unknown مراسلہ: 20 نومبر 2008 Report Share مراسلہ: 20 نومبر 2008 (ترمیم شدہ) Kya koi shaitaan ke shar se din raat bachao k liey koi wazeefa bata sakta hai, jaissa k maine sunna tha shaed keh, sura-e-Fatiha ki Akhri teen ayetein pari jaen to insaan shaitaan se 3 din tak mehfooz rehta hai. mujhe dara'asal yeh 3 aeytein zubani yaad nahi warna yahi parta, Edited 20 نومبر 2008 by unknown اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ghulam E Mustafa مراسلہ: 23 نومبر 2008 Report Share مراسلہ: 23 نومبر 2008 Ji aik tu yeh bhi tareeqa hai jo app ne bayan kiya tu woh Qur'an Paak say dekh kar par liya karain. Nahi tu Subha Shaam Ayat-ul-Qursi par liya karain. Aur aik wazeefa meine parha tha ky Surah Alam Nashrah ko din mein teen dafa aur raat mein teen dafa parny say banda Allah ky Hifz-o-imaan mein rehta hai. Beharhal zyada acha wazeefa Ayat-ul-Qursi hai. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
unknown مراسلہ: 23 نومبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 23 نومبر 2008 shukrya Ghulam E Mustafa saab! maine kahin pe para tha keh fajar ki namaaz k baad agar aap 11 martaba Taouz aur 11 martaba surat-Ikhlaas parein to shaam tak aap shaitaan se bachey rahein gein, kya koi bata sakta hai keh 11 martaba taouz ko alehda kar ke parna hai ya phir 1 martaba taouz aur uske baad 1 martaba surat? doosri baat poochani hai keh, shaam kab shuru hoti hai? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ghulam E Mustafa مراسلہ: 24 نومبر 2008 Report Share مراسلہ: 24 نومبر 2008 Meine app ko arz kiya naa Ayat-ul-Qursi sab say acha amal hai Shaitan ky shar say bacne kaa aur Shaitan ky shar say bachny ky tu bai shumar amal hain laikin Ayat-ul-Qursi sab say acha amal hai. Aur shaam Gharob-e-Aftab ky waqt say hee start hoti hai yani Shaam ki namaz say. App Subha 1 Dafa aur Shaam ko 1 Dafa Ayat-ul-Qursi par kar yeh dua kar liya karain... '' Aai Allah humara Jan-o-Maal aur har cheez tumhare aur tumhare Pyare Habib ky Hawalay hein, Aai Allah tu apne Habib ky waseelah say humari aur humari har cheez ki hifazat farma aur humein shaitan ky shar say mehfoz rakh aur humein apne Hifz-o-Imaan mein rakh '' Ameen! اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