Jump to content

Iman e Abu Talib


786Ahlesunnat

تجویز کردہ جواب

G o a jahal teri chalakian.Jab hum anti shiaism wali site say koi reference quote karain tu wo jhooti ho jati hay.Aur daikho apni jahaliat ke had ke Abu Talib k A.S b likha hua hay aur saath yeh b keh raha hay ke main nain kab un k Islam k baray main kaha.

Do rangi chor day yak rang ho ja

Aur tum nain jo yeh bat ke keh woh but parast thay aur woh kyon Rasol e Akram Sal Allah o Alaih e Wasalam ka jawab day rahay thay tu main nain aur Aashiq Bhai nain b tum say yeh kaha hay ke tum un ka Eman sabit karo.Idher udhar ke batain kar k bhaag jatay ho.

Link to comment
Share on other sites

Pyare Islami Bhai

 

Meri aik baat ghaur se sunn lo. Aap sub ko saboot chahiye ke Janab Abu Talib Kafir nahi the balkay musalmaan they. Kya aap ko yaad hai ke "Bukhari Sharif" ke preface "Dibachay" main likha hai ke main ne 600,000 (six lacs) ke kareeb hadis jama keen magar (around six thousands) combine kar ke os ki books bana leen.

 

Main aap ko aik ishara deta hoon or aqalamand ke liye ishara hi kaafi hota hai. Bibi Khadija tul Kubra jo Arab ki Arabpati mastoor hain. Aap bibi ki omar 40 saal thi or Rasoolallah (PBUH) ki omar 25 saal ke aap dono ka nikaah ho gaya. Nikaah kis ne parhaya ye alag issue hai. Rasoolallah 53 saal ke the jub ye paak bibi duniya se rehlat kar gayen. Aap bibi or Rasoolallah (PBUH) ki zindagi 28 saal ikhthay guzri.

 

Afsos ki baat yeh hai Bukhari Sharif se le kar Muslim tak, Abudawood, Nisai, Tirmizi, Mashkaat se le kar Maja Sharif tak aap ko es paak bibi ke rivayat karda aik bhi Hadis nahi mile gi. Chiragh le kar bhi dhoondo phir bhi na mile gi.

 

Kya ye tareekh ke historian ki zulam o ziadati nahi hai ke jis paak bibi ne aap Rasoolallah ki 28 saal khidmat os ka hadis main kuch bhi contribution nahi. Kabhi aap friends ne socha ke ye kya waja hai. Hum imaan-e-abu talib ki baat kar rehe hain ke on ke islam laanay ka saboot nahi.

 

Bhaiyo kuch to hosh ke nakhun lo. Baat shiya or sunni ki nahi hai. Hum sub par ahtraam waisay hi wajib hai jaisay ke doosray par. Agar ab tareekh ka moarrikh historian hum se baat chhupa jaye to hum ilam ke beghair kisi ko kyon kaafir banayen.

 

Main ne apni pichli post main Sura Zuha ki aik ayat ke baray main bataya. Aap zara thanday dil se os ko bhi parh lijiye ga. Or apnay imaan se faisala kijiye ga. Shiya ka achha hona ya bura hona alaihda baat hai. Magar en paak hastiyon ko to bura na kaheen.

 

Aap sub ke comments ka intizaar rahe ga.

 

Fi Amaanillah

Link to comment
Share on other sites

hazrat Ali aur Iman e Abu Talib

 

mufti e azam ab yeh batao kay abu talib nay kon sa kalima pahra tah, jo shia pahrtey hein ,ya jo muslaman pahrtey hein,

 

mufti e azam yeh bih batao kay abu talib ka namaz e janaza kis nay pahraya.

post-2598-1227705061.jpg

post-2598-1227705075.jpg

post-2598-1227705085.jpg

post-2598-1227705096.jpg

janab yeh aap ki books hain jis mein likha hai k Hazrat Abu Talib ne kalma perha...

post-2598-1227705167.jpg

aur jana yeh Hazrat Abu Talib ka nikah perhana bhi sabit hai ab batao k kiya aik mushrik aik nabi ka nikah perha sakta hai ??

