAHIH BUKHARI ko scan kar raha hai , wah bhee MUKAMMAL bukhari sheriff nahee hai! Balki koee mukhtasar ( condensed) edition hai!!

 

 

 

Isasey pehley ki hum Hadith ka jayaza lein , pehlay yeh dekhein ki Imam Bukhari nay BAB ( CHAPTER) ka naam Kya Rakha hai

 

 

 

Baab ka naam

 

“26 ـ باب نِسْيَانِ الْقُرْآنِ وَهَلْ يَقُولُ نَسِيتُ آيَةَ كَذَا وَكَذَا‏.‏ وَقَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى ‏{‏سَنُقْرِئُكَ فَلاَ تَنْسَى * إِلاَّ مَا شَاءَ اللَّهُ‏}‏ حذف التشكيل

 

 

 

Quran bhool jana , kya yeh kahna jayaz hai ki main falan falan aayat bhool gaya hoon? Aur Allah ta’ala ka irshaad ! Hum tujhey padhaein gain phir tum na bhuloge MAGAR JO ALLAH CHAHEY.

 

 

 

Ab hadith Mulahiz farmaein

 

 

 

 

 

5090 ـ حَدَّثَنَا رَبِيعُ بْنُ يَحْيَى، حَدَّثَنَا زَائِدَةُ، حَدَّثَنَا هِشَامٌ، عَنْ عُرْوَةَ، عَنْ عَائِشَةَ ـ رضى الله عنها ـ قَالَتْ سَمِعَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم رَجُلاً يَقْرَأُ فِي الْمَسْجِدِ فَقَالَ ‏"‏ يَرْحَمُهُ اللَّهُ لَقَدْ أَذْكَرَنِي كَذَا وَكَذَا آيَةً مِنْ سُورَةِ كَذَا ‏"‏‏.‏

 

 

( Bukhari )

 

 

 

Ummul Momineen Ayesha Siddiqa RadiAllah anha nay farmaya ki nabi kareem alayhis salam nay ek EK SHAKHS ko masjid mein quran padhtey hue suna to farmaya Allah taa’la is per raham karey us ney mujhey falan surat sey falan falan aayat yaad dilayee

 

 

 

 

SHIA aur dusraey islam ke dushamn kehtey hain ki , is hadees ke mutabil Nabee paak ko quran yaad nahee rahta tha , isiliye is hadees ko tasleem mat karon ! Yeh shia hazraat ki chaal hai aam musalamon ko CONFUSE karney ki !

 

 

 

Yahoodi aur nasara kahtey hain ki is haddes ke mutabil Nabi paas alayhis salam ko quran yaad nahee rahta tha , isleiye , quran mahfooz nahee hai ! ( maz Allah)

 

 

 

Ab hum dekhtey hain ki Allah taa’la quran mein Kya Farmata hai

 

 

 

Surat 87 , Al . Aa’la , ayat 6-7

 

 

 

 

 

 

 

سَنُقْرِئُكَ فَلَا تَنسَىٰ

 

 

 

إِلَّا مَا شَاءَ اللَّهُ ۚ إِنَّهُ يَعْلَمُ الْجَهْرَ وَمَا يَخْفَىٰ

 

 

6. HUM AN QAREEN AAP KO QURAN PADHEIN GEIN TO AAP NAHEE BHULE GEIN.

 

7 MAGAR JO ALLAH CHAHEY BESHAK WAH HAR ZAAHIR AR POSHIDA KO JANTA HAI.

 

 

 

 

 

Imam Bukhari ne iseliye quran sheriff ki is ayat ko bab ( chapter) ke naam mein shaamil kiya hai , taki baat samajh mein aa jae! Lekin shia hazraat ko quran aur hadees sey kya lena hai , unkaey 12th imam abhee aaye nahee hain ! Jab aayegein tab shiaon ka “ asalee quran” le kar aayegein!

