Jump to content

Arbi kaissey sahi pari jati hai?


Bismillah

تجویز کردہ جواب

mujhe apni sura-e-Fatiha aur aur athahiyaat, darood aur baad mein jo dua pardi jati hai wo darust karani hai, kya koi mujhe aissi audio ya video de sakta hain jisey mein sun kar pata lagaon k mein jo namaz mein parta hoon wo sahi hai ya hai, kyon k urdu mein agar T par Pesh ho to usey '' TO'' para jaey ga jaissey k hum kehtey hain '' TO KYA HUA?'' lekin arbi mein T k uper pesh ho to usey TOU para jaey ga, jaissey ke urdu mein hum kehtey hain'' TOU KAN HAI?

isi taraha Athahiyaat k shuru mein jo T ati hai, us k barey mujhey confusion hain aur issi dara pouri namaz mein jo kuch para jata hai, us mein bhi mujhe bohat confusion hai,

main iss masley se kafi parishaan hoon. abhi abhi meine Ameer-e-Ahlesunnat ka yeh audio jawab sunna to us mein unhon ne Athahiyaat ka zikar kya aur unhon ne Tou ko TO kaha, aur mein Tou kehta hoon, ab to confusion aur bard gai hai,

 

Audio Jawab

Link to comment
Share on other sites

Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh!

Arbi zaban mein jab Laam k neechey zear a jaey to usey Lee para jata hai jaissa k hum urdu mein kehtey hain, Gilli Mitti, issi tara jab Arbi zaban mein jab B k neechey zear ho to usey Bee para jata hai, lekin jab hum darood-e-Ibrahimi partey hain to us k shuru mein jo laam ata hai us k neechey zear hai to phir usey hum Lii ki bajaey Lay kyon partey hain, aissey hi athahiyat k shuru mein jo T ke uper pesh ati hai, usey Tou ki bajaey Tau kyion partey hain?

main iss masley se kafi parishaan hoon, mujhe nahi pata mein jo namaz mein parta hoon wo sahi parta hoon ya nahi, baraey meherbani jitni jaldi ho sakey is sawal ka jawab zaroor dijiey ga, Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh!

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(saw)

 

(wasalam)

 

confusion of drood shareef

jese darood shareef mai app ne kaha lam zeer li hoga lekin hum jab darod shareef parhatey hain to sallay ala kehte hai to ye sahi makharij nahi hain.....

 

ek to ye kay salli ala ka harf lam mushadaad hai(lam per tashdeed hai) to is laam ko do bar parhain gain ek is se pehle wale mutaharik haraf se mila ker aur ek is ki apni harkat se....aur harf saad kyo kay haroof e mustaliya mai se hai yani hameshaa pur means mota parha jata hai to is mai siraf harf saad ko pur parhain gain ager harf saad kay sath laam ko bhi pur ker dain gain to wo salli ala kis jagha sallay ala ada hoga.jo kay theek nahi hai.

lam kay nechay zeer hai aur jab zeer aa jaye to awaz ko giraa dete hain jis se zeer ada hoti hai.

jese app ye harf ko ada ker ke dekhain aur mehsoos kerain kay awaz ki harf per gir rahi hai aur kis haraf pe uthti hui mehsoos hoti hai....

 

alif laam zeer il

aur

alif laam zaber al

abb makharij ko mehsoos kerain aur koi sawal ho to dobara poch lain

sahi lafz salli ala hai....

Edited by Karam Ho Ya Rasool Allah
Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

confusion of attahiyat

 

attahiyat kay akhari harf mai taa pesh to hai jese hum urdu mai ye kehte hai kay to koun hai?ya kisi ko to keh ker mukhatib na hoo etc.....

ye lafz"to"hai aur bapa jaan (m-a) ne sahi kaha hai....

app apne makharij kisi sunni alim hafiz wagera ko suna ker sahi ker lijiye.....is se app ko inshah allah azwajal kafi faida ho ga....

aur inshah allah azwajal app ki namaz bhi theek ho jaye gi....

ager ab bhi confusion baqi ho to app poch sakte hain..........

Link to comment
Share on other sites

bhai is download me RESUME supported nai hai. aur size bhi 70 Mb se ziada hai. Low speed internet waloon ke liye download karna mumkin nahi hai.

Kindly koi aisa link den jis me Resume supported ho ta ke kisi downloader mw bhi download ho sake.

 

Jazakallah

 

bhai is download me RESUME supported nai hai. aur size bhi 70 Mb se ziada hai. Low speed internet waloon ke liye download karna mumkin nahi hai.