 

post-2598-1227705377.jpg

http://qurango.com/images/si/260.jpg

aur janab yeh tarikh ibne kathir ka scan page hai k aik sahabi e Rasool (saw) baddar mein shaheed honay lagay to Rasool Allah (saw) se fermaya k kash Hazrat Abu Talib aaj hptay to yeh fatah dekh ker kitnay khush hotay aur unn unhon ne inn sahabi ko paishun-goi ki thi k tum her per hi geo ge aur haq per hi maro ge..ab meri jaan kiya aik mushrik aisi paisheen-goi ker sakta hai ?? aur kiya woh musalmanon ki mushrikeen per fatah khush ho sakta hai ??

Link to comment
Share on other sites

Es topic ko bhi conclude rakhiye.

 

Tamaam Sunni or Shiya dosto aik baat ghaur se suno.

 

Wo Ali (ra) hi hain jin ki aulaad main 10 imamo or others ahal-e-bait ko shaheed kar diya gaya. Un ke baap ko kafir likh dene kaunsi mushkil baat hai. Rasoolallah ne 53 saal tak aap Abu Talib (ra) ka namak khaya. Halankay wo kisi kafir ka tohfa kabool hi nahi karte the. Yeh ahal-e-bait ke dushman hi hain jo abhi bhi ahal--e-bait pe apna zehar ugal rehe hain.

 

Please comments!!

Link to comment
Share on other sites

Sitaragroup Sb zara is bat ko change kar do ke Huzoor e Akram (saw) nain 53 baras tak Abu Talib ka namak khaya Naoz o Billah.

Balk e youn likhain ke Abu Talib ko Huzoor e Akram (saw) k sadqay main sab kuch milta raha.Jin k sadqay say is poori kainat ko

rizaq mil raha hay unon nain kya kisi ka namak khana.

Zara ghour karain.

Link to comment
Share on other sites

100% theek hai. Hum sub or sari kayenaab Rasoolallah (PBUH) ki jutiyon ke sadkay ka rizq kha rahi hai.

 

Magar Abu Talib (ra) ko zaeef hadison se kafir kah dena kahaan durast hai. Main ne pehle araz kiya ke Ali (ra) osi Abu Talib (ra) ki aulaad hi to hain jin ko or un ke 10 ayema or ahal-e-bait ko dushmanaan-e-ahal-e-bait ne shaheed kar diya. To kya ye wohi laug aisa nahi kar sakte ke Hadis ki kitabon main her pher kar den. Ye baat bhi sochain na ke jo Ali ® ka dushman hai kya wo aap Abu Talib (ra) ka dushman nahi hai?

 

Please comments

Link to comment
Share on other sites

Brothers in islam!!

 

Aap ke liye aik bahtareen saboot le kar aya hoon. Ke Abu Talib (as) aap Rasoolallah (PBUH) ke wasilay se barish ki dua karte the. Agar Rasoolallah (PBUH) wasila hain to Dua kis se ho rahi hai. Zahir hai koi Laat-o-Uzza to hai nahi yakinan Allah hi hain.

 

Please comments!!

post-2656-1227800740.jpg

Link to comment
Share on other sites

Sitaragroup main website ka link b paste kar raha hon.Yeh risala Ash Shah Imam e Ahlesunnat Imam Ahmed Raza Khan Brelvi R.A ka likha hua hay.Is main tumhain sab jawabat mil jain gay.Ab agar koi question reh gya tu phir Allah he tumhara hami o nasir ho.

 

http://www.razanw.org/modules/wfdownloads/...1&start=150

http://razanw.org/data/01-alahazrat_books/..._al_matalib.pdf

Book is in pdf formate and size is 9.34 mb.

Link to comment
Share on other sites

Chishti Bhai!!!

