Jump to content

Rasm Ghusl-e-Kabah, Bid'at Faroshon ky Liye Lamha-e-Fikriya

Ghulam E Mustafa

تجویز کردہ جواب

Hazrat agar aap ne kisi doosray topic mein sawalaat kiye hain tu topic ka link de dein kyu ke masroofiyat ke baais tamaam topics parhnay se mein qasir hon. Iss topic mein agar aap ke kisi sawaal ka jawab reh gaya ho tu woh bhi bata dein. Humaray aqaid per bhi sawal hain tu zaroor paish kijiye.

(bis)

(salam)

IslamiMehfil.info > General Islami Mehfil > !!-- Munazra & Radd-e-Badmazhab --!! > Wahabi Ghair Muqalid > Sawalat from a Ghair Muqalid.

ye link nahin hai bulke just telling that where the questions are

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

  • جوابات 69
  • Created
  • Last Reply

(bis)

(salam)

YE GAIR MUQALID BHAI AB MOZO TABDEEL KARNA CHAH RAHAY HAIN GUSL-E-KABA PAR INHON NAY

SABOOT PAISH KARNAY THAY. KYN KAH INKAY PASS TU JAWABAT NAHI HAIN TU PHIR IQRAR KAR LAIN

YE HAMARA AMAL QURAN O HADIS SAY SABIT NAHI LEHAZA MAIN JAWABAT PAISH KARNAY SAY QASIR

HOON.

PHIR CHAHAIN TU DOSRA MOZO START KAR LAIN. CHAHY TU AITRAZ KAR LAIN MAGAR BAAD MAIN.

ABHI AAP AITRAAZ NA KARAIN KYN KAH MOZO KAHIN SAY OR KAHIN CHALA JAYEE GA. PLZ TOPIC PAR

RAHAIN. TAKAY KOI HAL NIKAL SAKAY.

fi-aman:

Edited by nasirb786

Janab Nasir sahib

Zara meri complete post perhain phir kuch kehain, secondly doosra mozu doosri post per hai yahan per nahin......

yahan ke sawal ke jawab ke barye main to "work in progress" hai

JEE ABDUL SALAM SAHAB MAIN APKI POST PARH CHUKA HOON ROOM KA NAME YE HAI

Rasm Ghusl-e-Kabah, Bid'at Faroshon ky Liye Lamha-e-Fikriya

AAP NAY JAWABAT DAINAY SHURU KAR DEYEE THAY GILAAF E KABA PAR.

JAB AP SAY GUSL E KABA KA TAZKARA KIA GIA TU AAP NAY APNA SAWAL CHAIR DIA

JOO AAPKAY SAWALAT HAIN OS PAR JAWABAT DEYEE JAAA CHUKAY HAIN

PAHLAY JIS ROOM MAIN JOO MOZO START HAI OS PAR JAWABAT DAIN GAY TU ASANI SAY MASAYEL

HAL HOO JAIN GAY.

JAB MAIN NAY APSAY KAHA AAP MOZO TABDEEL KARNAY KI KOSHISH KAR RAHAY HAIN TU AAP KAHTAY

HAIN PAHLAY MAIREE POST PARHAIN.. OR SAATH HI KAHTAY HAIN GUSAL E KABA PAR TALASH JARI HAI

WO TU AAP LOGON KI TALASH JARI HI RAHI GI KHATAM NAHI HOO GI KYN KAH YE AMAL AAPKA

QURAN O HADIS SAY SABIT NAHI. YE KAH DAIN KAH YE BIDAT HAI. MAGAR ACHI BIDAT HAI.

BAAT KHATAM

PHIR AAP AIK AITRAZ KARAIN OSKA JAWAB INSHALLAH DIA JAYEE GA

MAGAR AIK SAWAL. OSKA JAWAB DAINAY KAY BAAD HUM AAP SAY SAWAL KARAIN GAY. PHIR AAP

OS KA JAWAB DAINA. IS TARHAN BAHTAR RAHE GA.

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

JEE ABDUL SALAM SAHAB MAIN APKI POST PARH CHUKA HOON ROOM KA NAME YE HAI

Rasm Ghusl-e-Kabah, Bid'at Faroshon ky Liye Lamha-e-Fikriya

AAP NAY JAWABAT DAINAY SHURU KAR DEYEE THAY GILAAF E KABA PAR.

(bis)

(salam)

Janab Nsir sahib

ye meri ghalti thi ke main ne is post per Ghusl-e-Kaa'ba ke jawab main Ghilaf-e-Kaa'ba ki details post kerdi

Yaqeenan ye post bhi zaya nahin gai ho gi (ke aik doosri post per is ka sawal bhi kia gaya tha shaid isi waja se main ne is ko woh hi sawal samjha tha)

JAB AP SAY GUSL E KABA KA TAZKARA KIA GIA TU AAP NAY APNA SAWAL CHAIR DIA

JOO AAPKAY SAWALAT HAIN OS PAR JAWABAT DEYEE JAAA CHUKAY HAIN

main jawabat breakcup main denye ka aadi hon (mostly line break and tabs ke saath... to lehaza meri kosish hoti hai ke koi jawab Dosrye se na mill jaye.

Main ne sawalat ke barye main kaha ke pehlye merye sawalt ke jawabat de dian kion ke aap ka paish karda sawal sirf aik naye amal (aap ke baqool bidaa't) ke barye main hain jis se aqedah per koi zarab nahin perti.

Lakin merye pesh kardha sawalat sarihan aqeedah ke barye main hai jis ke baad asani ho jati hai sawalat kernye ki, sawalat ke jawabat denye ki, and har sawal ko isi tanazur main dekhnye ki, kion ke insan jo aqeedah rakhta hai wo inhi aqeedon ke contaxt main sawalat karta hai and jawab se satify hota hai..

yaqeenan ab meri baat samajh main aa gai hogi

Behtar hoga ke Jawab again dye dain, kion ke baad main koi ye na keh sakye ke hum ye nahin mantye ya hamara ye aqeedha nahin hai

ab agar still aap ka israr aap ke pesh karda sawal (Rasm-e-Ghusl-e-Kaa'ba) hai to main ye kehnye main haq bajanib honga ke aap loogon ke tawajjah is Aqeedah ki taraf se batanye ki koshish ker rahye hain...

PAHLAY JIS ROOM MAIN JOO MOZO START HAI OS PAR JAWABAT DAIN GAY TU ASANI SAY MASAYEL

HAL HOO JAIN GAY.

JAB MAIN NAY APSAY KAHA AAP MOZO TABDEEL KARNAY KI KOSHISH KAR RAHAY HAIN TU AAP KAHTAY

HAIN PAHLAY MAIREE POST PARHAIN.. OR SAATH HI KAHTAY HAIN GUSAL E KABA PAR TALASH JARI HAI

WO TU AAP LOGON KI TALASH JARI HI RAHI GI KHATAM NAHI HOO GI KYN KAH YE AMAL AAPKA

QURAN O HADIS SAY SABIT NAHI. YE KAH DAIN KAH YE BIDAT HAI. MAGAR ACHI BIDAT HAI.

