Bismillah مراسلہ: 30 جنوری 2010 Report Share مراسلہ: 30 جنوری 2010 (ترمیم شدہ) aap meri post number 24 ko dobara parein mainey us main kuch baad mein add kiya tha shaed wo aap nay nahi para. shukya! Edited 30 جنوری 2010 by Bismillah اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 30 جنوری 2010 Report Share مراسلہ: 30 جنوری 2010 bhai main nay poora masla aapkay saamnay byan kr dea aor yehi mera kaaam tha aagay hidayat dena Allah ka kaam aor manna na manna aapka kaam aap khud mukhtar hain apnay fel main Aagay ager koi suwal hua to Insha Allah zroor jwab denay ki koshish kroon ga ager dobara aapnay whi purani batain duhrain to jab aapnay MAIN NAHI MAANTA ki rat lga rakhi hay to main is silsilay main Allah se dua k elawa aor kia kr skta hoon? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 30 جنوری 2010 Report Share مراسلہ: 30 جنوری 2010 Lijiay aik aor fatwa isi babat milgya اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Bismillah مراسلہ: 30 جنوری 2010 Report Share مراسلہ: 30 جنوری 2010 mainay kab kaha keh main nahi manta? main manta hoon iss fatway ko mujhey bhi dawat-e-islami say aissa hi ek fatwa mila tha. main to manta hoon iss fatway ko. hazrat main RIAYAT nikalnay ki baat kar raha hoon aapnay jo kuch likha us ko wrong nahi keh raha, uper mainay alcohol ki misal di na, RIAYAT nikal ai keh nahi? aap mujhey khud jawab mein likh kar bataiey keh riayat nikli keh nahi? aapnay kaha aajbhi Alhamdulillah sunni whan ja rk apni nmaz elahida pahtay hain.... to kya kaabay ka imam sunni nahi hai? appkay khial say. meri maloomat kay mutabiq kabay ka imam ek hi hai ajj. daleel to nahi hai lekin sunanay main aya hai. agar pehlay 4 imam hua kartay thay kaabay kay to ab kya hua? imam-e-azam razi allah tallah unhou say lekar najdio ki hakoomat tak kya hamesha 4 hi imam hotay thay? yani keh charon aima karaam ka silsila mukamal hua. aapkay iss fatway main likha hai khoon kay baray mein, to jab tak khoon nahi nikalta tab tak unkay peechay namaz pard saktay hain? halaat ko bhi to dekhain na jaissay halaat hotay hain waissay muamlaat bhi to hotay hain. umper mainay iss ki bhi misal di lekin agar aap kehtay hain keh aapnay post 24 pari hai to yaqeenan pari ho gi. ab agar yahan pe koi ek musht say kam dari wala imam milta hai aur us kay ilawa kissi ki bhi dari nahi hai, to kya chahtay hain aap keh hum sab musalay ko tala laga kar apnay apnay ghar chalein jaey aur apnay apnay gharon mein apni apni namaz parein? yani keh masjid samnay hai aur us ko tark kar kay apni namaz akalay ghar mein parein? aur waissay bhi yahan kay umla-e-karaam bhi to kehtay hain keh YAHAN KAY HALAAT KAY MUTABIQ SARI IMAMAT KI SARI SHARTEIN NAHI POORI KI JA SAKTI, agar sari shartein poori karnay ko chalein to hamarey area mein taqreeban 5 musalay hain aur wo sarey k sarey band ho jaey gay, kyon keh aissa imam nahi milta jiss mein sari sari shartein pai jaein. aaj humain deen ko pehlanay ki bohat zayada zaroorat hai na keh masjidon kay darawazay band karnay ki. meri wajah say kissi ki dil azari hui to mafi ka talibghar hoon اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 30 جنوری 2010 Report Share مراسلہ: 30 جنوری 2010 (ترمیم شدہ) bhai jis riyat ki aap bat kr rhay hain iski koi soorat aajtak meri nazar se nhi guzri aor ji han najdion ki hukoomat se pehlay tak whan per 4 imam thay aor kaba shareef main muqarrar imam ka taluq hay to whan najdion ki hukoomat hay , whan Tarjuma-e-Kanz-ul-eeman per pabandi....sunni kutab per pabandi.....hattakay baaz sunni ulama ko saudia main dakhly ki ijazat nhi............to aap khud soch lain k whan ka imam kesay sunni hoskta hay?????? aor aapnay khoon k mutaliq poocha...............to meray nihayat hi qabil-e-ehtram bhai.....masla sirf khoon niklnay na niklnay ka nahi,,,,,,,istrah k bhut saray masail hain.......jin ko mukhtasaran yeh keh sktay hain k imam masail-e-tahart-o-nmaz waghera main hmaray mazhab ki bhi riyat krta ho to usk peechay nmaz jaiz hay bashartekay koi aor wja us k peechay nmaz na parhnay ki na ho aor Fatwa-e-Razawia shareef main hay k ager koi shakhs qabil-e-imamat nhi to sab elahida elahida parhain bhai main nay jo parha byan kr dea... Jazak Allah azawajal Edited 31 جنوری 2010 by Usman Razawi اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Bismillah مراسلہ: 31 جنوری 2010 Report Share مراسلہ: 31 جنوری 2010 (ترمیم شدہ) Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou main nahi janta keh khana-e-kaaba ka imam kaun hai aur kiss masliq