 

Aap phir wrong khail rehe ho. Agar Quran ka reference diya jata hai wo bhi aap nahi maantay ab mai ne Hadis ka reference de diya hai to wo bhi aap ko pasand nahi. Aap mujhe Aala Hazrat (ra) ki book parhnay ko kah rehe hain. Kya Guarantee hai ke ye book Aala Hazrat (ra) ne likhi hai. Aap ki dil-o-dimagh par agar Abu Talib (ra) se bughaz rakhna baith gaya hai to Allah se aap bhi dua karen or main bhi karta hoon ke Allah hum sub ko sidhi raah dikhiye. Aameen!!!

Link to comment
Share on other sites

Had ho gay hay bhai kya bat hay tum logon ke.Main nain tumhain links send kia aur tum nain un ko paray baghair he jawab poat kar dia.

Zara is book ko paro aur daikho ke is main Quran Sharif aur Hadees Sharif say sab kuch sabit kia ja chuka hay.

Afsoos hay tum par ke yeh keh raha ho ke yeh book Imam e Ahlesunnat ke hay ya nahin.Tum b apnay rafeeq mufri ke tarah batain kar raha ho jo ke ......

Zara in ko paro phir jawab daina.

Without reading ab reply post na karna.

Link to comment
Share on other sites

Janab main kitaab download kar ke dekh chuka hoon. os ke start main hi jo hadis main ne paste ki os ka sher hai. Phir kaha jaa raha hai ke es se yeh sabit nahi hota ke Abu Talib ® ne kalma parha.

 

Mufti Sahib, agar aap logic par chalo or es sher ko saamnay rakho to aap ke pass koi saboot nahi ke Abu Talib (ra) muslimaan nahi tha. Baki kitni hadsen zaeef hain. Osi hi jaga ye hadis bhi likhi hoi hai jo ye kah rahi he ke Abu Talib (ra) ne kalma nahi parha. Ab kya karen kis baat ko maanen. Ya ye sher ghalat hai ya wo hadis. Kuch na kuch daal main kala zaroor hai.

 

Or main kyon Mufti ki himayat karnay laga. Main to sirf or sirf Hak ka sath doon ga.

Link to comment
Share on other sites

Itnay short time main aap nain saari book download kar k study b kar le hay.Kya bat hay g janab ke.Is main Imam e Ahlesunnat R.A

nain har sawal ka jawab dia hay.

Aap nain tu intaha kar de hay janab.

Kia is shair say un ka kalma parna sabit ho raha hay?

Aap kisi authentic Hadees Sharif say sirf un ka kalma parna sabit kar dain na ke yeh ke unon nain yeh shair paray aur yeh kaha.

Link to comment
Share on other sites

Chishti Qadri Bhai!!

 

Pehli Baat ke es sher (Hadis) se un Abu Talib (ra) ka kufar bhi sabit nahi ho raha or wo Rasoolallah (PBUH) ke wasilay se Allah se hi barish ki dua kar rehe hain. Or koi Kafir Allah se Dua nahi karta or wo bhi Rasoolallah ke wasila se.

 

Doosri baat. Agar main hadis (sirf Saha-e-Sitta) pe aa gaya to aap ko baron baron ke imaan dugmagatay nazar ayen ge. Behtar yahi hai ke aap hadis wali baat apnay pass hi rakhen.

 

Aap ye kyon nahi samajh rehe ke aulaad Ali (ra) ke sari ki sari shaheed ho gai. Mimbar pe Ali (ra) ko bura bhala kaha jata raha. Ye sub kuch aap ko main Saha-e-Sitta se dikha sakta hoon. Magar aap baar baar Aala Hazrat 9RA) ki kitaab ka hawala de rehe hain. Jo ke logically koi bhi accept karnay ke liye tayyar nahi ho ga kyon ke os book ki value overall Hadis ke mukabalay main kafi kam hai.

