Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 DUE-E-MADINA Ya Rab-e-Muhammad meri taqdeer jiga day Sahrae Madina mujhe aankhoon se dikha day Peecha mera duniya ki mohabat se chora day Ya Rab mujhe diwana Madine ka bana day Rota howa jis dam mein Dar-e-Yaar pe pohonchoon Us waqt mujhe Jalwae Mehboob dikha day Dil ishq-e-Muhammad mein tarapta rahe her dam Seenay ko Madina meray Allah bana day Bahte rahe her waqt jo Sarkaar k gham mein Rote howi wo Aankh mujhe mairay Khuda day Imaan pe day mout Madine ki gali mein Madfan mera Mehboob kay Qadmoon mein bana day Ho bahre Raza Karam sowe Gunahgaar Jannat mein paroosi mujhe Aaqa ka bana de Daita hoon Tujhe wasita mein piyaare Nabi ka Omat ko Khudaya Sunnat pe chala de ATTAR say Mehboob ki Sunnat ki lay khidmat Danka ye Tairay Deen ka duniya mein baja day Allah! milay Hajj ki isi saal sa'adat ATTAR ko phir Roza-e-Mehboob dikha day اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 SABZ GUMBAD KAY SAE MEIN GHAR CHAHEYE Mujh ko duniya ki dolat na zar chaheye Shahe Kauser ki meethi Nazar chaheye Haath othte hi bar aae her mod aa Wo duaaon mein Moula Asar chaheye Aashikaane Nabi kay dil ki hai sadaa Sabz Gumbad kay Sae mein ghar chaheye Zouq barhata rahe Ask bahte rahein Muztarib qalb or chasham chaheye Raat din ishq mein Teray tarapta rahon Ya Nabi ! Aaisa sooze jigar chaheye Ya Khuda! jism se jaan jab hi juda Jalwa-e-Yaar peshe nazar chaheye Bas Madine mein do ghaz zameen dejeye Aur kuch na shahe Bahro Bar chaheye Ham ghareeboon ko Roze per bola loo Rahe Taiba ka zaade safar chaheye Apne ATTAR per ho Karam bar bar Izan Taiba ka bare digar chaheye اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 KUCH OR BAAT HOTI Mein jo youn Madine jata to kuch or baat hoti Kabhi lout kar na aata to kuch or baat hoti Mein Madine to giyaa tha bara sharaf tha laikin Wahein dam jo toot jata to kuch or baat hoti Gham rozgaar mein to mairay ashak bah rahe hein Tera gham agar rolata to kuch or baat hoti Na fazool kaash! hanstaa Tere Yaad mein tarapta Mujhe chain hi naa aata to kuch or baat hoti Yahi Aaah! fikere duniyaa mera dil jala rahe hai Ghame hijer ghr satata to kuch or baat hoti Yahan qaber mein yaqeenen Teri Deed mujh ko ho ge Jo Baq'qe mein qaber pata to kuch or baat hoti Bazbane zaireen tomein Salaam baijtaa hoon Kabhi khod Salaam Lata to kuch or baat hoti Aare zaere Madina! tu khoshi se hansh raha hai Dil ghamzada jo lata to kuch or baat hoti Meri aankh jhab bhe kholti, Teri Rehmatoon se Aaqa Tujhe samane hi pata to kuch or baat hoti Kyoun Madina chore aya Tujhe kya tha ATTAR ? Wohein ghar agar basata to kuch or baat hoti اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 MUJHE BULALO SHAHE MADINA Mujhe bolalo Shahe Madina ye Hijr ka gham sata raha hai Mein Dar pe aaon yahi to armaan dil mein tofaan macha raha hai Hai sahna doshwaar ye jodai meri ho Dar tak Shaha Rasai Nahi bharosa hai zindagi ka ye dil mera dooba jaa raha hai Nahi tamana-e- maalo dolat nahi mujhe khuwaish haqoomat Meri nazar meinhaseeno dil qash wo Sabz