Jump to content

Naat Lyrics


Raza ka ghulam

تجویز کردہ جواب

(bis)

 

(salam)

 

muje kuch naats likhe howe chahiye. Jald se jald share karein.

 

1- JAB HUSN THA UN KA JALWA NUMA

 

2- HAR WAQT TASAWWUR MAIN MADINE KI GALI HO

 

3- CHAMAK TUJ SE PAATE HAIN SAB PAANE WALE

 

4- MAULA YA SALLI WA SALLIM DAI MAN ABADAM ALA HABI BI KA KHAIRI KHALKHI KULLI MI

 

5- HABIB-E-KHUDA KA NAZARA KAROUN MAIN DIL O JAAN UN PE NISARA KAROUN MAIN

 

(ja)

Link to comment
Share on other sites

Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa

 

Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa, Anwaar Ka Alam Kya Hoga

Har Koee Fida Hai Bin Dekhe, Deedaar Ka Alam Kya Hoga

 

Ek Simt Ali Ek Simt Umar, Siddiq Idhar Uthmaan Udhar

In Jug Mug Jug Mug Taraun May, Sarkaar Ka Alam Kya Hoga

 

Jis Waqt Haleemah Ki Godi, Anwaare Khuda Say Raushan Thi

Us Waqt Haleemah Daee Kay, Ghar Baar Ka Alam Kya Hoga

 

Jab Inke Gada Bhar Detay Hain, Shahaanay Zamana Ki Jholi

Mohtaaj Ka Jab Yeh Alam Ha, Mukhtaar Ka Alam Kya Hoga

 

Chahay To Ishaaraun Say Apne, Kaya Hi Palat Day Duniya Ki

Yeh Shaan Hai Unke Ghulamau'n Ki, Sardaar Ka Alam Kya Hoga

 

Sun Sun Kay Sahaba Ki Batein, Kuffar Musalmaan Hotay Thay

Phir Mere Rasool-E-Akram Ki, Guftaar Ka Alam Kya Hoga

 

Taibah Say Hawaein Atee Hai Baikal Ko Sukoon Mil Jata Hai

Iss Paar Ka Jab Yeh Alam Hai, Uss Paar Ka Alam Kya Hoga

Link to comment
Share on other sites

Chamak Tujhse Paate

 

CHAMAK TUJH SE PAATE

HE SUB PAANE WAALE

MERA DIL BHI CHAMKA DE

CHAMKAANE WAALE

 

All those who attain brightness attain it from You

Brighten my heart also, O? You who Brightens

 

BARASTA NAHI? DEKH KAR

ABRE REHMAT

BADO PAR BHI BARSA DE

BARSAA NE WAALE

 

The rain of your Mercy descends, on all.?

Allow it to descend upon the sinners as well,

O You who Showers (his mercy upon us)

 

TOO ZINDA HE WAL'LLAH

TOO ZINDA HE WAL'LLAH

MERE CHASME AALAM

SE CHUP JAANE WAALE

 

You are alive By Allah, By Allah You are Alive!

O You who is hidden away from our physical sight

 

RAHE GA YUNHI UNKA

CHARCHA REAHEGA

PAR?E KHAAK HO JAAYE

JAL JAANE WAALE

 

Forever shall His indestructible excellence be publicised

whilst the jealous will burn in their jealousy to ashes

 

RAZA NAFS DUSHMAN HE

DUM ME NA AANA

KAHAA TUM NE DEKHI HE

CHAND RAANE WAALE

Link to comment
Share on other sites

Har waqt Tasaw'wur mein

 

Har waqt Tasaw'wur mein Madine ki gali ho

Aur yaad Muhammed ki mere dil mein basi ho

 

Do soz Bilaal AQA mile dard Raza sa

Sarkaar ata ishq Owais-e-Qarni ho

 

Ai kaash! mai banjaoon Madine ka musafir

Phir roti huwi Taibah ko baraat chali ho

 

Phir Rehmat-e-Bari se chaloon soo-e-Madina

Ai kaash! muqaddar se mayas'sar woh ghadi ho

 

Jab aaon Madine me to har chaak girebaan

Aankhaon se barasti huwi ashkaun ki jhadi ho

 

Ai kaash! Madine mein mujhe maut yoon aajae

Qadmaun mein Tere sar ho meri rooh chali ho

 

Jab leke chalo gharibaan ko janazah

Kuch khaak Madine ki mere munh pe saji ho

 

Jis waqt nakirein meri qabr mein aaein

Us waqt mere lab pe saji Naat-e-Nabi ho

 

ALLAH! karam aisa kare tujh par jahaan mein

Ai Dawate Islami teri dhoom machi ho

 

AQA ka gada hoon ai jahan'nam tu bhi sunle

Woh kaise jalay jo ke ghulam-e-Madani ho

 

Sadqa mere murshid ka karoon door balaein

Pura mera Sarkaar har armaan dili ho

 

Allah ki rehmat se to jannat hi milegi

Ai kaash! mahille me jagah unke mili ho

 

Mehfooz sada rakhna Shaha be adbaun se

Aur mujhse bhi sarzor kabhi be adbi ho

 

Attar hamara hai saray hashr ai kaash!

