Jump to content

Ismail Dehlvi ki takfeer nahi ki? Jawab chahiye!


Ghulam e Azhari

تجویز کردہ جواب

Salam alayqum,

Bhai mein nay aap ki khatir likha kissi Deobandi ya Wahhabi ko motmin karnay ki khatir nahin likha. Jis banday Ismail Dehalvi ki ibaraat gustakhana nah lagen aur jis banday ka dil itna murda ho kay woh RasoolAllah ki shaan mein joh gustakhiyan ki gahi hen un ka difa karay aur taweelat karay. Us banday nay kia aqal ki baat man-neeh heh. Joh banda gustakhiyoon ko gustakhi nah manay us say is maslay par behas karna kay Ala Hadhrat nay Takfir ki heh ya nahin aur nahin toh keun nahin esa heh jesay kohi Kafir Quran ka munkir ho aur us say behas yeh kee jahay kay Arabi zuban mein Allah nay Quran ko kalam kar kay nazil keeya ya phir Arabi tarjumani heh Farishtay ki taraf say. Pehlay joh bunyadi behas heh woh honi chahyeh. Misaal kay tor par agar Ala Hadhrat nay Takfir ki toh kia Deobandi maan leh ga, aur agar nah keeh toh Ismail Dehalvi ki gustakhana ibaraat ayn Islam kay mutabiq ho jahen gi? Joh logh zidd par arh jahen unneh kohi bi kuch manwa nahin sakta. Esay logh aap ko faltooh behasoon mein ulja kar rakhna chahtay hen. Qadiyani kabi bi masla Khatam un Nabiyeen aur MIrza kay dawa e Nabuwat par behas nahin karna chahen gay sirf Nabi Isa zinda hen ya fawt ho chukay is par zor denh gay. Batil firqay kabi bi bunyadi ikhtilaf aur waja ikhtilaf par behas nahin kartay keun kay is say un ka bister gol ho jata heh. Un ki strategy yahi hoti heh kay qantoon ki jar'ri mein banday ko phenk doh kabi bi bahir nahin nikal pahay ga.

Ala Hadhrat nay, Al-Kawkabatu’sh Shihābiyyah fī Kufriyyāti Abi’l Wahābiyyah, mein ihtiyaat kay tehat takfir nah karnay ka likha heh, note karyeh page ka aakhiri hissay mein Firqa Ismailia ka zikr heh, is say Ismail Dehalvi ki talimat ko mannay walay hi murad hen: http://www.alahazratnetwork.org/modules/booksofalahazrat/item.php?page=69&itemid=142 Aur joh is say agay wala page heh woh bi parh lenh. Kufr kay yaqeeni honay ka bi zikr heh magar ihtiyatan takfir nah karnay ka bi zikr heh. Magar kis waja say ihtiyatan Takfir nah keeh is ka zikr nahin. Aur rawayat mein toba ki mashoorgi ka zikr aya heh toh yahi heh.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

  • 3 weeks later...
On Thursday, July 09, 2009 at 0:15 PM, Ya Mohammadah said:

 

 

page_nid05.gif 

کیا فتاوی رشیدیہ کا سکین پیج مل سکتا ہے؟

جس میں اسماعیل دہلوی کے متعلق توبہ والی خبر کی بات کی گئی  

 

Edited by Brailvi Haq
Link to comment
Share on other sites

  • 2 months later...

 

Aala Hazrat Se Is Ka Subut ?? Aala Hazrat farmate Hai K Humare nazdik Maqam e Ahetiyat Me Kafir kahene se kaf e lissan  الکوکبتہ ا شہابییہ 

تمہید ایمان 
Me Aala Hazrat Apne risala ( سل السیف الہندیہ علی کفریات بابا النجدیہ ) Ka Hawala Dete huwe farmate Hai ??  Ismail Dhelvi Aur Us K Mutabain Per ba wajah Qahira luzum e Kufr Ka Subut de Kar safa  21.22 per likha Y Hukum Fiqhi mutaliq Ba kalimat sahifi Tha ....phir kuch Aur age likhte Hai  ?? Ab tak wo Y taheqiq farma Rahe Hai K luzum o iltezam Me farq Hai Aqwal Ka kalima Kufr hona Aur bat Hai Qail Ko kafir man Lena Aur bat Hai Hum Ahetiyat Bartrnge Sukut karenge.


Yaha Se Saf Sabit Huwa K Aala Hazrat Ne Muttakalimin K mazhab Per Sukut kiya Hai

Ab Mutakalmin Sukut Kab Karte Hai ?
Y Pata Chal Jay to Mas'ala Hi Khatam
 متکلمین کی وجہ سکوت

1..Qail K qaul Me Tawil e Baaid Ka Nikalna Aur Qail Ki Niyat Se Agaahi Na Hona 

Dusra ..tauba Ka Mashur Hona

            Jab Y wajah Sukut Hai To Aala Hazrat Ki Qalam e mubarak Se Ismail qateel Ki Takfir se Sukut ki wajah Sabit Huwi

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...