Jump to content

Ahtelaam ke baad Ghusl karein ya sirf wuzu?


Bismillah

تجویز کردہ جواب

(bis)

[

Salaam2.gif

 

ek shaks ke aksar raat ko burey khial ki wajah se mani ke qatrey beh jatey hain aur kabhi to bohat zayada beh jatey hain, (shaed is amal ko ahtalam kehte hain) aissi sourat mein sirf us jaga ko aur jahan jahan pe qatrey lage hon us jaga ko pak kar k wuzu kiya jaey to namaz pard saktey hain

Link to comment
Share on other sites

ghusal namaz ki shart nahi hai merey khial se, namaz ki to shart hai k, jism aur kapdey dono paak honey chahiey, agar koi napaki lagi ho kapdon par ya jism par to usey pani ke zariey paak bhi kar saktey hain bina ghusal kiey.

 

(wasalam)

 

janab naapkai se nijaat ke liye ghusl karna farz hai tabhi tahart hasil hogi...aap kehty hain ki sirf utna hissa dho lene se kaam chal jayega...to phir aap ye sochy ki shariyat me ghusl kis shay ka naam hai? kya garmi ke mosam mein paseeny se nijat ke liye bathroom me nahany ko ghusl kehty hain aap? jab napaki me bandy ghusl ki hajat nahin to phir kab hogi?

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

Ji Asif bhai ne sahi kaha jab iss amal per banda ghusal nahi karai ga tu phir ghusal ki hajat kab ho gi.

aur aghar app ka jism napaak hai aur ghusal farz ho chuka hai tu app beshak 10 bar wozzo karain app paak nahi hon gai kyon ki paaki ke liye app ko ghusal karna hai ghusal ke faraiz ke sath.

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

(salam)

Mera masla bilkul aissa hai jaissa k is link k andher bean kiya gaya hai,

This link is only for man's,

http://i36.tinypic.com/2nakadx.gif

 

 

maine ek hadees mein para tha ke agar koi janabat ke baad foran wuzu kar le to wo jahanam ki aag se bach jaey ga ya phir wo jahanam ki aag nahi dekhey ga, (jis tara mujhe yaad hai). ab sawal peda hota hai k wuzu kyon? gusul kyon nahi, to merey khial se wuzu se insaan paak ho jata hai.

han wo baat apki sahi hai k ghusul se sara jism dhul jata hai, lekin mera sawal is mani ke barey mein hai jaissa k is link k andher batai gai hai.

mane to zayada kitabein nahi parien, agar aap mein se koi hadees bata de to masla jaldi hal ho jaey ga, lazmi nahi ke aap koi aissi hi hadees dhondey jis se mein galith sabit ho jaon, agar aap ko koi aissi hadees mil jati hai ya koi fatawa, jis mein bataya gya ho k wuzu se kam chal jata hai, beshak sawab kam hi kyon na ho. to kam az kam tasali to ho jaey gi, k pardi hui tamam qaza aur farz namazein ada ho gai hain.

ab to wo shaks latka hua hai. ek taraf aap kehte hain ke ghusul k bina jism paaki hi nahi hota, us taraf us ki phele se hi hazaron ke hisaab se qaza namazein rehti hai aur kuch pard bhi lee hain. issi tarah us ne kai maheeney phele namaz parni shuru ki thi aur am tor pe wohi azaan bhi deta hai.

wo aj tak yahi samjata raha hai k wuzu se jism paak ho jata hai.

han agar qatron ka masla agar week mein 1 bar hota to wo naha laita magar har dooserey din baad yahi masla to usey to har roz nahana parey ga.

ab to wo jab namaz parney k liey jata hai to chehra latka beth jata hai, uper se azaan bhi deta hai, agar aap sahi hain to us par to sab logon ka gunnah a gaya na, kyon k azaan wo deta hai aur azaan k bina to shaed namaz nahi hoti.

uper se uska aur masla hai jo abhi tak wo bhi hal nahi hua, ke koi hanfi kissi malilki ke peechey namaz pard sakta hai ke nahi? aissey aur bhi us k masail hain.

 

aissi halat mein uski maut hogai to shaed wo azab-e-qabar mein mubtalah ho jaey. kyon k pata nahi k pardi hui namazein hui hain ya nahi uper se qazaa namazein jo rehti hain.