 

 

 

 

 

Quran mein Allah Farmata hai

 

 

 

مَا نَنسَخْ مِنْ آيَةٍ أَوْ نُنسِهَا نَأْتِ بِخَيْرٍ مِّنْهَا أَوْ مِثْلِهَا ۗ أَلَمْ تَعْلَمْ أَنَّ اللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

 

( al baqra 106)

 

 

 

Hum jis aayat ko mansukh kar dein YA IS KO BHULA DEIN TO HUM IS SAY BEHTAR YA IS JAISEE AUR AAYTA LE AATEY HAIN

 

 

 

 

 

Ab Malum yeh chala Ki Quran mein Rasul Allah ki hayat e mubaraka tak Nasikh wa Mansukh ka mamla tha.

 

 

 

Kaee ayat ko UTHA LIYA JAATA THA AUR NASAIKH WA MANSUKH KI TEEN KISMEIN HAIN

 

 

 

PEHLI QISM== Ayat ki Tilawat utha li gayee lekin Hukm baki ( EXAMPLE== Rajam ki aayat )

 

Dusaree qism= Ayat ki tilawat baki lekin hukm utha liya gaya ( Example= sura mujadla , ayat 13 )

 

 

 

Tesari qism = Ayat ki tilawat aur hukm dono utha liya gaya ( example= Ayesha siddiqq ki hadith SURAT AL Ahzab ke mutallik)

 

 

 

 

 

Ab baat saaf ho gayee ki IN AYAT KO ALLAH NE BHULA DIYA … isee liye is sey pehley imam Bukhari hadith riwayat kartey hain

 

 

 

 

 

Volume 6, Book 61, Number 550:

 

 

 

Narrated Abdullah:

 

The Prophet said, "It is a bad thing that some of you say, 'I have forgotten such-and-such verse of the Qur'an,' for indeed, he has been caused (by Allah) to forget it. So you must keep on reciting the Qur'an because it escapes from the hearts of men faster than camel do."

 

 

 

TARJUMA : Agar KOEE yeh kahey ki main falan falan ayat bhul gaya hon to yeh buri baat hai , kyunki Allah ne isko BHULAYA HAI……

 

 

 

 

 

Afsos in shiaon ko na quran ka ilm hai na hadiees ka !

 

 

 

 

 

Aisee bahut see hadees hain jinmein aaya hai ki falan falan Ayat BHULA DEE GAYEE , UTHA LI GAYEE !

 

 

 

Lekin Matam karney se waqt niley tab to quran padhe gein!

 

 

 

 

 

Al Hasani

Edited by Ayatullah
Link to comment
Share on other sites

(ja) Ayatullah Bhayi... Buhut Acha Jawab Diya Aap Ney...

 

Is Topic Ko Clean Ker Diya Hai.. Jitni Bhi Out of Topic Posts Theen.. Sab Delete Ker Di Hain... Aur SitaraGroup Sahib Aap Kitney Dino Sey Is Topic Mein Reply Ker Rahey.. Aub Jab Jawab Post Howa Tu Aap Ney Us Per Comments Kerney Key Bajaye Matam Ka Topic Yahan Shurow Ker Diya.. Aap Merey Khayal Mein Taqya Kerna Chor Dein.. Aur Aap Ney Apney Aapko Jiska Qisam ka Barelvi Kaha Hai.. Aisi Koi Qisam Barelviyon Mein Nhin Hai.. Hum AhleSunnat wal Jamaat Hain Aur Alahazrat (ra) ki Wajah Sey Barelvi Kehaltey Hain Aur Is Nisbat Per Humein Fakhr Hai.. Aur Hum Alahazrat (ra) Ki Taleemat ko Bhi Mantey Hain... Albata Aub Aap Apna Iqrar Ker Lein Key Aap Asooli Shia Hain Ya Akhbari...

 

Aur Matam Wali Posts Ussi Topic Mein Kejiye.. Wahan Sab Posts Move Ho Gayi Hain...

Link to comment
Share on other sites

Attaar Bhai aap ki ye bohat bari ziadati hai.

 

Aap ne itni kimti JPEGs delete kar di hain.

