Jump to content

Ghair Ullah ke lye lafz maula shirk ... Ghair Sahabi Key Lye Radi Allah Anhu na jaiz


Riz danish

تجویز کردہ جواب

main bhi aap se itfaaq karta hoon, kyon k merey khial se sab se pehley imam to Imam-e-Azam Hazrat Abu Hanifa Razi Allah Tallah unho they aur wo shaed Hazrat Mola Ali Razi Allah Tallah unho k zamaney mein peda huey they aur jab Imam-e-Azam ke fiqey ka silsila shuru hua to us waqat koi bhi sahabi nahi tha, meri maloomat ke mutabiq aissa hai, agar meine kuch galith kaha ho to meri salah kara dijiey ga! shukrya

 

 

Janaab Bismillah sahab aap phir Gumrahi waali baath kar rahe hai kyo k 'Razi Allah Tallah unho' sirf SAHABA k naam k saath lagaya jaata hai kisi Aaire-Gaaire k liye nahi hai. Ye Title Khaas Allah k taraf se Sahaba ko mili thi aur ye Quran-e-Karim me maujud hai. Aap SAHAABA jo Rasool k baadh sab se badi hasti hai unki shaan me Gustaakhi kar rahe hai Imam ko Razi Allah unho kah kar.

Hazrat Ali ko 'Maula' kehna Shirk hai kyo k hamara aur aap ka Maula Sirf Allah hai.

Imam-e-Azam to hamare Rasool Sarware kainath Mohammad(S.A.W) hai aap kisi gaire Nabi ko Imam-e-Azam keh kar Hamare Nabi ki shaan me gustaakhi na kijye.

Abu Hanifa(Numan bin Saabidh) ki padaaish 80 hijri ki hai aur Hazrat Ali Razi Allah unho to 40 Hijri me wafaath paa gaye they to phir Abu Hanifa ki Padaaish me kaise aa gaye.Taarikh ki kitaab utha kar dekh lijye tab pata chalege aap ko.

Zara tehkeek ke maidan me to utar k dekhye janaab Hum aap k saath hai.

Islam Rasool Allah k Zamane Complete ho chuka tha jaisa k Quran hame batata hai to Kisi gairo se Sharya lene ki kya zaroorath? Sahaba ka Madhab Mohammady aur Quran Hadees tha, kisi fiqa ko nahi maante the to phir hum bhi Quran hadees pe chal kar kyo Jannat nahi jaa sakte??

Link to comment
Share on other sites

Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh!

Janab Riz Danish saab, app ke jawab se maloom hota hai k aap ilm k maidan main bohat zayada peechey hain issi liey aap ne itna NON-SENSE jawab diya, jiss sawal ka jawab aap ko na maloom ho, barey meherbani khamosh rahiey, warna app kahin doosron ki gumrahi ka zaria na ban jaeny.

Ameer-e-Ahlesunnat Hazrat Molana Abu Bilal Ilyaas Attar Qadri Rizawi(rehmatullah aley) khud ek qadri hain, aur qadri wo hota hai jo Hazoor Ghuass-al-Azam ka ghulam ho, aur aap yaqeenan un se zayada ilm rakhaney waley nahi hain.

 

dont mind please!

Janaab Bismillah Sahab aap shayad kitabon ko ahmiyat nahi dete hai isliye aap ki baaton me gumrahi nazar aati hai. Gauss-al-azam sirf Allah Ta'la hi ho sakte hai.(Quran-10:31) kisi Maqhlook k andar ye salahyat kahan k wo khud ko Gauss bana le, ye Allah k sifaath me shirk hai, pehle aap pata kijye k Gauss ka matlab kya hota hai. Jaisa k Allah farmate hai Quran-e-Karim me: ' Bohot log Allah pe Imaan ka Daawah to karte hai lekin wo Shirk bhi karte hai'.(12:106). Allah har Gunaah maaf kar dega kyo k wo sabse bada bakhsne waala hai lekin "wo shirk ko kabhi bhi maaf nahi karege"(4:48).Aur jara dekho to sahi Allah tammam Insaano ko apna Ghulam bata rahe hai : " Jise tum Allah k ilawah pukarte ho woh to tumhare tarah ek Ghulam they"(7:194)Ghulam agar spritually kisi ka hona hai to Sirf Allah Ta'la ka hi hona hoga jaisa ki haq hai warna ye bhi shirk hai. Allah k Ghulam to hamare Rahbar Sarware kainaat Greatest Personility Imamo k Imam Madniye Taajdar Mohammad Rasool Allah(S.A.W) bhi they to phir hamari kya hasyat k hum gairo ko apna maalik banaye. Meri aap se request hai k aap Quran Padhe aur sahi Hadees par dhyan de isi par insaano ki nizaat hai, Moulviyo ki katha par nahi Kyo k allah farmaate hai Meri bataye hue raste par chalo kisi aur ki nahi warna tum seedhi raste se bhatak jaoge(6:153)