Gumbad sama raha hai Yahi to hasrat rahi hai dil mein mujhe ajal bhe wohi per aae Jahan pe Aaqa hai piyaara Roza yahi to Aarman sada raha hai Hai jholi khali Aay Shahe Aaali hai arz karta Tera sawali Zalil mangta muradein lainay ko haath ghande barha raha hai Ay benawao gadaoo pasare damen safeen banao Khazana Rehmat ka banta wo Mehboob Aaa raha hai Gadae darjaa balab hai Aaqa Niqaab Othao dikha do jalwa Hoon tishnae Deed per Aanayat jahan se piyaasa hi jaa raha hai Mein goore teeraa mein aa para hoon, firishte bhe aa choke hein sar per Chale gae naaz othane wale Tera hi ab asara hai Hai nafse nafse Chahar janib Nisaar jaon kaha ho Moula Chopa lo Damen mein piyaare aa kar ye shoore mehshar dara raha hai Khuda-e-Ghafaar bakhs de ab To laaj Mehboob rakh hi lay ab Hamar GhamKhuwaar Fikre omat mein Aansoon baha raha hai Saba jo paira ho Kowe Jaana to ghamzaada ka Salaam kahna Ye Aarz karna Ghareeb ATTAR kab Madine ko aa Rraha hai اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 QAFILA CHAL DIYAA MADINE KA Izn mil jae ger Madine ka Kaam ban jae ga kaminay ka Jaa kay Un ko dikhaoon ga mein to Zakham-e-dil aur dagh seene ka Qalbe Ashiq dharak otha aik dham Zikr jab chir gia Madine ka Maire ankhoon se ashk jaari howe Jab chala Qafila Madine ka Us ki qismat per rashq ata hai Jo musaafir howa Madine ka Tujh pe Rehmat ho zaeere Taiba Jaa, nigahbaan Khuda safeenay ka Sab ko Aaqa bulaein gae ik din Izn mil jae gaa Madine ka Ho Ghame Mustafa ata Ya Illahi Dard barhata rahe Madine ka Naz'aa mein, qabr mein, qiyamaat mein Tum hi rakhna bharam kaminay ka Dour ranjo alam hoon duniya kay Ham ko mil jae gham Madine ka Ail mudat se dil mein armaan hai Jaame Deedaar-e-Yaar peenay ka Aapne ATTAR per ho Nazer-e-Karam Sag bana lejeye Madine ka اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 QISMAAT MERE CHAMKAEYE Qismaat maire chamkaeye chamkaeye Aaqa Mujh ko Dar-e-Pak pe bulawaeye Aaqa Seene mein ho Kaaba to baase dil mein Madina Aankhoon mein mere Aap samajaye Aaqa Betaab hoon bechain hoon Deedaar ki khatir Tarpaein naa Ab khawab mein Aaajaeye Aaqa Her simt se aafaat-o-bilyaat ne ghayraa Majboor ki imdaad ko ab aaye Aaqa Sakraat ka alam hai Shaha ! dham hai laboon per Tashreef sirhanein mairay ab laaye Aaqa Wahshat hai andhaira hai mere qabr kay ander Aaa kar zara roshan lse Farmaye Aaqa Mujrin ko leye jate hein ab soe jahannum Lillah! Shifa'at maire Farmaye Aaqa ATTAR pe ho bahre Raza itni inaayat Wiraana-e-dil aa kay basa jaye Aaq اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 JIS WAQT TARAPTA HAI BIMAAR MADINE KA Aaya hai bulawa phir ik baar Madine ka Phir jaa kay mein daikhoon ga Darbaar Madine ka Gulsan say haseen tar kohsaar Madine ka Jannat say bhe barh kar hai gulzaar Madine ka Mein phool ko chomoon ga or dhool ko choomon ga Jis waqt karoon ka mein deedar Madine ka Aankhoon say laga loon ga or dil mein basa loon ga Seene mein otaaroon gaa mein Khaar Madine ka Laaqi hai sir baalein Rehmat ki ada Un ko Jis waqt tarapta hai bimaar Madine ka Rote hein deewane betaab