Jump to content

Ghaus ul Aazam Kehna Shirk hai


Riz danish

تجویز کردہ جواب

Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh!

Janab Riz Danish saab, app ke jawab se maloom hota hai k aap ilm k maidan main bohat zayada peechey hain issi liey aap ne itna NON-SENSE jawab diya, jiss sawal ka jawab aap ko na maloom ho, barey meherbani khamosh rahiey, warna app kahin doosron ki gumrahi ka zaria na ban jaeny.

Ameer-e-Ahlesunnat Hazrat Molana Abu Bilal Ilyaas Attar Qadri Rizawi(rehmatullah aley) khud ek qadri hain, aur qadri wo hota hai jo Hazoor Ghuass-al-Azam ka ghulam ho, aur aap yaqeenan un se zayada ilm rakhaney waley nahi hain.

 

dont mind please!

 

Janaab Bismillah Sahab aap shayad kitabon ko ahmiyat nahi dete hai isliye aap ki baaton me gumrahi nazar aati hai. Gauss-al-azam sirf Allah Ta'la hi ho sakte hai.(Quran-10:31) kisi Maqhlook k andar ye salahyat kahan k wo khud ko Gauss bana le, ye Allah k sifaath me shirk hai, pehle aap pata kijye k Gauss ka matlab kya hota hai. Jaisa k Allah farmate hai Quran-e-Karim me: ' Bohot log Allah pe Imaan ka Daawah to karte hai lekin wo Shirk bhi karte hai'.(12:106). Allah har Gunaah maaf kar dega kyo k wo sabse bada bakhsne waala hai lekin "wo shirk ko kabhi bhi maaf nahi karege"(4:48).Aur jara dekho to sahi Allah tammam Insaano ko apna Ghulam bata rahe hai : " Jise tum Allah k ilawah pukarte ho woh to tumhare tarah ek Ghulam they"(7:194)Ghulam agar spritually kisi ka hona hai to Sirf Allah Ta'la ka hi hona hoga jaisa ki haq hai warna ye bhi shirk hai. Allah k Ghulam to hamare Rahbar Sarware kainaat Greatest Personility Imamo k Imam Madniye Taajdar Mohammad Rasool Allah(S.A.W) bhi they to phir hamari kya hasyat k hum gairo ko apna maalik banaye. Meri aap se request hai k aap Quran Padhe aur sahi Hadees par dhyan de isi par insaano ki nizaat hai, Moulviyo ki katha par nahi Kyo k allah farmaate hai Meri bataye hue raste par chalo kisi aur ki nahi warna tum seedhi raste se bhatak jaoge(6:153)

Hame maalum hai Bismillah bhai aap k man me abhi bohot saarey sawaal hai aap be jhijak hamse poochye.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...