 

Aap ki marzi agar aap ko such pasand nahi to aap ne mujhe nahi Allah ko jawab dena hai. Aap janay or Allah jaanay.

 

Jahaan tak mera pooch rehe ho. Main Alhamdulillah brailvi hoon. Or Brailvi honay par fakhar karta hoon. Magar religious research ko apna zindagi ka maksad samjhta hoon. Kyon ke maa ki gaud se le kar kabar tak ilam ka hasil karna hum sub par faraz kar diya gaya hai.

 

Agar hum comparative religious ko study na karen to Hum ne khaak kisi kafir ko musalmaan karna hai.

 

Jo kahta hai ke Qadyani ke pass 1 lakh daleel hai wo kisi ke kabu nahi aate hain.

 

Main challenge karta hoon. Main akaila hoon ga or 10 qadiyani or wo bhi on ke ulemaa aa jayen.

 

Garoor nahi kar raha agar aap ke samany onhain ghutnay taiknay par majboor na kar diya to mera naam bhi Abdul Rauf nahi hai.

 

Anyway!!

 

Ab aap ne ziadti kar hi li hai or meri kimti posts delete kar di hain. Haalanke main ne aap ko Allah ka wasta diya tha or en posts se naa to aap ki bandwidth main faraq aa raha tha or na space main. Aap ne mera istada or Allah ka wasta nahi mana

 

Allah aap ko khush rekhe

 

Fi Amaanillah

Link to comment
Share on other sites

Attaar Bhai aap ki ye bohat bari ziadati hai.

Aap ne itni kimti JPEGs delete kar di hain.

Aap ki marzi agar aap ko such pasand nahi to aap ne mujhe nahi Allah ko jawab dena hai. Aap janay or Allah jaanay.

Jahaan tak mera pooch rehe ho. Main Alhamdulillah brailvi hoon. Or Brailvi honay par fakhar karta hoon. Magar religious research ko apna zindagi ka maksad samjhta hoon. Kyon ke maa ki gaud se le kar kabar tak ilam ka hasil karna hum sub par faraz kar diya gaya hai.

 

Aapki Konsi Qeemati Posts Delete Hoyi Hain? Jin Mein Aehm Images They.. Aap Batain Ager Waqayi Aehm Hain Tu Re-back Ker Dein Gey...

 

Dosri Bat Key Aap Taqya Chaur Dein.. Ya Bilfarz Aap Taqya Nhin Bhi Ker Rahey Tu Apney Aapko Barelavi Kehna Chor Dein... Kiyon Key Main Already Bata Chuka Hoon Key Barelavi Woh Hai Jo Alahazrat (ra) ki Taleemat Ko Manta Hai... Aur Aap Alahazrat (ra) Ki Taleemat Sey Bilul Munharif Hain.. Alahazrat (ra) Ki Shia Key Kufr Per 6 Books Likheen... Ya Tu Unko Manoo Ya Barelavi Na Kahoo Apney Aapko... Aur Ager Yeh Kaho Key Books Bhi Nhin Manta Aur Barelavi Bhi Hoon Tu Phir Is Per Hum Yahi keh Saktey Hain.. Sharam Tum ko Mager Nhin Aati...

 

Beherhal.. Yeh Out of The Topic Bat Hai.. Aur Yahan Is Topic Per Behs Kerna Muraad Nhin Hai.. Aqalmand Key Liye Ishara Kafi Hai... Aap Sirf Apney Ahem Images Ka Batain...

Link to comment
Share on other sites

MUFTI AZAM KA HAAL BILKUL DEOBANDIOON OR WAHABIOON KA SA HAI, JISS TARHAH WO APNI KITABOON SAY BEKHABAR HOTAY HAIN ETIRAAZ KARTAY HOYE, ISSI TARHAH MUFTI SAHIB KA BHI HAAL HAI. YE BHI SIRF OR SIRF COPY PASTE WALAY TAQIYYA BAAZ SHIA RAFZI NIKLAY.