BAAT KHATAM

PHIR AAP AIK AITRAZ KARAIN OSKA JAWAB INSHALLAH DIA JAYEE GA

jes ke main ne kaha ke sarihan aik amal (Baqool Aap ke Bidaa't) ka masala hai to is se pehlye aqeedah ko samajh lena behtar hai.

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

Janab Nsir sahib

jes ke main ne kaha ke sarihan aik amal (Baqool Aap ke Bidaa't) ka masala hai to is se pehlye aqeedah ko samajh lena behtar hai.

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

JNAB ABDUL SALAM SAHAB AGAR AAPKAY PASS DALIL NAHI GUSL E KABA PAR TU KAH KYN NAHI

DAITAY YE AMAL HAMARA QURAN O SUNNAH KAY MUTABIK NAHI OR YE BIDAT KARTAY HAIN

APKAY SAWALAT DOSRI JAGA POST HAIN AAP YAHAN AYEE THAY GUSL E KABA KA JAWAB DAINAY

OR AATAY HI SHURU HO GAYEE GILAF E KABA PAR AISI KOI BAAT NAHI GALTI SAY AAP

GILAF E KABA PAR SHURU HOWAY IS PAR TU KOI AITRAZ NAHI GALTI INSAAN SAY HOO JATI HAI

JAB APKO GALTI SAMAJH AA CHUKI HAI KAH YE GALTI THI AB TU AAP GUSL E KABA KA JAWAB

DAY DAIN AGAR NAHI DAY SAKTAY TU APNAY AAP KO PAHLAY YAHAN BIDATI AITRAAF KARAIN

PHIR APKAY AIK SAWAL KA JAWAB DIA JAYEE GA OR PHIR HUM AAP SAY DOOSRA SAWAL KARAIN

GAY.

AAGAR AAP ITNAY SAWALAT AIK TIME MAIN KAR DAIN GAY TU MASLAY KA HAL NAHI NIKAL PAYEE

GA.

Link to comment
Share on other sites

JNAB ABDUL SALAM SAHAB AGAR AAPKAY PASS DALIL NAHI GUSL E KABA PAR TU KAH KYN NAHI

DAITAY YE AMAL HAMARA QURAN O SUNNAH KAY MUTABIK NAHI OR YE BIDAT KARTAY HAIN

APKAY SAWALAT DOSRI JAGA POST HAIN AAP YAHAN AYEE THAY GUSL E KABA KA JAWAB DAINAY

OR AATAY HI SHURU HO GAYEE GILAF E KABA PAR AISI KOI BAAT NAHI GALTI SAY AAP

GILAF E KABA PAR SHURU HOWAY IS PAR TU KOI AITRAZ NAHI GALTI INSAAN SAY HOO JATI HAI

JAB APKO GALTI SAMAJH AA CHUKI HAI KAH YE GALTI THI AB TU AAP GUSL E KABA KA JAWAB

(bis)

(salam)

Janab Nasir sahib

my reply is still same as last one..............

please read in detail word to word and line to line. there i've mentioned some thing???

It seems you don't want any one to think about your believes!

well aap ab jo bhi jawab likhain main khamosh rahonga... reason you know well.

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

Janab Nasir sahib

my reply is still same as last one..............

please read in detail word to word and line to line. there i've mentioned some thing???

It seems you don't want any one to think about your believes!

well aap ab jo bhi jawab likhain main khamosh rahonga... reason you know well.

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

JEE ABDUL SALAM SAHAB APKI POST PAR CHUKA HOON BAAR BAAR. AAP ZID PAR ARAY HOWAY HAIN

KAH NAHI PAHLAY MAIRAY SAWALAT KAY JAWAB DAIN. HUM AQEEDA KI BAAT KARNAY BAITHAY

HAIN APKA PAHLA QUESTION HALOOL KAY BARAY MAIN HAI. OSKA JAWAB DEYA JAYEE GA INSHALLAH

PAHLAY AAP JIS ROOM MAIN BAITHAY HAIN WO HAI GULS E KABA. OR YAHAN APKO DAWAT HUM NAY

NAHI DI AAP KHUD AYEE OR KIS SAWAL KA KIA JAWAB SHURU KIA AAPNAY SAB KO PATA HAI.

OR AAP NAY BAAR BAAR KAHA MAIN GUSL E KABA KA JAWAB DOON GA. KAHAN HAI JAWAB LAY KAR

AYEE AGAR NAHI TU APNAY AAP KO BIDATI TASLEEM KARAIN PHIR AGAY CHALAIN GAY.

APKAY 1 QUESTION KA JAWAB DAINAY KAY BAAD MAIN APSAY DOSRA SAWAL KAROON GA

PHIR AAP JAWAB DAIN GAY OR ISI TARHAN BAAT JARI RAHAY GI.

Link to comment
Share on other sites

  • 3 months later...
OR AAP NAY BAAR BAAR KAHA MAIN GUSL E KABA KA JAWAB DOON GA. KAHAN HAI JAWAB LAY KAR

AYEE AGAR NAHI TU APNAY AAP KO BIDATI TASLEEM KARAIN PHIR AGAY CHALAIN GAY.

(bis)

(salam)

Janab Nasirb786

Yahan aik Hadith qoute kar raha hon ke Ghusl-e-Kaaba ka istadlal kahan se liya gaya hai.

post-2536-1239453068.jpg

Wallah-o-Aalam Bissawab

Or Jesa ke main pehlye hi keh chuka hon ke "Biddat ki taareef hai ke, Deen main har nai baat biddat hai or har biddat gumrahi hai"

Lehaza Ghusl-e-Kaaba ka istadlal agar isi hadith se liya gaya hai to ye biddat hi nahin, or nahin to bhi chonkey Deen main Ejaad kadra nahin to biddat (jo ke gumrahi ke zimrye main aati hai) nahin

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Edited by Abdulsalam
Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
Janab buht hairangi hoti hai app per ky app ne tu Wahabi Mazhab ki Basti karwa di ky app ka tu yeh Elaan hai ky WAHABI KA HAR AMAL QURAN O HADITH SAY SABIT HAI SIRF QURAN O HADITH ISS KY SIWA KUCH NAHI aur ajj app kehty ho iss ka jawab daina meray liye zarori nhi.

Jawab tu Insah'Allah app Qayamat tak nahi laa sakty laikin itne baat zaror hai ky app jaison ki hawa iss topic per hee nikal gai hai tu phir baqi topics per app ne kya baat karni hai.

(salam)

Shaid issi liya kissi nay khoob kaha pehlay "Think before you leap"

Humain bhi hairangi hoti hai jab aap log waqt say pehlay fatway day detay hain.

