Abdur Rehman مراسلہ: 30 اگست 2008 Report Share مراسلہ: 30 اگست 2008 aap bhi thoray say point per aa hi gai hain, iss main thora sa aur add ker lein "na murda hajat rawai ker sakta hai, na hum murda ko suna sakta, aur na hum murday say apni hajat poori kerwa saktatay hain" Hazrat aap pahlay Ahlesunnat waljamat kay Aqai'd kay baray mai thora sa parh lain phir debate karain tu bahtar hai. Makhlooq ka har kamal Khaliq ki ata aur hadis hai aur Khaliq ka har kamal zaati aur qadeem hai. baki raha yei kay murda na sun sakta hai na murda hajat poori kar sakta hai na ham karwa saktay hai tu baat itni hai kay jo hamaray buzargan e deen wafat pa jatay hai unhain Allah azzawajal ki bargah mai itni qurbat dunya mai bhee hasil thee aur dunya say chalay janay kay baad un kay muqam mai bulandi hoti hai tanazzali nahe aur hamara mazhab pal mai tola pal mai masha nahee ka intiqal say pahlay aain islam hogaya intiqal kay baad shirk jis ka zindagi mai waseela hasil karna jayaz hai usi tarah zindagi kay baad bhee jayaz hai kyu kay koi zinda Allah azzawajal ka sharik nahe ho jata. aap nay jo ahadees paish ki hain woh to aap hi k khilaaf hain. main nay ooper issi liya scan pages upload kiya hain aap un ko ghor say dekhain to sahi. chalo jee Ahadis kahti hai murda sunta hai sunta hai sunta hai balkay bolta bhee hai aur us kay bolnay ko deegar makhlookat sunti hain phir bhe aap farma rahay hai wo aap kay haq mai . subhanAllah azzawajal bhai phir parh lain ghour say arabi urdu english har zuban mai hawalay guzar gaiay. tashreeh ko underline kernay say tarjma badalta naheen sirf aap ki assani k liya hai k ghor to kero, underline kernay say agar tarjumay aur tashreehat agar badal jati hain to aap nay to apnay matlab ki tarjumay aur ahadees k mafhoom nikalay huway hain. ab tak bayshumar hawalay aap ko deay gaiay. ibarat kay tarjumay say sabit hai chahay tarjuma aap kar lain ya kisi molvi say karwa lain , ibarat say hi saibit hota hai kay foat shuda suntay hai is saaf saaf wazah dalail ko aap jis tarah apnay man manay maqsad pay fit karnay ki koshish kar rahay hai us pay tawajja dilai hai aap ki maslan aap ko Hadis sharif paish ke gaee kay mayyat ko jab lay chalain tu wo sunta aur bolta hai, tu aap nay us mai yei man-mani tojeeh kari kay 'jab charpai pay rakhain' tu tab he sunta hai yani charpai ki jaga kisi aur cheaz pay rakh dain tu chutti ho gaee ab wo sunay ga bhe nahe bolay ga bhee nahee ,, janab kuch tu Allah azzawajal ka khauf karain kyu Hadis pak mai apni marzi musallat karnay ki koshish mai lagay howay hai aap iss say to mainay inkaar naheen kiya main nay to kaha hai unkay sunanain k makhsoos mawaqay hain, jo k ahadees main majood hain. Nabi kareem AlaihiSlam nay farmaya jo mujh say jhoti baat mansoob karay wo apna thikana jahhan mai bana lay.. Allah azzawajal ham sab ko is say bachaiay aamin.. kisi hadis pay kahee hai kay kabhe sunta hai kabhe nahe sunta aur is time sunta hai is time nahe sunta to wo Ahadis paish karain. ham nay kisi khas moqay ko har waqt pay istadlal nahe kia magar aap tawajja nahee farmatay Ahadis sharifa mai hai kay murda sunta hai aur is mai waqt ki koi qaid nahe , waqt ki qaid aap ki ikhtira hai ... aur phir khud Hadis Sharif mai saaf saaf Allah azzawjaal kay Rasul nay Qasam utha kay farmaya kay Mausab in umair raziAllah anho aur rufaqa un kay Qayamat tak suntay hain Qayamat tak jawab daitay hai yei hadis bhee ooper guzri magar aap sarf e nazar farma gaiay.. AAP NAY JAWAB NAHIN DIYA K HAZARAT UMER raziAllah HAZARAT ABBAS SAY DUA KIUN KERWAI? UNHONN