hein mastanay Un sab ko dikha dejeye Darbaar-e-Madina Rota hai jo raatoon ko omat ki mohabaat mein Wo Shafeye Mehshar hai Sardaar Madine ka Ratoon ko rota hai or khaq per soota hai Gham Khuwaar hai, Saada hai Mukhtaar Madine ka Qabze mein do Aalam hein per Haath ka taqeya hai Sota hai chitai per Sardaar Madine ka Dhok dard jahaan bhar kay sab dour Shaha kay Mujhko to bana lejeye bimaar Madine ka Is dar kay bhaikaari ki jhooli mein Do Aalam hein Shahoon say bhe barh kar hai nadaar Madine ka Maqbool jahan bhar mein ho DAWATEISLAMI Doon wasita Ay Rabe Ghafaar Madine kaa Taqdeer chamak othe qismaat hi to khol jae Ban jae jo adna sag, ATTAR Madine ka اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 AZAANE TAIBA MUJHE SARKAARE MADINA DAY DO Azaan-e-Taiba mujhe Sarkaare Madina day do Lay chale jo mujh ko Taiba wo safeena day do Yaade Taiba mein tarapne ka qarina day do Chashame tar, sooze jhigar Shahe Madina day do Chaar Yaroon(Radi Allah Anhuma) ka Tumhein wasitaa daita hoon Aapna gham mujh ko Shahenshahe Madina day do Sadqa Shahzadeye Qonain(Radi Allah Anha) ka Piyaare Aaqa ! Mujh ko day do mairay Sarkaar ! Madina day do Waqte Aakhir hai chale jaan Rasool-e-Akram Ik jhalak Ay Maire Sultan-e-Madina day do Qasarate Maal ki Afat se bichaa kar Aaqa Apne ATTAR ko Olfat ka hazeena day do اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 SOZE BILAL(Radi Allah Anhu) MERI JHOOLI MEIN DAAL DO Jaa ho Jalal dona hi maalo manal do Soze Bilal meri jhooli mein daal do Duniya kay sare gham mmairay dil se nikal do Gham Apna Ya Nabi Bahre Bilal do Hijro Firaak to mila do iztiraab bhi BeTaab Qalb Azpae sooze Bilal do Bahte rahe jo her ghari bas Yaad mein Shaha Wo chasham-e-Ashkbaar pae Zol Jalaal do Seena Madina ho mera dil bhe Madina ho "Fikre Madina" do mujhe "Madni khiyaal" do Her Aaan bas tassawure Taiba mein ghom rahoon Aaisa boland Shahe Madina! Khiyaal do Do dard Sunnatoon ka pae Shahe Karbala Omat kay dil se Lazat-e-fashion nikaal do Kholke azeem say mujhe hissa Aata karo! Be jaa hansi ki haslat bad ko nikaal do Zikaro Durood her ghari wirde zubaan aae Meri fazool goi ki Aadat nikaal do Dono jahan ki Aafatein sari moseebatein Sadke mein mairay Ghose kay Sarkar! taal do ATTAR ko bula kay Madine mein do Baq'qe Do Phool(RadiAllah Anhuma) k tofail hoon poray sowaal do اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 MUADAT SE MERE DIL MEIN HAI Mudat se maire dil mein hai Armaane Madina Roze pe Bula lejeye Sultaane Madina Ay kaash pohonch kay Dar-e- Janane Madina Ho jaon mein soo jaan se qurbaan-e-Madina Aate hein muqadar kay sikander Tere Dar per Bay izn ho kaise koi mehmaan-e-Madina Aag aise laga dejeye qalb aur jhigar mein Rota rahoon tarpa karoon Ay Jaan-e-Madina Gulzaar yahan kay ise ache nahi lagte Aankhoo mein samae hein Biyabaan-e-Madina Ab sindh kay jungle mein mira jee hi nahi lagta Bus mujh ko bulalejeye Gulistaan-e-Madina Duniyaa kay nazaare hamein ik ankh na bhaein Nazroo mein basein kash! Biyaaban-e-Madina London koi japan chala maal kamane Diwaana chala sowe