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

Mazrat kay saath arz heh:

Kabah ko be Ghusul, itni fizool khar'chi, Africa meh musalmaan piyaas say mar rahay hen, in Wahabiyoon ko Kabah ko shampoo kay saath ghusul denay kee peri huwi heh, itnay bewaqoof logh hen kay Kabah per kohi teen man'h sona laga deeya heh, chahyeh toh yeh thah kay is pesay ko ghareeboon meh taqseem kertay takay woh roti khatay, magir Kabah ko jewlery kee ziyada zeroorat thee. Aur itnay ehmak hen kay Masjid Al Haram ko kia say kia bana deeya ... Sahabah nay Masjid Al Haram meh white marble, nahin lagaya magir in ko dekho inoon nay kia ker deeya ... Hinduwoon, Mushrikoon kee nakal ker kay us Kabah ko kia say kia bana deeya, Hindu be esa kertay hen apnay butoon ko khoobsoorat aur fizool kharchi kertay hen, in'ni kee naqal ker rahay hen, jistera woh butoon ko khoobsoorat bana rahay hen, is'see tera yeh WAHABI KABAH ko khoobsorat bana rahay hen, FIZOOL KHARCHI kee haad hee nahin. Abh toh Hajj be nahin ho sakta, RasoolAllah nay KIA WHITE MARBLE PER CHAL KER TAWAF KEEYA THAH, agir nahin toh esa kernay say hamara TAWAF HO JATA HEH KIA, tawaf us'see waqt hoga jis mat'ti per RasoolAllah nay keeya, warna TAWAF NAHIN HO SAKTA, RasoolAllah kee Sunnat heh ka mat'ti per chal ker tawaf keren, aur agir ham marble per chalen aur tawaf keren to TAWAF nahin hota, yeh biddat hoti heh, yeh Biddati-tawaf hoga.

Aaj kal bas'soon, caroon, wagonoon meh yeh logh saffar kertay hen Hajj kay doraan, halan kay RasoolAllah kee Sunnat to oonth per safar kerna thah, keyun kay safar kerna be Sunnat heh aur car per RasoolAllah nay safar nahin keeya haaj kay doraan is leyeh joh yeh amal Biddat heh, aur is leyeh HAJJ nahin hoga.

(salam) to muslims

Pehli baat yeh hai k aap ka jo dawa tha uska jawab aap ko mil gaya. kia Um ul Momineen Hazarat Ayesha (ra) ki Hadees nazar nahi aaye jo aitraz ker rahay hain k Hinduwoon aur Mushrikeen ki naqal kertay hain.

Sab say pehlay yeh batahen kay Kabah ko ghusul denay wali Hadith kahan per heh? Kahan per likha heh kay Kabah ko ghusul doh, yeh joh hadith aap nay pesh kee heh yeh MASJIDOON kay leyeh heh, KABAH kay leyeh nahin, aur hadith meh safai aur kushbooh ka zikr heh kay masjidoon ko khushbooh daar rakho aur saaf, kabah ko saaf aur kushbooh lagana kahan say sabit heh. Agir is hadith say masjid ko ghusul dena muraad heh toh phir Sahabah nay be ghusul deeya hoga masjidoon ko, aur kabah ko ghusul deeya hoga, is amaal ko sabit keren.

Saffaee say aap nay ghusul kesay mafoom leh leeya zera bewaqoofi kee kohi daleel pesh keren, saffaee jaarooh say be ho jaati heh ghusul zeroori nahin, agir Sahabah nay ghusul nahin deea jarooh mara toh tum ko ziyada ihtiraam heh Kabah ka? Dosra wesay be Hadith meh Kabah kee baat nahin ho rahi, muhallay meh masjidoon kee ho rahi heh.

Yeh jis tareeqeh say tum nay Ghusul e Kabah ko sabit kerna cha'ha heh, yeh ijtihadi tareeka heh, yehni BARELWIYON wala tareeka, tum Ahle Hadith ho, Ahle Ijtihaad nahin tumara mazhib kee bunyaad wazia Hadithoon aur Ijtihaad o Qiyaas per nahin, Ijtihaad Ahle Sunnat Wal Jammat ka tareeka heh. Milaad per toh tum wazia daleel doondtay ho, baray uchal uchal ker, SAHABAH NAY MILAAD KO CELEBRATE KEEYA TOH HADITH PESH KERO, WAZIA HADITH PESH KERO, abh us'see miyaar per qahim raho, aur khud be GHUSUL kee wazia daleel pesh kero kay Kabah ko ghusul dena Sunnat e RasoolAllah heh ya Sahabah weghera.

Baki Hadith say sabit kero kay Sahabah nay Masjidoon ko kesay sabit keeya, jarooh say, doh ker, ya kissi aur tareekeh say ... joh be tareeka Sahabah nay apnaya ussay sabit kero, is hadith meh saffaee ka hokam heh, yeh nahin bataya gaya kay kesay saffaee kero, agir hokam deeya toh Sahabah nay saffaee bee kee hogi, abh kis kay saath kee, kab kee, kis din kee, mard nay kee, aurat nay kee, weghera keyun kay in sab kay jawab say maslay kee wazahat hoti heh, yehni agir aurat nay saffaee kee toh agir aaj mard saffaee kerta heh toh phir khilaaf e amal e Sahabiya hoga, aur yeh Biddat heh, agir subho saffaee kee ho, aur tum Wahabi dopehar ko saffaee kero, toh Biddat hoga, Sahabah nay agir jarooh say saffaee kee aur tum paani say kero toh phir be biddat hoga keyun kay amal Sahabah say sabit nahin, aur Masjid meh kushbooh laganay ka hokam heh, magir yeh sabt kero kay kushbooh deewaar ko malni heh, ya kohi aur tareeka heh, agir Sahabah nay agar bat'ti jalahi aur tum attar kee botal rakh detay ho dakan khol ker toh Sunnat kay khilaaf amaal hoga aur Biddat hoga .... yehni is hadith per amal us waqt hoga jab puri detail sabit hoon gee warna BIDDAT ka khauf heh.

Baqi meh nay likha thah kay WHITE MARBLE per tawaf kernay say Sunnat e RasoolAllah kee khalaf warzi heh is leyeh hajj ka arqaan pura nahin hota, RasoolAllah nay saffa marwa per dor lagahi magir marble per, flat ground per dor nahin lagahi thee, pahari per dorna Sunnat thah ab yeh Sunnat kay khilaaf heh is leyeh yeh amal bee jahiz nahin. Wahabiyoon ka imam speaker lagata heh, aur speaker meh bolta heh, yeh be BIDDAT heh RasoolAllah nay speaker mic istimaal nahin keeya thah, is leyeh namaz fassad ho jaati heh, RasoolAllah nay WHITE MARBLE PER SAJDAH NAHIN DEEYA THAH BALKAY

BEGHER SAJDA DEEYA THAH, WHITE MARBLE PER SAJDAH DENA SUNNAT KAY KHILAAF HEH, RasoolAllah kabi White Marble per kharay nahin huway thay namaz kay leyeh, WAHABIYOON ka white marlbe per kharay ho ker namaz perna khilaaf e sunnat heh biddat heh, aur yeh biddati- namaz hogi is leyeh namaz nahin hogi esi namaz pernay wala juhanami heh.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

Mr. Radiating Ali, is ko kehtey hain aqal per patthar parna,

Agar aap ko ilm nahin ke Ahl-e-Hadith ke maslak main Ijtihad ki kiya hasiyat hai to phir aap ko Aetiraz ka koi haq nahin......