 

Chishti Bhai!! bura na manana main Aala Hazrat (ra) ki tauheen nahi kar raha balkay!!

 

Main agar 3rd para main agar main Ali (ra) ko bura bhala kahna (Saha-e-Sitta) se na kar saka to beshak mujhe moderators ban kar den. Baroz-e-Kiamat main kisi ka kirabaan nahi pakron ga ke falaan forum par mere sath ziadti hoi.

 

Agar haqiqat samjhnay ke liye tayyar hain to baat karen otherwise Imaan-e-Abu Talib (ra) ke baray main khamoshi behtar hai. Aziz Mian aisay to nahi kah gaye ke "Allah Hi Jaanay Kaun Bashar Hai"

 

Regards

Link to comment
Share on other sites

  • 4 years later...

SayyidAnbiya1.jpg

post-4540-0-08416800-1378124881_thumb.jpg

3.jpg

post-4540-0-91215300-1378124874_thumb.jpg

Dosto, Ye Baat saabit ho yaa naa ho, Per ek baat Muhabat waali ye hay kay Meri Sab Ahle Muslim say Modbaana Guzaarish hay kay Us topic ko naa chairain, Be Adabi ho sakti hay, Kiyoon apnaa Emaan Kharaab kharab karna chahitay ho, Sab Muslims aapas Main Ithaad karo, Ye Yahoodiyoon aur Nasaara aur Majoosi Ki saazish hay kay Musalmaan aapas Main lartay rahain, Aur Hum Musalmaanoon per Qaabiz hotay jaaen aur Musalmaan Firqoon main but kar mazloom ho jaaen, Khudaara kuch Socho ab bhi Waqt Hay, Haqeeqat ko samjho aur aapas Main Bughz naa rakho, Bhai bhai ban jaao, thanks.

Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...

ایمانِ ابوطالب ؑ (صحیح بخاری کی حدیث 3884کا جواب)
ناصبی بغض اہل بیت ؑ میں اندھے ہو کر ( معاذ اللہ ) حضرت ابو طالب ؑ کو کافر ثابت کرنے کے لئے مسیب بن حزن کی روایت پیش کرتے ہیں جو کہ اس کے بیٹے سعید(تابعی) نے روایت کی ہے اس کا جواب پیش خدمت ہے
1۔ مسیب بن حزن فتح مکہ کے بعد مسلمان ہوا یہ کیسے ممکن ہے کہ حضرت ابوطالب ؑ کی رحلت کے دس گیارہ مسلمان ہونے والا بندہ اس وقت کی روایت بیان کرے جبکہ وہ مسلمان بھی نہیں ہوا تھا ؟ اسے سہی بھی مانا جائے؟
2۔ سیرت النبی ؐ جلد نمبر ۱ صفحہ ۱۴۹ پر شبلی نعمانی اس حدیث کے بارے کہتا ہے " محدثانہ حیثیت سے بخاری کی یہ روایت چنداں قابلِ حجت نہیں کہ اخیر راوی مسیب ہیں جو فتح مکہ میں ایمان لائے اور ابو طالب ؑ کی وفات کے وقت موجود نہ تھے اسی بنا ء پر علامہ عینی نے اس حدیث کی شرح میں لکھا ہے کہ روایت مرسل ہے"
پس ثابت ہوا یہ حدیث قابل حجت نہیں ہے ۔ والسلام 
عاصم جاوید عاصم

https://fbcdn-sphotos-d-a.akamaihd.net/hphotos-ak-frc3/1379491_460350654080846_1893154493_n.jpg

https://fbcdn-sphotos-c-a.akamaihd.net/hphotos-ak-ash3/1375863_460350560747522_1296346098_n.png