Biyabaan-e-Madina Jab khod hi qasam khai hai Quraan-e-Mubeen ne Kis tarah biyaan koi kare Shaan-e-Madina Duniyaa ka koi shaher ho kis tarah mumasil? Jab Khlode bareen bhe nahi ham Shaan-e-Madina kar dejeye Deedar say ankhein meri thandi Ay Jaan-e-Jahan Sayede Sultaan-e-Madina Ay kaash! mubaligh mein banoo Deen-e-Mubeen ka Sarkaar! Karam Azpae Hassan-e-Madina(Radi Allah Anho) Qadmoon mein bulalejeye ATTAR ko Aaqa Aur is ko banalejeye mehmaan-e-Madina ATTAR ko dolat na haqoomat ki talab hai Daydejeye Baq'qe is ko to Sultaan-e-Madina اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 SILSILA AAH! GUNAHOON KA BARHATA JAA RAHA HAI Silsila Ah! gunahoon ka barhata jaa raha hai Nit niya jurm her ik Aan howa jata hai Qalb pather say bhe sakhtee mein, barha jata hai Dil per ik khoul siyahi ka charhaa jata hai Nafs-o-shaitaan ki her aan ita'at per dil Aah! mail meray Allah! ho jata hai Laoon wo ashk kahan se jo siyahi dhoein Gandagi mein nera dil! had se barhata jaa raha hai Aarzi afat-e-duniya say tou ghabrata hai Ha'e! baykhouf azaaboon say howa jata hai Ye tera jism jo bimaar hai tashweesh na kar Ye marz teray gunahoon ko mitaa jata hai Asal barbaad kun amraaz gunahoon kay hein Bhai! kyoun is ko faramoosh kiya jata hai Asal afat to hai naraazi Rab-e-Akbar Is ko kyoun bhool kay barbaad howa jata hai Al Madad ya Shahe Abrar Madine wale! Qalb se khouf-e-Khuda dour howa jata hai Aah! dolat ki hifaazat mein to sab hein koshaan Hifze Imaan ka tasawur hi mita jata hai Yad rakho! wohi bay aqal hai ahmak hai jo Kasarate maal ki chahat mein mara jata hai Apni olfat ka jaam mujhe pilaa do Saaqi Qalb duniyaa ki mohaabat mein phansa jata hai Imtihaan kay kahan qabil hoon mere piyaare Allah Bay sabab bakhs day Moula! Tera kya jata hai Aah! jati nahi hai adate ya wah gooni Waqt-e-anmool youn barbaad howa jata hai Aah! ansoon gham-e-duniya mein bahe jate hein Dil bhe duniya kay ghamoon hi mein jala jata hai Apna gham aisa ATTAR kar keh kalaija phat jae Daikh kay sab kahein diwaana chala jata hai Walwala Sunnat-e-Mehboob ka day day Maalik Aah! fashion pay musalmaan mara jata hai Teray diwaane isi aas pay zinda hein Shaha Jaane kab izen Madine ka diya jata hai Aakhari waqt hai Aajaa mere Madni aa jaa Aah! mujrim Tera duniya say Shaha jata hai Jalwa-e-Pak dikhaa jaa mere Madni aa jaa Aah! mujrim Tra duniyaa se Shaha jata hai Mujh ko ab Kalima Parha jaa meray Madni aa jaa Aah! mujrim Tra duniyaa se Shaha jata hai Mujh ko Seene say laga jaa mere Madni aa jaa Aah! mujrim Tera duniyaa se Shaha jata hai Meray isiyaan ko mitaa jaa meray Madni Aaa jaa Aah! mujrim Tra duniyaa se Shaha jata hai Meray Aaqa! sar-e-mehshar mera pardaa rakhna Raaz aaiboon ka meray faash howa jata hai Aao ab bahre Shifa'at mere Shafee! Aao Aah! badqaar azaaboon mein giraa jata hai Muskaara kar meri Sarkaar mujhe kah doo naa! Aaa Tujhe Daaman-e-Rehmat mein liya jata hai Kaash! ATTAR say farmaein qiyamaat mein Huzoor Lay Mubarak! keh tujhe Bakhsh diyaa jata hai. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 (ترمیم شدہ) HAMARA MADINA Madina Madina hamara Madina Hamein Jano dil se hai oiyaara Madina Sohana sohana dil aara Madina Her ashiq ki ankhoon ka taara Madina Sabhi Asiqe Mustafa kah rahe hein Hamein to hai Jaanat se piyaara Madina Ye rangeen fazaein ye mahki hawaein Mo'atar mo'anber hai sara Madina Madine kay Jalwoon kay qurbaan jaon Hai Qudrat ne kaisa sanwara Madina Paharoon mein bhe husn kantein bhe dilqash Baharoon ne kaisa nikharaa Madina Wahan Piyaara Kaaba yahan Sabz Gumbad Wo Makkah bhe meetha to Piyaara Madina Bulalejeye ab to Qadmoon mein Aaqa Dikha dejeye ab to piyaara Madina Phiroon gird Kaaba piyoon Aabe Zam Zam Mein phir aa kay dekhoon Tumhara Madina Masaib howe dour saare jahaan kay Giyaa jab koi gham ka maara Madina Hai shaho gada muflis-o-aghniyaa ka Bila raib sab ka guzaara Madina Ye diwaane Aaqa ! Madine ko aaein Bolalo inhein ab Khudara Madina Khuda gar qiyamat mein Farmae Mangoo! Ligaein gay diwaane Naara "Madina" Madine mein Aaqa hamein mout aae Bane kaash! madfan hamara Madina Use sair-e-gulshan say kya ho ta'aluq! Kiya jis ne Tera Nazaara Madina ZIYA(Rehmatullah Aalaih) Peer-o-Murshid k Sadke mein Aaqa Ye ATTAR aae dobara Madina Edited 16 اکتوبر 2008 by Karam Ho Ya Rasool Allah اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 AY KASH PHIR MADINAY MEIN ATTAR JA SAKE Ay kash! phir Madinay mein ATTAR ja sake Roo roo kay haal apna Mustafa ko sonaa sake Pechlay barsh to Taiba ko chooma tha jhoom kar ATTAR kash! Hajj ka sharf phir se paa sake Ya Rab-e-Mustafa ! koi aisa sabab bana Sae mein mout Gumbad-e-Hazaara kay aa sake Taiba bola wo dil ghamgheen day mujh ko Dil se na Tera gham koi meray mitaa sake Ghousul Wara(Radi Allah Anhu) ka wasita Ya Rab! wo ankh day Ishq-e-Nabi mein ji ansoon baha sake Wo aag mere seene mein Aaqa lagaye! Pather say sakht dil ko bhe jo jala sake Sarkaar ! Char Yaar(Radi Allah Anhuma) ka daita hoon wasita Aise bahaar doo na hizaan paas aa sake Tum bhe jo chore do gay to kahan jaon ga Shaha ? Hai kon mujh zaleel ko jo nibhaa sake Doshman agarche ghaat mein hai koi gham nahi Un ki madad rahe tou bigaar apna kya sake! Chasme Karam ho aise keh mit jae her khataa Koi gunah mujh se naa shaitaan kara sake Jis waqt Sunatoon ka mein karne lagoon biyaan Aisa Asar ho paidaa jo dil ki hilaa sake Hai saber tou Hazaanae Firdoos bhaiyo! Aashiq kay lab pe shiqwaa kabhi naa aa sake ATTAR ko wo sooz day Ya Rab ! Pae Raza(Rehmatullah Aalaih) Jo k Nabi kay ishq mein sab ko Rolaa sake ATTAR Teray Hame-o-nasir hein Mstafa Kis ki mijaal hai k tujh ko daba sake? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 TOU JAE GA MADINA Nazdeek aa raha hai Ramzaan ka mahina Sahil say Haazeyoon ka phir aa laga safeena Aaqa na toot jae ye dil ka Abgeena Ab ki bars bhe Moula! rah jaon mein kahein naa! Dil roo raha hai jin ka Ansoon chilak rhe hein Un ashiqoon ka sadqa! Bolwaye Madina Hijro Firaaq mein dil betaab ho rahe hein Oshaaq roo rhe hein loo chal diya Safeena Betaab ho raha hai Taiba ki hazeri ko Ashiq tarap raha hai or phat raha hai seena Roze ko dekhnay