Ab aap behtar hai ke khamosh rahyen......

aap ki pichli post ka jawab dena chahta tha lakin aap ke administrator (or any one) ki meharbani se na desaka ke screen per likha aa raha tha ke "you are not allowed to reply here"

Abh toh Hajj be nahin ho sakta, RasoolAllah nay KIA WHITE MARBLE PER CHAL KER TAWAF KEEYA THAH, agir nahin toh esa kernay say hamara TAWAF HO JATA HEH KIA,

Janab is ke silsilye main aap ke aik aalim jo ke shayed aap ke Imam Ahmed Raza sahib ke son hain ka fatwa bhi hai aap ke paas kia woh share karna chahyegye aap

or ye bhi batayen ke ye aap kahan se istadlal kar rahye hain??

tawaf us'see waqt hoga jis mat'ti per RasoolAllah nay keeya, warna TAWAF NAHIN HO SAKTA, RasoolAllah kee Sunnat heh ka mat'ti per chal ker tawaf keren, aur agir ham marble per chalen aur tawaf keren to TAWAF nahin hota, yeh biddat hoti heh, yeh Biddati-tawaf hoga.

Is ka bhi saboot darkar hai, baraye meharbani share kar kye shukarya ka moqa dain.

Aaj kal bas'soon, caroon, wagonoon meh yeh logh saffar kertay hen Hajj kay doraan, halan kay RasoolAllah kee Sunnat to oonth per safar kerna thah, keyun kay safar kerna be Sunnat heh aur car per RasoolAllah nay safar nahin keeya haaj kay doraan is leyeh joh yeh amal Biddat heh, aur is leyeh HAJJ nahin hoga.

is ka bhi saboot darkar hai....

In sab batoon ke ilawa ...... is tarha to phir jab se jab se ye sawariyan banin hia or marbal o farsh bichye hain us waqt se humarye saath saath kisi ka bhi hajj nahin hoa..........................? bohat bari bat kar rahye hain aap....... guzarish hai ke zara zehan main imagin karain ke kon kon aap ke is fatwye ki zad main hai......??

Han to Alhamdo Lillah Ghusl-e-Kaaba ka mas-ala to hal ho gaya. (aap ki lagai gai qadghan beja hai), or is silsilye main pehlye apny ulama se rojoo karain ne ke kisi wahabi aalim se...... insha Allah confusion clear ho jayegi

Ab aap masala shoroo karna chahtye hain ke hajj ho sakta hai ke nahin..........?

lets start.... main shayed filhal jawab na de sakon lakin or bohat se log mojood hai jawabat denye ke liye, or main bhi waqtan fawaqtan read and reply karonga (Insha Allah)

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Edited by Abdulsalam
Link to comment
Share on other sites

Sab say pehlay yeh batahen kay Kabah ko ghusul denay wali Hadith kahan per heh? Kahan per likha heh kay Kabah ko ghusul doh, yeh joh hadith aap nay pesh kee heh yeh MASJIDOON kay leyeh heh, KABAH kay leyeh nahin, aur hadith meh safai aur kushbooh ka zikr heh kay masjidoon ko khushbooh daar rakho aur saaf, kabah ko saaf aur kushbooh lagana kahan say sabit heh. Agir is hadith say masjid ko ghusul dena muraad heh toh phir Sahabah nay be ghusul deeya hoga masjidoon ko, aur kabah ko ghusul deeya hoga, is amaal ko sabit keren.

Saffaee say aap nay ghusul kesay mafoom leh leeya zera bewaqoofi kee kohi daleel pesh keren, saffaee jaarooh say be ho jaati heh ghusul zeroori nahin, agir Sahabah nay ghusul nahin deea jarooh mara toh tum ko ziyada ihtiraam heh Kabah ka? Dosra wesay be Hadith meh Kabah kee baat nahin ho rahi, muhallay meh masjidoon kee ho rahi heh.

Yeh jis tareeqeh say tum nay Ghusul e Kabah ko sabit kerna cha'ha heh, yeh ijtihadi tareeka heh, yehni BARELWIYON wala tareeka, tum Ahle Hadith ho, Ahle Ijtihaad nahin tumara mazhib kee bunyaad wazia Hadithoon aur Ijtihaad o Qiyaas per nahin, Ijtihaad Ahle Sunnat Wal Jammat ka tareeka heh. Milaad per toh tum wazia daleel doondtay ho, baray uchal uchal ker, SAHABAH NAY MILAAD KO CELEBRATE KEEYA TOH HADITH PESH KERO, WAZIA HADITH PESH KERO, abh us'see miyaar per qahim raho, aur khud be GHUSUL kee wazia daleel pesh kero kay Kabah ko ghusul dena Sunnat e RasoolAllah heh ya Sahabah weghera.

Baki Hadith say sabit kero kay Sahabah nay Masjidoon ko kesay sabit keeya, jarooh say, doh ker, ya kissi aur tareekeh say ... joh be tareeka Sahabah nay apnaya ussay sabit kero, is hadith meh saffaee ka hokam heh, yeh nahin bataya gaya kay kesay saffaee kero, agir hokam deeya toh Sahabah nay saffaee bee kee hogi, abh kis kay saath kee, kab kee, kis din kee, mard nay kee, aurat nay kee, weghera keyun kay in sab kay jawab say maslay kee wazahat hoti heh, yehni agir aurat nay saffaee kee toh agir aaj mard saffaee kerta heh toh phir khilaaf e amal e Sahabiya hoga, aur yeh Biddat heh, agir subho saffaee kee ho, aur tum Wahabi dopehar ko saffaee kero, toh Biddat hoga, Sahabah nay agir jarooh say saffaee kee aur tum paani say kero toh phir be biddat hoga keyun kay amal Sahabah say sabit nahin, aur Masjid meh kushbooh laganay ka hokam heh, magir yeh sabt kero kay kushbooh deewaar ko malni heh, ya kohi aur tareeka heh, agir Sahabah nay agar bat'ti jalahi aur tum attar kee botal rakh detay ho dakan khol ker toh Sunnat kay khilaaf amaal hoga aur Biddat hoga .... yehni is hadith per amal us waqt hoga jab puri detail sabit hoon gee warna BIDDAT ka khauf heh.

Baqi meh nay likha thah kay WHITE MARBLE per tawaf kernay say Sunnat e RasoolAllah kee khalaf warzi heh is leyeh hajj ka arqaan pura nahin hota, RasoolAllah nay saffa marwa per dor lagahi magir marble per, flat ground per dor nahin lagahi thee, pahari per dorna Sunnat thah ab yeh Sunnat kay khilaaf heh is leyeh yeh amal bee jahiz nahin. Wahabiyoon ka imam speaker lagata heh, aur speaker meh bolta heh, yeh be BIDDAT heh RasoolAllah nay speaker mic istimaal nahin keeya thah, is leyeh namaz fassad ho jaati heh, RasoolAllah nay WHITE MARBLE PER SAJDAH NAHIN DEEYA THAH BALKAY

BEGHER SAJDA DEEYA THAH, WHITE MARBLE PER SAJDAH DENA SUNNAT KAY KHILAAF HEH, RasoolAllah kabi White Marble per kharay nahin huway thay namaz kay leyeh, WAHABIYOON ka white marlbe per kharay ho ker namaz perna khilaaf e sunnat heh biddat heh, aur yeh biddati- namaz hogi is leyeh namaz nahin hogi esi namaz pernay wala juhanami heh.

