Jump to content

Ruza Mubarak Of Prophet Muhammad Salla Allahu Ta'ala 'alayhi Wa Sallam


SanaAli

تجویز کردہ جواب

(wasalam)

ji ye roza e rasool (saw) nahi hay. ye aik mashor wali ullah ki qabr e anwar hay. abhi nam mere zehn main nahi araha. ulema e karam ne apni tahqeq main ye bataya tha.

Link to comment
Share on other sites

  • 2 months later...

asslam o alikum.hum saudia arab kay rehnay walay hain.ji haan ye sarkar-e-doallam kay rozaa mubarak ki tasweer hai.darasal ye sunahrii jali mubarak kay ander ki tasweer hai.jo hum madina shareef ja ker bhi nahin dekh sakte.tasweer mai humare aqa(sallah ho allihi wassalam)araam farma rahey hain.ye 100% muwajaa shareef kay ander ki tasweer hai.dooaon main hum gunnah garoon ko yaad rakhiye ga.allah hafiz.

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Roza e Mubarak ki pic lenna mumkin naheen hai, kiyun k wahaan pr koi ja hee naheen sakta, aur Qabr mubarak kachi hai na k pakki. Lihaza is qism ki tasweeron pr yaqeen na kia jae. Kiyun k Sultan Noor ud din ne Qabr Mubarak k gird do deewaren nikaaleen, aur darmiyaan men seesa dalla gayya tha.

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

meri maloomat k mutabik yah tasweer roza e pak ki nahi ha.

mere khaloo jan 2 years b4 ramadhan shareef main umrah k liye gaye thy.wahan roza e pak pe haazri k liye koi spcl wafd aaya tha.uncle chuptey hoye un k sath under chale gaye..unhon ne ziarat b ki nafal b perhy.. (sa)(ma)

unhain yah dikhai thi

wo kah rhe thy yah sahi nahi ha..wo matti ki hain or simple green kapra dala hoa ha..jo sides ki deewar nazar aarhi ha wo masjid e nabwi ki hi ha...js ne net pe di ha us ne mix ki ha''..

WALLAH U TA'ALA AALAM WA RASOOLUHU AALAM (jallah) WA (saw) .

BARAY E MADINA KOI YAH PIC FWD NA KAREY KISY KO..

 

(ah)

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

hum molana sahab ki baat ko jhoot nahi kehtay lekin jaha tak hume maaloom hai kay beshak roza mubarak means app (saw) ki qabar mubarak kay sides main sisa bhara gaya hai aur app (saw) ki qabar mubarak paki nahi banai wo ab bhi kachi hai matlaab miti nazar aati hai us kay uper chader mubarak di hui hai.ye sab such hai.app (saw) ki qabar mubara sunhri jaali mubara kay nechay hai.jo hum madina munawara main ja ker dekhtay hain wo app ki qabar mubarak ka nishan diya gaya hai.jesa kay picture main hai.app (saw) ki qabar bohat nechay hai jaahan teh khana banaya gaya hai.ager koi wazir ya koi bara admi aata hai to wo nechay teh khanay ki taraf se ander jata hai.uper jali mubarak saudi siraf apnay liye kholtay hai jab in ka koi saudi khas ata hai to wo uper se bhi zayarat kerta hai aur nechay se bhi kerta hai.aur ye 1 saal kay baad jaab hujjaj karam hujj ker kay wapis chalay jatay hain tub safai kay liye sunhri jali kholi jati hai.wo bhi babe fatima(r.a)wala darwaza khola jata hai.ye tasweer tab ki li gai hai.jase ek islami behen ka khana hai kay un kay uncle ne qabar mubarak ko dekha hai. (sa)(ma) wo bohat khush naseeb hai jo unhe itni bari zayara naseeb hui.payri behan app kay uncle ne real qabar mubarak ko dekha hai.ye picture uper ki hai. (azw)(al) hum saudi arab main taqreeban 35years se hain.main makkah mukarama main peda hui.pakistan kbhi nahi dekha.urdu bhi nahi ata.likin guzara ho jata hai.ager meri koi baat kisi ko bhi buri lagi ho to main sab se mazarat chati hoon.koi sawal ho to app pochaye hum batain gain.hum sab sahaba karam ki qaboor ki zayarat kerte rehtay hain aur ker bhi chukay hain.mujhe doaoon main yaad rakhiye. fi-aman::) please koi meri help kere kay picture kese send kertae hai.main app ko ek picture send kerna chati hoon.

Edited by fatima qadria
Link to comment
Share on other sites

ye sab such hai.app (saw) ki qabar mubara sunhri jaali mubara kay nechay hai.jo hum madina munawara main ja ker dekhtay hain

 

(wasalam)

(sa)

bari umed hay sarkar (saw) qadmon main bulain ge

karam ki jab nazar hogi madine hum bhi jayen ge

 

please koi meri help kere kay picture kese send kertae hai.main app ko ek picture send kerna chati hoon.

 

add reply main neche attachments box hay. us main browse k button par click kar k image select karain or upload k button par click kar dain. jab loading complete ho jaye tu post submit kar dain. image add ho jaye ga.

Link to comment
Share on other sites

  • 4 weeks later...
  • 4 months later...
  • 3 weeks later...
  • 4 years later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...