ko Ankhein taras rahe hein Ay Waleey-e-Madina !Ab tou bolaye naa Nazere Karam Khodara meray seyaah dil per Dam bhar mein jae ga ban ye Bebaha nageena Rangeene jahaan se dil toot jae mera Ya Rab ! mujhe bana day ashiq-e-Madina Ansoon na tham rahe hoon dil khoon oogal raha hai Jis waqt Teray Dar pay aaon Shah-e-Madina Bas Arzoo yahi hai Qadmoon mein jaan niklay Piyaare Nabi hamara madfan bane Madina Ay bekasoon kay hamdam ! Duniya kay dour hoon gham Bas jae dil mein Kaabah seena bane Madina Tableegh Sunnatoon ki karta rahoon hamesha Marna bhe Sunatoon mein hoo Sunnatoon mein jeena ATTAR ki Huzoori ki Aarzo ho poori Ho jae dour doori Ay Waaliy-e-Madina Un kay Diyaar mein to kaise chale phiree ga? ATTAR teri joraat ! Tou jae ga Madina. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 ARSH-E-A'ALA SAY A'ALA NABI KA ROZA Arshe Aala say A'ala meethe Nabi ka Roza Hai her maqaan say baala Meethe Nabi Roza Kaisa hai piyaara piyaara ye Sabz Gumbad Kitna hai Meetha Meetha Meethay Nabi ka Roza Firdoos ki bolandi bhe choo sake na Is ko Kholde-e-Bareen say ooncha Meethe Nabi ka Roza Makkhe say is leye bhe afzal howa Madina Hissay mein is kay aaya Meethe Nabi ka Roza Ka'abe ki Azmatoon ka munkir nahi hoon laiken Ka'abe ka bhe hai Kabah Meethe Nabi ka Roza Aansoon Chalak pare or betaab ho gia dil Jis waqt mein ne dikha Meethe Nabi ka Roza Ho gi Shifa'at us ki jis ne Madinay aa kar Khowaa ik nazar bhe dekha Meethe Nabi ka Roza Badal ghairay howe hwin Barish baras rhe hai Lagta hai kaisa sohaana Meethe Nabi ka Roza Hijer-o-Firaaq mein jo Ya Rab! yarap rahe hein Un ko dikha day Moula! Meethe Nabi ka Roza Haser da hazaar aalam ka husen is pe qurbaan Dono jahan ka dolha Meethe Nabi ka Roza Us aankh per na kyoun mein ATTAR jaoon qurbaan Jis aankh ne hai daikha Meethe Nabi ka Roza Jis waqt rooh tan say ATTAR ki juda hoo Ho samne Khudaya Meethe Nabi ka Roza اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool kiJannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki Chalta hoon mein be Qafelay walo ruko zara Milnay do bus mujhay be Ijazat Rasool ki Phochay Jo Din-o-Iman Nakerain Qabr mein Us waqt meray lab pay ho Midhat Rasool ki Tarpa kay Un kay Qadmo mein mujh ko Gira day Shok Jis waqt ho lahad mein Ziyarat Rasool ki Sarkar nay bula kay Madina dikha dia Ho ghi mujhay naseeb Safa"at Rasool ki Ya Rab dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habib Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki Damen mein un kay lay lo pannah Aaj munkiro(wahabiyoo) Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool ki To hai Ghulam Un ka Ubad-e-Raza teray Mahshar mein ho ghi saath Himayat Rasool ki Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya Hamein bheek mangne ko Tera aastaan banaya Tujhe hamd hai Khudaya Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya Tumhein Haqim banaya Tumhein Qasim Aataya Tumhein Shafe Aataya Tumhein Da'afe balaya Koi Tum sa kon aaya? Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya Wo kanwaari Pak Maryam wo Naf'ate fiya ka dam Hai azab Nishaan-e-Aazam magar Aamina ka Jaya Wohi sab se afzal aaya Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya Yahi bole sidraa wale chaman-e-Jahaan kay thaale Sabhi mein ne chan daale Teray pae ka naa paya Tujhe yaq ne Yaq banaya Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya "Fa Izaa Faraghta Fansab"(Quraanic Ayat) ye mila hai Tujh ko mansab Jo gada bana choke ab otho waqte bakhshis Aaya Karo qismat aataya Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya "Wa Ilaa Rabika Farghab",karo arz sab kay matlab keh Tuhein ko Takte hein sab karo un per Apna saya Bano Shafeye Khataya Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya Aare Ay Khuda kay bando koi meray dil ko dhondoo Meray paas tha abhi to abhi to abhi kya howa Khudaya Na koi gia na Aaya Hamein Ay Raza Teray dil ka pata chala ba mushkil Dar-e-Rozae muqabil wo hamein nazar tou aaya Ye na pocha kaisa paya Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 TOU SHAME RISALAAT HAI AALAM TERA PARWANA Tou Shame Risalat hai aalam Tera parwana Tou mahe Nowowat hai Ay Jalwae Janana Jo Saqeye Kousar k Chehre se Niqaab othe Her dil bane may khana her ankh ho paymana Sarshaar mujhe kar day ik dam jaame labab se Ta Hashrrhe Saaqe aabad may khana Her phool mein boo Teri Her shama mein zoo Teri Bulbul hai Tera Bulbul parwaana hai parwaana Peete hein Teray Dar ka Khate hein Teray Dar ka Paani hai Tera Paani dana hai Tera dana Sange Dar-e-Janaa per karta hon jabein saai Sajda na samaj najdi sar daita hoon nazraana Aabaad isay farmaa wiraan hai dil Noori(poet) Jalwe Teray bas jaein Aabad ho parwaana اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Kyunkar na merey dil main hu Ulfat Rasool ki. Jan’nat main leke jayegi Chahat Rasool Ki. Chalta houn mian bhi Qafilay walo ruko zara. Milnay do bus mujhe bhi ijazat Rasool ki. Poochain ju Din o Eman Nakeerain Qabr main. Us waqt merey lub pe hu Midhat Rasool ki. Tarpa ke unke qadmoun mian mujhko gira de shouq. Jis waqt hu Lahad main Ziyarat Rasool ki. Sarkar ne bula ke Madina dikha diya. Hogi mujhe naseeb Shafa’at Rasool Ki. Ya Rub dikha de aaj ki Shab Jalwa-e-Habib. Ik baar tu ata ho Ziyarat Rasool ki. In ankhoun ka warna koi masraf hi nahee hey. Sarkar tumhara Rukh-e-Zaiba nazar aaye. Ya Rub dikha de aajki Shab Jalwa-e-Habib. Ik baar tu ata hu Ziyarat Rasool ki. Tu hey ghulam unka Obaid-e-Raza terey. Mehshar main hogi saath Himayat Rasool Ki اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Allah ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Qalb Ko Us Ki Royet ki Hey Arzoo Jis ka Jalwa Hey Alam Hey Har Char Soo Balky Khud Nafs Mey Hey Wo Subhana Ho Arsh Par Hey Magar Arsh Par Hey Magar Arsh Ko Justajo Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Arsh O Farsh O Zaman O Dehaq Aey Khuda Jis Taraf Dekhta Hoon Hey Jalwa Tera Zary Zary Ki Ankhon Mey Tu He Ziya Qatry Qatry Ki Tu He Tu Hey Abroo Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Tu Kise jaan ki Aur Harja Hey Tu Tu Munaza Muqam Sey Mubala Rasool Ilmo Qudrat Sey Har Jaah