Hame maalum hai Bismillah bhai aap k man me abhi bohot saarey sawaal hai aap be jhijak hamse poochye.

Link to comment
Share on other sites

Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh!

Hazoor Gauss Al Azam (razi allah tallah unho) ko yaqeenan hum Gauss keh saktey hain, is mein koi shak nahi, mein Hazoor Gauss Al Azam (razi allah tallah unho) ko allah se ke saath shareek nahi kar raha, wo jo hasti hain, wahan tak allah ne hi unhe pohnchaya hai, jis tarah Hazrat Ibrahim (alehey salam) ko allah tallah ne Khali-lula ka laqab diya hai jis k mani shaed yeh hain allah ka dost, agar wo allah k dost hain to is ka matlib yeh to nahi keh koi unhen agar Khali-lula kahey to yeh shirk ho gaya, jis tarah in ka laqab Khali-lula hai isi tarah Hazrat Abdul Qadir Jailani Razi allah tallah unho ko bhi allah tallah ne Gauss banaya, jissey jo mila, jis ko jo mil raha hai aur jiss ko jo miley ga wo sab allah ka hi ata kya gaya hai. Ap agar nahi kehna chahtey to mein koi zor zabar dasti nahi kar raha, lekin mein to Hazoor Gauss Al Azam (razi allah tallah unho) ke dar ka kuta hoon, to lehaza mein to zaroor kahon ga. Nara-e-Gaussia! Ya Gauss-al- Azam!aapne kaha''Jaisa k Allah farmate hai Quran-e-Karim me: ' Bohot log Allah pe Imaan ka Daawah to karte hai lekin wo Shirk bhi karte hai''

pehli baat to yeh hai keh, shirk kehtey hain allah ke saath kissi ko sharik thehrana, yani k yeh kehna k allah bhi hai aur us jaissa koi aur bhi hai, lekin meine hargiz Hazoor Gauss Al Azam (razi allah tallah unho) ko Gauss keh kar allah ka shareek nahi theraya, aur na hi meri koi iss tarah maz'allah koi niyat thi.

Hazoor Gauss Al Azam (razi allah tallah unho) allah k rastey par hi they hamesha aur un ki perwi karney waley bhi yaqeenan allah ke rastey par hi hotey hain.

phir aap ne kaha''Hame maalum hai Bismillah bhai aap k man me abhi bohot saarey sawaal hai aap be jhijak hamse poochye'' nahi bhai saab merey zehan mein koi aissey khaas sawal nahi hain.

aap ne kaha''Razi Allah Tallah unho' sirf SAHABA k naam k saath lagaya jaata hai'' jee han Sahaba k naam k saath bhi lagaya jata hai, lekin merey khial se is ka matlib yeh hota hai keh, Allah aap se razi ho ya allah ap se razi hua, yeh ek dua hai aur Hazoor Gauss Al Azam (razi allah tallah unho) ke naam ke saath laganey se mujhey takleef nahi.