Kindly koi aisa link den jis me Resume supported ho ta ke kisi downloader mw bhi download ho sake.

 

Jazakallah

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(saw)

 

(salam)

 

ek aur addition ker deti hoon..........ek alima ne abhi abhi bataya hai kay darood shareef mai salli ala darut hai.....arab kay qawaid mai ese hi parha jata hai but pakistani salli ala ko salle ala parhate hai ye bhi darust hai.....

 

app in haroof kay makhraj dekh lijiye

arabi mai..........saad laam zaber sal, aur laam zeer li.........salli

dosra.....saad laam zaber sal,laam bari ye zeer lay sallay.....

pehlay walay mai salli kahain gain ager zeer ko lamba ker dain gain to wo theek nahi ho ga....

isi liye na samjh aye to dosra wala

sallay ala bhi durust hoga lekin is mai bhi sallay ko lamba nahi karain gain.....jald se sallay ala keh dain to darust hoga........

 

note:ager mujhe galti kerti pain to meri islah ker dain.

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

aap ne kaha k Sallay bhi pard saktey hain aur Sali bhi, yeh kya baat hui bala, ab jo lafz ka mukharij nikalta hai, usey waissa hi parna ho ga na? aap is link mein dekhiey ke Qari saab T k uper Pesh ko Tou kar k pard rahey hai aur Laam Zeer ko Li,

 

 

Link of Bay Zeer Bi, Tay Zeer Ti,

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

pehle to jazak allahu khaira....kay jo app ko waswasa aya app ne us ko door kerne kay liye sawal kiya.........

 

ab app darood shareef suniye.......

is mai lam bar ye zeer lay parha hai........

 

ye ek baat yaad rakhain......mai ne saudi quran shreef parha hai aur samjh lijiye kay saudi alima se parha hai....to is liye app se ye kaha kaysaudi lahjay ko sirf wohi jante hain jo arabi bolna jante hoon.aur sahi arabi mai salli hi parhate hai.beshak yaha laam kay nechay zeer ho.

 

jese ek example share ker rahi hoon shayad app ko samjh aa jaye......

 

ab app is misaal ko dekhain kay ye harf majrayha hai.

quran kareem mai sirf ek hi esa lafz hai jese ra kari zeer ray parhain gain.jese urdu ka lafz qatray ki ray ko parhate hain.

P42.gif

Durood_Ibrahimi.mp3

Durood_Ibrahimi0.mp3

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

yahi to mera sawal hai keh, Li ko lay kyon partey hain?

 

Sura-e-Fatiha mein lafz ''Alhumdoulilla'' ka jo dousra Laam hai us k neechey Zeer hai, aur us ko hum Lila partey hain aur jab darood-e-Ibrahimi k laam ke neechey laam ata hai to usey Lay partey hain, aissa kyon?

 

confusion is baat ki hai keh, kuch lafzon ko li partey hain aur kuch ko lay, aissey hi jin k uper pesh ho un mein se kuch ko To kar k partey hain aur kuch ko Tou,

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

ab app kay dil mai ye waswasa bhi aye ga kay isay ray khari zeer ri kyo nahi parha.....

wo is liye kyo kay ye quran kareem ka ek hi esa lafz hai jese urdu kay qatray ki ra ki tarhan parhain gain.

 

ab app ko is lafz majrayha kay hijay bhi batati hoon.

amala wala lafz majrayha kay hijay is tarhaan karain gain.....

meem jeem zaber maaj, ra amala wali ray, majray, haa alif zaber haa= majrayhaa.....

 

ye para num 12,surah huod,ayat num 41 mai hai.app quran kareem se dekh sakte hain.

 

ager kisi se pochna chahain to kisi hafiz se ya us se pochiye ga jis ne tajweed se quran shreef parhaa ho ya jo hifz ker raha hoo...

ab aye darood shareef wali laam per......

kuch ulama karam ne is salle ala ko laam bari zeer lay likha hai.

aur arbic lehjay mai laam zeer li likha hai.

 

aur app kyo kay arabic zaban nahi jante to app isi tarhan parhain jese audio mai mufti sahab parh rahe hain.

 

aur koi sawal ho to poch lain........

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

yahi to mera sawal hai keh, Li ko lay kyon partey hain?

 

Sura-e-Fatiha mein lafz ''Alhumdoulilla'' ka jo dousra Laam hai us k neechey Zeer hai, aur us ko hum Lila partey hain aur jab darood-e-Ibrahimi k laam ke neechey laam ata hai to usey Lay partey hain, aissa kyon?