Daste Shaha batha se yehi chit'thi mili ho

Link to comment
Share on other sites

Habibe Khuda Ka Nazara Karoon Mein

 

Habeeb-e-Khuda ka nazara karoon mein

Dilo jaan unpar nisaaraa karoon mein

 

 

Yeh ek Jaan kya hai agar ho karoro

Tere Naam par sab ko waaraa karoon mein

 

 

Tere Naam par sar ko qurbaan kar ke

Tere sar se Sadqe utaara karoon mein

 

 

Mera Deen-o-Imaan Firishte jo pooche

Tumhari hi jaanib ishaaraa karoon mein

 

 

Khudara ab aawo ke dam he labo par

Dame wapasi to nazaara karoon mein

 

 

Khudaa kher se laye woh din bhi Noori

Madine ki galiyan bohaaraa karoon mein

 

 

Mujhe apni rehmat se to apna karle

Siwa Tere sab se kinaaraa karoon mein

 

Mein kyoon ghair ki thokare khane jawoon

Tere Dar se apna guzaaraa karon mein

 

 

Tera Zikr lab par khuda dil ke andar

Yunahi zindagani guzaaraa karoon mein

 

Dame wapasi tak tere geet gaoon

Muhammad Muhammad phukaaraa karoon mein

 

Tere dar ke hote kahan jawoon pyare

Kahan apna daaman pasaaraa karoon mein

 

 

Khudaa aisi kuwat de mere qalam mein

Ke Bad-Mazhabon ko sudhaaraa karoon mein

Link to comment
Share on other sites

Qaseeda Burdah Shareef

(Arabic~ Persian~ Urdu~ Saraiki~ English)

Mowlaya salli wasallim daa iman abadan

'Ala habiibika kheyril khalqi kulli himi

Muhammadun sayyidul kowneyni wa thaqaleyni

Wal fariiqeyni min unrbinw wamin aajami

Aan muhammad sarware konein o jin o ins ham

Behtar e khalq e do 'aalam sayyide 'arb o 'ajam

Aap hein khazrat muhammad sarware har do saraa

Aap hein 'arb o 'ajam jin o bashar ke peshwa

Ddu jahaanan da hei sarwar oo muhammad muhtaram

Jeind e taabi' jin te aadam sab 'arab te sab 'ajam

He is Muhammad peace be upon him;

the lord of the both the worlds;

the lord of man and all the hidden parts;

The lord of the arabs & the lord of the rest of the world.

Huwal habiib ulladhi turja shafa 'aatuhu

Likulli howlim minal ahwaali muqtaahimi

Oo habeeb ast o azo da reem chashm e iltifaat

Dar balaii nagahaan o dar jamii' e haadthaat

Aap hein mahboob e haq or shafi' e roz e jaza

Naagahaani aafton main aap ke hei aasraa

Hei habiib e har musiibat waale ki umeed gaah

Hei shafi' te naagahaani aafton keete panaah

He is the dearest, to whom hopes

can look forwardfor succor

and redress in all befallings,

calamities and sudden frights.

 

Ya akramal khalqi maali man aloo dhubihi

Siwaaka 'inda hululil haadithil amaami

Ii garaami tarz khalqat man na daaram multaja

Juz to dar waqt e qiyaamat neez dar uftaadha

Akram ul makhluq or maangun mein kiss se panaah

Haadsaat e 'aam main hein aap meri takya gaah

Akram ul makhluq thein bin koan ddeenda him panaah

Har museebat 'aam o khaas ich tu hei meri takya gaah

O most generous of all!

Who else is there to give me protection

in sudden calamities & common mis-haps?

Surely there is none but You.

Fa inna min juudi kad dunya wa da rataha

Waamin 'ulumika 'ilm al lowhi wal qalaami

Dunya hast az juud to da aakhirat az to karam

Az 'ulum e tust 'ilm e loh neez 'ilm e qalam

Be shuba donon jahaan hein aap ka juud o karam

'Ilm kul hei aap ka or juz wa hei loh o qalam

Ei jahaan te oo jahaan ddu hein taidda juud o karam

Aap de kul 'ilm da hik juz wahei loh o qalam

This world and it's counterpart; the other world,

owe their existence to Your liberality.

Even the knowledge contained in the Pen and the Tablet

is just a fragment of the sciences You are the master of!

Link to comment
Share on other sites

Qaseeda Burdah Shareef

Mowlaya salli wasallim daa iman abadan

'Ala habiibika kheyril khalqi kulli himi

 

Muhammadun sayyidul kowneyni wa thaqaleyni

Wal fariiqeyni min unrbinw wamin aajami

 

Huwal habiib ulladhi turja shafa 'aatuhu

Likulli howlim minal ahwaali muqtaahimi

 

Ya akramal khalqi maali man aloo dhubihi

Siwaaka 'inda hululil haadithil amaami

 

Fa inna min juudi kad dunya wa da rataha

Waamin 'ulumika 'ilm al lowhi wal qalaami

Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...
  • 4 years later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...