 

SHEIKH SADOOQ KEHTA HAI KAH MUFOWVIDAH OR GULAAT HUZOOR SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM KAY SAHOO KA INKAR KARTAY HAIN , ALLAH KI UN PER PITKAR HO OR KEHTAY HAIN KAH AGAR HUZOOR SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM KA DORAAN NAMAZ SAHOO JAIZ JANA JAYE, TO PHIR UMOOR E TABLEEG MAIN BHI SAHOO JAIZ MAANNA PARAY GA, KYON KAH TABLEEG KI TARHAH NAMAZ BHI APP PER FARZ HAI, LAKIN YE HUM PER LAZIM NAHI AATA, ISS LYE KAH TAMAM AHWAAL JO HUZOOR SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM OR DOOSRAY LOGOON KAY LYE MUSHTARKAH HAIN UN KA APP SAY SUDOOR JAIZ HAI, APP BHI DOOSRAY LOGOON KI TARHAH NAMAZ KAY MUKALLAF HAIN OR DOOSRAY LOOG APP KI TARHAH NABI HARGIZ NAHI, LIHAZAA APP SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM KI MAKHSOOS HALAT SIRF NABUWAT HAI OR TABLEEG SHARAIT E NABUWAT MAIN SAY HAI, OR YE BHI JAIZ NAHI KAH SAHOO O NISYAAN APP KO NAMAZ MAIN TO HOTA HAI, TABLEEG MAIN BHI JAIZ HONA CHAHIYE, YE ISS LYE KAH TABLEEG MAKHSOOS EBADAT HAI OR NAMAZ MUSHTARKAH EBADAT HAI, OR HUZOOR SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM KA SAHOO HAMARAY SAHOO KI TARHAH NAHI, APP KA SAHOO TO ALLAH TA'ALA KI TARAF SAY THA, ALLAH TA'ALA NAY APP SAY YE ISS LYE SADIR FARMAYA TA KAH APP KA BASHAR OR MAKHLOOQ HONA MALOOM HO JAYE, LIHAZAH KOI SAKHS APP KO MABOOD BANANAY KI FIKAR NA RAKHAY, OR APP KA SAHOO ISS LYE BHI ALLAH TA'ALA NAY WAQIA KIA TA KAH LOGOON KO APP KA SAHOO DEKH KAR APNAY SAHOO KAY MASAIL MALOOM HO SAKHAIN, HAMARAY SHEIKH MUHAMMAD BIN HASSAN ALWALEED KAHA KARTAY THAY KAH NABI MAIN GULU KA PEHLA DARJAH YE HAI KAH UN KAY SAHOO SAY INKAR KI AJAYE, OR AGAR IN AKHBAR O WAQIAAT KO RAD KAR DIA JAYE, JO SABOOT E SAHOO MAIN HAIN, TO PHIR TAMAM AKHBAR KA RAD KARNA BHI JAIZ HO JAYE GA, OR ESSA KARNAY MAIN DEEN E SHARIAT KA ABTAAL HO JAYE GA, OR MAIN KHAYAL KARTA HOON KAH AGAR KOI SHAKS HUZOOR SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM KAY SAHOO O NISYAAN KAY MOZOOH PER MUSTAQIL KITAB LIKHAY TO USS KO AAJAR MILAY GA, OR USS KITAB MAIN MUNKIREEN KA RAD BHI HO , TO INSHA ALLAH WO SAWAB PAYE GA.

 

(MAL LAA YADRAHUL FIQIYAH, JILD 1, PAGE 234)

 

MUFTI AZAM KYA FATWA LAGAYEEN GE APNAY SHEIKH SADOOQ PER, YE TO KEHTAY HAIN KAH IN KAY SHEIKH KA MANNA HAI KAH AGAR KOI HUZOOR SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM KAY SAHOO O NISYAAN PER KITAB LIKHAY OR NA MANNAY WALOON KA RAD BHI KARAY TO USS KO SAWAB MILAY GA.

Link to comment
Share on other sites

Attar Bhai sorry!!

 

Meri post aap ne aik or topic main transfer kar di hain. Bohat bohat shukria.