(salam) to muslims

ajeeb jahilana sawalaat hain? Mr. Radiating Ali aap ko humaray manhaj k pata hi naheen aur shaid aap ko apnay ka bhi naheen pata.

White marble per tawaf naheen hota. chalo hum farz ker lain k tawaf Whitel Marble per naheen hota to Nabi (saw) nay to tawaf Sahaba (ra) ky saath kia to huamara tawaf bhi sahaba k elawa kissi k sath naheen ho ga. Haj ka khutaba Nabi (saw) nay diya ab Nabi (saw) hi dain gay to ho ga warna naheen hajj naheen ho ga.

iss k baad bhi agar aap apnay mauqaf per dattay hain to pehlay aap ko sabit kerna peray ga k jo haddain aap nay lagain hain woh durust hain. phir ham sabit kerain gay k aap k jo dawa hai woh kiun ghalat hai.

uljha hai pao yaar ka zulf e daraaz mein...

lo apny daam me khud syaad aa gaya...

Link to comment
Share on other sites

Jee mujjay Minhaaj e Ahle Sunnat, aur Wahabiyat ka tareeka bee pata heh, shahid tum itna Wahabiyat ko nahin samjay jitna meh ney samaj ker chora heh. Pehlay meh tummeh Wahabiyat kee Biddat kee tareef bata doon,

* Kohi Aqeeda o Amal jis kee Quran o Hadith meh Asal nahin Biddat heh.

Wahabiyat kay mutabiq, Asal ba'mana WAZIYA, EXPLICIT daleel heh, IMPLICIT, INDIRECT, daleel heh, Yehni:

* Kohi Aqeedah o Amal jis kee Quran O Hadith meh WAZIYA, EXPLICIT Daleel nahin Biddat heh.

Abh is asool ko sabit kernay kay leyeh meh Wahabiyat kay ihtiraazat joh Milaad per hotay hen pesh keroon ga aur aap kee Tareef e Biddat sabit ho jahay gee, aur IJTIHAD ka inqaar be sabit ho jahay ga.

* Awal Milaad Sahabah nay celebrate nahin kee, is leyeh biddat heh.

Agir aap Asal ba'manna Wazia, Explicit daleel lenh toh phir yeh aap kay leyeh ihtiraaz wazni heh, aur agar aap Asal bamana IMPLICIT, INDIRECT daleel lenh toh esa kehna bewaqoofi hoga.

Hamara mowaqif heh kay Asal say ba'mana, EXPLICIT, DIRECT, AUR IMPLICIT, INDIRECT, daleel muraad heh. Jistera abh RAsoolAllah nay camel per saffar keeya, aaj kal cars hen, jahaaz hen, weghera ... toh INDIRECT DALEEL SAY UN WASAIL KA ISTIMAAL JAHIZ HEH JIS MEH SAFFAR MEH ASAANI HO, AUR INDIRECT DALEEL, IJITHAAD ka saboot hoti heh. Agir EXPLICIT DALEEL, hamesha darkaar ho toh phir toh CAR per saffar kerna bee Biddat heh.

Wahabiyat meh kissi maslay ko sabit kernay kay leyeh, RasoolAllah ka amal, sahabah ka amal ka amal daleel hota heh, WAHABIAT MEH IJTIHAAD KA KOHI TASSAVUR NAHIN.

Warna Milaad ko misaal leh lenh, jistera aaj celebrate keeh jaati heh, yeh Ijtihaadi masla heh, Quran perna, naat perna, ghareeboon maskeenoon ko khana, weghera ... haqiqat meh MILAAD Sunnatoon ka majmoonha heh, aur Ijtihaad ka qahil kabi be Milaad ko Biddat nahin tehra sakta. Keyun kay Milaad meh Quran pera jata heh joh hokam e bari tallah heh, muskaraya be jaata heh Sahabah aur RasoolAllah ka amal bee heh is per, ghareeboon maskeenoon ko khana deeya jata heh Sunnat heh, nawafil weghera ... haqiqat meh Milaad SUNNATOON KA MAJMOO'A heh, aur in sab sunantoon ko jamah keeya gaya aur un per amal hota heh.

Aap ka asool WAZIA, EXPLICIT daleel ka heh, IMPLICIT, INDIRECT DALEEL aap kee Wahabiyat meh kohi mana nahin rakhti. Meh aap ko aap kay asooloon ka aayna dekha raha hoon kay jahalat ka palanda hen, alhamdulillah ham Sunni hen ilm o aqal walay hen warna tumari jahalat per ahen toh TUMARAY NAAQ PER KHARISH KERNAY PER DALEEL MANGNA BETH JAHEN.

Wesay AAP KEE TARAF SAY KABAH KO GHUSUL DENAY kee daleel nahin aahi, aap kia daleel denh gay, ilmi yateem hen. Lenh meh aap kay leyeh AHLE SUNNAT KAY ASOOL KAY SAATH GHUSUL E KABAH KO SABIT KER DETA HOON.

Hadith meh aya heh kay Masjidoon ko saaf rakhen, aur Khana Kabah be Masjid {Al Haram} heh is leyeh is hokam meh Kabah bee aa jata heh. RasoolAllah nay Masjidoon ko saaf kernay ka tareeka nahin bataya kay kesay keren, saffaee ka hokam deeya heh, abh safaee, kapray say, jarooh say, paani say, hoover say, jistera say be ho ker saktay hen, saffaee manzil heh, rasta kohi bee apna lenh. Magir Sunnat ka tareeka afzal heh, joh tareeka Sahabah nay apnaya woh afzal o ala heh, agir sabit ho toh ussi ko apnahen, aur sabit honay kay baad be nah amal keren toh kohi harj nahin, harj us waqat hoga jab us tareekeh kay munkir ya buri nazr say dekhen gay. Agir jarooh say sabit heh aur aap ko maloom heh magir phir bee aap paani say kertay hen toh is meh harj nahin keyun kay RasoolAllah ka hokam saffaee ka thah us ko jistera marzi pura keren, magir afzal tareeka Sunnat ka heh. Agir Sahabah nay jarooh say keeya aur aap Ijithaad ker kay paani say kertay hen toh jahiz heh keyun kay paani ko RasoolAllah nay wudu aur Taharat kay leyeh istimaal keeya, is say sabit huwa kay paani be taharat kay leyeh istimaal hota heh aur Masjid kay leyeh istimaal ho toh be taharat ho jahay gee.

Abh aap kee aqal moti heh toh aap kehn gay kay Wudu say Kabah ko ghusul dena jahiz kesay tehra, toh samaj lenh kay yeh ijtihaadi daleel heh, paani saaf kerta heh, wudu meh paani safaee kerta heh, paleeti, najasat door kerta heh, yeh paani kee quality hen, is leyeh masjid meh saffaee kay leyeh istimaal ho sakta heh, yeh tareeka e Ahle Sunnat heh aur ghusul e Kabah indirect, implicit yehni Ijtihaadi daleel say sabit ho jata heh aur is ka jahiz hona be sabit ho jata heh.