Hazrat Mola Ali Razi Allah Tallah unho ko mola kyon kaha meine? inn link mein is ka jawab'

1-) http://uk.youtube.com/watch?v=ii40Fp9k1Zg&...feature=related

2-) http://www.islamimehfil.info/index.php?act...st&id=18984

 

apne kaha' Imam-e-Azam to hamare Rasool Sarware kainath Mohammad(Salalaho Alehey Wasalam) hai aap kisi gaire Nabi ko Imam-e-Azam keh kar Hamare Nabi ki shaan me gustaakhi na kijye. Yahan par aap ne kuch sahi farmaya aur kuch... yeh baat bilkul 100% sachi aur paki hai k Nabi Paak Salalaho Alehey Wasalam allah k sab se payarey bandey hain, lekin Imam-e-Azam Hazrat Abu Hanifa Razi Allah Tallah unho ko Imam-e-Azam kehna bhi Jaiz hai, merey paas is waqat koi hadees nahi hai wo ek alehda baat hai.

ap ne kaha ''Islam Rasool Allah k Zamane Complete ho chuka tha jaisa k Quran hame batata hai to Kisi gairo se Sharya lene ki kya zaroorath? Sahaba ka Madhab Mohammady aur Quran Hadees tha, kisi fiqa ko nahi maante the to phir hum bhi Quran hadees pe chal kar kyo Jannat nahi jaa sakte?? ''

yeh bhi sahi baat hai, lekin Ahlesunnat mein 4 fiqhey shaed is liey hain ta' k, Nabi Paak Salalaho Alehey Wasalam ki Tamam Sunnaton par baad mein aney wali Umat amal kar sakey.

Nabi Paak Salalaho Alehey Wasalam ke zamaney mein fiqa kyon nahi tha, shaed iss liey keh, jab Nabi Paak Salalaho Alehey Wasalam khud Zahiri tor par maujood hain to phir fiqey ki kya zaroorat, is liey shaed koi fiqa nahi tha.

Agar meri baat aap ko ya kissi aur bhai ko zara si bhi buri lagi ho to mein mafi ka Talibghar hoon, lehaza mujhe apna ek gunhegar bhai aur umati honey k natey maaf kar dijijey ga! shukrya

 

 

 

Riz danish saab, aap se meri khasoosi request hai ke aap is topic ko mazeed lamba na kijiey, aap ko agar koi masla poochna hai to kissi Ahlesunnat ke Mufti se poochiey to zayada behtar hoga, kyon yahan par koi bhi mufti nahi hai. aap apne aapko sahi sabit karney k liey daleeleny pesh karen gey aur yahan par shaed koi aapne aapko sahi abit karney k liey daleeleny pesh karen ga.

Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh!

Edited by unknown
Link to comment
Share on other sites

Janaab Bismillah sahab aap phir Gumrahi waali baath kar rahe hai kyo k 'Razi Allah Tallah unho' sirf SAHABA k naam k saath lagaya jaata hai kisi Aaire-Gaaire k liye nahi hai. Ye Title Khaas Allah k taraf se Sahaba ko mili thi aur ye Quran-e-Karim me maujud hai. Aap SAHAABA jo Rasool k baadh sab se badi hasti hai unki shaan me Gustaakhi kar rahe hai Imam ko Razi Allah unho kah kar.

Acha tu iss ka koi saboot ky Ghair-e-Sahaba ky sath yeh lafz use nahi kar sakty ? i think app ky papers mein tu yeh bhi shirk ho ga :lol:

 

Hazrat Ali ko 'Maula' kehna Shirk hai kyo k hamara aur aap ka Maula Sirf Allah hai.

 

Quran o Hadees say saboot dein ky Ghair Allah ko Maula kehna Shirk hai aur yeh bhi batain ky Maula ka Matlab kya hai ??

 

Imam-e-Azam to hamare Rasool Sarware kainath Mohammad(S.A.W) hai aap kisi gaire Nabi ko Imam-e-Azam keh kar Hamare Nabi ki shaan me gustaakhi na kijye.

 

Gumrahi ki hadh hai, hum ne Imam-e-Azam Abu Hanifa (ra) ko Imam-e-Azam hee kaha naa kuch aur tu nahi kaha... tu yeh bhi sabit karain ky Huzoor (saw) ky ilawa kisi ko Imam-e-Azam kehna shirk hai aur haan yeh Quranic Ayaat ka sirf Translation pesh mat kijiye scan pages hon tu woh post kijiye kyon ki app Translation mein khudh say buhat lafz add kar rahai hain.

