Farooq-e-Azam مراسلہ: 27 نومبر 2008 Report Share مراسلہ: 27 نومبر 2008 Brother & Sisters!! Abu Dawood Sharif main rivayat hai ke Janab-e-Khadija ke 80,000 oonth (camels) hote the jo tijarat ka samaan le kar mukhtalif countries main jaatay. Aap Janab-e-Khadija ke saray network or employees ka andaza khud laga len ke kitna big network ho ga. Jub Janab-e-Khadija ka Aap Janab-e-Muhammad-e-Mustafa se nikaah howa to Janab-e-Syedna Hazrat-e-Siddiq-e-Akbar fartay hain ke nikaah ka baad aap Janab-e-Khadija daily itna sadka or khairat kya karti thee ke aik ooncha sa sonay or chandi etc ka dhair hota or main (Janab-e-Siddiq-e-Akbar ) os dhair ki doosri taraf nahi dekh sakta tha, utna dhair rozana aap Janab-e-Khadija ghareebon main sadka karti ke aaj mujhe aap Janab-e-Muhammad-e-Mustafa (PBUH) ki ziarat hoi, aaj mujhey un ka chehra mubarik dekhna naseeb howa. Jub aap Janab-e-Muhammad-e-Mustafa (PBUH) ne islam ki pehli daawat kuffar ko di to aap Janab-e-Khadija ne jo bartan khanay ke liye pesh kiye wo sonay or chandi ke the or aap ki taraf se kuffar ko ijazat thi ke khana bhi khayen or bartan bhi sath lete jayen. Sisters & Brothers, hum ne to Laila Majnoo, Heer Ranjha etc ke pyar ke kissay hi sunay hain. Hai na ye asli ishq jo aap Janab-e-Muhammad-e-Mustafa (PBUH) or Janab-e-Khadija ke darmyaan tha, ke aap Janab-e-Muhammad-e-Mustafa (PBUH) ke ishq main apna sub kuch quran kar diya. Or jub aap Janab-e-Khadija duniya se tashreef le janay lagi to en ke pas kafan ke liye kapra na tha. Aap ne janab Muhammad-e-Mustafa (PBUH) se kaha ke apni chaadar mere kafan main de den to Aap Janab-e-Muhammad-e-Mustafa (PBUH) ro diye or kahnay lage ke bibi aap meri chaadar ki baat karti hain mere ikhtiyaar main hota to main apni chamri (skin) ka kafan aap ko bana kar deta. Allah talaa apnay pyaray mahboob (PBUH) ke aansoo na dekh sakay or foran jannat se aap Janab-e-Khadija ke liye kafan Hazarat-e-Jibraeel ke hath bhaij diya. Main kbahi kabhi on ki shan dekh kar hairaan hoti hoon ke. Os bibi ke ghar ka kya kahna jahaan Muhammad-e-Mustafa (PBUH) jo Allah ke Habib or Mahboob, hain Sardar ul Ambiya hain, Janab-e-Hassan or Janab-e-Hussain jo jannat main tamaam mardon (men) ke sardar hain or Janab-e-Fatima jo jannat ki orton (women) ki sardar hain rehete hon, wo bibi ki azmat kya ho gi. Allah talaa apnay Habib (PBUH) ke sadkay ham sub ke amaal kabool kare or aap (PBUH) aap (PBUH) ki Aal or Sahab-e-Karaam se succhi mohabbat karnay ki taufeeq de. Ameen!! summa Ameen!! اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Attari26 مراسلہ: 16 دسمبر 2008 Report Share مراسلہ: 16 دسمبر 2008 سبحان اللہ جزاک اللہ خیرا اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Guest pakistanisunni مراسلہ: 19 دسمبر 2010 Report Share مراسلہ: 19 دسمبر 2010 Main kbahi kabhi on ki shan dekh kar hairaan hoti hoon ke. Os bibi ke ghar ka kya kahna jahaan Muhammad-e-Mustafa (PBUH) jo Allah ke Habib or Mahboob, hain Sardar ul Ambiya hain, Janab-e-Hassan or Janab-e-Hussain jo jannat main tamaam mardon (men) ke sardar hain or Janab-e-Fatima jo jannat ki orton (women) ki sardar hain rehete hon, wo bibi ki azmat kya ho gi. Allah talaa apnay Habib (PBUH) ke sadkay ham sub ke amaal kabool kare or aap (PBUH) aap (PBUH) ki Aal or Sahab-e-Karaam se succhi mohabbat karnay ki taufeeq de. Ameen!! summa Ameen!! AGAR WAQEE AESA HAI, AOR YE DIL SE KAHA HAI KE ONN BIBI ( SATAWAW) KI SHAN AOR OSS PAK GHAR ( SATAWAW) KI SHAN PE HERAT HOTI HAI KE, JIS PAK GHAR ( SATAWAW) MAIN , HAZOOR PAK ( SATAWAW) ALLAH ( AJ) KE HABEEB ( SATAWAW) , HAZRAAT-E AHSNAIN KAREEMAIN ( SATAWAW) ( SATAWAW) JANAT NE SARDAAR ( SATAWAW) ( SATAWAW), HAZRAT BIBI PAAK ( SATAWAW) JANATI AORTOON KI SARDAAR ( SATAWAW) TO HAZRAT KHADJIAH ( SATAWAW) KI SAHN KIA HOGI HENAA?? TO KIA AAPKA IMAN HAI KE , YEH SAB PAAK HASTIYAAN ( SATAWAW) TAMAM KAINAAT MAIN AFZAL HAIN??? AGR IMAN HAI TAB TO WAQEE DILS E KAHA HAI, AOR ALLAH ( AJ) KE HAAN ISKI JAZA BOHT BARI HAI AOR AGAR YEH AFZALIYAT PE IMAN HI NAHI TO, AESI HERAT KA KIA FAIDA JIS MAIN, SHAN PAAK GHATAANE KI BAAT HO, IS BOGHZ PE TO OLTA JAHANAM KI SAZA HAI... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