Is'see tera Mawlaad e RasoolAllah meh Quran prna weghera ... Sunnateh, hen aur mashoor tareeka majmooa e Sunnat heh, is leyeh jahiz o mustahab heh.

Imam Ahmad Raza ka fatwah tab zeroorat peray jab meh nay dawah keeya ho kay meray imaam ka fatwah heh, mera Imam pera likha thah, Imam e Ahle Sunnat thah, woh essi baqwasaat nahin likh saktay, yeh toh kohiSunni bee nahin likh sakta, balkay meh nay WHITE MARBLE per joh kuch likha WAHABIYAT kay asooloon ko mad e nazr rakh ker likha, WAHABIYAT wali soch ko apna ker likha, KHADIM BE BERA PAKKA KAT'THAR QANA WAHABI THAH EK ZAMANAY MEH, magir hidayat ka rasta khula toh Sunni huwa, magir Wahabiyat bhoola thora hoon, meh ek second meh rang dang badal leta hoon.

Wahabiyat ka DAWAH heh kay SUNNAT per amal kertay hen, AUR JOH SUNNAT SAY SABIT NAH HO US PER AMAL NAHIN KERTAY, bas meh abh aahina dekha raha hoon aap ko aur johmanhoosat aap meri writting meh perh rahay hen woh asal meh Wahabiyat kee refflection heh.

HAJJ aur TAWAF nahin hota .... Hanji dekhyeh meh nay Wahabiyat ka ASOOL say yeh istidlal keeya heh, dekhyeh janab Masla Talaq e Salasa, yehni ek hee dafa, ek majlis meh teen talaq denh toh ho jahay gee ya nahin, baqaul Ulamah e Ahle Sunnat ho jaati heh, keyun kay Quran meh aya heh kay teen talaqoon kay baad wapsi nahin ho sakti. Magir Wahabiat kehti heh talaq nahin hoti, cha'hay pachaas baar talaq deh ek hee majlis meh. Aur daleel yeh heh kay, talaq denay walay nay Sunnat per amal nahin keeya, joh tareeka RasoolAllah aur Quran nay bataya us per amal nahin keeya is leyeh talaq nahin huwi. Yehni sakhs nay teen majlisoon meh teen talaqen dena thee us nay nahin deen is leyeh nahin huwi. To is say KHADIM nay ASOOL AKHAZ KEEYA kay:

* Joh tareeka Quran o Hadith say sabit heh agir us tera nah keeya jahay toh nahin hota."

Abh Hajj aur Tawaf, Kia RasoolAllah nay tawaf MARBLE per keeya nahin keeya toh phir jistera ek majlis meh teen talaqen teen talaqen nahin hoteen, is'see tera Marble per chal ker tawaf kerna namazen nahin hoteen. Agir meh ghalat hoon toh phir Talaq e Salasah kay maslay per Wahabiyat bee ghalat hee heh yaqeen ker lenh.

Janab nay arz keeya: "... is tarha to phir jab se jab se ye sawariyan banin hia or marbal o farsh bichye hain us waqt se humarye saath saath kisi ka bhi hajj nahin hoa." toh suneh, aap muj say ikhtilaaf ker rahay hen ya Wahabiyat say? Meh toh Wahabiat kee side deh raha hoon bilqul aap kay nazriyaat kee tarjumani ker raha hoon aap ko bad'hazmi KEYUN honay lagi.

Yeh aap mujjay batahen kay MARBLE FLOOR, AUR CARS, BUSSES, kay saath HAJJ kistera ho jata heh, ... kia aap ka yaheeh aqeedah heh kay Marbles jesi Biddat per namaz pereh tawaf keren toh ho namaz tawaf ho jata heh, kia aap yeh manteh hen kay Biddat per amal ho toh tab bee theek heh ... MEH TOH KEHTA HOON KAY HAJJ KA KOHI ARKAAN BEE NAHIN PURA HO SAKTA KEYUN KAY PURA HARAM SHAREF HEE BIDDAT BANA DEEYA GAYA HEH. Meri toh wazia daleel heh kay HAJJ nahin hota, agir aap ka mowaqif heh kay ho jata heh toh sabit keren, daleel denh kay ho jata heh.

Mujjay confusion nahin ... [:)] alhamdulillah Allah tallah ka deeya bot heh, meh tumari ISLAH ker raha hoon ... khadim asool e deen ko samajta heh ... aur zeroorat nahin kay Ulamah say rajooh keroon, jab peri toh ker loon ga, abhi meh sirf tumari islah kee khatar Wahabiat ko apnaya heh taqay tujjay tumaray wahabi asolloon kee jahalat ka andaza ho.

White marble per tawaf naheen hota. chalo hum farz ker lain k tawaf Whitel Marble per naheen hota to Nabi saw.gif nay to tawaf Sahaba ra.gif ky saath kia to huamara tawaf bhi sahaba k elawa kissi k sath naheen ho ga. Haj ka khutaba Nabi saw.gif nay diya ab Nabi saw.gif hi dain gay to ho ga warna naheen hajj naheen ho ga.

meh bee toh yahee keh raha hoon kay jistera Sunnat ka amal heh us'see tera tawaf hoga, abh RasoolAllah nay Sahabah kay saath tawaf keeya toh aap Sahabah kay begher tawaf kertay hen, aur aap ko pata heh kay yeh Biddat heh, jab Sahabah hen hee nahin toh Marble kay upper ek tawaf, dosra Sahabah kay begher tawaf, yeh toh Khilaaf e Sunnat x2 heh, yeh toh Biddat x2 heh. Yahee toh mera point heh kay SUNNAT KO CHOR DENH toh phir biddat hogi aur har biddat gumrahi kee taraf leeh jati heh. Abh bee agir tum kaho kay Sunnatoon kay khilaaf amal kernay say Hajj ho jata heh toh phir kia keeya jaa sakta heh, Sunnat kee zidd biddat heh, aur MARBLE BIDDAT HEH KAY NAHIN, TOH PHIR JOH CHEESE SUNNAT KEE ZIDD MEH HO USS PER AMAL KERNAY SAY DEEN PER AMAL KESAY HO SAKTA HEH, Sunnat kay mutabiq tawaf tab hoga jab aap MARBLE KAY BEGHR tawaf KEREN GAY warna aap ka tawaf ek taraf dosri taraf marble per chalnay wali biddat, aur biddati joh marzi amal keray qabool nahin hoga, is leyeh tawaf nahin hota keyun kay tawaf kay saath biddat bee ho rahi heh ...