 

Zara tehkeek ke maidan me to utar k dekhye janaab Hum aap k saath hai.

 

App ki tehkeek ki tu dadd daine paray gi :lol:

 

Islam Rasool Allah k Zamane Complete ho chuka tha jaisa k Quran hame batata hai to Kisi gairo se Sharya lene ki kya zaroorath? Sahaba ka Madhab Mohammady aur Quran Hadees tha, kisi fiqa ko nahi maante the to phir hum bhi Quran hadees pe chal kar kyo Jannat nahi jaa sakte??

 

Do you mean ky hum Quran o Hadees ka Inkar kar rahai hain aur sirf Fiqh ko maan rahai hain ? Hum bhi Manty hein Rasool Allah (saw) ky zamane mein Deen Mukammal ho gaya aur jo Quran o Hadees say sabit hai uss per hum khudh say nah kuch add karty hein aur nah kabhi kiya hai aghar iss Ayat ki aise Tashreeh li jai jaisy app laity hein tu sab say baray Bid'ati tu app logh khudh hain kyon ki app ky Madhab Ahl-e-Hadith ka name bhi Sahaba ky zamane mein nahi tha aur app khudh logh ajj say kuch years pehly paida howay ho tu aghar app jaisa koi app say pochay ky app tu Huzoor (saw) ky zamane mein thay hee nahi so app ISLAM MEIN NAI CHEEZ HO yani Bid'at nahi Bid'ati tu phir ?

Saboot woh pesh karain jiss ko saboot kaha jaa sakai sirf Replies nah karty rahiye.

Link to comment
Share on other sites

Subhan Allah Ghulam E Mustafa saab

 

Aeiey zara Imaan taza kar li jiey,

 

Naaaara-e-Takbeer! Allah HOU Akbar

Naaaara-e-Risalat! Ya Rasoolala (salalaho Alehey Wasalam)

Naaaara-e-Haidri! Ya Ali(Karm Allaho wajhulkareem)

Naaaara-e- Ghussia! Ya Ghuass Al Azam

Edited by Umm-e-Anwaar Raza
Link to comment
Share on other sites

Acha tu iss ka koi saboot ky Ghair-e-Sahaba ky sath yeh lafz use nahi kar sakty ? i think app ky papers mein tu yeh bhi shirk ho ga :lol:

 

 

Gair-e-Sahaba ko Hargiz Hargiz ‘RAZIALLAHUNH’ nahi kaha jaa sakta..Yeh shirk to nahi lekin Hamare Huzoor Muhammad(S.A.W) k sahaba k shaan me gustaakhi hai aur sahaba ki shaan me Gustaakhi karne waala musalman nahi ho sakta hai kyo k Ahle-Sunnath ka yeh Aqidah hai kahaba jaisa Imaan jise Hamare Nabi Apne Hayaat-e-Mubaraka me khud Train karte hai waisa kisi k andar nahi paaya jaa sakta..Arey aap Quran padye na Allah Khaas Nabi k saath rehne waale ko RAZIALLAHUNH keh kar khitaab karte hai..Agar aap log isi tarah se Sahaba k Title Aise waise ko lagane lag gaye to Qayamath tak phir kisi na kisi ayre gairo ko yeh Title dena padega. Meherbaani karke aaplog aisa nahi kare..Waise aapko pata kaise chalta hai k Allah kisi shaqs se Raazi hai ya nahi, Aap log apni marzi se yeh title lagate hai.

 

 

 

Quran o Hadees say saboot dein ky Ghair Allah ko Maula kehna Shirk hai aur yeh bhi batain ky Maula ka Matlab kya hai ??

Dekhye janaab aap ye na soche k mai kisi ko taan tashri kar raha hoon, mera maqsad waajye hai mai haq bayan kardoonga Insha’Allah, raha aap k upar ya to aap use apnaye ya phir thukrade

 

Maula ka matlab bachanewala, sath dene wala hota hai. Dekhya maine use shirk isliye kaha kyo aap Hazrat Ali RaziAllahAnh ko Maula keh rahe hai jo is duniya me nahi hai, Inteqaal kar chuke hai, who na aap ko sun sakte hai aur na hi aap ki koi madad kar sakte hai. Ye sifat to Allah Ta’la ki hai aap gairullah ko yeh sifat kyo de rahe hai.