NAY NABI alaihiSlam KA WASEELA KIUN NA BANAYA? YAAD RAKHIYA YEH HADEES AAP LOGON KI QUOTE KI HUWI HAI AUR NABI saw.gif K ZAMANY K BAAD KI HAI? Hazrat Umar raziAllah anho jab namaz kay leay niklay tu Nabi pak alaihiSlam ka abaya sharif kyu pahna? aur phir Hazrat Abbas raziAllah anho ko dua kay lay kyu agay barhaya wo khud dua nahe kar saktay thay? kis isi leay nahee kia kay Wo Nabi pak alaihiSlam kay Muqarrab thay ? kia yei amal az khud sabit nahe kar raha kay Syedina Umar Faroq raziAllah anho nay Nabi pak AlaihiSlam ka waseela paish kia Allah azzawajal ki bargah mai aur Dua kay syedina Abbas ko aagay barhaya warna kaun nahee janta kay Syedina Umar Farooq raziAllah anho , Syedina Abubakr Siddiq raziAllah anho kay baaad afzal tareen sahabi hain aur un ka bayhad buland muqam hai Allah azzawajal ki bargah mai ; magar unhoo nay khud apnay aamal ko nahe balkay Nabi pak alaihiSlam ki zaat aap ki nisbat aap ki qarabat ka waseela he dhondha.. apnay to murday ko to apni marzi per chala diya, keh jab aap unko sunain gay to woh sun lega, kahin murday ko automatic to naheen ker liya aap nay Yei on and off sawal aap say tha kyu kay yei aap farma rahay hai kay sunta hai phir bahra ho jata hai ; on and off aap nay nikala hai mai nay nahee. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Haqeeqqt مراسلہ: 1 ستمبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 1 ستمبر 2008 (ترمیم شدہ) Kya sirf Amaal Waseela hain ?? Huzur ki Zaat sab se behtar Waseela hai.....Paidaish se Qabl or Zahiri Wafat ke baad bhi !!! </FONT> Aap baad zamany ki baat karty ho yahan to huzur ki paidish se qabl ke saboot mojood hain huzur ke waseely ke........ ----------------------------------------------- 1- Hadees "Hazarat Umer ki Hazarat Abbass say dua" k mutaliq guzarishat 1. Mohtaram main nay sawal yeh kia hai k 'Hazarat Umer nay Hazarat Abbass k zariya say dua kerwai, Hazarat Muhammad ko waseel naheen banaya KIUN? aap is ka jawab dain tu Wiladay say pehlay wali hadees khud sabit ho gay gi aur apnay khud uskay zauaf k baray main apni post main likha huwa hai. ap meray sawal ka jawab dain main aap ki wildadat say pehlay wali hadees ki tehqeeq kerta hon iss per phir behas ho gi ??????? aik khas baat aur jo Hazarat Umar wali hadees main hai k Hazarat Umer nay Hazarat Abbass ko bulwaya k aap dua kerain, Jis Waseela ki aap baat kertay hain ya woh waseela jaiz hota to Hazarat Umer ghar bhaithay hi Hazarat Abbass ko waseel banatay? 2- Hadees "Mayat ko Charpai per rkhatay Waqt" k Mutaliq Guzarishaat Main aap logon say pehlay bhi yehi request ker chuka hoon aap is khas waqt ki hadees ko aik aam waqt pay kiun Istedlal ker rahain, yeh hadees qatai deleel nahen hai k murda her waqt BOLTA hai agar aisa hota to hadees main "Mayat ko Charpai per Rakhtay Waq" k alfaz na hotay. Hadees "Mayat ko Dafna ker logon k lotnay per qadmon ki Awaz" k Mutaliq Guzarishaat Yeh bhi aik Khas Waqt ki hadees hai jab murday ko dafnay jata hai aur log wapis lotay hai to woh qadmo ki awaz sunta hai, Agar Jab log lotay hain to kiun sunta hai jab us ko dafnanay k liya lay ker ja rahay hotay hain to us waqt kiun naheen sunta 4- Ahadees "Badr k murday" k Mutaliq Guzarishaat In Ahadees k Mutaliq main nay Bukhari k Tamam pages uploade kiya hain doobara ker raha hoon is bar miss na kerna highlighted bhi hain, woh ahadees khud bata rahi hain k woh aap logon ki hi mukhlif hain Page 335 "Hazarat Qatada kia keh rahay hain yeh bhi perhain. QUESTIONS 1- Allah (SWT) nay Jab nabi ko kaha k aap kuffar ko naheen suna saktay to Murdon