Yeh Muhammed Ali Razavi kee zarbeh hen joh Wahabiyaat kay upper lagahee hen, aur yeh had'deh wahabiyat nay hee lagahi hen, meh nay sirf un haddoon ko pesh keeya heh, meh nay tiyaar nahin keen meh waiter hoon sirf serve kerta hoon aap kee wahabiyat kee tiyaar shuda hen. Wahabiyat meray ihtiraazat ka jawab o rad nahin ker sakti, keyun kay joh kuch keh raha hoon woh Wahabiyat kay asooloon kay mutabiq heh, aur joh sahih baat biyaan kee woh Ahle Sunnat kay asoloon kay mutabiq.

Ahlhamdulillah, Ahle Sunnat kay mutabiq marble bee laga ho toh Hajj tawaf sab kuch ho jata heh ... balkay khadim toh Ijtihadi daleel say marble bee sabit ker sakta heh, yehni INDIRECT DALEEL SAY, aur aap kee pesh kee huwi hadth, masjidoon ko saaf rakho wali hadith daleel ban sakti heh, abh agir tum ko ilm o hikmat nahin toh AHLE SUNNAT WAL JAMMAT kee kia khata. Agir kissi baee ko kohi confusion huwi ho ya meray biyaan kerda points say confuse hoon toh pm keren meh wazahat kr doon ga.

Muhammed Ali Razavi

Link to comment
Share on other sites

In sab batoon ke ilawa ...... is tarha to phir jab se jab se ye sawariyan banin hia or marbal o farsh bichye hain us waqt se humarye saath saath kisi ka bhi hajj nahin hoa..........................? bohat bari bat kar rahye hain aap....... guzarish hai ke zara zehan main imagin karain ke kon kon aap ke is fatwye ki zad main hai......??

= <> =

Acha aap ko logoon kay HAJJ nah honay ka fikr per gaya heh kay kis kis ka HAJJ nahin huwa hoga ... kabi yeh bee socha heh kay UMMAT kay kon kon say logoon ko tum nay jahanum meh bheja heh apni jahalat kee bina per, Ibn Taymiyah nay MIlaad e RasoolAllah ko jahiz mustahab likha woh be jahanumi huwa, Ummat kay Saliheen ka amal, Awliyah ka amal majority ka amal is per heh sab ko jahanum meh bihija kabi socha heh nateeja kia hoga, kitnay baray Awliyah e Kamileen Salaheen, Muhadditheen, Mujtahideen, ko jananum meh beja heh Biddati tehra ker.

Kabi ungli ko apni taraf point keeya kero. Mujjay mat bataho kay kia kia nateeja nikalta heh, meh tummeh batanay kay leyeh ker raha hoon kay tum socho kay Wahabiat say kia kia baqwas nikalti heh agir is ko qabool ker leeya jahay toh yeh baqwasaat hee peda hoon geen, deen ko samjen aur Biddat kee tareef aur Ijtihaad ko samjen kay kis kism kay dalahil Ijtihaad kay leyeh darkaar hotay he, inshallah yeh samaj lenh toh phir kabi bee khata nahin keren gay.

Link to comment
Share on other sites

keeya aur aap Ijithaad ker kay paani say kertay hen toh jahiz heh keyun kay paani ko RasoolAllah nay wudu aur Taharat kay leyeh istimaal keeya, is say sabit huwa kay paani be taharat kay leyeh istimaal hota heh aur Masjid kay leyeh istimaal ho toh be taharat ho jahay gee.

(salam) to muslims

Bukhari: Vol 8, Book 73. Good Manners And Form (Al-Adab). Hadith 054.

Narrated By Anas bin Malik : A bedouin urinated in the mosque and the people ran to (beat) him. Allah's Apostle said, "Do not interrupt his urination (i.e. let him finish)." Then the Prophet asked for a tumbler of water and poured the water over the place of urine.

:lol::lol::lol: Tumhara Ijtehaad humain pata hai :lol::lol::lol:

uljha hai pao yaar ka zulf e daraaz mein...

</I></B>

lo apny daam me khud syaad aa gaya...

post-2048-1241775402.jpg

Reh gai humaray manhaj ki woh hum nay sabit kia, aap apna to sabit kerain (Hadees k muqabaly main ijtehaad),

Mr. Radiating Ali, Rah gai baat Bidaat-e-Milaad ki us k liya nai topic shurro ker do lakin iss topic k baad.

Inshallah hum wahan bhi sabit kerain gay.

Ab Brailvion k liya lamah-e-fikariya.

fi-aman:

Edited by Haqeeqqt
Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

Mr. M Ali Razavi or Radiating Ali

Aap ne apnye hi logon ke Etrazat ke dhajjiyan uradeen.........? aap ke Ghulam-e-Mustafa, Sybarite, YAsir Attari etc. in logon ne humarye usoolon ke mutabiq is ke daleel nahin mangi thi bulke un ka direct kehna tha ke ye sab ke sab biddat hai or in ka koi saboot nahin hai........?

lehaza aap sab se pehlye apnye un logon ko qayel karain jinhon ne "Mahnama Raza-e-Mustafa" risalye main is ko ghalat likha hai.......take woh bhi is se fayeda utha saken..

Hum kis had tak ijtihad kartye hain kis had tak mantye hain ye to aap ne dekh hi liya........ tabhi aap ko is ki daleel bhi di, jis ki aap bhi maan rahye hain...... ab main kia karon ke ahissta aahista tmama baton ko aap ke log maan rahey hain (yani ke deewar main kamzoori aa gaee hai bus zara waqt ka intizara hai girnye ke liye).......

Ab aap bhi bina sar per ke bolnye lagye (yani ke jab aap ke nazdeek Hajj ho jata hai to phir........ aiterazat kesya.... ab ye khna ke aap ke usoloon ke mutabiq sirf jawab mang rahye they to phir aap bhi sirf waqt zaya kar rahye hain........

Ab main aata hon is Etiraz ke karnye ke wajah per jo ke aap ke Meelad sharif hai.....

Agar aap is ko kuch qayood-e-Sharai ke saath karain or is per koi zamanat den ke is se tajawaz nahin kia jaye ga to yaqeenan kisi bhi aalim ko jo kisi bhi maslak ka ho koi Etiraz nahin hoga...

for Example

Mehfil kisi makhsoos din na ho

Mehfil main log Rasool-e-Akram ka wohi zirk karain jesa ka Quran or Hadith main warid hoa hai

Zikr main apni taraf se ya ghair sabit shuda, ya zaeef, matrook, munkir ahadith ko na zikr kia jaye or agar kia jaye to ye zaroor bata diya jaye ke is hadith per kalam hai, jirah hai, wagera.

Mehfil main logon ke aanye ki wajah sirf or sirf Mohabbat-e-Rasool-e-Akram (saw) ho na ke koi or wajah (exmp. Dikhawa, shuhrat,)

Mefil ke liye Chanda waghera ikhatta na kiya jaye...

Mefil main agar speaker ka istimal ho to sirf is had tak ke jo log mojood hon un tak bayan karnye walye ki awaz pohanch jaye

Speaker per Mehfil se ghanta, do ghanta, teen ghantye pehley se ziyada awaz main koi narye, naten, ya zikr na kia jaye(haqooq ul ibad ka khayal rakha jaye)

Naten ghair sharai, ghuloo se bhar poor, music se bharpoor, qawwali music se bharpoor na hon

In sab batoon ke ilawa har us cheez, amal ka khayal rkha jaye jo ke ghair sharai ho..