 

Allah farmate hai Al-Furqan me :Allah kisi Aadmi ko uski taaqat se zyada mukallaf nahi karta jo neki karega us ka azr use milega aur jo gunaah karega us ka khaamyaza use bhugatna padega, Ae hamare Rabb! Bhool chook aur hamari galti par hamara muwakhaza na kar, Ae hamare Rabb! Aur hum par aisa bojh na dhal jaisa Tune hamse pehle ke logo pe dhaala tha, Ae hamare Rabb! Hum par us kadr bojh na daal jis ki hum me taaqat na ho, aur hame dargujar farma aur hamari maghfarat farma, aur par raham farma. TOO HAMARA AAKA AUR MAULA HAI, pas kaafiron ki kaum par hame galba nasib farma…(Baqarah:286)

 

Yeh Shirk-e-Akbar hai, Aap Quran padhye Hadees Padhye To apko patachalega k Allah har jagah farmate hai “pukaro sirf apne Rabb ko”. Nabi neb hi yehi taalim di k Sirf apne Allah ko pukaro, Hum poora Quran padege aur hadees padege to pata chalega k kahin bhi iska dalil nahi hai k kisi Nabi ne aur kisi Sahaba ne kabhi wasileh se dua maangi ho ya phir Allah ki sifaath me kisi ko sharik kiya ho..Quran kehta hai k mango apne Rabb se jo Dil k karib hai tumhare…..Aap k paas jab samundar hai to phir aap naale k gande paani se kyon pyaas bujhaana chate hai, kya aap ko Allah par Imaan nahi?? Nabi k zamane bhi log Ibrahim Alaihe islam, Isaa Alaihe islam aur saaleheen logo ko isi tarah pukarte the to Allah ne use kaafir aur Mushrik kaha.

 

Allah farmaate hai: ‘Aap kahye Tumhara kya khayal hai, Agar tum par Allah ka Azaab aa jaye ya Qayamath hi aa jaye to agar tum sacche ho to kya Gair-Allah ko hi pukarte rahoge…’(6:40). Isi tarah aap surah Az-Zumar ki Aayat no.3 padhye aur surah Sa’ba ayat no.22 padhye to aapko khuli dalil milegi.

 

 

 

 

 

Gumrahi ki hadh hai, hum ne Imam-e-Azam Abu Hanifa (ra) ko Imam-e-Azam hee kaha naa kuch aur tu nahi kaha... tu yeh bhi sabit karain ky Huzoor (saw) ky ilawa kisi ko Imam-e-Azam kehna shirk hai aur haan yeh Quranic Ayaat ka sirf Translation pesh mat kijiye scan pages hon tu woh post kijiye kyon ki app Translation mein khudh say buhat lafz add kar rahai hain.

Pehle aap Imam-e-Azam ka matlab bataye phir mai aap ko samjhaunga..Aur Imam Abu-Hanifa ko ye laqab Allah ne diya k Maqhlook ne??

 

App ki tehkeek ki tu dadd daine paray gi :lol:

 

 

Tehkeek meri hai isliye confident hoon.Allah farmate hai" us din koi kisi ka bojh nahi uthayega". Jab sawaal mujhse hoga to Kisi gair k upar Andh-wiswaas kaise kar loon. Beshak aap Aalim ko consult kijye lekin uski tehkeek kijye warna jis tarah Yahoodi Aur Nasaara ko Allah ne Aalim ki baath ko bina tehkeek kiye maan lene par Gumrah bataya wohi aaj Umat-e Mohammadya k saath bhi ho raha hai...bas doosron ko gumraah bolna jaante hai saabit nahi karna jaante.

