Jump to content

Full Details of Najasath[Very Very imp for every muslim]


Gham-e-Madinah

تجویز کردہ جواب

Bismillaa hirrah maa nirrah heem,

ASsalatu was salamu alaika Ya Rasoollallaah

(Swallallahu alai hi wa sallam)

 

Assalamu alai kum wa rahmatullaahi wa barakatu,

 

 

Pyare islami bhaiyoun aur bheno,

aap hazrath se madni ilteja hai

ke agar hosakheto use print out nikalkar

dusron tak pahunchaye, kyun ke bahut se logon ko

ye malum nahi hai.

Insha-Allaah azzawjal aap ko bhi bahut sara

sawab milega.

 

 

Sarkare Madina (swallallaahu alai hi wa sallam)

ka farmane alishan hai

"Jisne Apni Namazon ki fikr na kare Khuda uski

fikr nahi karta hai".

 

Namaz me 6 shartain hai

 

1:Taharath

2:Satre Aurath

3:Waqt

4:Isteqbale Qibla

5:Niyat

6:Takbire therima.

 

 

TAHARATH:

 

Namaz ki pheli sharth taharath hai,

ek namazi ko 3 cheezon ko her kisam ki

Najasath se paak rakhna zarori hai,

1:Jism ka paak hona

2:Kapdon ka paak hona

3:woh jagha jisper woh namaz padna chahata hai,

kam az kam itni jagha paak hona ke jitni jagha me woh

namaz pad sakhat hai

 

Taharath hi me NAJASATH ka bayan ata hai,

Insha-Allaa azzawajal NAJASATH ke mutaliq

chand batain bataya jayega, jiska jaan na her

musalman mard aur aurat per farz hai.

 

NAJASATH:

 

Najasath ki 2 kisme hai

1:Najasath-e-Galiza (Badi Najasath)

2:Najasath-e-Khafifa(Choti Najasath)

 

Najasath-e-Galiza:

 

Najasat-e-Galiza ke kisme

 

1:Admi ke badan se jo aisi cheez nikli jisse wazu ya gusl jata raha woh

Najasath-e-Galiza hai

Ex: Paakhana, Pishab, Bahataa howa khoon, Peeb, Muh bhar ke qai, Mani,Mazi,

sharab etc etc...

 

2: Her janwar ka bahata khoon, unka pakhaana, haram janwar ka pishab wagera wagera..

Note:Halaal janwar ka pishab Najasat-e-Khafifa hai

3: Doodh pite bachche (ladka ya ladki) ka pishab Najasath galiza hai

4: Bachcha ne doodh ki qai(uti) ki agar munh bhar hai to najasate galiza hai

5: Kutta,chita aur dusre darande ka lu'aab Najasate Galiza hai

 

Najasat-e-Galiza kitna lage to paak karna hai ?

Najasat-e-Galiza agar kapde ya badan per ek dirham se

zyada lagjaye to uska paak karna FARZ hai ,

bagair paak kiye namaz nahi hogi.

Agar ek dirham ke barabar hai to paak karna WAJIB hai,

bagair paak kiye namaz pade to makru-e-tehrimi wajibul adaha hai

(yani aisi namaz phir se padna wajib hai)

 

Agar ek dirham se kaam hai to paak karna SUNNATH hai,

bagair paak namaz pade to namaz hojayegi

magar sunnath ke khilaf hai

 

Dirham naapne ka tariqa

 

Najasat-e-Galiza 2 kism ki hai

 

1:Gaadi Najasath: ex: paakhana,gubar etc etc

 

2:Patli Najasath: ex: Pishab, Sharab etc etc..

dirham ko naap ne ka tareeqa:

Agar gadi najasath hoto uska wazan dekhe

aur patli najasath hoto uski lambayi, chaudayi dekhe

yani boundry dekhe

Dirham ke wazan shariat me 4.5 mashah hai aur dirham ki

chaudayi,lambayi se yaahan murad takriban hateli ki gherayi

ke barabar hai jo ek rupaye ke phelaawo ke barabar jagha hoti hai

 

Aaj awaam me ye mashur hai ke

1:Doodh pite bachche ka pishab ya qai(Ulti) paak hai

ye sara sar galath hai ke agar ek din ka ya ek ghante(hour)

ka bachcha ya bachchi pishab ya qui ulti kare to woh

napaak hai uski najasath se hum bachna chahiye

isi tarha badon ki ulti ki najasath se bachna chahiye

2:kutta(dog) badan ya kapdon ko chujane se badan ya

kapde napaak nahi hote chahe kutta tar kyun nahoo,

haan kutte ka lu'ab napaak hai usse bachna chahiye

 

 

Najasat-e-Khafifa

 

Najasat-e-Khafifa ke kisme

 

1:Halaal janwaron ka pishaab Najasate khafifa hai

ex: Bail, Bakri, Oont etc etc

 

2:Haram parendon ko beet(Paakhana)

ex: Kawwa, Cheel etc etc

 

Najasate khafifa lagjaye to kya kare?

Agar najasate khafifa kapdo ya badan per lagi hoo aur woh chautayi se kam

hai to maaf hai yani namaz hojayegi,

agar chautayi ke barabar hoo ya chautayi se zyada hoo to dhuna zarori hai

warna namaz nahi hogi,

Ex: agar kurta ke aasteen ko Najasate-e-Khafifa lagjaye to ye dekhe ke

woh Najasat pure ek aasteen ke chautayi hissa se kam laga hai ya

usse zyada agar kum laga hai to dhuna maaf hai, agar zyada laga

hai ya barabar laga hai to dhuna zarori hai.

 

Note: 1: jistar uper ke example me kurta ke aasten ke mutaliq bataya gaya hai usi tarha her hisse ko alag alag chautayi hissa dekha jayega,

ex: Paajama ke aasteen, Kurte ka caller ,etc etc

 

pyare pyare madni phool

1: Najasath galiza ya Najasate khafifa kapde ya badan ke alawa kayi ek khatra bhi

girjaye to woh najis hai , agar woh dhadarda nahoo.

 

ex: Pani, Doodh me agar ek khatra bhi gire to Woh Najis hai

 

Note : Dhadarda ka meaning age bhejajayega.

2: Agar Najasath galiza, Najasate khafia me miljaye to

woh Najasate galiza hojayegi

 

3:Pishab ki chinte soyi ki nouk ke barabar,

badan ya kapde per padjaye to kapde aur badan paak hai a

Agar aisa kapda pani me padagaya to pani bhi napaak nahoga.

 

4: Namaz ki halath me jaib wagera me sharab ya pishab ya khoon ki

shishi(bottle) hai to namaz nahi hogi

 

5:Raste ki kichad paak hai jab tak uska najas hona malum naho,

Namaz hojayegi dhulane bhetar hai

 

 

 

Aye ATTAR ka Faiz hai jaahan bhar me

ke gesu aur imaame ki dhoom machi hai

 

 

Duaon mein yaad

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...