ایمان ابو طالب ؑ ( روایت کرنے والے راوی)
سنیوں میں مشہور روایت ہے جس میں کہا گیا ہے کہ ( معاذ اللہ ) حضرت ابو طالب ؑ نے کلمہ نہیں پڑھا کے راویوں کو ہی دیکھ لیا جائے تو اس روایت کو جھوٹا کہنے کے لئے کافی ہے 
1۔ مسیب بن حزن ( فتحِ مکہ کے بعد مسلمان ہوا ۔ رحلتِ ابو طالب ؑ کے وقت موجود نہیں تھا)
2۔ ابو ہریرہ ( فتحِ خیبر کے بعد مسلمان ہوا ۔ رحلتِ ابو طالب ؑ کے وقت موجود نہیں تھا)
3۔ ابن عباس ( رحلتِ ابو طالب ؑ کے وقت بعض کے مطابق ایک ماہ کا تھا اور بعض کے مطابق پیدا نہیں ہوا تھا)
سیرت النبی ؐ جلد نمبر 1 صفحہ149 پر شبلی نعمانی صحیح بخاری حدیث3884 کے بارے کہتا ہے " محدثانہ حیثیت سے بخاری کی یہ روایت چنداں قابلِ حجت نہیں کہ اخیر راوی مسیب ہیں جو فتح مکہ میں ایمان لائے اور ابو طالب ؑ کی وفات کے وقت موجود نہ تھے اسی بنا ء پر علامہ عینی نے اس حدیث کی شرح میں لکھا ہے کہ روایت مرسل ہے"
والسلام 
عاصم جاوید عاصم

 

Link to comment
Share on other sites

 

attachicon.gif1.jpg

 

 

 

 

 

 

attachicon.gif2.jpg

 

 

 

 

 

attachicon.gif3.jpg

 

 

 

 

 

attachicon.gif4.jpg

 

 

 

 

 

attachicon.gif5.jpg

 

 

 

 

 

 

attachicon.gif6.jpg

 

 

 

 

 

 

 

attachicon.gif7.jpg

 

 

 

 

 

attachicon.gif8.jpg

 

article copy paste krny sy pahly ravio waly comment ko prh lety bahter tha... aesy web sy utha kr itna bara article paste kr dia

Edited by Äśïm Ĵävëđ Äśïm
Link to comment
Share on other sites

ایمانِ ابوطالب ؑ (صحیح بخاری کی حدیث 3884کا جواب)

ناصبی بغض اہل بیت ؑ میں اندھے ہو کر ( معاذ اللہ ) حضرت ابو طالب ؑ کو کافر ثابت کرنے کے لئے مسیب بن حزن کی روایت پیش کرتے ہیں جو کہ اس کے بیٹے سعید(تابعی) نے روایت کی ہے اس کا جواب پیش خدمت ہے

1۔ مسیب بن حزن فتح مکہ کے بعد مسلمان ہوا یہ کیسے ممکن ہے کہ حضرت ابوطالب ؑ کی رحلت کے دس گیارہ مسلمان ہونے والا بندہ اس وقت کی روایت بیان کرے جبکہ وہ مسلمان بھی نہیں ہوا تھا ؟ اسے سہی بھی مانا جائے؟

2۔ سیرت النبی ؐ جلد نمبر ۱ صفحہ ۱۴۹ پر شبلی نعمانی اس حدیث کے بارے کہتا ہے " محدثانہ حیثیت سے بخاری کی یہ روایت چنداں قابلِ حجت نہیں کہ اخیر راوی مسیب ہیں جو فتح مکہ میں ایمان لائے اور ابو طالب ؑ کی وفات کے وقت موجود نہ تھے اسی بنا ء پر علامہ عینی نے اس حدیث کی شرح میں لکھا ہے کہ روایت مرسل ہے"

پس ثابت ہوا یہ حدیث قابل حجت نہیں ہے ۔ والسلام 

عاصم جاوید عاصم

 

https://fbcdn-sphotos-d-a.akamaihd.net/hphotos-ak-frc3/1379491_460350654080846_1893154493_n.jpg

 

https://fbcdn-sphotos-c-a.akamaihd.net/hphotos-ak-ash3/1375863_460350560747522_1296346098_n.png