 

confusion is baat ki hai keh, kuch lafzon ko li partey hain aur kuch ko lay, aissey hi jin k uper pesh ho un mein se kuch ko To kar k partey hain aur kuch ko Tou,

 

 

:rolleyes:

 

ta waoo pesh tou hota hai.

 

aur ta pesh to hota hai.....jo kay attahiyat mai hai.......

 

app ye audio clip bhi suun lijiye.....aur waswasoo ko baghaye........ :rolleyes:

Attahyaat.mp3

Link to comment
Share on other sites

agar kissi harf par pesh ho aur wo harf agey waoo ke saat juda hua ho to usey tou, lou, bou, aissey partey hain sahi?

agar kissi harf par pesh ho aur wo kissi waoo se na juda hua ho to usey To, lo, bo partey hain sahi?

agar kissi harf par pesh ho aur us ke agey wala harf waoo se shuru ho to usey kya parein gey?

Link to comment
Share on other sites

agar kissi harf par pesh ho aur wo harf agey waoo ke saat juda hua ho to usey tou, lou, bou, aissey partey hain sahi?

agar kissi harf par pesh ho aur wo kissi waoo se na juda hua ho to usey To, lo, bo partey hain sahi?

 

ye dono makharij darust hain......... (azw)(al):rolleyes:

 

but 3rd question dobara wazeh ker kay batain kay app ko waswasa kaha pareshan ker raha hai.....kyo kay is tarha to in ko ada kerne ki buhaat si aqsaam hain....but wo ese samjh nahi aa sakti....jo app pochna chate hain dobara wazeh ker kay bata dain......... :unsure:

Link to comment
Share on other sites

iyya Kana Budoo sahi lafz hai.....

jo app ne likha kay........

 

Bou aur Dou kyon partey hain?

 

to bahi ye app ne sahi nahi likha....

ba pesh bo hai aur dal pesh do hai.........

 

ba waoo pesh bou ho ga........jo sahi nahi hai......

baqi inshah allah azwajal mai written aur audio mai puri namaz is topic mai post ker doon gi.........inshah allah azwajal us se app ko buhaat faida hoga.........

Link to comment
Share on other sites

uper aap ne merey is jumaley ka jawab likha keh yeh sahi hai, ''agar kissi harf par pesh ho aur wo kissi waoo se na juda hua ho to usey To, lo, bo partey hain sahi?''

 

lafz iyya Kana Budoo mein to koi waoo nahi, to isey aisey kyon partey hain jaissey ke hum urdu mein kehtey hain Jaadou,

merey uper waley jumaley ko ap ne sahi mana hai to phir iyya Kana Budoo ka jo Budoo hai usey phir BoDo parna chahiey na? jaissey ke urdu mein hum kehtey hain ''Bol'' aur ''2''

Link to comment
Share on other sites

aapki is Attahyaat.mp3 ki audio mein parney waley saab ne lagta hai thodi galti kar di, unhon ne aslamo alena ko aslamo alalna parda hai,

 

 

(salam)

 

madina........

 

ye sahib meri maloomat kay mutabiq hazrat allama syed shah tarab ul haq qadri hain.......aur mujhe to theek lag raha hai jo inhoo ne parha hai..........mufti sahab ne alena hi parha hai.......

Link to comment
Share on other sites

uper aap ne merey is jumaley ka jawab likha keh yeh sahi hai, ''agar kissi harf par pesh ho aur wo kissi waoo se na juda hua ho to usey To, lo, bo partey hain sahi?''

 

ji.......esay hi parhate hain........

lafz iyya Kana Budoo mein to koi waoo nahi, to isey aisey kyon partey hain jaissey ke hum urdu mein kehtey hain Jaadou,

merey uper waley jumaley ko ap ne sahi mana hai to phir iyya Kana Budoo ka jo Budoo hai usey phir BoDo parna chahiey na? jaissey ke urdu mein hum kehtey hain ''Bol'' aur ''2''

 

ji sahi kaya app ne kay nabudo mai koi waoo nahi hai.......

but app ko mai harakat ka batati hoon.....

 

app pehle ye zehan nesheen ker lijiye kay harakat kisay kehtay hain?

jawab ye hai......zaber,zeer aur pesh ko harakat kehtay hain.......

 

dosra sawal kay haroof madaa kitne hain aur kon kon se hain?

jawab:haroof e madaa ten(3) hain.alif,waoo aur ya.