He Tu Ku Ba Ku Tery Jalway Hein Har Har Jaga Aey Haku Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Naghma San Jany Gulshan Mey Charcha Tera Jab Chay Zikry Haq Key Hein Subho Masan Apni Apni Chahat Apni Apni Sada Sab Ka Matlab Hey Wahid Key Wahid Hey Tu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Ta Hera Mey Jina Mey Teri Guftagu Geet Tery He Gaty Hein Wo Khus Gloo Koi Kehta Hey Haq Koi Kehta Hey Hu Aur Sab Kehty Hein la Sharkala Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu jag Maga Uthy Dil Chera Ho Purziya Noorion Ki Tarhan Shabn Ho Zikar Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya Yeh kon sar se kafan lapetey chala hai ulfat ke raatey par Farishtey hairat se tak rahe hain yeh kon zi ehteram aaya Faza mein labbaik ki sadain za farsh ta aarsh goonjhti hain Har ek qurban ho raha hai zaban pe yeh kis ka naam aaya Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par Pohanchna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya Yeh kehna aaqa bohat se aashiq taraptey se choor aaya hoon mein Bulawe ke muntazir hai lekin na subah aaya na sham aaya Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho ke aai Woh jazba jis mein tarap thi sachi woh jazba aakhir ko kaam aaya Khuda tera hafiz-o-nigehban o rahe batha ke jaane wale Nabi de saad in bisat ban kar payam darood-o-salaam aaya Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Hanafi Muslima مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
marhaba مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 Report Share مراسلہ: 16 اکتوبر 2008 you are doing very goooooood work keep it on اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
toqeer مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2009 Ae Sabz Ghumbad Waalay Ae Sabz Ghum'bd Waalay Manzoor Dua Karna Jab Waqt e naz'a Aaye Deedaar Atta Karna Ae Noor e KHUDA aa kr Aankhoun main sma jaana ya Darr pe Bula laina, ya Khaab main aa jaana Ae Pardah Nasheen Dil kay, Pardoun main rha karna Jab Waqt e Naz'a aaye deedaar atta Karna Chehray say Ziyaa Payi sab Chaand Sitaaroun nai Is Darr say Shifaa paayi sab Dukh dard k maaroun nai Aata hai unhain saabir har Dukh ki Dawa karna jab Waqt e Naz'a Aaye Deedaar atta karna Mehboob e ILAAHI sa koi na Haseen daikha yeh Shaan hai Un ki k saaya bhi nhi daikha ALLAH nay saaye kau chaaha na juda Karna Jab Waqt e Naz'a Aaye deedaar atta Karna Main Qabr Andheri main Ghabraoun ga jab tanha Imdaad kau Mairi aa janaa Mairay Aaqa Rauhsan Mairi Turbat kau LILLAH zra karna Jab Waqt e Naz'a Aaye Deedaar atta Karna Mujrim houn jahaan Bhar ka Meh'shar main bharam rakhna Ruwaaye zamana houn Dauzakh say bacha laina Manzoor Dua mairi ae Habeeb e KHUDA karna jab waqt e Naz'a Aaye Deedaar Atta KArna *** ALLAH Humma Salli A'laa Sayyidinaa wa Maulanaa Muhamamdim Maadinil Joodi waL Karam wa A'laa Aalihi wa Sahbihi wa Barik wa Sallim... 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Janti Zever مراسلہ: 5 اپریل 2010 Report Share مراسلہ: 5 اپریل 2010 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