Ab agar aap ye sab kuch mannye ke liye tayyar ho jayen to phir aap is mehfil ko kar saktye hain or koi ghair muqallid or ghair Hanafi bhi aap ke mehfil main shirkat se inkar nahin kar sakta...

in sab batoon ke ilawa ye bhi batana chahonga ke jab aap kisi amal ko jo ke "nai" new ho to us main changes aati hain or phir aik (1) nasal ya ziyada se ziyada teesri (3) nasal tak ke log tamam batoon ka khayal rakhtye hain lakin is ke baad us main jo tabdeeliyan aati hain un per koi control nahin hota...... or humara maqsad hi yahi hai is Meelad shareef ke naam per ke jis ki koi asal Sahaba (ra), Tabaeen or Taba Tabeen ke dor main nahin milti (jis tarha ke aaj humarye yahan hoti hain), jo kuch hota hai woh sab siwaye sahi zikr ke ghalat hota hai ghair sharaiee hota hai,

Agar aap (baqool aap ke) wahabi they to yaqeenan ye to pata hoga ke jahan bohat si ghalatiya hain wahan is main bohat se ghair sharai aamal se bachna bhi tha or hai.......

in baton se waqti ikhtilaf to ho sakta hai aap ko lakin aap un batoon ko jhutla nahin saktye or mantye bhi hongye lakin taqleed bohat purani aadat hai zara der se jayegee..

Or inhi baton kon na sirf Ahl-e-Hadith hazrat pakr kartye hain bulkye us ka radd bhi kartye hain jis ki hi wajah se humye be adab bhi kaha jata hai, jub ke hum is baat per yaqeen rakhtye hain ke Insan se ghalati ho hi jati hai...... Aap ke yahan to hoti hi nahin..................????

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Edited by Abdulsalam
Link to comment
Share on other sites

Chor macha'hay shor, Chor! Chor! Chor! :lol: Ya Allah ajeeb makhlooq peda kee heh tooh nay.

Bukhari: Vol 8, Book 73. Good Manners And Form (Al-Adab). Hadith 054.

Narrated By Anas bin Malik : A bedouin urinated in the mosque and the people ran to (beat) him. Allah's Apostle said, "Do not interrupt his urination (i.e. let him finish)." Then the Prophet asked for a tumbler of water and poured the water over the place of urine.

Aap kay Wahabi mazhib kay kay asoloon kay mutabiq arz heh. Joh aap kee daleel heh woh sirf peshaab kernay kay baad us jaga per paani dala jahay jahan per peshaab huwa heh, us kee daleel heh, toh aap batahen kay aap kia puri masjid meh peshaab kertay hen, yehni kohi idhar betha masjid meh peshaab ker raha hota heh aur kohi udhar aur phir sab Masjid ko doh detay ho?

Yeh Masjid ko donay kee daleel nahin, sirf jahan per peshaab gira heh us ko donay kee daleel heh, pehlay tum WAHABI masjid meh PESHAAB keeya kero, ya kohi agir masjid meh peshaab kerta heh toh phir paani say dowo, warna begher peshaab kay donay kee ijazat nahin, yeh toh huwa Wahabiat kay asoloon kay mutabiq jawab.

Aap batahen kay aap kay point ka maqsid kia heh, agir context meh meri post pertay toh maqsid yeh thah kay Masjid ko paani say donay kee sharan ijazat heh. Keyun kay maswood safaee heh jistera bee ho. Aur Ahle Sunnat kay asoloon kay mutabiq peshaab kay begher be doh saktya hen zeroori nahin kay kohi wahabi masjid meh peshaab keray toh us ko dowenh.

Baaqi Subject KABAH ko ghusul heh, TOH KIA WAHABI KABAH MEH PESHAAB KERTAY HEN, AUR PHIR KABAH KO GHUSUL DETAY HEN? Agir kohi kabah meh peshaab bee nahin kerta toh phir daleel nahin ban sakti, dosri baat yeh Hadith masjid meh PEHSAAB PEr paani dalnay kee daleel heh, woh hadith pesh kero jis meh likha ho kay KABAH MEH JAB KOHI PESHAAB KERAY TOH US KO PAANI SAY DOH DALO.

Link to comment
Share on other sites

"Mr. M Ali Razavi or Radiating Ali

Aap ne apnye hi logon ke Etrazat ke dhajjiyan uradeen.........? aap ke Ghulam-e-Mustafa, Sybarite, YAsir Attari etc. in logon ne humarye usoolon ke mutabiq is ke daleel nahin mangi thi bulke un ka direct kehna tha ke ye sab ke sab biddat hai or in ka koi saboot nahin hai........?

lehaza aap sab se pehlye apnye un logon ko qayel karain jinhon ne "Mahnama Raza-e-Mustafa" risalye main is ko ghalat likha hai.......take woh bhi is se fayeda utha saken."

= <> =

Janab Ghulaam e Mustafa aur Sybarite bahiyoon ko meh achi tera jaanta hoon, shahid woh muj say is name kay saath waqif nah hoon magir Muhammed Ali Razavi, orkut, walay naam say jantay hen. Meh nay guftgooh is'see leyeh jaari rakhi aur wohi mutalbaat keeyeh joh un'noon nay keeyeh, farq sirf itna heh kay meh nay ilaania tor per bata deeya kay yeh hamaray asool nahin Wahabiyat kay asool hen aap in per puray utren. Aur un'noon nay begher batahay huway wohi mutalbay keeyeh. Aur inoon nay ihtirazaat keeyeh, meh nay aap kay asool kay mutabiq ihtiraaz keeya aur Ahle Sunnat kay asool kay mutabiq MASLAY KEE WAZAHAT BE SAATH KEE. Yeh thapar bee maray aur maram bee laga deeh saath meh. aur Sybarite weghera nay sirf THAPAROON TAQ HEE IKHTISAAR KEEYA. Wesay meh nay in ko pera thah aur samaj ker kay keyun yeh ihtiraaz ker rahay hen mazeed baat aagay jaari rakhi.

Janab woh dajjiyan is leyeh ureen, kay ihtiraazaat aur dalahil ka pemana un'noon nay aap ka istimaal keeya thah, yehni qat'ti daleel ho, meh nay wahabiat ka asool:

* Kohi Aqeedah o Amal jis kee Quran O Hadith meh WAZIYA, EXPLICIT Daleel nahin Biddat heh.

Toh is kay mutabiq KABAH KO GHUSUL KEE DALEEL NAHIN, yeh aap ka asool Sunni istimaal ker rahay thay taqay aap kay sochnay per majboor keren kay yeh asool sahih nahin har issue per.

Meh nay joh kuch biyaan keeya woh is asool kay mutabiq keeya.

* Any Action/Akidah of which there is no Explicit or Implicit evidence from the Qur'an or Sunnah but is done with belief that it is part of Deen – it is Bidah.

Yeh dajjiyan Ahle Sunnat kee nahin implicit daleel kee bunyaad per WAHABIYAT KEE UR'RI HEN.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...