say tualiq rakhnay wala hai. iss tarah net pe un kay mutaliq un ki peeth peechay apka kuch ajeeb o ghareeb alfaaz istimaal karna mujhey kuch munasib nahi lag raha. bari mazrat kay saath yeh keh raha hoon. haqeeqat to allah hi behtar janta hai. meri baaton ka bilkul bura matt maniey ga bilkul bura matt maniey aur bilkul bura matt maniey ga mujhey jo behtar laga wo likha, agar main nay jo likha aur kabhi bhi sabqa zindagi main aap ka ya kissi doosray islami bhai behnon ka dill dukhaya ho ya kissi kissm ki dil azari ki ho to main aap sab say maafi ka talibgar hoon. main aap sab say maafi chahta hoon khasoosan Usman Razawi saab aap say keh aap sab mujhey maaf kar dein. jazakallahou khaira! duaon mein khoob yaad rakhiey ga keh yeh masla hal ho jaey. meri aap say dilli request hai keh app apni post number30 ko delete kar dain. aur iss maslay ko hum yahi pe STOP kartay hain. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou Edited 31 جنوری 2010 by Bismillah 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 31 جنوری 2010 Report Share مراسلہ: 31 جنوری 2010 bhai ima-e-kaba k peechay nmaz ka masla , is baray main tafseelan aik article paish-e-khidmat hay , aor bhai post delete ka option nhi hay meray pas kionkay main mod nhi hoon......wesay post delete krny ki wja nhi btai aapnay...kionkay mujhay mai koi aesi bat nazar nhi aai jis ki wja se post delete krni chahiay aor meri kisi bat se aapki dil aazari hui ho to muafi ka talabgar hoon.. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Bismillah مراسلہ: 31 جنوری 2010 Report Share مراسلہ: 31 جنوری 2010 (ترمیم شدہ) Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou dekhiey hazrat mujhey aur kuch nahi janana hai aap baraey meherbani khuada kay wastay apni post number 30 aur 32 ko remove kar dein. khuda kay wasty. bohat shukrya jo aajtak aapnay merey sawalon kay liey kya. jazakallahou khaira" Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou Edited 31 جنوری 2010 by Bismillah اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Sag e Madinah مراسلہ: 31 جنوری 2010 Report Share مراسلہ: 31 جنوری 2010 Wr Wbr (ja)Khairan Kaseera Dr.Usman Sb. Aap nay buhat achay jawabat diyay hain.Allah Kareem Aap ke is kawash ko qabool farmay.Aamen Bijah e Nabi Ul Ameen(saw). Janab e Muhtram Sag e Attar Sb.Araz hay keh Islam Main hum log kaisay gunjaish nikal saktay hain??Islam aik complete zabita e hayat hay.Aur is main har cheez main narmi hay. Aur aap jantay hain keh yeh dor he aisa hay keh har roz koi na koi new tribulation janam lay raha hay.Har shakhs apni marzi say deen main koi na koi aasaani talash karnay ke try main hay.Laikan humaray Ulma e AhleSunnat ka saya humaray sarron par ta dair qaym rahay keh itnay paicheeda masail main humari rehnumai farmatay hain. Mazeed yeh keh bad aqeeda log aay din koi na koi naya bahana talash kartay hain ta keh hum jaisay sada feham logon ko apnay Maslak say hata dain.Is liyay please Deen main aassani hum kaisay nikalain jab keh humara Deen AlhamdoLillah completely aasaan hay. Allah Kareem say Dua hay keh Usman Bhai ke mehnat ka in ko ajar Ata Farmay.Aameen Bijah e Nabi Ul Ameen(saw) اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Sag e Madinah مراسلہ: 31 جنوری 2010 Report Share مراسلہ: 31 جنوری 2010 (ترمیم شدہ) Edited 31 جنوری 2010 by Sag e Madinah اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
unknown مراسلہ: 25 مئی 2010 Author Report Share مراسلہ: 25 مئی 2010 (ترمیم شدہ) Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou Kya koi islami bhai ek favor kartay huay exactly yahi masla Mufti akmal saab kay program Ahkam-e-shariat main pooch sakta hai? mujhay to pata nahi ahkam-e-shariat main sawal poochnay ka kya number hai aur kab call karni chahiey, kyon kay main to pakistan main nahi hoon balqay ek ghair islami mulk main rehta hoon lehaza agar koi islami yeh favor kar day to madina madina... ek doosray thread main yeh kuch Al-Furqan Acadmy ki kuch detail hai agar yeh aap kay kissi kaam a sakay: Al furqan Scholars Academy Address: Lakhani Terrace,Punjab Town, Soldier Bazar No.1, Karachi. Telephone: 021-32242226 Website: www.muftiakmal.com Edited 25 مئی 2010 by unknown اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MunAAm مراسلہ: 16 ستمبر 2017 Report Share مراسلہ: 16 ستمبر 2017 (ترمیم شدہ) AAIMA E ARBAH K MUQALLIDEEN KA EK DUSRE KE PICHE NAMAZ PADHNA BY SAYYED RIZWAN RIFAI SHAFAEE Edited 16 ستمبر 2017 by MunAAm اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