Do you mean ky hum Quran o Hadees ka Inkar kar rahai hain aur sirf Fiqh ko maan rahai hain ? Hum bhi Manty hein Rasool Allah (saw) ky zamane mein Deen Mukammal ho gaya aur jo Quran o Hadees say sabit hai uss per hum khudh say nah kuch add karty hein aur nah kabhi kiya hai aghar iss Ayat ki aise Tashreeh li jai jaisy app laity hein tu sab say baray Bid'ati tu app logh khudh hain kyon ki app ky Madhab Ahl-e-Hadith ka name bhi Sahaba ky zamane mein nahi tha aur app khudh logh ajj say kuch years pehly paida howay ho tu aghar app jaisa koi app say pochay ky app tu Huzoor (saw) ky zamane mein thay hee nahi so app ISLAM MEIN NAI CHEEZ HO yani Bid'at nahi Bid'ati tu phir ?

Saboot woh pesh karain jiss ko saboot kaha jaa sakai sirf Replies nah karty rahiye.

 

Dekhye beshak aap Quran hadees par Iman rakhte hai lekin Fiqh aap k nazdeek sabse zyada aham hai. Fiqh Quran aur hadees se takrata hai isliye hum use thukrate hai. Agar Sahih hadees se aap ko deen mil raha hai to fir Nabi k darbar ko chor kar gairo k darbaar me kya jaana. Hamare Rahbar Mohammad(S.A.W) ne kaha tha Hajj k mauke Par: Logo dhyan se suno ho sakta hai phir tumse yahaan mulaqat na ho lekin mai do bohot azeem cheez tumhare darmiyann chode jaa raha hoon, jab tak tum ise mazbuti se pakde rahoge tum hargiz hargiz Gumrah nahi hoge aur who hai kitaab’Ullah aur sunnate Rasool.(Bukhari)

 

Hamre nabi ne ye nahi kaha k aap fiqh pe chalna. Is hadees se hamare Rasool(S.A.W) ye bhi Ishaara kardiye k who ab is duniya me nahi rahenge warna aisa nahi kehte. Quran bhi kehta hai AAP(S.A.W) ko MAUT aani hai.

 

Dekhye aap ko samajhna hoga Ahle-hadeeth ka matlab. Ahle-hadees ek tarah ka organization hai. Aur Ahle-Hadeeth bolne se 2 criterea fullfil karte hai aap ‘Ahle-Sunnath’ jo hadees se hi pata chalega aur ‘Ahle-Quran’ to beshak hona hi padega warna hadees aap k khilaaf ho jayegi. Hadees par amal karne wala hi Ahle-hadeeth hai.

 

Aap ne kaha Nabi k zamane me Ahle-hadith zamaath nahi thi to phir aap ye bataye sahaba ki jamaath kaunsi thi?? Dekhye naam agar Shirkya aur kufriya na ho to aap who naam rakh sakte hai aur hum khud ko Ahle-Hadees keh kar Islam ki buniyadh ki taraf bulate hai… Aap Quran padyega to Allah Musa Alaihislam ki kaum ko unki zamane me BANI ISRAEL keh kar khitaab karte hai lekin Nabi (S.A.W) k Zamane me usi kaum ko Allah Ahle-Kitaab bhi keh kar khitaab karte hai. Aapko Sunnat-e-Rasool par chalna hai to hadees ko pakadna hi hoga kyo k wohi hame sunnat-e-Rasool batata hai…Aaplog jise Piraane Pir kehte hai (Hazrat Jilaani Rahma’Ullah) Apne kitaab me likhte hai k agar Ahle-Sunnath ka koi sahi naam hai to Who Ahlul-hadees hai. Mai is kitaab ka naam aur shafa agle reply me bhej dunga Insha’Allah jiski tafseer aapke hi Mashoor Aalim ne ki hai.

 

 

Ab aap ye saabit karen Quran hadees se k Murde sunte hai??Airey-Gairey ko RaziAllahunh kaha jaa sakta hai?? Ahle-hadees ka Laqab ka galat hai??