ki daleel kiun di, aur Jab Allah nay Nabi(saw) ko kaha k Zinda aur Murday brabar naheen, phir farmaya Allah Jis ko chahay suna day aur Nabi aap naheen suna saktay, 2- Hazarat Umer nay Hazarat Abbass say dua kerwai, Hazarat Muhammad ko waseela na banaya KIUN? (hawalay pehli wali posts main majood hain) 3- Hazarat Umer Hazarat Abbass ko Eidgah lay gay wahan ga ker dua kerwai, Ghar bhaith ker Hazarat Abbas ka waseela kiun nay banaya aur baqi sahab ko bhi is ka hukam na diya KIUN? 4- Hazarat Umer nay Jab Badr k Waqay ko dohraya to Hazarat Aaisha nay unki taseeh (darustagi) kiun ki aur phir (Murdon k na sunanay wali ayat kiun pari)? 5- Jo Ahadees Murdon k sunanay ya bolnay wali hain unka ahadees main makhsoos waqt bayan kiya gaya hai, ap nay us k aam waqt per kiun istedlal kiya hai? 6- Agar muday suntay hain aur boltay hain to kissi hadees main unki hajat rawai k baray main kiun naheen aya, aur quran nay is bidaat aur shirk ko kiun rad kiya hai? Regards Edited 14 فروری 2009 by Ya Mohammadah Images Rescaled اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Haqeeqqt مراسلہ: 1 ستمبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 1 ستمبر 2008 Tanwîr al-Miqbâs min Tafsîr Ibn ‘Abbâs { إِنَّكَ لاَ تُسْمِعُ ٱلْمَوْتَىٰ وَلاَ تُسْمِعُ ٱلصُّمَّ ٱلدُّعَآءَ إِذَا وَلَّوْاْ مُدْبِرِينَ } (you can not) O Muhammad (make the dead) of hearts; and it is said: those who are like the dead, (to hear, nor can you make the deaf) those whose hearts are dead; it is also said that this means: those who pretend to be deaf (to hear the call) your call to the Truth and guidance (when they have turned) turn away (to flee) from the Truth and guidance Mohtaram agar dil murda ho to naheen suna saktay, lakin pooray ka poora murda ho to suna saktay hain? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
AhleSunnat مراسلہ: 1 ستمبر 2008 Report Share مراسلہ: 1 ستمبر 2008 Mohtaram agar dil murda ho to naheen suna saktay, lakin pooray ka poora murda ho to suna saktay hain? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Haqeeqqt مراسلہ: 10 ستمبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 10 ستمبر 2008 Janab "Y A Mohammadah" mujeh iss ayat per aap apna jawab day dain. yeh surah Fatir ki 22 ayat hai iss say pehlay wali bhi aur baad wali ayaat bhi sath dekha raha hon. Q1. Jab Allah nay Nabi ko kaha k Zinda aur Murday brabar naheen, phir farmaya Allah Jis ko chahay suna day aur Nabi aap naheen suna saktay?? Q2. Iss ayat main allah (swt) nay saaf lafzon main kiun kaha k "Jo Qabron main hain unko aap naheen suna saktay"?? Regards اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdur Rehman مراسلہ: 10 ستمبر 2008 Report Share مراسلہ: 10 ستمبر 2008 Janab "Y A Mohammadah" mujeh iss ayat per aap apna jawab day dain.yeh surah Fatir ki 22 ayat hai iss say pehlay wali bhi aur baad wali ayaat bhi sath dekha raha hon. Q1. Jab Allah nay Nabi ko kaha k Zinda aur Murday brabar naheen, phir farmaya Allah Jis ko chahay suna day aur Nabi aap naheen suna saktay?? Q2. Iss ayat main allah (swt) nay saaf lafzon main kiun kaha k "Jo Qabron main hain unko aap naheen suna saktay"?? Regards Janab Haqeeqqt sahab Aap nay jo sawal pocha hai us ka jawab az khud aap ki paish karda aayat mai wazah maujood hai aap zara baghour mulahaza farmaaiy bahar hal apka jawab ap ko mil jaiay ga inshaAllah first of all: Allah azzwajal nay Nabi pak AlaihisSlam say farmaya kay Zinda aur Murda barabar nahee aur Allah azzwajal jisay chahay suna day tu pahlay aap is sawal ka jawab enayat karain kay Allah azzwajal nay