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

pyaray islami bhai 

 

aap shayad mas,alay ko sahi samajh nahi pay ya samjha nahi pay ,aap se arz hay k aap Ameer e ahl e Sunnat maddazilluhoo ki tehreer k ye pgs mutalaa farmalijiye ap ko uljhan door johaye gi

 

(ia)

 

post-1061-1223623717.gif

 

post-1061-1223623728.gif

 

wassalam o alaikum warahmatullah

Edited by Faraz Madani
Link to comment
Share on other sites

(bis)

[

Salaam2.gif

 

ek shaks ke aksar raat ko burey khial ki wajah se mani ke qatrey beh jatey hain aur kabhi to bohat zayada beh jatey hain, (shaed is amal ko ahtalam kehte hain) aissi sourat mein sirf us jaga ko aur jahan jahan pe qatrey lage hon us jaga ko pak kar k wuzu kiya jaey to namaz pard saktey hain

 

 

[/qu

 

ihtilam k bad Ghusal karna farz hai ghusal kar k hi namaz parni ho gi jazak Allah

Link to comment
Share on other sites

chalein theek hai, jaissa aap kehtey hain,

bataiey ke jo us ne aj tak farz aur qaza namazein ada ki, un ka kya? pehle to wo yahi samjata tha k wuzu se kam chal jata hai lekin taqreeban 1 week se usey pata chala k wuzu ki jaga par ghusul karna hoga. ab usey yaqeen nahi tha poora k aap sahi hai ya wo aur woh aissey hi qaza namazein parta raha aur farz bhi. to bataiey ke un saru namazon ka kya?

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

Bhai mein kuch pochna cahta hon ke app ko sootay mein hee ehtlam hota hai na ya phir jaisy app ne peeshab kiya tu uss ke sath kuch qatray nikal jatay hain ? aghar peshab ke sath nikalty hain tu woh mani nahi hoti uss ko kuch aur kaha jata hai aur uss say sirf wozzo toot jata hai ghusal farz nahi hota per aghar sootay mein hota hai tu phir ghusal farz hoo gaya.

Link to comment
Share on other sites

Bhai mein kuch pochna cahta hon ke app ko sootay mein hee ehtlam hota hai na ya phir jaisy app ne peeshab kiya tu uss ke sath kuch qatray nikal jatay hain ? aghar peshab ke sath nikalty hain tu woh mani nahi hoti uss ko kuch aur kaha jata hai aur uss say sirf wozzo toot jata hai ghusal farz nahi hota per aghar sootay mein hota hai tu phir ghusal farz hoo gaya.

 

 

bhai zaid ka masla aissa hi hai jaissa k is link mein dooserey shaks ka hai.

http://i36.tinypic.com/2nakadx.gif

 

zaid ko ahtelaam nahi hota agar hota bhi hai to kai maheeno baad. agar ahtelaam ho jaey to wo ghusal kar laita hai, yeh masla nahi hai.

 

agar wo janabat se farigh hota hai to bhi wo ghusal kar laita hai, yeh bhi masla nahi

 

zaid khud-lazti ke liey burey khialat ko tasawur karta hai jiss ki wajah se us ki mani ke patley qatrey beh jatey hain, yeh masla hai. yani k lutf ke chand qatrey nikal atey hain.

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

  • 5 years later...

main bara hairaan hoon yahan har aik mufti ban kar fatwa/faisla day daita hay. maslan wo sahib jo apna introduction as MISMILLAH karatay hain.  apnay aap he faisla kay mairay khial main ghusal zaroori naheen.  madni channel par rozana kehtay hain k ilam na seekhna bhee gunah hay. ya ko e jawaz naheen k mujhey pata naheen tha. is foroumn ko hazaroon log prhtay hain. agar kisi k wrong faisala say ko e gunahgaar ho gia to us par bhee gunah aata rahay ga.

 

is liee ay bari ehtiaat say jawaab dain. aur is pehlay local alam e deen ya masjid k khateeb say maalumaat lay kar foroumn par jawab dain.

 

mairay khial main aisa hota hay,waisa hota hay.  maira khia ko e maira khial naheen hota.  khial wo hay jo sharah nay sikhyaa ho.

Link to comment
Share on other sites

Shahzad sahb. kis ne apne khial se koi masla bayan kya hay? User ka naam batain post number batain.

 

Bismillah user ne apne suwalat post kye hain. baqi jawabat men tu mujhe kisi ka khayal nazer nhi aaya. or na hi koi ghalat masla bayan hota nazr aaya hay.

 

ager apko kahen pr ghalat masla bayan hota nazr aye tu khali ataraz ki bajaye, us post ki nishandehi kya keren ya report keren. take intizamya usko thek kr sake. aise hi agr ataraz keren ge tu pata kese chale ga ke masla kahan hay.

 

or her kisi ka ulema se rabta nhi hota. khusosan aj ke modern nojwan ka.. nez log sharam kerte hain direct pochte howe. tu agr yahan pr sunni members ulema e ahlesunnat ke hawalon se sahi masla bayan kren tu koi muzaiqa tu nhi.. bat wohi hay ke ghalti ho tu ghalti batain. khuwamkhuwa ataraz na keren.