 

3rd ye kay alif madaa,waoo madaa aur yaa madaa ki pechaan ya ye kab hoon gain?

jawab:alif se pehlay zaber hoto alif madaa,waoo se pehle pesh to waoo madaa aur ya se pehle zeer hoto ya madaa.

ye maddaat se hi app kay sawal ka buhat gehra taluq hai.....

ise bar bar parh ker samjhne ki koshish kijiye ga........

 

 

bahi app ko kuch to samjh aa gai ho gi kay zaber alif kay qaim maqam hai....for example(ba alif ba-aur-ba zaber ba)dono same hain.lekin ager hum ye kahain kay ba alif zaber to ye hoga baa.

aur ye maade tabaei ki pechan hai.

 

aur jo app ka sawal hai us ka taluq zayada pesh (jise arabic mai damma kehte hain) se hai.jis tarha zaber alif kay qaim maqam hai usi tarha pesh waoo kay qaim maqam hai.

for example:ba waoo bo-aur-ba pesh bo but ager waoo aur pesh dono ko parhana hai to ye paraha jaye ga ba waoo pesh boo.

 

ager app nabudo kay do ko urdu main 2 ki tarhain parhain gain to ye sahi nahi hai.is mai app apni taraf se waoo ka izafa ker rahain hain.

note:qaim maqam hone ka ye matlam hai kay app ye dekhain kay waoo bolte howay app kay hount(lips)gool ho jate hain....right?

aur waoo bolte waqt bahi app kay lips gool ho jate hain....right?

ager ab bhi na samjh aye to mai ab bhi hazir hoon.ap ko jo jo waswase hian app pochte jaye...... :)

Link to comment
Share on other sites

bohat bohat shukrya Karam Ho Ya Rasool Allah saab!

aap ne bohat achi koshish ki lekin yaqeen maniey keh meri khopri mein kuch khaas nahi ghussa,kyon k madda, qaim maqam wagaira ka kuch pata nahi yeh kya hain, aapne kaha madda 3 haroof hain, theek hain meine pard liey, lekin mujhe yeh nahi pata keh in ka kya karon, i mean kahan istimaal karon, kaissey karon, kaissey pata chaley k in ka yahan par istimaal karna hai aur kahan pe nahi karna,

Link to comment
Share on other sites

bohat bohat shukrya Karam Ho Ya Rasool Allah saab!

aap ne bohat achi koshish ki lekin yaqeen maniey keh meri khopri mein kuch khaas nahi ghussa,kyon k madda, qaim maqam wagaira ka kuch pata nahi yeh kya hain, aapne kaha madda 3 haroof hain, theek hain meine pard liey, lekin mujhe yeh nahi pata keh in ka kya karon, i mean kahan istimaal karon, kaissey karon, kaissey pata chaley k in ka yahan par istimaal karna hai aur kahan pe nahi karna,

 

 

(azw)(ja)

inshah allah azwajal sab samjh aye ga........ :rolleyes:

 

madda teen haroof nahi.....smile..........haroof e madda teen hain.

aur qaim maqam ka matlab kay ager waoo ki jagha pesh ho to waoo aur ager pesh ki jagha waoo ho to is se kuch khas farak nahi parta.jese ba pesh bo aur ba waoo bo etc.....lekin quran pak mai hum changes nahi ker sakte.wo jese likha hai usi ko sikh ker parhana ho ga........

 

ye app ko istemal kahin nahi kerne bas ye yaad rakhna hai kay pesh ki jagha pesh hi parhana hai yani pesh ko lamba ker kay waoo nahi banana.

 

aur app ko shukriya kehne ki koi zaroorat nahi....inshah allah azwajal jo sekha hai use dosroon tak to punchana hai na.....

 

madina

mera naqis mashwara hai kay app jitni jaldi ho sake kisi hafiz se dawate islami ka madani qaida hasil ker kay parh lijiye.inshah allah azwajal app kay tamam waswase aur makharij sab darust ho jain gain.but qaida perna shuru karain to himat nahi hariye ga.yaqenaan ek bar parhane se samjh nahi aye gi.isi bar bar kam az kam 5 bar zaroor ba zaroor parhiye ga.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(saw)

 

(salam)

 

madina.....

ager app apni namaz kay makharij darust kerna chate hain to yahan se darust ker lijiye....

 

http://www.islamicacademy.org/html/Learn_N...ah_In_Audio.htm

Edited by Karam Ho Ya Rasool Allah
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...