jo farmaya Allah azzawjal jisay chahay suna day aur us say pahlay farmaya kay Zinda aur Murda barabar nahee tu in dono aayat mai yei kyu farmaya gaya? aur phir Agli aayat mai yei farma kay k Aap un loago ko nahe suna saktay jo Qabro mai hai , yei kyu farmaya gaya kay Aap tu Sirf Daranay Walay hain ? aur yei bhee bata deaijay kay Allah jab kisi ko sunata hai tu kaisay sunata hai ? kis ki aawaz mai sunata hai ? Aur Sora al najam ki aayat 3-5 bar bar baghour parhain aur phir jawab dain kay Nabi pak AlaihiSlam kay baray mai Wama Yantiqu Anil Hawa ki jo gawahi Quran e kareem mai Allah azzwajal nay dee us ka kia matlab hai? In howa illa Wahyun Yoha ka kia Matlab hai ? Allamahu Shadidul Qu'wa say kia murad lai gain aap? Intihai soch samgh kay jawab deijay ga. wasslam o ala man'it'tabail huda. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Haqeeqqt مراسلہ: 10 ستمبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 10 ستمبر 2008 Mohtaram Saif ul Islam Aap nay jo sawal pocha hai us ka jawab az khud aap ki paish karda aayat mai wazah maujood hai aap zara baghour mulahaza farmaaiy bahar hal apka jawab ap ko mil jaiay ga inshaAllah first of all:wasslam o ala man it'tabail huda. aap meri baat ka jawab day dein inshallah main aap k sawal ka zaroor jawab don ga?? aur aik baat yeh bhi yaad rakhain yeh koi aik ayat naheen, Allah nay kai baar is ko radd kiya hai aur yeh farmaya hai k murday ko to shaoor hi naheen, aur yeh meri batain naheen hain yeh us zaat-e-Aala ki baat hai jis nay apni kibriyai bayan kernay k liya her zariya ko khud radd kiya aur aamal-e-saliha k hukam diya. Surah Nahal Ayaat 20-21 Chapter 16 Regards اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdur Rehman مراسلہ: 10 ستمبر 2008 Report Share مراسلہ: 10 ستمبر 2008 Mohtaram Saif ul Islamaap meri baat ka jawab day dein inshallah main aap k sawal ka zaroor jawab don ga?? aur aik baat yeh bhi yaad rakhain yeh koi aik ayat naheen, Allah nay kai baar is ko radd kiya hai aur yeh farmaya hai k murday ko to shaoor hi naheen, aur yeh meri batain naheen hain yeh us zaat-e-Aala ki baat hai jis nay apni kibriyai bayan kernay k liya her zariya ko khud radd kiya aur aamal-e-saliha k hukam diya. Surah Nahal Ayaat 20-21 Chapter 16 Regards aap kay jawabat mairi last post mai maujood hain baghour parhain aap say darkhwast kee the aur usi ziman mai Aap say sawalat karay thay aap un ka jawab dain wazahat say aur to the point. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ya Mohammadah مراسلہ: 10 ستمبر 2008 Report Share مراسلہ: 10 ستمبر 2008 Janab "Y A Mohammadah" mujeh iss ayat per aap apna jawab day dain.yeh surah Fatir ki 22 ayat hai iss say pehlay wali bhi aur baad wali ayaat bhi sath dekha raha hon. Q1. Jab Allah nay Nabi ko kaha k Zinda aur Murday brabar naheen, phir farmaya Allah Jis ko chahay suna day aur Nabi aap naheen suna saktay?? Q2. Iss ayat main allah (swt) nay saaf lafzon main kiun kaha k "Jo Qabron main hain unko aap naheen suna saktay"?? Regards ge ge Huzur aapka hukm sir ankhon par mene to jawab 2 pages pehly hi aapko isaal kar diya tha shayad aap khilono se khelny me masroof hongy...ye lijye iska jawab... aap yahan is ayat mein Quran ki mansha Murdo se kya hai bata dein (i hope ki aap ko kehna hi hoga ki "murda se kya matlab hota hai murda matlab murda, kabr wala or kya ...?" hai na ? ) to phir insha Allah hum bhi kuch himmat karky aap ko bata saky..... [/color] اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ya Mohammadah مراسلہ: 14 اکتوبر 2008 Report Share مراسلہ: 14 اکتوبر 