Link to comment
Share on other sites

post 3 dated 9th october,2008.   jahan likha hay k maira khial hay k aisa naheen hay.  aap mairi baat naheen samjhay main ya kehna cahta hoon jab ko e bhee baat karay authentic karay.  shouqia sirf is foroumn par naam show karnay k liee ko e masla na biaan karain.  har bhaee par aitraaz naheen.  jo sahee baat bataay ALLAH TAALA us ka bhala karay.ameen

Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...

Bismillahirrahmanirraheem

 

 

 

NAAPAAKI KE HUQM AUR PAAKI KAISE HAASIL KAREN

 

 

 

Aise ghusl ki haalat ko haalat "janaabat" kahte hain, in 4 haalaaton me musalman mard aus aurat par ghusl karna farz hota hai:

 

1-josh ke saath mani(semen) nikalne ke baad( usme wet dream bhi shaamil hai)

 

2- jama() ke baad

 

3- menstuaration period ke baad

 

4- nifaas (bacche ki paidaish) ke baad"

 

 

Note: nifaas wah khoon hai jo bacche ki paidaish par jaari hota hai

 

 

HUMBISTARI AUR GHUSL E JANABAT

 

 

Sahaba kiram ra ke beech ghusl janabat ka ek masla bahas me aaya, ek giroh kahta tha ki ghusl sirf jama() par farz ho jaata hai, mani ka nikalna shart nahi

 

dusra giroh bayan karta tha ki ghusl ke liye dakhool ke saath mani ka nikalna bhi shart hai,

 

yah lambi bahes kisi khaas nateeje par khatm na hui

 

aakhir taiy paaya gaya ki ummul momineen hz aisha ra se malum kiya jaaye

 

hz aisha ra ne kaha ki rasoollullah sallalaho alaihi Wasallam(pbuh) ne farmaya:-" jab mard, aurat ki 4 shaakhon ke beech baith jaaye aur uske satar(private part) ka agla hissa aurat ki sharmgaah se chhoo jaaye ( yani mard ka satar aurat ki sharmgaah ke andar daakhil ho jaaye) to ghusl waajib ho jaata hai"

 

(sahih muslim 349)

 

 

to masla yah saabit huwa ki sirf dakhool par hi mard aur aurat jumbi ho jaate hai aur unpar ghusl waajib ho jaata hai, mani ka nikalna shart nahi hai

 

 

rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne farmaya:-" jab tum aurat ki 4 shaakhon ke beech baithkar jama karo to tum par ghusl waajib ho gaya, jabki mani na nikle"

 

(bukhari 291, muslim 348)

 

 

WET DREAM KA MASLA:

 

 

 

ummul momineen hz salma ra riwayat karti hain ki hz umme saleen ra ne rasoollullah sallallaho alaihi wasallam(pbuh) se kaha:-" aiy allah ke rasool! Beshak hi allah haq se nahi sharmaata (main bhi aapse masla poochti hun) kya aurat par ghusl par jabki usko (wet dream) Ho ? Aapne farmaya:- haan, lekin jab paani(mani ka nishaan) dekhe", is par hz umme salma ra ne (sharm se) muh chhupa liya aur arz kiya, aiy allah ke rasool ! Kya aurat ko bhi (wet dream) hota hai?? Aapne farmaya:-" haan (hota hai) tera daahina haath khaak aalood ho"

 

(bukhari,ghusl 282, sahih muslim ,haiz 313,)

 

 

note: aakhiri alfaaz, bad'dua nahi, sirf ek muhaawra(idioms) hai, iska matlab khabardaar karna hota hai

 

 

malum huwa ki aurat ya mard neend se uthkar agar geelapan yaani nishaan dekhen to( yah wet dream ki alaamat hai) unpar ghusl karna farz ho jaata hai aur agar wet dream ki kaifiyat unhe yaad ho lekin nishaan na paaye to ghusl farz nahi hoga, aisi soorat me shaq karne ki zarurat nahi hai

 

 

 

MENSTRUAL PERIOD (HAIZ) KE KHOON SE BHEEGA KAPDA:

 

 

hz asma binte abu bakr ra riwayat karti hai ki ek aurat ne rasoollullah(sws) ne poocha jis kapde ko haiz ka khoon lag jaaye to kya kare?? Aapne farmaya: -" use chutkiyon se malkar paani se dho daalana chahiye aur phir usme namaz ada kar li jaaye

 

 

MANI KA DHONA:

 

 

"Hz aisha ra farmati hai ki main aap(sws) ke kapde se mani ko dho daalti thi aur aap us kapde me namaz padhne tashrif le jaate they aur dhone ka nishaan kapde par hota tha"

 

 

(Bukhari 229,232, muslim 289

 

 

DHOODH PEETE BACCHE KA PESHAAB:

 

 