 

ایمان ابو طالب ؑ ( روایت کرنے والے راوی)

سنیوں میں مشہور روایت ہے جس میں کہا گیا ہے کہ ( معاذ اللہ ) حضرت ابو طالب ؑ نے کلمہ نہیں پڑھا کے راویوں کو ہی دیکھ لیا جائے تو اس روایت کو جھوٹا کہنے کے لئے کافی ہے 

1۔ مسیب بن حزن ( فتحِ مکہ کے بعد مسلمان ہوا ۔ رحلتِ ابو طالب ؑ کے وقت موجود نہیں تھا)

2۔ ابو ہریرہ ( فتحِ خیبر کے بعد مسلمان ہوا ۔ رحلتِ ابو طالب ؑ کے وقت موجود نہیں تھا)

3۔ ابن عباس ( رحلتِ ابو طالب ؑ کے وقت بعض کے مطابق ایک ماہ کا تھا اور بعض کے مطابق پیدا نہیں ہوا تھا)

سیرت النبی ؐ جلد نمبر 1 صفحہ149 پر شبلی نعمانی صحیح بخاری حدیث3884 کے بارے کہتا ہے " محدثانہ حیثیت سے بخاری کی یہ روایت چنداں قابلِ حجت نہیں کہ اخیر راوی مسیب ہیں جو فتح مکہ میں ایمان لائے اور ابو طالب ؑ کی وفات کے وقت موجود نہ تھے اسی بنا ء پر علامہ عینی نے اس حدیث کی شرح میں لکھا ہے کہ روایت مرسل ہے"

والسلام 

عاصم جاوید عاصم

 

 

 

 

 

جناب اگر یہ روایت مرسل ہو تب بھی آپ کے لیئے فائدہ مند نہیں کیوں کہ دیگر کئی آحادیثِ صحیحہ اس کی شاہد ہیں اور الاصابہ کے جو سکین آپ نے لگائے ہیں اس کا جواب علامہ ابنِ حجر ؒ نے الاصابہ میں ہی لکھ دیا ہے آپ میرے دیئے کئے سکین پڑھنے کی زحمت فرمائیں ۔ایک قرآنی دلیل سے۔

Link to comment
Share on other sites

 

جناب اگر یہ روایت مرسل ہو تب بھی آپ کے لیئے فائدہ مند نہیں کیوں کہ دیگر کئی آحادیثِ صحیحہ اس کی شاہد ہیں اور الاصابہ کے جو سکین آپ نے لگائے ہیں اس کا جواب علامہ ابنِ حجر ؒ نے الاصابہ میں ہی لکھ دیا ہے آپ میرے دیئے کئے سکین پڑھنے کی زحمت فرمائیں ۔ایک قرآنی دلیل سے۔

 

sorat tauba ki ayat 113 ka main jawab dy chuka hn... ap ne shayed prhny ki zahmat hi nahi kia hy...  

Link to comment
Share on other sites

 

(bis)

(saw)

شیعہ کے لیے تحفہ

attachicon.gif1.jpg

attachicon.gif2.jpg

attachicon.gif3.jpg

attachicon.gif4.jpg

attachicon.gif5.jpg

 

itny page paste krny pahly khud hi prh lety to behter tha..... pahli baari is sy mera dawa theek hy k is ayat k shan e nazool main ikhtalaaf hy .... walida sahiba wali ik riway ko to tum ne b khud theek kah dia hy..... sahaba wali jo hazrat ali a.s ki sahi sanad wali riwayat ka koi jawab nahi dia..... end pr mussayat wali baat hy mussayat wali baat baat mani nahi ja skti q k mussayab 10,11 saal baad muslim howa tha us waqt woh wahan majood b nahi tha.... ya to us ki majoodgi sabit kro ya dariyaan ka ravi batao warna musayat wali riwayat ka koi faida nahi hy

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...