2008 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ya Mohammadah مراسلہ: 14 فروری 2009 Report Share مراسلہ: 14 فروری 2009 Murdy_Jawab_dete_hain_salam_ka.mp3 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ya Mohammadah مراسلہ: 14 فروری 2009 Report Share مراسلہ: 14 فروری 2009 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ya Mohammadah مراسلہ: 14 فروری 2009 Report Share مراسلہ: 14 فروری 2009 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ya Mohammadah مراسلہ: 14 فروری 2009 Report Share مراسلہ: 14 فروری 2009 Kya_Murdy_Nahin_Sunty___Muzaffar_Husain_Shah_Sahab.mp3 Murda_Dil_Nahin_sunty.rm اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ya Mohammadah مراسلہ: 14 فروری 2009 Report Share مراسلہ: 14 فروری 2009 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ya Mohammadah مراسلہ: 9 مارچ 2009 Report Share مراسلہ: 9 مارچ 2009 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Haqeeqqt مراسلہ: 30 مارچ 2009 Author Report Share مراسلہ: 30 مارچ 2009 Jo Jo meri post tum nay pehlay delete ki woh bhi aur jo meri ghair majodagi main ki hain woh bhi Yani Sabit huwa k tum waqiya hi maher-e-tehreef ho اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ya Mohammadah مراسلہ: 30 مارچ 2009 Report Share مراسلہ: 30 مارچ 2009 Jo Jo meri post tum nay pehlay delete ki woh bhi aur jo meri ghair majodagi main ki hain woh bhi Yani Sabit huwa k tum waqiya hi maher-e-tehreef ho Humara Aqeedah sama e moutas tumhary akabir se sabit...in beshumar dalail ka radd karo..be sir pair ki post (irrelevant to topic and orto ki tarah kosna waghera) ko delete kar diya jata hai...khamba na nocho..or dalail ka one by one ya to radd karo ya un par fatwa lagao...ya touba karky ruju karo..whatever u like.... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Haqeeqqt مراسلہ: 1 اپریل 2009 Author Report Share مراسلہ: 1 اپریل 2009 Humara Aqeedah sama e moutas tumhary akabir se sabit...in beshumar dalail ka radd karo..be sir pair ki post (irrelevant to topic and orto ki tarah kosna waghera) ko delete kar diya jata hai...khamba na nocho..or dalail ka one by one ya to radd karo ya un par fatwa lagao...ya touba karky ruju karo..whatever u like.... tumain tehreef kertay raho apnay AKABIR ki tarah jo k Yahoodion ka kaam hai aur tumhain us per ghumand hai, Tum yeh batao tum nay buhat sari posts delete kiun ki. 'YAHOODION' ki tarah tehreef kerna hi tumhara manhaj hai. Humara Aqeedah sama e moutas tumhary akabir se sabit...in beshumar dalail ka radd karo..be sir pair ki post (irrelevant to topic and orto ki tarah kosna waghera) ko delete kar diya jata hai...khamba na nocho..or dalail ka one by one ya to radd karo ya un par fatwa lagao...ya touba karky ruju karo..whatever u like.... Pehlay tum apni Tehreef manoo aur phir agay bhi chaltay hain. Inshallah hum dalail say hi baat kertay hain aur tum Tehreef ker k. Saari posta online kero phir dekho k kiss nay Quran aur Ahadees say zayada jawabat diya hain aur kiss nay Zaeef aur Mazu Ahadees ka sahara liya hai? Tumhari Tehreef ka aik Saboot Qaraeen k liya aik misaal deta hoon jaisay Mr. "Maher-e-Tehreef " nay Abu AlHassan Mubashar Ahmed Rabbani ki kitab 'Kalma Gau Mushrik' ka hawal diya aur apni post main kaha k in k Akabir nay accept kia hai Jab k Haqeeqat main Mubashar Ahmed Rabbani nay Imam Sufiyan Sauri (R A) k Fatwa ka zikar kiya hai. Aur shaid Maher-e-Tehreef nay yeh post bhi delete ker di hai. Rahi Baat Imam Tayimia ki to un ka aqeeda kia hai woh bhi dekh lo: Regards اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