Mai aapko beshumar Daliley pesh kar sakta hoon wo bhi aap k hi kitaab se k aap log Allah k sifath me Gairullah ko sharik karte hain.Aur ye mera challenge hai. Mere bhai mere dost mai sirf itna chata hoon k aap Allah k kitaab padhe aur Hadees Nabwi padhe, usi me meri aur aap ki nijaat hai

Link to comment
Share on other sites

Janaab Bismillah sahab aap phir Gumrahi waali baath kar rahe hai kyo k 'Razi Allah Tallah unho' sirf SAHABA k naam k saath lagaya jaata hai kisi Aaire-Gaaire k liye nahi hai. Ye Title Khaas Allah k taraf se Sahaba ko mili thi aur ye Quran-e-Karim me maujud hai. Aap SAHAABA jo Rasool k baadh sab se badi hasti hai unki shaan me Gustaakhi kar rahe hai Imam ko Razi Allah unho kah kar.

:lol: aapka ilm is mamly me naqis hai zara tehqeeqe kijye Janab....Dalail Hazir hain Accept karein ya Radd.

courtesy by khail rana sahab:-

 

Khalil_Rana_sahab.JPG

Hazrat Ali ko 'Maula' kehna Shirk hai kyo k hamara aur aap ka Maula Sirf Allah hai.

Jehla tuny kaha Hazrat Ali (ra) ko Moula Kehna Shirk hai?....Kya tuny ye hadees nahin suni Huzur (saw) ki zuban se? Jiska me Moula hu Ali bhi uska Moula hai....ab bol shirk shirk? or Quran parha kar ki tere khadshaat nikal jayein...or ab laga SHIR Ka Ilzaam....

Moula.GIF

 

Imam-e-Azam to hamare Rasool Sarware kainath Mohammad(S.A.W) hai aap kisi gaire Nabi ko Imam-e-Azam keh kar Hamare Nabi ki shaan me gustaakhi na kijye.

tum log aql ke peechy lath le kar kyu dorhty ho...? jo aitraaz tumny apni la ilmi or jahalat (perfect word) ki bina par kiye hain to unhi ki rooh se phir to Hazrat abu bakr ko Siddiq e Akbar mat kaha karo ki Sab se bary siddqiq to Huzur (saw) hain...Hazrat Usman ko Gani na kaha karo ki sab se bary ghani to Rasool hain...? Jab Imam Abu Hanifa ko Imam E Azam kaha jata hai to Huzur ke Muqably me nahin balky unky hum asr Aimma deen ke Muqably mein...Jab baat Huzur ki aati hai to tum foran kood kar Huzur ka Muwazna Allah ki zaat se karny lagty ho jab Baat Imam e Azam Abu Hanifa ki karty hain to tum Risalat ko cher bethty ho...kuch to aql-o-shaoor rakho?

 

Link to comment
Share on other sites

Dekhye beshak aap Quran hadees par Iman rakhte hai lekin Fiqh aap k nazdeek sabse zyada aham hai. Fiqh Quran aur hadees se takrata hai isliye hum use thukrate hai. Agar Sahih hadees se aap ko deen mil raha hai to fir Nabi k darbar ko chor kar gairo k darbaar me kya jaana. Hamare Rahbar Mohammad(S.A.W) ne kaha tha Hajj k mauke Par: Logo dhyan se suno ho sakta hai phir tumse yahaan mulaqat na ho lekin mai do bohot azeem cheez tumhare darmiyann chode jaa raha hoon, jab tak tum ise mazbuti se pakde rahoge tum hargiz hargiz Gumrah nahi hoge aur who hai kitaab’Ullah aur sunnate Rasool.(Bukhari)

 

Hamre nabi ne ye nahi kaha k aap fiqh pe chalna. Is hadees se hamare Rasool(S.A.W) ye bhi Ishaara kardiye k who ab is duniya me nahi rahenge warna aisa nahi kehte. Quran bhi kehta hai AAP(S.A.W) ko MAUT aani hai.

 

Waisy Asif Attari bhai ne app ky sabhi Aitrazat ka buhat acha answer diya so meri tu koi hasiyat nahi laikin yeh last wali baat per mein thora discuss karna cahon ga ky kuch saboot pesh karain ky Fiqh ko hum Quran o Hadith per tarjeeh daity hein aur fiqh Quran o Hadith say takrata hai ?

 

Aur beshak Mout kar kisi ko ani hai laikin Allah ky Nabi apni Qabron mein zinda hein aur yeh Quran o Hadith say sabit hai.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...