 

Aap mujhe shiya kah lo deobund kah lo ya wahabi kah lo. Main hak baat ko nahi chhupa sakta.

 

Agar aap ko meri baat buri lagi to I am sorry.

 

Baki rahi baat Ala Hazrat (ra) ki books ki aap kisi bhi forum main khawah wo sunni hai, ya wahabi ya shiyya on ki book ka reference de kar baazi nahi jeet sakte. Kyon ke har jaga Quran or Hadis ki baat hoti hai.

 

Mere dil min aap Aal Hazrat (ra) ka kya makaam hai ye aap nahi jaan sakte or na main aap ko batana chahta hoon. Main sirf ye chahta hoon ke beghair ilam ki kisi ko Kafir ya Raafzi na banayen. Agar koi hamari hi books main se hameen ke khilaaf reference de kar hamary moonh pe maaray to kaisa lage gaa.

 

Es liye please aap baar baar mujhe brailvi na hone ka taana na den. Or jo hak hai os ko tasleem karen.

 

Regards

Link to comment
Share on other sites

Very good. Aap ne aik hi jhatkay main sub ko kafir bana diya (Subhaan Allah)

 

Aap ke ilam par qurbaan janay ko dil Chhra raha hai.

 

Koi Quran ki ayat layen ya hadis layen ke ye sub kafir hain tub baat ho.

 

Warna yaad rakho Sahi Hadis hai Jo Musalmaan kisi doosre musalmaan ko kafir kahe on main se aik kafir ho jata hain.

 

Tauba karen Mukhtaar Bhai.

 

Kaheen yahi baat hi aap ke saray amaal gaarat na kar de. Sirf or sirf Quran or Hadis se baat karen.

 

Mere nazdeek kaafir wohi hai jo Rasoolallah ko Akhbari nabi maanany se inkaar kar de. Ye sub Rasoolallah ko akhari nabi maante hain. Jaisa kay Government of Pakistan ne declare kya howa hai apne constitution main.

 

So patience please

Link to comment
Share on other sites

PEHLAY YE JO ILZAM SHIA PER HAIN IN KA JAWAB DO DE DO PHIR, BAAT KARAIN GE KON KAFIR HAI KON NAHI, QURAN KA MUNKIR KAFIR, SAHABA KA GHUSTAKH KAFIR, JISS KA KALMA ALAG WO KAFIR, JISS KI AZAN ALAG WO KAFIR, ...........................BOHAT SI BATAIN HAIN PEHLAY IN KA TO JAWAB DE DO.

 

SABIT KARNA PARHAY GA KAH YE SUB NABI KAREEM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM KO NABI MANTAY HAIN.

 

DALEEL SAY BAAT KIA KARO, PUTTER

Link to comment
Share on other sites

Just shame on you who is saying "Puttar"

 

Khuda se daro!!

 

Insaaf karo!!

 

Agar Rubb ne tumhain moderator bana kar itni izzat de hi di hai to apne designation ke sath Adal karo!!

 

Main ab mazeed "Bhains Ke Aage Been Nahi Baja Sakta"

Link to comment
Share on other sites

AGAR MAIN MODERATOR KI POWER USE KARTA NA TO TUMHARI GHUSTKAHI WALI AIK BHI POST YAHAN NA REHANY DETA, BALKAH DUNYA E SUNNAIAT KO YE DEKHAN MAQSOOD HAI WAHABI DEOABANDI QADYANI IN SUB KI ASAL SHIA HAI.

 

AIK BAAT BATA YE AAKHRI SENTENCE KITNI BAR OR LIKHAY GA, TA KAH MAIN USS WAQT TAK YAHAN BEHTOON.

Link to comment
Share on other sites

(ma)

Imran Bhai aap nain buhat he acha jawab faraham kia.

Aur Sitaragroup shame on u.If u r brelvi(You are not brelvi,I m sure u are not brelvi,just a hybrid production)then why u dont accept the sayings of AlaHazrat Imam Ahmed Raza Khan Brelvi R.A.

Shia ,Deobandi ,Wahhabi ,Qadiani are the sons of the same mother.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...