Jump to content

Namaaz partey waqat dono paaon ke darmian ka fasla

unknown

تجویز کردہ جواب

(bis)

(salam)

Jab imam saab ke peeche koi farz namaaz partey hain to dono paaon ke darmiaan kitna fasla hona chahiey sunnat ke mutabiq?

kissi ka kehna hai k, namaz k doran paaon shoulder k barabar honey chahiey,(yani k jitna fasla dono baazooun k darmiaan hota hai utna hi fasla dono paaon k darmian hona chahiey) ta k shaitaan na to paaon ki taraf se ah sakey na hi shoulder ki tarf se. yani k do namazieon ke paaon ek doosrey namazi ke saath miley honey chahiey partey waqat dono paaon ke darmiaan.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(wasalam)

Imam ke peeche pade ya alag namaaz padein donoun paoun ke beej main faasla sirl 4 ungle ka hona chahiye ya phir ek balish ka faasla hona chahiye.

Aap ne kaha ke jawaab jald se jald chahiye tu main ne ye bata diya hai. Meri maloomaat ke hisaab se agar is main kuch ghalti hai tu koi is ko sahi karein aur main bhi is masle ke barey main maloom karounga. Aur agar ye ghalat hai tu main isi main sahi jawaab bhi dalounga.

(ja)

Link to comment
Share on other sites

bohata shukriya raza saab!

jee han maine bhi kuch aissa hi pada tha ke 4 unglion ka fasla hona chahiey. kya dono haathon ki 4, 4 unglion fasla hona chahiey ya sirf ek haath ki?

agar hum sirf 4 unglion ka fasla rakhen ge to ek namazi ke paaon doosrey namazi k paaon se nahi mill paeyn ge jis ki wajah se shaitaan paaon ke zariey a k kharda ho jaey ga.

kya koi mujhe aissi koi authenticated hadees (hanfi) bata sakta hai paaon k fasley k barey mein?

aap logon k zariey mujhe bohat maloomat hasil hoti hai. god bless we all, ameen

Sirf ek hath ke 4 ungle ka faasla hona chahiye naake dono hathoun ke 4 ungle ka.

JO aap ne bataya ke payoun ke ungliun ek dosre se milana chahiye ye baat ghalat hai. Ye tu wabioun ka tareeqa hai wo aisa khade hote hain jaise ke jang ke maidaan main khadein hain poun cheer ke. ye ghalat hai aisa nahi karna chahiye.

Agar aisi baat hoti tu kiya shaitaan saamne se nahi aasakta hai kiya sirf shaitaan piche se hi aayega.

Aur jo aap ne Hanafi Hadees ke barey main pucha hai abhi tu mere pass nahi hai main jaise hi hadees mili is barey main share kar dounga.

(ja)

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

JO aap ne bataya ke payoun ke ungliun ek dosre se milana chahiye ye baat ghalat hai. .......

mera kehney ka matlib tha jab 2 namazi ek saath namaz pard rahey hon tab ek namazi ke paoon dooserey namazi ke paaon se miley honey chahiey, na k ek namazi ke paoon apis mein miley hon.

aur doosra Balshat se kya murad hai? jaissey k uper wali link mein hai?

Link to comment
Share on other sites

ASLAM O ALAIKUM,

MEIN KOI ALIM TU NAHI LAIKIN ALHUMDULILLAH MEINE AZ KHUDH ULAMA SAY YEH MASLA POCHA HAI AUR ULAMA KA KEHNA HAI KE YEH INSAAN KE WEIGHT PER DEPEND KARTA HAI ZARORI NAHI KE SIRF 4 UNGLION (AIK HATH KI 4 UNGLIAN) KA FASLA HOO JO LOGH FAT HOTAY HAIN WOH TU 4 UNGLION KA FASLA RAKH KAR KHARAY HEE NAHI HOO SAKTY KYON KI AGHAR WOH ITNA FASLA RAKHEIN TU WOH GIR SAKTY HEIN SO JITNA ASAANI SAY INSAAN KHARA HOO SAKAY UTNA FASLA RAKH LAI LAIKIN ITNA ZYADA BHI NAH HOO KE DOSRAY NAMAZION KO PARESHANI BANAI HAAN 4 UNGLION SAY ZYADA FASLA HONA CAHIYE 1 HATH KI 4 UNGLION SAY ZYADA.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

mera kehney ka matlib tha jab 2 namazi ek saath namaz pard rahey hon tab ek namazi ke paoon dooserey namazi ke paaon se miley honey chahiey, na k ek namazi ke paoon apis mein miley hon.

Bimillah bhai aap ne jo bataya ke ek namazi dosre namazi ke paoun ke bheech ko tu main ne who hi samaja hai jo aap ne yahan detail main diya hai naake ek naamazi ke aapas ki ungulioun ko milana ka jo abhi aap ne bataya.

ASLAM O ALAIKUM,

MEIN KOI ALIM TU NAHI LAIKIN ALHUMDULILLAH MEINE AZ KHUDH ULAMA SAY YEH MASLA POCHA HAI AUR ULAMA KA KEHNA HAI KE YEH INSAAN KE WEIGHT PER DEPEND KARTA HAI ZARORI NAHI KE SIRF 4 UNGLION (AIK HATH KI 4 UNGLIAN) KA FASLA HOO JO LOGH FAT HOTAY HAIN WOH TU 4 UNGLION KA FASLA RAKH KAR KHARAY HEE NAHI HOO SAKTY KYON KI AGHAR WOH ITNA FASLA RAKHEIN TU WOH GIR SAKTY HEIN SO JITNA ASAANI SAY INSAAN KHARA HOO SAKAY UTNA FASLA RAKH LAI LAIKIN ITNA ZYADA BHI NAH HOO KE DOSRAY NAMAZION KO PARESHANI BANAI HAAN 4 UNGLION SAY ZYADA FASLA HONA CAHIYE 1 HATH KI 4 UNGLION SAY ZYADA.

Ghulam e Mustafa bhai aap ne bahut hi achcha jawaab diya magar jo 4 ungle rakhna hai wahan aap ne bataya ke zaroori nahi hai 4 ungle rakhna sunnat hai ye baat alag hai ke jo log fat hain agar wo nahi rakh sakte hain tu jit duur rakhne par sahulat ho wotna hi rakhen wos se zayada na pehlaye. Mera pehle bhi ye hi jawaab tha.

(ja)

Link to comment
Share on other sites

Ji Bismillah bhai Fatwa mein yahi likha hai na ke kam say kam 4 unglion ka fasla rakhna zarori hai aur zyada say zyada 1 balisht laikin jaisa meine kaha ke meine Ulama say pocha hai ke aghar koi Mota banda hoo tu zahir hai woh tu 4 unglion ka fasla rakh nahi sakta so uss ke liye koi qaid nahi woh asaani say jaisy khara hoo sakay ho jai.

Aur aghar koi asaani say khara ho sakta hai namaz mein tu uss ko sunnat ke mutabiq 4 unglion jitna fasla rakna cahiye.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...