Hz umme qais ra apne chhote(dhoodh peete) bacche ko jo khana nahi khaata tha, aap(sws) ke paas layin aur aapne use apni god(lap) me bitha liya, bacche ne aapke kapde par peshaab kar diya to aapne paani mangwa kar kapde par chhinte maare aur use dhoya nahi"

 

(bukhari 223, muslim 287)

 

hz lubaba binte haarish ra riwayat karti hain ki hussain bin ali ra ne aap(sws) ki god me peshaab kar diya (jo abhi dhoodh peete hi they) maine arz kiya:-" koi aur kapda pahan len aur tahband mujhe de den taaki use dho dun, to aapne farmaya, larki ka peshaab dhoya jaata hai aur Ladke ke peshaab par chhinte maare jaate hain"

 

 

(abu dawood 375, ibne majah 522, ise ibne khuzaima (282), haakim (1/116), aur zahbi ne sahih kaha hai)

Link to comment
Share on other sites

  • 4 months later...
  • 4 years later...

 اِحْتِلام یعنی سوتے سے اٹھا اور بدن یا کپڑے پر تری پائی اور اس تری کے مَنی یا مَذی ہونے کا یقین یا احتمال ہو تو غُسل واجب ہے اگرچہ خواب یاد نہ ہو اور اگریقین ہے کہ یہ نہ مَنی ہے نہ مذی بلکہ پسینہ یا پیشاب یا وَدی یا کچھ اورہے تو اگرچہ اِحْتِلام یاد ہو اور لذّتِ اِنزال خیال میں   ہو غُسل واجب نہیں   اور اگر مَنی نہ ہونے پر یقین کرتا ہے اور مذی کا شک ہے تو اگر خواب میں   اِحْتِلام ہونا یاد نہیں   تو غُسل نہیں  ورنہ ہے

بہار شریعت جلد 2 صفحہ 324

اگر اِحْتِلام یاد ہے مگر اس کا کوئی اثر کپڑے وغیرہ پر نہیں   غُسل واجب نہیں

بہار شریعت جلد 2 صحفہ 324

Link to comment
Share on other sites

7 minutes ago, محمد حسن عطاری said:

 اِحْتِلام یعنی سوتے سے اٹھا اور بدن یا کپڑے پر تری پائی اور اس تری کے مَنی یا مَذی ہونے کا یقین یا احتمال ہو تو غُسل واجب ہے اگرچہ خواب یاد نہ ہو اور اگریقین ہے کہ یہ نہ مَنی ہے نہ مذی بلکہ پسینہ یا پیشاب یا وَدی یا کچھ اورہے تو اگرچہ اِحْتِلام یاد ہو اور لذّتِ اِنزال خیال میں   ہو غُسل واجب نہیں   اور اگر مَنی نہ ہونے پر یقین کرتا ہے اور مذی کا شک ہے تو اگر خواب میں   اِحْتِلام ہونا یاد نہیں   تو غُسل نہیں  ورنہ ہے

بہار شریعت جلد 2 صفحہ 324

اگر اِحْتِلام یاد ہے مگر اس کا کوئی اثر کپڑے وغیرہ پر نہیں   غُسل واجب نہیں

بہار شریعت جلد 2 صحفہ 324

کتاب کا صحفہ نمبر 321 

اور ایپ کا صحفہ 324 ہے

Link to comment
Share on other sites

11 hours ago, محمد حسن عطاری said:

 اِحْتِلام یعنی سوتے سے اٹھا اور بدن یا کپڑے پر تری پائی اور اس تری کے مَنی یا مَذی ہونے کا یقین یا احتمال ہو تو غُسل واجب ہے اگرچہ خواب یاد نہ ہو اور اگریقین ہے کہ یہ نہ مَنی ہے نہ مذی بلکہ پسینہ یا پیشاب یا وَدی یا کچھ اورہے تو اگرچہ اِحْتِلام یاد ہو اور لذّتِ اِنزال خیال میں   ہو غُسل واجب نہیں   اور اگر مَنی نہ ہونے پر یقین کرتا ہے اور مذی کا شک ہے تو اگر خواب میں   اِحْتِلام ہونا یاد نہیں   تو غُسل نہیں  ورنہ ہے

بہار شریعت جلد 2 صفحہ 324

اگر اِحْتِلام یاد ہے مگر اس کا کوئی اثر کپڑے وغیرہ پر نہیں   غُسل واجب نہیں

بہار شریعت جلد 2 صحفہ 324

Na ahtelaam yaad hai na lazzate inzaal khayal mei hai sirf subah tari ka ek daane ya usse thora sa zyada nishaan dikha jo ki paseene ka to nahi lekin ab isme shak hai ki ye mani hai ya mazi hai ya wadi to ab is surat me kya kiya jayee??

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...